ek baar karde woh aankhon se hi ishaara

ban gaya jo anjaanaa koi, iss dil ka mehmaan hai,
dil mein unke bhi mere liye, kya khaas koi armaan hai,

yun to baatein karte hain woh sabse muskuraake,
mera dil kya..  dhardkane bhi unka meharbaan hai,

dil unko yaad karne ke banaata sau sau bahaane,
kya yaad mujhe bhi yun karta dil unka kadradaan hai,

awaaz mein meri sabhi ne paayi, khanak ek nayi si,
kyun nazar unki hi rahi ab tak isse anjaan hai,

iss dil ki dhaadkanon pe ab raha apna nahi kaabu,
kya us dil se bhi iss dil ki huyi aisi pehchaan hai,

ek baar karde woh aankhon se hi ishaara,
gar dil me unke bhi chhupa koi armaan hai

jeena humein aaya hi nahi

jo bhi chaha kabhi dil se,
woh to humne paya hi nahi,
marte rahe hum pal pal yahan pe
jeena humein aaya hi nahi.

humne to sirf itna hi chaha,
ki humare jeewan mein kuch phool khilein,
lekin jab pahunche hum chaman mein,
humko to sirf kante hi mile,
koi bhi sitam nahi hoga yahan pe,
duniya ne jo mujhpe dhaya nahi.

humse huyi bas itni khata ki,
sabko hi aapna keh beithe,
aapno ki to baat hi chordo,
gairon ke bhi hum ghum le beithe,
bhulane ke liye gham ka zeher bhi peena chaha,
peena bhi humein aaya hi nahi.

duniya ki to baat hi kya hai,
aapno ne bhi humein thukraya hai,
humare bhi seene mein dil tha dhadakta,
aaj pathar inhonein banaya hai,
aise diye hain sabhi ne zakhm humko
jinko yeh rooh abhi tak seh paaya hi nahi.

although it hurts inside

why does it have to hurt inside?
why do I have to cry each night?

I think I have to walk on by
because I am starting lose my sight,

what is it that changed your mind?
who is that keeps you blind?

why did u change so fast?
did you really have to leave me behind?

I start to think about all we had,
and how it turned this way,

I guess I will have to leave your side,
and turn my face away,

although my soul will die,
although my heart will cry,

I have nothing else to do,
I am hurt deep inside.

but although I will leave your side,
you will always be on my mind,

my heart and soul will ache for you,
every day and every night,

the love that keeps me alive
You are the one I will love forever,
although it hurts inside.


tumne hi to banaya hai shayer mujhe

yun hi likh raha hoon
apane jeevan ka ek pal,
yaad aa raha hai mujhe
gujara hua woh kal…

jab se tum mili thi
nayano mein ek roshni thi,
mil ke tumse acchha laga tha
pyar ka pahla ehsaas sachcha laga tha,

samay badlaa, takdirein badali,
waqt ke sath tasweerein badali,
par dil wahi tha,
jis dil ne tujhe dekha tha,

tum milo ya na milo mujhe
tasweer dil mein bani rahegi,
tumne hi to banaya hai shayer mujhe
marte dam tak aas teri lagi rahegi.

hum ko ye malum na tha ke koi saath nahi deta

baithe the kinaare par, maujon ke ishaare par,
hum ko ye malum na tha ke koi saath nahi deta,

maajhi chord deta hai, saahil chord jata hai,
sheesha ho ya dil ho aakhir tut jaata hai,

fark itna hota hai...
sheesha tut-ta hai to awaaz karta hai,
jabki dil tutne ka koi aahat tak nahi sunta,

sheesha tut-ta hai to dard nahi hota,
jab ke dil tutne par ashk tak beh jaate hain,
humne bhi to saha hai dil tootne ka gam...

aaj bhi mujhe yaad hai

jab tu mere ghar aayi thi
maa ko kitani bhayi thi,

ek jhijhak thi mujh mein
par tu bahut muskurayi thi,

dil ke ek kone mein
teri tasweer samaai thi,

komal man ki woh tasveer
aaj bhi mujhe yaad hai,

jab hum car se jaa rahe the
pehali baar tere sath antakshari gaa rahe the,

pyar ke geet maine gaya tha
sab ke beech tumhein apana banaya tha

geet ki woh line
aaj bhi mujhe yaad hai

ghar ka woh hissa
baitha tha main tere hi pass

tu jab pair hilla rahi thi
mere dil ki dhadkan bardha rahi thi,

anhoni aahat aa rahi thi
meri dhardakno ka bardh jana,

chupke se tumhein samjhana
aur tera maan jana,

aaj bhi mujhe yaad hai,
teri meri pehali mulakat,

lab mein rahate the hum pass-pass
baate kerne ko man gudgudaya tha,

jhuuth hi maine bola tha
tum bahut achchi gaati ho,

boli thi tum kisne tumhe bataya
ek jhuth aur tumne hi to bataya tha,

woh tera sach maan lena
khud ko na jaan lena,

aaj bhi mujhe yaad hai...


tu jab mujhse lardati thi
mere seene per dono hatho se vaar kerti thi


teri woh meethi-meethi maar
jo deti thi mere jeevan ko dhar
aaj bhi mujhe yaad hai,
aaj bhi mujhe yaad hai...!

tujh bin andheron mein gum ho jaunga

tere bin bata main kaise ye zindagi jee paunga,
darta hai tu mere dil, ki tujh bin mar jaunga...?

khushi meri cheen ke kehte ho hamesha hassna,
ek wajah bata de ab kis liye main muskuraunga...?

kehte hain log mujh ko ki zindagi ek jannat si hai,
tujh bin ye jahannum hai har bar yeh dohraunga,

mat chord mujhe tanha tujhe apne pyaar ki kasam,
akele hi zindagi ka bojh bata kese main uthaunga...?

thorda yakeen kar mera aur thorda mujh par aitbaar kar,
saath tera hoga to yakeenan is duniya ko haraunga,

sirf ashkon se mere ab jalta hai diya chirag ka,
tu jo juda hogayi to aanshoo mein sabko bahaunga,

chaand hai tu mera tune zindagi ko roshni di hai,
main to tujh bin andheron mein gum ho jaunga...

apni gali mein apna hi ghar dhundhte rahein hum

aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya,
woh shakhs ek shaam mein kitna badal gaya,

kuch din to mera aks raha unke aaiyne pe,
phir yun hua ki usme mera chehra badal gaya,

jab apne apne haal pe hum tum na rah sake,
to kya hua jo humse ye zamana badal gaya,

kadamon tale jo ret bichi th wo chal pardi,
usne churdaya haath to manzer badal gaya,

koi bhi chiz apni jagah par nahi rahi,
jaate hi ek shakhs ke, kya kya badal gaya,

ek choti khushi ke mauk ne kaisa kiya kamaal,
unka har wafa har waada, pura ka pura badal gaya,

uth kar chal diye, kuch na bacha hamare darmiyaan,
parda jo uthaa mehfil se to sara tamasha badal gaya,

hairat se saare laffz mere, usse dekhte rahein,
baaton mein apni baat se kaise woh badal gaya,

kehne ko uss shakshs ne deewaar thi banayi,
ghar ki patta, makaan ka naksha badal gaya,

shayed wafaa ke khel se ubb gayi thi woh,
manzil ke itne paas aa ke jo rasta badal gaya,

kaayem kisi bhi haal pe duniya nahi rahi,
khusiyan kho gayi mere, jo sapna badal gaya,

manzar ka rang asal mein saaya tha rang ka,
jisne usse jidhar se bhi dekha, wo shakhs badal gaya,

andar ke mausamon ki khabar kho gayi,
uss bewafa ka chehra jo badal gaya,

aankhon mein jitne ashk the jugnu se ban gaye,
woh muskuraaye aur mera duniya badal gaya,

apni gali mein apna hi ghar dhundhte rahein hum,
unke ghar ka jo patta badal gaya.

sehmi sehmi aankhon mein

sehmi sehmi aankhon mein,
ab kuch sapne sajne lage,
tum kya jaano ab tum,
humein kitne apne lagne lage.

aathon peher raho paas tum,
yahi dua hum rab se karne lage,
darte na the jin ehsason se pehle,
ab unhi ehasason se darne lage.

bhool gaya tha raaj ke sapne,
sapne yeh hote hain hakeekat nahi,
ab in sapano ko bhi poora,
karne se hum darne lage,

sehmi sehmi aankhon mein…


tum jo dekh lete to accha hota

hum bhi the aur tum bhi the,
saath chalte, to accha hota,

dekh raha hoon main jo manjar,
tum bhi dekhte wahi, to accha hota,

nazaron main sirf tum ho, tum hi tum ho,
gar kar lete yakeen, to accha hota,

yun to zamaane mein hain lakho haseen,
gar tumne na dekha hota, to accha hota,

har ghadi har pal, aap hi ki aarzuu hai,
gur hoti juban daro deewar ko, to accha hota,

nikale the unke dur se, na aayenge kabhi,
agar yeh na soccha hota, to accha hota,

meri halat hai ab kaisi,
tum jo dekh lete, to accha hota.



yeh to sacch hai ki dil mera toota hai

yeh to sacch hai ki dil mera toota hai,
dard kaha abh ismein hota hai,

kho chuke mere sab sapne hain,
koi aashk bhi nahi ab behta hai,

tord chale woh mera dil aise hi,
jaise koi mitti ka gharaunda hai,

nikal diya aise apni zindagi se,
phul se nikala jaise koi kanta hai,

yeh to sacch hai ki dil mera toota hai,
dard kahan abh ismein hota hai.

I hate you... but I love you

I have failed to understand you
suddenly do you develop inside me
making someone so special
smiles and joys of that person start affecting me
and the woes echo deep in my heart
what magic do you do?

the heart itself rhymes with the hearbearts of other heart
and the senses feel the touch which actually isn't there
miles away but so close at heart we feel
why does suddenly the absence of a person hurt so much?

when some time back we hadn’t even met
how did these eyes start watering so often?

I am amazed at what all you make me do
strange you are really strange
I boast to have removed you completely
you still remain somewhere in the corner

each time I try to make a new start
you remind me of the past times
pictures you draw so clear in my mind
but whatever you may do I can’t let you die

as it is for you I am human being
good or bad it is you who make me

without you I cant imagine myself
wierd isnt it? 

I hate you... but I love you...
you remain such an integral part of me.

kya tum na aaoge

sab log yahaan aayenge, kya tum na aaoge?
baatoun mein sab bit jaayega, kya tum na aaoge?

arsaa hua hai tab se mile hi nahei hain hum,
yeh hum kise bataayenge, kya tum na aaoge?

iss mehfil mein bhi tannha hain yahaan hum,
har roz dard aayenge, kya tum na aaoge?

tum ko nahi aanaa hai to hum ko hi bula lo,
jab bhi tumhein bulaayenge, kya tum na aaoge?

khilte gulaab gaate agar mere nagmein tum,
ab kis ko yeh sunaayenge? kya tum na aaoge?

hum ab bhi hain isse udheirhbun mein,
kaise tumhein manayenge, gar tum na aaoge?


hai dhuaan hai dhuaan

hai dhuan hai dhuan bas dhuan hai dhuan,
kuch hassin dino ki yaadoon ka hai dhuan,

waqt yeh meharban hai,
shama yeh aaj hai kal kaha hai,

hai dhuan hai dhuan bas dhuan hai dhuan,
kuch hassin dino ki yadoon ka hai dhuan,
hai dhuan hai dhuan har taraf hai dhuan,
do jawan dilon ke waadon ka hai dhuan.

waqt yeh meharbaan hai,
shama yeh aaj hai kal kahan hai,

jaane kya hua door hum ho gaye,
aaj phir mile or phir kho gaye,

na koi darmiyaan hai,
to phir kyu mein yahan,
tu wahan hai….

hai dhuaan hai dhuaan bas dhuaan hai dhuaan,
kuch hassin dino ki yaadon ka hai dhuaan,
hai dhuaan hai dhuaan har taraf hai dhuaan,
do jawaan dilon ke waadon ka hai dhuaan.

aag jo iddhar hai wahi to uddhar,
jaanke bhi ye tu hai kyu bekhabar,

lab tere be-zubaan hai,
magar aankhon mein ek daastan hai,
hai dhuaan hai dhuaan bas dhuaan hai dhuaan,
kuch hassin dino ki yaadon ka hai dhuaan,
hai dhuaan hai dhuaan har taraf hai dhuaan,
do jawaan dilon ke waadon ka hai dhuaan.


waqt ye meharbaan hai,
shamaa yeh aaj hai kal kahan hai,
hai dhuaan hai dhuaan bas dhuaan hai dhuaan,
kuch hassin dino ki yaadon ka hai dhuaan,
hai dhuaan hai dhuaan har taraf hai dhuaan,
do jawaan dilon ke waadon ka hai dhuaan.

tried a million things to make you mine

I have been lied to over and over,
and cheated on a dozen times,
I have tried and tried and tried,
a million things to make you mine.


was stabbed in the back,
with the sharpest of knives,
and 
I was hurt so bad,
I tried taking my own life.

my tears could have filled an ocean,
with the many times 
I cried,
and 
I embarrassed myself so many times,
I was forced to swallow my pride.

but all of that is over now,
and none of it even matters,
because if 
I had the chance again,
I would make it turn out better.

I would suffer a thousand heartaches,
and cry a billion tears,
if it meant for only a minute,
that 
I could have you here.

likhte likhte gum bhulana sikha hun

girte girte chalna sikha hun,
chalte chalte jeena sikha hun,
jeete jeete likhna sikha hun,
aur likhte likhte gum bhulana sikha hun.

zindagi ki shaam hone ko hai

iss zindagi ki shaam hone ko hai,
duniya anjaan hone ko hai,
aane wala wo pal hai,
jiska intezaar khone ko hai,

sitam khud par hone ko hai,
dil mera ab roone ko hai,
iss zindagi ki shaam hone ko hai.


doori jo meine khud bardayi hai,
uska intekaam ab hone ko hai,


hassil na hua jo pyar hai,
ussi ka khayal tabah karne ko hai,
zindagi ki shaam hone ko hai,
duniya anjaan hone ko hai.

I will forget you

I have to forget you, so hard, I know,
but 
I have to forget your liar eyes,

have to forget my dreams that you were the queen of,
have to forget my feelings that you were the leader of,

have to forget my brighter days that you were the sun of,
so cruel you are like the hammer that hammered my heart,

like the murderer who killed my feelings,
like the fox who hunts her prey.

then leaves it so weak
yeah! I am afraid and weak without you,

but as you forget me,
so too will I forget you,

from now on. I will kick my feelings,
shut my heart and 
I will never allow anyone to play with my heart

humare pas aane mein tum yuh der aab lagao na

kab se hai intezaar tera,
tum bhi kabhi apni jalak dikhao na,
rulaya hai zamane ne mujhe,
aab tum to mujhe rulao na,

orro se suna hai milte ho har ek ko tum,
humare pas aane mein tum yuh der aab lagao na,

duniya ne tukraya hai aab koi tikana nahi mera,
tera hi asra hai aab to,
khuda ke liye tum to mujhe apnao na,

mera hona ya na hona ek barabar hai,
khawaish hai is zindagi se door tum mujhe apne sang lejao na,

duayein aur aanshoon tumara rasta rokhenge jaroor,
wasta hai khuda ka aaye maut
mujhe le jane ke irade mein tum aab ghabraao na.

challenge of my life

poetry is the only breath of my life in the world
I feel not free due to the constraint of time.

time, the primordial fossil still controls all
but to overcome this precious thief is a great challenge!

everything tried to fail me but not my poetry,
which all the tricks of time can’t stop altogether.

my sustained efforts now and then never got blocked,
but the outlet for my output ever remained closed.

that is the great challenge of my life,
but the free flow of my poetry never ceased to be impotent.

are they a mere growth of weeds on acres of papers?
no, some soul would know the value of this pearl one day.

poets write for recognition but not for rejection,
they pour out their heart in the poems pure
for the men of the world to appreciate one day
the man, the heart and the human sense in the words rare.

is poem like any other product produced for profit?
poems are the myriad expressions of the human mind,

that explores the unknown through the known words
transcending human limitations to the limit of the universe!

my curiosity led me to undertake this venture
the discoveries I express nobody seems to care,

this is the greatest all time challenge of my life,
which I would love to face sincerely and really!

yeh shehar hai dhanbad apna

woh hirapur ki pani puri,
woh citycenter ki chaat,
woh amul ki ice cream,
wah usme thi kuch baat!

woh madhulika ki mithai,
woh manish cafe ka dosa,
woh steelgate ki pav bhaji,
basant ka samosa.

woh local train ka “suffer”,
woh bekaarband ki hawa,
woh station road ke auto,
aur birsha park ka sama.

woh december ki zara si sardi,
woh baarishon ke mahine,
woh garmi ki chuttiyaan,
jab chutate the passeene.

woh holi ki masti,
woh navratri ka garba,
woh diwali ke patakhe,
aur ganpati ka shor o sharaba.

woh bankmore ki traffic,
woh bartard ki rush,
woh tardapti garmi mein,
thella-icecream ka ek kala khatta slush.

woh parkmarket ka mohol,
woh bekaarband ki leheren,
woh doobte suraj ka nazara,
wah uska kya kehena!

woh nukkard ka pop-corn
aur purana bazar mein shopping,
woh sslnt ka nazara
aur ism ki building.

woh cinema ke queue,
woh black ki ticket,
woh golfground ka maidan,
jahan bachche practice karte hain cricket!

itni cheezen kehene ke baad,
aur kitni karron mein baatein,
yeh shehar hai dhanbad apna

zindagi bhar karega tumhara intezaar

jo karta hai tumse pyaar,
wahi deta hai taklif hazaar,

uske dil mein hota hai,
tumhari har baat ke liye ekraar,

kare tumhein chahe woh kitna bhi inkaar,
lagega woh tumhein pyaara har baar,

rooth jaoge toh manayega woh,
har baat par tumse karega takraar,

par ek baar usse keh kar dekhna,
zindagi bhar karega tumhara intezaar,

tumhare har dukh ko apnakar,
dega tumhe khushiyaan hazaar,

karega tumhari hifazat kuch waise hi,
jaise phoolon ki hifazat kaante karte hai har baar.

ek hakikkat nahi ek mithya thi woh

muskurahat nahi ek khamosi thi woh,
naa jane kab aayi, kab kahan gayi,

ek purvayi nahi ek chubhan thi woh,
jab bhi aaya in palko ko bhigo kar chali gayi

ek awaz nahi hothon ki ek pukaar thi woh,
naa jaane kab hothon par aayi kab chali gayi,

ek hakeekat nahi ek mithya thi woh,
naa jane kitne sapne tord woh chali gayi,

meri khamoshi nahi ek dua thi woh,
hothon tak aane se pehle khuda ke dar se chali gayi,

phoolon ki nahi katon ki kahani thi woh,
jab yaad aayi jane anekon zakhm dil par chord gayi,

mom ki nahi pathar dilon ki kahani thi woh,
jalne se pehle naam pathar par chord chali gayi,

lafzon ki nahi khamoshi ki kahani thi woh,
jaane kitne manzer dil mein chord nazron se guzar gayi,

khamosh hasraton ki nahi dilon ki kahani thi woh,
ek parchayi chord jane kab kahan chali gayi

raaston ki nahi dilon ki dooriyon ki kahani thi woh,
dil ko tanha karti khamoshi suna ker chali gayi.

ek saathi dhundhta hun

tanahiyon se bhare iss shehar mein,
ek saathi dhundhta hun,

be-dil jahaan mein,
ek dil dhundhta hun,

bewfaa zamane mein,
ek wafa dhundhta hun,

jaagte sheharon mein,
neend dhundhta hun,

apne annshuon mein,
tumhari khushi dundhta hun.

dekhe tumhein ek zamana hua

dekhe tumhein ek zamana hua,
kaisi ho tum yeh puche zamana hua,

kya yaad aata hun main tumhein,
yeh puche ek zamana hua,

sune teri hassi ek zaman hua,

khayalo mein meri basne wali,
tujh ko apna kahe ek zamana hua,

naa pattaya gaya mujhse apna dukh,
hasse huye mujhe ek zamana hua,

roti aankho mein ab ek hai sunapan,
aashk bahaye mujhe ek zamana hua,

khali baahein, sard saase liye baitha hun,
teri garmi ka ehsas huye zamana hua,

kisi ko kya kahun
mujhe khud se mile ek zamana hua.

dua karo woh din ho jaaye aaj

naaraz hun zindagi se,
naaraz hun aaj main khud se,

kyon nahi samjhta main ek choti si baat,
kyon har waqt karta hun ussi ki baat,

nahi mil saka jis ki thi mujhe talash,
kyon rehta hun har dum uski yaad main udaas,

kehta hun khud se bhool jaaunga ek din,
kab aayega.. koyi to batao woh din,

kab aaygi hassi wapis mere hoton pe,
kab dekhunga main koi sapna khushnuma sa,
nahi jeeya jata mujhse ab yun tannha.. udaas,

agar nahi aana hai woh din,
to yaaron sab dua karo,
maut jo aani hi hai ek din, 
woh din ho jaaye aaj...!!

ek sapna dekha tha jo toot gaya

ek sapna dekha tha jo toot gaya,
hatha unka mere haathon se choot gaya,
socha tha saath rahenge,

saath jeeyenge, saath marenge,

na jane kyun mera sajjan mujhse rooth gaya,

ek sapna dekha tha jo toot gaya,

kayamat ki thi woh raat,
jab woh chord kar chali gayi mera saath,


maine kaha...

galti huyi hai to kar do mujhe maaf,
yun na jaao chord kar mera saath,


usse mera sacha pyar na aaya raas,
mere sapne ko kar gayi woh raakh,


uss din mera rabb mujhse rooth gaya,

ek sapna dekha tha jo toot gaya,

toote sapne ko lekar,

gaye hum bhagwan ke paas,
jeene ki chord di thi humne aas,


pucha humne bhagwan se,

kya yahi hai tumhara insaaf,

dekho mera yaar mujhse rooth gaya,

ek sapna dekha tha jo toot gaya...!!

woh raat humein yaad hai aab tak

bahot kaali thi woh raat humein yaad hai aab tak,
gujar chuki woh par aab tak meri zindagi pe chayi hai,

alag ho gaye humare unse rashte us raat kuch aise,
jaise dono ki manzil hi ek doosre se parayi hai,

ek sunapan sa rehe gaya aab mere dil me ek dard teher gaya,
dekho kismat ne meri zindagi pe apni mohar lagayi hai,

ek mamuli si raat thi woh to,
par mera sab kuch lut kar le gayi,
mili us raat se mujhe umar bhar ki tanhai hai,

aab tak gabrate hain hum raaton se is kadar,
ke har raat aab mere ankhon mein ek nami si layi hai.

aur kuch nahi

bus teri meri yaadien reh jayeingi aur kuch nahi,
bus teri meri baatein reh jayeingi aur kuch nahi ,


bus teri meri raatein reh jayeingi aur kuch nahi,
bus teri meri tanhaiyan reh jayeingi aur kuch nahi,


bus teri meri kahaniyan reh jaeingi aur kuch nahi,
bus ek din mein akele reh jaunga aur kuch nahi.

na jaane kaha mujhe yeh le jayegi

awara hain yeh rahein,
kaha mujhe yeh le jayegi,

sath degi mera kuch pal ke liye,
agle hi pal door mujhse ho jayegi,

phir na jane kaun si gali,
mein phir se mujhe mil jaayegi,

har manzar nayi rahon mein,
naye sapne, naye yaadein banayegi,

kaun rah dhoondho main jo,
har kadam mere sath chale,

aaj mere sath dikhti hai,
kal na jane kiske agosh me kho jaayegi,

har pal yeh kisi ki yaadon
mein shamil dikhti hai,

har ek naye mord par humein
yeh rahein nayi si lagti hai.

All Time's Favourite Posts