yeh ghadi hai shayed izhaar ki

kuch khumaar yahan par chhaya hai,
jo nazar yahan par aaya hai.

sandesh se baatein kerne ka
andaaz naya ek aaya hai.

yahan khili khili kisi ki jaan hai,
wahan mand mand muskaan hai,

yeh ghadi hai shayed izhaar ki,
ya saajish hai yeh pyaar ki?  

bas aisi koi aa jaaye

yun khilna chahta hoon gulshan ki tarah main,
ki yeh zindagi bahaar ban jaaye,

dekhun usse to palke hi na kholun phir main,
bas aisi koi aa jaaye.

haan dekhunga bas usko hi main,
ki jab tak woh dil mein na bas jaaye,

haan rahe woh dil mein hardum mere,
bas aisi koi aa jaaye.

pehechaana jaaye usse naam se mere,
aur naam uska pehechaan meri ban jaaye,

bas khoyi rahe woh hurdum mujh mein,
bas aisi koi aa jaaye.

ek choti si love story

na yeh chemistry hoti, na main student hota,
na yeh lab hoti na yeh accident hota.

abhi practical mein aaye nazar ek larki,
test tube jaisi sundar thi naak uski,

baton mein uski glucose ki mithas thi,
sanson mein ester ki khushbu bhi sath thi,

aankhon se jhalakta tha kuch iss taranh ka pyaar,
bin piye hi ho jata tha alcohol ka khumar,

benzene sa hota tha uski presence ka ehsas,
andhere mein hota tha radium ka abhas

nazrein mileen, reaction hua,
kuch iss taranh love ka production hua,

lagne lage us ke ghar ke chakkar aise,
nucleus ke charon taraf electron hon jaise,

us din hamare test ka confirmation hua,
jab uske daddy se humara introduction hua,

sun kar hamari baat woh aise uchal parde,
ignesium tube mein jaise sodium bharak uthe,

woh bole, hosh mein aao, pehchano apni aukkat,
iron mil nahin sakta kabhi gold ke sath.

yeh sun kar tutta humare armanon bhara beaker,
aur hum chup rahe benzaldehyde ka karwa ghoont pee kar,

ab us ki yaadon ke siwa humara kam chalta na tha,
aur lab mein humare dil ke siva kuch aur jalta na tha.

All Time's Favourite Posts