rote rahe tum bhi rote rahe hum bhi

rote rahe tum bhi rote rahe hum bhi,
kehte rahe tum bhi aur kehte rahe hum bhi,

na jaane is zamane ko humare ishq se kya dushmani thi,
bas samjhate reh gaye tum bhi aur samjhate reh gaye hum bhi.

karta raha besabri se kal uska intezaar main

mujhe pata nahi kya jurm tha mera kal,
karta raha besabri se kal uska intezaar main,

har lamha chubh raha tha kanto ki tarha,
ek dard chhalak raha tha meri in nazar me,

ummid thi ek ki aayegi woh jarur wapas,
ek deedar ke liye ho gaya tha bekarar main,

wajud nahi hai mera kuch usske bagair,
uske bina main kho jaunga is duniya ki bhird mein.

ek pal bhi tu door jaaye to tannhai tardpa jaati hai

teri aawaz sunta hun to,
jaan mein meri jaan aati hai,
ek pal bhi tu door jaaye to,
tannhai tardpa jaati hai.

kaise sunaun hall-e-dil tujhe,
kaise karu izhaar,
maine to har raat teri hi,
deewani baataon mein kaati hai,

teri tasveer kaash kar paati,
mujhse do baatein,
seene se laga leta,
jab teri yaad aati hai,

tujhe soch kar din raat,
dil mera lubhati hai,
teri tasveer bhi jaane,
kya kya keh jaati hai.

khwaish roz karta hun,
phir thaamta hun dil apna,
yeh khwaishen bas ab meri,
bachi huyi jaan liye jaati hai.

tujhse milne ki tammana,
aur paane ki dua hai meri,
teri har baat dil pe asar karti hai,
yeh tujhe mujh par meharbaan ker jaati hai.

tere pyar ka hi aalum hai har jagaah,
yeh aankhein har taarf tujhe paati hai,

bassi hai dil mein.. ruh mein..
meri tu hi sanam,
bas ab to har raat chaand ko dekh,
teri baaton mein hi maine kaati hai.

just one more night to have you in my arms

just one more night
to have you in my arms,
to hear you say you love me,
to shelter me from harm.

just one more dream
before the break of dawn,
to echo the magic moments
when you were never gone.

just one more kiss
with fingers interlaced,
to breath you in completely,
to memorize your taste.

just one more dance
before the music dies,
to allow my heart’s surrender
to passion’s sad demise.

just one more chance
before this poem is done,
to tell you that I love you,
you will always be… the one.

you said I was your first and last

you said we would always be,
you said you would marry me,

you said you would never lie,
you said you would never make me cry,

you said I was your first,
you said I was your last,

but know I am guessing....
you spoke too fast..!!

kabhi kuch baat ho to tumse ho

kaha kab maine, kabhi ki kuch baat to tumse ho,
zindagi mein ujale na sahi, to yeh raat tumse ho.

suna hai aakhri khwahish ka ab bhi riwaaz hai,
koi le chale wahaan ki ek mulaqaat tumse ho.

ab iss banzar dil ko ek katra bhi haasil nahi,
phir bhi duaa hai rab se, ho to barsaat tumse ho.

na chale kalam khudaya agar uska zikr na aaye,
ek alfaaz bhi likhna chahun to jazbaat tumse ho.

tauba hai rab ki jo kahi aur sar ko jhukaya ho,
phir bhi yahi ek chahat hai ki meri maat tumse ho.

mera nishaan tak duniyaa se mitta dena magar,
kabhi yaad kare koi to meri har baat tumse ho

jab bhi milate hain to kehate hain kaise ho

kaise keh doon ki mulaakat nahin hoti hai,
roz milate hain magar baat nahin hoti hai, 

aap yun na dekha karein aainaa kabhi,
dil ka aa jaana badi baat nahin hoti hai,

chhup ke rota hoon teri yaad mein duniya bhar se,
kab meri aankh se barasaat nahin hoti hai,

haal-e-dil puchhane vaale teri duniya mein kabhi,
din to hota hai magar raat nahin hoti hai,

jab bhi milate hain to kehate hain kaise ho?
iss se aage to koi baat nahin hoti hai.

khud bhi ro pada hoon dil ko chup karane mein

charcha jo aam ho gaya sare jamane mein,
takleef si hoti hai kahin aane jane mein,

pehre bitha diye unpe zalim zamane ne,
muddatein lagin thi jinke pass aane mein,

riha na hone dunga dil se unki mohabbat,
kar de zamana band chahe jail-khane mein,

bas unka dil raushan rahe, meri mohabbat se,
chiraag jale na jale gareeb khane mein,

didaar-e- subah se sham tak, ek jhalak k khatir,
ek umra gujeri hai kisi ko aazmane mein,

unko bhulana mumkin nahi lagta,
main khud bhi ro pada hoon dil ko chup karane mein.

All Time's Favourite Posts