janta hai suraj, janta hai chandrma,
jante hai ye saikdron tare
pata hai ambar ko, pata hai dharti ko,
jante hain ispar rehne wale sare.
ek bas tujhko hi nahin kaha tha,
aaj tujhe bhi batana chahta hoon
jab se tujhe mehsoos kiya hai, bas,
tujhko hi pana chahta hoon.
gawah hai khuda khud pyar ke mere,
saakshi hain devi devta sabhi,
saboot hain parwat, maloom hai pawan ko,
jante hain sab nehren aur nadi.
nahin manga kabhi kuch khudai se,
par na jaane kyon kuch aisa hua,
hua jo tera ehsaas ehsaas ko to,
dil ne di mohabbat ko khud ek dua..
heer-ranjha se kabhi mila nahin,
na shree ya fahaad ko kabhi salaam kiya,
aashiqon ko to chhodo maine kahbi,
ishq ka bhi naam na liya.
jab tak khud na basai na jana,
mohabbat ki kya murat hoti hai,
ab samjha hoon kyon har majnu ke liye,
bas laila khoobsurat hoti hai..
tu jo mujhko na mili to,
iss duniya se chala jaoonga main,
ishq ki kasam, vaada hai mera,
har aashiyane ko jala jaoonga main.
mashroof kar doonga tujhe is kadar ishq se,
tujhe bhi ikraar karna hoga,
main nahi kehta, yeh takdeer hai teri,
tujhe mujhi se pyaar karna hoga….