pyaar ne pucha zindagi kya hai

pyaar ne pucha zindagi kya hai?
humne kaha tere bin kuch nahi.

unhone phir pucha dard kya hai?
humne kaha jab tu sang nahi.

pyaar ne pucha mohabbat kaha hai?
humne kaha mere dil mein kahi.
unhone phir pucha khuda kaha hai?
humne kaha tujh mein kahi.

pyaar ne pucha humse ishq kyu hai?
humne kaha mujh ko bhi pata nahi.
unhone phir pucha itni bechaini kyu hai?
humne kaha isme kasoor mera nahi.

pyaar ne pucha aitbaar karoge mera?
humne kaha tumse bardkar koi nahi.
unhone phir pucha saath doge mera?
humne kaha kyu nahi.. kyu nahi.. kyu nahi 😍😍


No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts