sab tujhi se lagte hain

hazaaron bheed ke chehare tujhi se lagte hain,
falak pe faile sitare tujhi se lagte hain,

jaagti raaton ki tannhaiyon mein chupke se,
aaye kuchh khwaab suhane tujhi se lagte hain.

kisi bhi raah pe rukkar palat-ti nazron mein,
hasarton ke mehakte shaaye tujhi se lagte hain.

m
ehkate phoolon ki khushbu tujhi se lagte hain,
tamaam titliyon ke fasaane tujhi se lagte hain.

dil ke masoom se koone mein kisi bachche ke,
aane jaane ke bahane tujhi se lagte hain.

mujhko sehlati hawaon ki mehkti khusboo,
in hawaon ke thikane tujhi se lagte hain.

subah angdai leti dhoop ke machalte arman,
saagron ke sab kinare tujhi se lagte hain.

oos ki bundon mein jagta hua suraj dekhun,
mujhko woh saare nazaare tujhi se lagte hain.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts