humari jaan banke ab woh humara garoor banne ja rahe hain

mohabat mein kya batayein,
kya pa gaye kya kho gaye hain,
hum unse jeet ke bhi dil apna,
unse kahin haar gaye hain,

woh dil se door rah ke bhi,
sabse kareeb humare ho gaye hain,
begaane hoke bhi woh
iss dil-e-nadaan ke khuda ho gaye hain,

ishq mein zor chalta nahi,
dil deewana ban jata hai,
saaya banke apna
har pal koi saath chalne lagta hai,

kya kisi se shikwa karein
jab dil hi apna haar gaye hain,
nazrein teer se woh humein 
ghayal apna bana rahe hain,

aaj humein mohabbat ka
zaher deke woh muskura rahe hain,
pal pal woh pass aake
humein sabse door kiye ja rahe hain,

kya mohabat ki hadd hoti hai
woh humpe aazmaa rahe hain,
aaj jhuki nazron se hum
apni chahat ka izhaar kar rahe hain,

ek unki yaad mein hi bas
hum khud ko bhoole jaa rahe hain,
unse waffa ka hum har waada
nibhaye chale ja rahe hain,

ek unki aawaaz pe hum
jaane kis raste chale ja rahe hai,
humari jaan banke ab woh
humara garoor banne ja rahe hain.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts