har ek se hanste huye milta hoon main

har ek se hanste huye milta hoon main,
par ek dard seene main liye phirta hoon main,

dekh kar mujh ko jab woh phair leti hai nigahain,
usko kiya khabar.. kis bulandi se girta hoon main,

aayege kabhi to woh murd kar..  jo chale gaye,
ek aas par darr phir bhi khule rakhta hoon main,

khud farebi ko meri kami samajhte hain sanam,
jab bhi bewafa ko bawafa likhta hoon main.

if we could turn back time.. I would surely make you mine

I see you from a far
my heart yearns to be where you are,

it so aches..
to the point I can no longer fake,

just the thought of your touch..
would mean oh so much,

to hear the whisper of your voice..
oh if I only had a choice,

I feel my body tremble, 
as we meet eye to eye…
my heart starts to race as I try not to cry,

all the feelings for you..
I surely cannot denye,

has your heart gone a stray?
or do you still think of me day by day?

you let other choose our happiness..
and now all that is left is our lonliness,

if we could turn back time..
I would surely make you mine,

I would be more then just your friend..
for that is when my heart will finally mend,

though we live our separate lives, 
you’ll always have my heart,

for I know from there..
we’ll never spend a day apart.

gandhi ke desh mein

har zulm pal raha hai gandhi ke desh mein,
khota sikka bhi chal raha hai gandhi ke desh mein.

hindu ho ya musalmaan, sikh ya isaayi,
har shaks jal raha hai gandhi ke desh mein.

bijli pe giri bijli aur gul ho gayi,
andhera pal raha hai gandhi ke desh mein.

iss desh mein bhale hi behti hazaron nadiyaan,
jal-sankat chal raha hai gandhi ke desh mein.

labalab bhara hua hai godaam mein anaaz,
gareeb haath mal raha hai gandhi ke desh mein.

desh mein hamare gandhigiri ka natak,
safar khoob chal raha hai gandhi ke desh mein.

we are all the same within

as we wake to each new day,
we never know what life will bring our way,

for life is a mystery in its self,
not knowing whether we’ll live the life of poverty or wealth.

we never know whether we’ll laugh or cry,
things can change within a blink of an eye.

whether you live in a box or a million dollar home,
just remember that in life your never alone.

you are no better than the person next to you,
nor you are no less than the person next to you.

for when you peel away the layer of skin,
we are all the same within.

aaj na jane kis pahchane se shaher mein aagaye chalte chalte

aaj na jane kis pahchane se shaher mein aagaye chalte-chalte,
yaadon ke kuch kanch chubhe, lahu se ban gaye chehre kuch bante-bante,

nikalo in kanto ki mera dum na nikal jaye uun rote-haste,
woh bhigi raate, palash ke fool, suni sadke aur do saye sulge-sulge,

kabhi wada sath jeene ka , kabhi ro dena youn hi haste haste,
tammana ki kashti, ishq mein dub gaye sahil par hi bahte-bahte,

khwaishe kyon jawan ho uthi, 

yeh mere dil par kaun dastak deta hai uuun darte-darte,

lamba hai safar mar na jaye intezare judai ki aag mein jalte-jalte,
aa jaau ki sanse meri thak gayi hai, jism meinn
 tardpte-tardpte. 

chalo aaj thoda ghoom aate hain

chalo aaj thoda ghum aate hain,
samandar mein kashti dubokar
tufaano se do-do haath kar aate hain,
chalo aaj phir thoda ghoom aate hain...

phise badalon ka nimantran
sweekar kar aate hain,
bijali ko phir kahi girne
ki salah de aate hain,
chalo aaj thoda ghoom aate hain...

zindagi ki rassa-kassi mein
khud ko bhi thoda dheela chord aate hain,
utta kar inke ehsaano ka tokara
phir samandar mein fekk aate hain,
chalo aaj phir thoda ghoom aate hain...

lekar apne sath thoda sa jwaar-bhata,
chaand ko bhi bula aate hain,
samandar mein chand-sitaron ke sath
aaj ek nayi mehfil sajate hain,
chalo aaj thoda ghoom aate hain...

humse rishta jodkar to dekha hota

humse rishta jodkar to dekha hota,
pyaar se bolkar to dekha hota.

dil mein rakh paaye kaise tum apne jazbaat ko,
raaz yeh kholkar to dekha hota.

tumne kaise jaana wafa ka mol kya hai,
wafa ko mere tolkar to dekha hota.

koi chaand ko chhune ki khawish rakhta hai,
khawab ko chhodkar to dekha hota.

hum baithe hain maikhane mein to kya bura hai,
jaam ko mere todkar to dekha hota

mujh se woh pal bhoolaya nahi jata

tuta hua shesha phir jorda nahi jata,
aankh se nikla hua anshu phir wapis nahi aata.

tum to keh ke bhool chuke ho sab kuch,
lekin mujh se woh pal bhoolaya nahi jata.

teri mohobbat ne zangerain dali hain kaisi,
ki chordna bhi chahoon to chordaya nahi jata.

mehfil mein bhi mujh ko tannhai nazar aati hai,
tere bin yeh dil kahi aur lagaya nahi jata.

meri dil ki deewaroon par sirf tera hi naam likha hai,
mitana bhi chahoon to mitaya nahi jata.

sans rokne se pehle ek jhalak dikha jana,
bewafa zindagi ka aitbar kiya nahi jata. 

bol do zubaan se, dil mein dabake mat rakhna

bol do zubaan se, dil mein basake mat rakhna,
yeh pyaar cheez aisi hai dabake mat rakhna.

koi laakh bachaye daaman pyaar ho jaata hai,
mehboob se dil ka ikraar ho jaata hai,
iss pyaar ki khalish ko chhupake mat rakhna.

aap chaho na chaho zamana sun leta hai,
ajeeb alfazon ke taane baane bun leta hai,
khushboo pyaar ki dil mein mehkake mat rakhna.

chand mulakaton mein woh apna sa lagta hai,
zindagi ab khoobsurat sapna sa lagta hai,
khawab yeh haseen dil mein banake mat rakhna,
bol do zubaan se, dil mein dabake mat rakhna. 

barso bita kar dekh liye, koi na mila jo sirf mera ho

barso bita kar dekh liye,
koi na mila jo sirf mera ho, 

jiska dil sirf mere liye dhardke,
jo meri har unkahi baat samjhe, 

jiske aane par sari kaliya khil jaye,
dilmein ek ajeeb si halchal mach jaye, 

woh hath bardhaye aur mano jaise
ek pal mein saari duniya mil jaye, 

jisme koi fareb ya koi chal na ho,
main aankhein kholu to woh nazar aaye,

aur jab bandh ho aankhein,
to sirf uske baho ke saye,

janta hoon nahi milega woh sab
jo kuch bhi main chahata hoon,
shayad isse liye ab aur kuch nahi..

Jail Mahakaal!

jinke dar par saare grah aaker dete hain dastak,
jinke aage kaal-kapaal bhi ho jaate hain nat mastak,

jinki jatta lehraane pe nadiyan apna rukh badalne lagti hai,
jinki ek hunkaar se sar sar hawayein chalne lagti hai,

woh umma-pati, kailash pati, woh mahadev, mahagyani hain,
shiv-shankar, shambhu-tripurari, bholanath prabhu, tri-netradhari hain,

dharti ambar bhi tharke jab woh tandav rudra-rup mein aate hain,
woh ardhanareshwar, woh bhasmadhari baba, mahakaal kehlate hain.

bhole ke deewane

yeh jeevan ek moh ka jaal hai, 
is se paar tu pa jayega, 

bas bhole ke rang mein rang ja deewane, 
bhole ke sath ko tu pa jayega, 

bhole ki bhakti dil se kari to, 
kaal ko bhi maat tu de jayega, 

aree mahadev ka bhakt hai tu pagle, 
kaal bhi tujhse ghabrayega. 

Jai mahakaal !!

tum nahi aate ab khayalo mein

tum nahi aate ab khayalo mein,
aa jaate to puch leta tumhein bhulane ke tarike,

jaise tumne muje bhulaya, main bhi tumhein bhool jaau,
wakt ki dhool mein humare pyaar ki laash padi hai,

aa jaate to puchh leta, isse jalane ke tarike,
par tum nahi aate ab khayalo mein...

pata hai jab saawan ka musam aaya tha,
to maine usse puchha tha ke…

tumhaare barasne se yeh laash zinda ho jaayega?
na jaane kyun, uss pal woh waapas laut gaya?

gar tum aa jaate to puchh leta,
saawan ki aankh kyun sooni thi?
par tum nahi aate ab khayalon mein...


aur pata hai jab dhoop bhi kadi hone lagi,
to maine usse kaha jara thham jaao,

yaha hammre pyaar ki laash padi hai,
usse chhaw mein le lu,

na jaane kyun, uss pal..
tej hawa aayi aur mitti daal gayi,
gar tum aa jaate to puchh leta…
dhoop ki aankh kyun num thi,
par tum nahi aate ab khayalon mein.

aa jaate to puchh leta hammre pyaar ki laash ko
sahara ki ret mein lipte kab tak rahne doon?

kaise hum unhein pukaare

rishton mein aise pard gaye darare,
chale gaye woh, kaise hum pukaare,

kya woh gaye, khushiyain hi chali gayi,
phike se ab lagne lage humko yeh nazaare,

ghanto baatein karte the hum chhat pe,
ab khaffa hain aashman, woh sitaare,

tannha yeh nazar dhundti hain tumhein,
yaha se waha tak lambi hai kinaare,

gujare kaise tannha, shahil pe zindagi,
safar kathin hai ab, bin tere sahaare,

laut aao.. mita de saare shikve,
hai jo dushman ban gaye humaare.

broken heart still beats for you

love has turned in to a dream that will never be realized,
I am drowning in the estuary of my own tears,

desire to live is dying soon, and the smile is soon fading,
I am drowning in the estuary of my own tears,

heart has crumbled in to pieces, 
but I can still feel it say I love you,
I am drowning in the estuary of my own tears.

broken heart still beats for you
and goes on if you can come back,
I am drowning in the estuary of my own tears,

heart is tired of beating, and in pain it is now bleeding,
I am drowning in the estuary of my own tears,

with my heart broken, withered hope,
you ask me to live on...
I am drowning in the estuary of my own tears.

kishton mein khudkushi ka maza hum se poochiye

ek pal mein ek shaadi ka, maaza hum se poochiye,
do din ki zindagi ka, maza hum se poochiye,

bhoole hai rafta-rafta, unhein muddataon mein hum,
kishton mein khudkushi ka, maza hum se poochiye,

aghaaz aashiqui ka, maza aap jaane,
anjaam aashiqui ka, maza hum se poochiye,

hasne ka shouk, hum ko bhi tha aap ki tarah,
haase agar haasi ka maza hum se poochiye,

woh jaan hi gaye ke humein aajbhi unse pyaar hai,
aankkhon ki majburi ka, maza hum se poochiye,

jalte diyo mein jalte gharon jaisi junu kaha,
banawati muskurat ka, maza hum se poochiye

unko hi bhula deta to mere pas kya rehta

agar anshu baha dete, to mere pass kya rehta,
woh mujh ko hoosla dete, to unke pas kya rehta.

nishan mujh ko nahi milta koi, unn tak pohachne ka,
woh gar mujhe apna pata bata dete, to unke pas kya rehta.

musafir sare hi phaal kha ke apni rah chal daitey,
khali tehni jhuka dete, to unke pas kya rehta.

unke yaadon ne hi ab tak, mujhe abaad rakha hai,
unko hi gar bhula deta, to mere pas kya rehta.

the desert of pain

as I lie in the desert of pain,
with my heart weeping and eyes full of tears,

there came a wind with a storm,
and withered away my hope,

and my heart crumbles in to pieces,
and its no wonder your name was written on them,

I looked at the sky aloft hoping to find a way out,
the mighty moon hides itself running away from me,

I wonder why I a
m waiting for the sky to deprive me of the pain,
with showers of rain wiping all my tears in a desert.

jab tum yaad aate ho

mehfil mein tannhai dikhti hai, jab tum yaad aate ho,
duniya parayi lagti hai jab tum yaad aate ho.

shama ki lau roz jalta hoon tumhari yaad mein,
tannhai mein chup kar ro leta hoon, jab tum yaad aate ho.

tere bin barsaat ka mousam raas nahi aata,
magar khud ko bhigon leta hoon, jab tum yaad aate ho.

mere naseeb mein aye dost tera pyaar shamil nahi,
duwa mein tujhko hi mangta hoon khuda se, jab tum yaad aate ho.

inhi rastoon pe jahaan tum the saath mere,
ab bhi raah takkta hoon, jab tum yaad aate ho. 

never abled to say goodbye

as you walked away from me, I saw you pass out of the door,
tears wouldn't stop, my heart just seemed to drop. 

I wish time could stop, when you were with me,
because I'll never be able to say goodbye.

when we gave our last hugs, we also gave our hearts,
and when we said our goodbyes, we were drowned in our tears,

but I really don't know, what I would be without you,
I'll miss you through, all the good times and bad,

I'll miss you forever
when my fears were all that I had,

you made the jokes that seemed to make every thing better
and when I had tears, at any moment,

you were always there with your hugs to lend,
if I said I won't miss you
and that what ever happened didn't matter.

then all of it would be a lie,
if you are with me, then I would even fight the destiny,

but now I am the weakest soul on earth,
because my heart is empty with our last goodbyes. 

woh yaadein hain jo hum gungunate hain

woh yaadein hain jo hum gungunate hain,
mehfil apni tannhai se sajate hain,

zinda hain abhi bhi intezaar mein unke,
dekhkar unko saansein thaam baith jaate hain,

je rahe hain zindagi apni, khwaabon ki duniya mein,
par ashkon ke tufaan mein ab to khwaab bhi dubb jaate hain,

ab roshani bhi andhere ki talash mein pard gayi hai,
gham ki nami mein palkein bhi jhuk jaate hain,

dhundon kaise khushiyan, yeh hain dard ke paighaam,
khuda kya kare, ab hassi mein bhi aashu nikal jaate hain,

woh yaadein hain jo hum gungunate hain,
mehfil apni tannhai se sajate hain.

nothing has changed my love for you

not even a single day has gone by with my eyes dry,
and the smile returning home on to my lips,

clouds of sadness have encroached my heart
and filled me up with emptiness.

rain of tears and pain is the shower
that I am drenching in.

I waited all my life for the rainbow
but never did I manage to find it.

you may wonder why I still love you,
knowing that you don't really care.
perhaps that's love..!

years have gone by,
with your thoughts on my mind.

nothing has changed my love for you,
the contentment of my soul when I see you smile,

sting in the heart when your eyes are wet,
excitement in the air when you are around,
and also the pain of missing you nothing has changed.

words were all that I had to show you,
what you mean to me.

alas! they could never reach your heart,
you could never feel my love,
and today my heart is empty,
I am all alone in this world.

soon the lonely soul will be silenced forever,
as I have lost myself and with that the purpose of living too..

dard ki paribhasha sirf itani hi samajh aayi

dard ki paribhasha, sirf itani hi samajh aayi,
juban ho gayi bejuban, ankhein smunder baha laayi,

ek lava dil mein machlata hai,
andheron mein kahi, sisak rahi hai tannhai,

registaan ki ret jaise ho gai hai kismaat,
unse milan, ban gayi jaise mrigchika si parchaai

that's life after all

as the shadows grew longer, the moon peeped through
the sky so red with blood shed by the drooping
sun swiftly disappearing in to its grave,
I could feel the little sting in my heart.

gentle breeze blew across just about enough to separate
the flowers from the trees,  

flowers that danced happily in the breeze,
have had to succumb to the breeze itself.

my heart stumbled a bit looking at the flowers fall,
the fading sun had to surrender itself to the dark clouds
and so hid behind them. 

suddenly the place, 
which looked so refreshing, turned gloomy and dull,
and like the place around sadness
crept in to my soul and it was hurting me.

as the pain grew higher and higher,
it started raining and the pain inside, made me shiver.

as I kept looking around for a loving hand,
there appeared the rainbow as the sun shattered the dark clouds,
though it was going down rather quickly.

as the sun disappeared in to the heavens,
moon peeped through and it brought back the smile.

as I turned around to look at every thing, 
I saw her waiting for me to take her in to my arms,
my soul danced with glee. 

as she walked towards me,
the flowers fell in her path and greeted her,
from then on we were together forever.

as the sun took its birth again the rays of sun hit me hard,
I woke up to realize that it was just a dream.

I looked at the sky and myself and smiled,
as that is all I can do that's life after all.

koi yaad phir se dila gaya

meri yaadon ke galiyaare ne,
mujhe kis jagah pahuncha diya,
jo thamma tha ek umr se,
usse aankh se chhalka diya.

teri zindagi ki kitab se,
mujhe jaane kisne mita diya,
meri rooh kisne bhingo di, 
mere dil ko kisne bhuja diya.

jise bhoolne mein,
maine apni aadhi umr guzar di,
ussi ek shaks ki dastaan,
koi yaad phir se dila gaya.

mere dil ka ek woh aaina,
jise maine ulat ke tha rakh diya,
ussi aaine ko dikhla diya, 
mere aks ko kyon jala diya.

karun kis khuda se shikayatein, 
karun kya sawaal main aapse?
yeh naseeb tha ya majak tha,
kyon tumne mujhko bhula diya?

kisi raste ke pathar sa,
mujhe raste se hata diya,
mere doston ne wafaaon ka,
kuch iss kadar se sila diya.

aye raaj.. tumne yeh daastan,
in khandharon mein sunayi kyon?
mujhe gum hai mere fasaane ne,
inn patharon ko rula diya. 

I cannot get you off my mind

walkin alone in the empty streets,
you are on my mind and thoughts surround me,

the way you walked through all my good times and bad,
your love had changed my life completely.

but now I am all alone with out you,
my life seems so incomplete,

and my heart seems so empty,
I cannot get you off my mind,

I can never forget you
and go on with my life,

now that you are not with me
I have no desire no one to care for.

I have nothing to fear nothing to wish for
once again I am all alone.

thinking about your wonderful thoughts and memories
and they are the only one’s which keep me alive.

dreams of survival are all that I possess

dreams of survival are all that I possess,
as reality beckons me with a smile of grief,

I slip in to my own world of dreams,
haunting me all way long through the nights,

they wake up the moment I sleep,
always by my side until I weep,

end the pain of separation in a handful of tears,
tears that refresh the lost memories of her,
memories that unfold my heart and then break it.

umeed naam ka panchhi

ajeeb hai yeh panchhi,
jab bhi koi rishta panapta hai,

yeh panchhi wahi apna dera daalta hai,
sapne haseen dikhata hai,
zindagi rangeen banata hai,

aur khushi se jab rishta joom urdta hai,
yeh apni asliyat dikhata hai..
bina bataaye door urd jaata hai,
apni pahchaan ki boo tak hawa se mita deta hai.

dukh hai iss baat ka….
rishte par asar kar jaata hai, iss kadar ke
nind chhin jaati hai, chain loot jaata hai,

zindagi ghum ke bojh ka dher ban jaati hai,
pal-pal,  jaise yugon si kathhin gujarti hai,

charo pahar aankh se saawan barsta hai,
sabhi jaante hai, iski asaliyat phir bhi….

hai kuch aisa jaadu, iske aahosh mein,
apne rishte se jurdne se….

chahte bhi isse door nahi kar paate hai,
haan bada ajeeb hai, yeh umeed naam ka panchhi.

searching for you at a place where I can never find you

mind weighs a bit too heavy,
as your thoughts takes over my conscience,

heart is bleeding with pain,
tears continue to flow like rain,

silence has taken me over,
when I have so much to ponder over,

why did your presence, make my dreams more beautiful
when you were never meant for me,

why did my heart beat faster, when you were around,
as if to suggest that we are one for another,

why am I feeling this bad, as if I made a sin,
when I have only loved you with all I have,

why am I still alive, when I can never reach you,
why am I searching for you at a place where I can never find you. 

pyar to pyar hota hai

aapko har pal dil yaad karta hai,
dhardkan ban yeh sine mein dhardkta hai,

bas aapko hi yeh aankhein deke,
yeh fariyad karya hai,
na aoge yeh janata hai dil,

phir bhi aapse milne ki dua karta hai,
kyonki pyar to pyar hota hai.

let your heart think

I think that there are questions one must ask oneself,
at every stage in life to ignore the answers is to say,

I have no conscience so then I ask myself,
what is the secret of true love?

a voice whispers in answer,
when each step is measured
by thoughts, actions and words,

but when does true love last forever?

a moment of silence befalls
before the voice says with a grave tone..

when the heart begins to think! 

yeh mumkin to nahi par kya pata aisa bhi ho jaaye

yeh mumkin to nahi par kya pata aisa bhi ho jaaye,
mera tujhse bichardna bas ek khawaab ho jaaye,

karishme bhi hua karte tabhi to yeh umeed hai,
kabhi sochein tujhe aur bas tera deedar ho jaaye,

kiya mehsoos kya tumne, kisi ki yaad mein humko,
kabhi chubhti hai loo, jaisi kabhi barsat ho jaaye,

takaza waqt ka hai ya yahi fitrat hai insaa ki,
gulon sa jo mehkta hai, wohi kyun khaar ho jaaye,

kaseede shaan mein apni hi pardhta ja raha hai jo,
dikhado aaeena, shayad sharminda yaar ho jaaye,

baccha hai sach.. kas ke pakdna tum isska haath,
kahin yeh jhoot ke iss waqt mein tannha na ho jaaye,

jatan bachne ke sare kar chuke hum,
karoge kya gar phirse tumko humse pyaar ho jaaye? 

dil ko apne bas youn dhoka dejiye

dil ko apne bas youn dhoka dejiye,
aayenge woh khawab dekha kejiye,

woh agar aaye nahin, to kya gila,
hogi mazboori, yeh socha kejiye,

kyun andhera hai, yeh pehle jaan lo,
chand ko youn hi, na kosa kejiye,

ji rahe tere bina, hai sach magar,
hausale aise na, parkha kejiye,

jante sab dushmano ko, hum magar
dil bana dushman, ho to kya kejiye,

chaah milne ki, chupani hai agar
raat mein sote, na chaunka kejiye,

jo nahaya rang mein tere,
uski holi roz, samjha kejiye.

don’t stop, don’t quit

wherever you are…
don’t stop, don’t quit!
or… you won’t make it.

I know the journey is long,
I know the path is rough,
I know you feel like giving up,

don’t!
don’t stop believing,
don’t stop leading,

I know you are tired,
I know you are getting weak,
I know that you can hardly speak,

but don’t give up,
we are almost there!
please don’t despair!

I know this tunnel is narrow,
I know that it’s getting dark,
I know it seems like we are lost,

but we have to take this chance,
we have to take a risk,
believe me, it will be worth it!

we must persevere,
for the end is near,

look! the dawn is breaking,
we finally made it,
we are finally free!

here’s the key,
all we have left to do
is open the door,
to our eternity,

hello to love, goodbye to hate,
hello to joy, goodbye to sadness,
hello to happiness, goodbye to madness,
hello to beauty, goodbye to pain. 

tumhara naam, mere naam ke jab sang aa jaata

kahani mein humari, zindagi ka rang aa jaata,
tumhara naam, mere naam ke jab sang aa jaata,

mohabbat hai ki nafrat hai, koi yeh humko samjhaye,
kabhi tu jaan de mujh par, kabhi tu tang aa jaate,

jo bolu jhooth to milti mujhe, malayein phoolon ki,
magar sach bolte hi sar pe mere sang aa jaata,

akele hi chale, daaman pakad kar hum sharafat ke,
nahin to saath chalne ka, sabhi ke dhang aa jaata,

budhapa hai, thakawat hai, magar pehle si chaahat hai,
tujhe bas yaad karte hi, woh noor-o-rang aa jaata,

bitate tum jo zindagi sang in gulabon ke,
to kaanton beech rehne ka tumhe bhi dhang aa jaata. 

huye humko bichade barson

pehle woh ghar jalayein,
phir barisheyein bulayein,
hum ko gale laga ke
kehte hain bhool jayein.

mausam ke yeh ishare,
samjho kabhi to pyare,
ab tord sab niyam hum,
bas jhoomein nachein gayein.

kheton mein phoole sarson,
huye humko bichade barson,
tanhaiyon ki mil kar
aa holi hum jalayein.

hai unka yeh bahana,
kehta hai kya zamana?
phir bhi jo darr lage to
sapno mein aayein jaayein.

kyun geet ga rahe ho,
humko bula rahe ho,
chahat ka hai takaza,
khud aap daude aayein.

apni yahi hai jannat,
hum mannte hain mannat,
julphon mein teri
bas ungliyan ghumayein. 

go ahead and take the leap

take a breath,
step into the light,
and know that you’re going to be alright!

those tears will dry,
that heart will mend,
keep one eye out for that angel god will send!

now you feel broken,
but know things will get better,
let God put all of your broken pieces back together.

he’s reaching out to you now,
will you take his hand?

his arms are always open,
here is your chance to break free from all your insecurities!

so go ahead! take the leap..

All Time's Favourite Posts