kash koi ho aisa jo mujhse bhi pyar kare

kash koi to ho aissa jo mujhse baat kare,
mere dard ko samjhe, mujhko appna kahe,

koi to ho apna jo millo sath chale,
mere zakhmi dil par pyar ki dawa kare,

koi to ho apna jo mujhe laga le gale,
meri viraan zindagi mein mohabbat ki barish kare,

koi to ho aissa jo mere dard ko apna le,
mujh se bhi pyar kare,


kash koi to ho aissa jo mujh se baat kare.

jane kyu tu lagti ab bhi paraya nahi hai

bhoola to sakta tha par bhulaya nahi hai,
ye dil kisi aur se lagaya nahi hai,

dooriyan jismo mein hi mumkin hain, dilon mein nahi,
iss khayal ko zehan se mitaya nahi hai,.

jis dil me bas gayi thi teri aankhein,
us dil me kisi aur ka chehara basaya nahi hai,

pata hai mujhe tardap uthti ho tum meri khamoshi se,
isiliye apne dil ko maine rulaya nahi hai,

meri aahat tum tak nahi pahuchti shayad,
iss ehsaas se khud ko sataya nahi hai,

gumaan hota tha mere hasste dil se tere aane ka,
isiliye roothe huye apne dil ko manaya nahi hai,

ajnabiyon sa bartaw karne lage ho humse,
par jane kyu tu lagti ab bhi paraya nahi hai,

aaj bhi ummeed hai tere laut aane ki,
tabhi to kafan khud ka mangaya nahi hai.

muft mein hum ho gaye badnaam bhi

aap ki duniya humare naam thi,
aap ke bin zindagi kis kaam ki,

aap ne hum se saare naate tord kar,
ghair se rashm-aye-mohabbat aam ki,

umar bhar ke rishte rahi jo aap se,
ek pal mein aapne doosre ke naam ki,

zindagi bekaar ho ke reh gayi,
saans chalti hai aaj bhi aapke hi naam ki

khud se baiygana banaya aap ne,
dar raha na khuda  na ram ki,

ab to bus ek maut ki hai aarzoo,
aish na daulat ki na araam ki,

jaane kitne kar liye hum ne gunah
umr kaati hai umeed or ilzaam ki,

ab to maine sabhi kuch kho diya,
muft mein hum ho gaye badnaam bhi.


yeh to sabke sath hota hai

kabhi kabhi is duniya mein aaisa bhi hota hai,
chehara to hassta hai magar dil rota hai,

woh to baithe haih chain se unhein kya khabar,
unki yaad mein koi badnaseeb kitna rota hai,

jitne deewane mile sab yehi kehte haih,
tum hi kyon udaas ho yeh to sabke sath hota hai.

main hoon aur meri tannhai hai

phir main hoon aur meri tannhai hai,
yeh kaun hai jisne aaj phir,
teri yaadon ki shamaa jalayi hai,


jab shaam ke saaye bardhne lagte hain,
kuch aajeeb se hum bikherne lagte hain,

kabhi tere hathoon ki sersarahat mere hothon par,
kabhi tere sar ka ehsas mere kandhoon per,

kabhi tumhari behakti taazi sansein,
mil jaati hain meri saansoon mein,
kabhi tumhare badan ki khushboo,
sama jaati hai meri saansoon mein,

yeh kis ehsaas mein kho jata hoon,
yeh kis khayal mein gumm ho jata hoon,

kabhi tumhare khanakte paayel,
goonjti hain mere kanon mein,
kabhi tumhare aanhsuon ki nami,
mehsoos hooti hai mere galon mein,

sharma ker yun kabhi mujhko,
jhuki palkkon se dekhna tera,
aur achanak hath pakad ker,
ghabra ker bahon mein sametna tera,

phir tere badan ki khushboo,
aur sansoon ki garmahat mein,
tere khawaabon mein kho jata hoon,
issi kash-m-kash mein kuch der so jata hoon,

ekayek tere hathoon ke sparsh se uth jata hoon,
aur phir main hoon aur meri tanhayi hai,
yeh kaun hai jisne aaj phir,
teri yaadon ki shamaa jalayi hai.

palko pe sapne bichaaye rakhte hain

dil ke jharoko mein kahi,
teri yaado ka diya jalaye rakhte hain,
karta hai dil tujhe yaad jab bhi,
palko pe sapne bichaaye rakhte hain,

inn sapno mein hoti ho tum mere paas,
teri muskurahat se hua hota roshan mera jaha,
phir jagi hoti hai dil mein wahi aas,
kash ki hoti tum mere paas.

behti hoti hai ashko ki ek dhaara,
jaa rahi hoti ho jab tum door humse,
chut raha hota hai haato se haat tera,
chha raha hota hai har taraf gam ka andhera,

jaagte hain hum phir iss sapne se,
labbo pe tera hi naam liye,
karte hai phir fariyaada us rab se,
iss duniya mein na sahi, 
upar to mila de humein...

dard aanshu tanhaai aur main

dard samata gaya mere naso me,
ek nashe ki tarah,
uske aadi hum ho gaye,
ab sharabi ki tarah,

dard se kiya wada,
tujhe pas na bulaayenge,
mukurati aati hai roz,
mere mehboob ki tarah,

dard ki himmakat ki,
mere dil par kabja ker liya,
aanshu, gam, tanhaai sab,
sath aate hain doston ki tarah,

dard ko samjhaaya,
chord de mujhe khusiyan paane ko,
usne bhi mujhko samjhaaya, 
ek sacche dost ki tarah..

koi na apnayega,
jitna pyar humne kiya,
koi na ker paayega,

baat na humnein maani aur,
nikal parda ek aawarah ki tarah,

paani chaahi khusiyan,
to sirf sauda hi sauda mile,
hum bhi bikate chale gaye, 
bemol samaan ki tarah,

aakhir jab bikke to,
dard ke hi haathon aa gaye,
dard tardap ker ro pardi, 
mere mehboob ki tarah,

sukkun hai dard ki baahon me,
beshak aanshu, gam, tanhaai sath hai iske,
dard ke aagosh me hum bhi samma gaye,
sagar me lehron ki tarah,

dard aanshu tanhaai aur main,
hum sab sath rahte hain,
atut pyar hai hum sab me,
ek pariwaar ke tarah.

chup thi jubaan par kehti meri nazar thi

tujhe iss baat ki kuch na fikar thi,
tujhe haalat ki kuch na khabar thi,
tujhe main kya aur kaise batata,
chup thi jubaan par kehti nazar thi,

khaamosh hoke bhi maine kaha tha,
tune sunna na to isme mera khata kya,
teri berukhi se kya gujari hai mere dil pe,
aye bekhabar ye tujh ko pata kya,
waha maine apni pallkein bicha di,
jis raah se teri raah guzar thi,


jhaaka na meri aankhon me tunne,
waha mere dil ke raaz chippe the,
khaamosh mere hoton ko pardte,
kuch unkahe allfaaz chupe the,
kaise ye tera mera saath chutta,
jab ek hi manzil ek dagar thi,

ek pal bhi tujhe bhool na paaya,
har aur bas teri yaadon ka shaaya,
bechaineyon me nind bhi aayi,
to teri yaadon ki aahat ne jagaya,
har aur hai mehfillo ka daur lekin,
tannhai mere dil me shamo subah thi.

aakhir kyun...??

woh waqt woh lammhein,
hamein kyon yaad aate hain,
jo muthi mein band rait ki tarah,
phisalte huye peecche reh gaye hain.

woh chehare, woh log,
hamari aankhon mein,
kyon samatein hain,
jo ab hamare liye nahi aur,
hum unke liye nahi hain,

lekin aksar humare bus mein kuch bhi nahi hota,
hum jinke bare mein sochna nahi chahate, janna nahi chahate,
woh hamare khayalon ki dehliz per aa kharde hote hain,
hum jinhein yaad nahi kerna chahate,
woh dil ke kisi na kisi kone mein moujud hote hain,

lekin shayed insaan ke bus main kuch bhi nahi,
na jeenaa apne khatir na merna,
to phir dil aur dimag aisi khawahis ko,
aisi tamannao ko jagah hi kyon dete hain.
aakhir kyun...??

sirf itna yaad rakhna

utha ke haath khuda se bas maanga yahi dua,
naseeb ho khushiyan tumhein, tum khush raho sada,
tum ko rahat mile,  tum ko chahat mile,
tumhein saare jahan ki mohabbat mile,

jahan mein sab se ho acha tumhara naseeb,
koi dukh kabhi bhi na aaye itne kareeb,
dil ki har aarzooo poori khuda kare,
tumhein chahane walon se kabhi bhi na juda kare,
mil jaye tum ko mere bhi naseeb ki khushiya,


kiya hai tumne hum se ek waada yaad rakhna,
bhool na jana kahi apna iraada yaad rakhna,
ab na humein rulaana tum,  ab na door jana tum,
pehle hi seh chuke hain dukh itna jaada yaad rakhna,

dil to na dukhaoge, mujhe chord to na jaoge,
dil mein hi basse ho, tum ab isse abaad rakhna,
tum jo chord jaoge, hum to mar hi jayenge,
tumhare dam se zindagi hai sirf itna yaad rakhna

tujhe mere dil ne pukara

jab tumhari yaad aayi to dil ne pukara,
mujhe kuch samajh mein nahi ayaa,
ke tu chand thi yaa thi sitara,
mere aankhein thi ya mere aankhon ta tara,
tujhe mere dil ne pukara,
jab tumhari yaad aayi to dil ne pukara,

sara jahan mein na hoga koi pyara,
bas tum hi ho mere iss jahan mein,
jhuthe log or jhutha ye jahan sara,
kehte hain tu na milegi mujhe dubara,
tujhe mere dil ne pukara,
jab tumhari yaad aayi to dil ne pukara

roo roo ke keh raha tha dil bechara,
tum hi to ho mare jeene ka sahara,
tum bin na hoga ab zindagi ka guzara,
ab to aaja mere zindagi mein dubara,
tujhe mere dil ne pukara,
jab tumhari yaad aayi to dil ne pukara,

main to hoon nadan,
kehta hai ye jahan sara,
hoga na koi tum sa pyara,
tum hi ho mere iss jahan mein pyara,
tujhe mere dil ne pukara,
jab tumhari yaad aayi to dil ne pukara.

tumhein tum se jada chaha

humne kab tum se mulakat ka wada chaha,
door reh kar bhi tumhein tum se jada chaha,
bari shiddat se yaad aaye tum,
jab bhi tumhein bhoolne ka irada chaha.

bas zara si raakh rakh li tujhe dikhane ke liye

humne dil tumko diya tha,
aazmaane ke liye,
aarzoo karne laga dil,
paas aane ke liye,

mere dil mein tu hi tu hai,
tere dil mein hain hazaron,
hum sanam tere liye aur,
tu zamaane ke liye,

phoonk daala un nishaaniyon ko,
jo kabhi tune diye,
bas zara si raakh rakh li,
tujhe dikhane ke liye,

jana hai to jaaiye,
murd ke phir na dekhiye,
dhoondh lenge hum kisi ko,
dil lagane ke liye..

uss rishte ki kya naam de

karne ko to saari zindagi intezaar kar lenge,
par unke lautne ki umeed to ho,
pyaar to unka hum pehle se hi kho chuke,
nafrat ke sahare hi sahi, 

hum unke yaadon me to ho,

us aarzu ko kya naam de,
jo har pal unko hi dekhna chahati ho,
us chaahat ko kya naam de,
jo har pal unka saath chahati ho,

aarzu aur chaahat to pyaar me hoti hai,
lekin uss rishte ki kya naam de,
jo unki nafrat me bhi pyaar dhundhti ho.

With these memories I keep her

With these eyes I see her,
With these hands I feel her,
With these looks I give her,
With these pictures I save her.

With these lips I kiss her,
With these fingers I touch her,
With these words I speak to her,
With these ears I hear her.

With these feet I walk to her,
With these feelings I show her,
With these conversations I know her,
With these tears I miss her.

With these vows I promise her,
With these holds I love her,
With these emotions I long for her,
With these dreams I tell her.
With these memories I keep her

God Almighty

Tiny drops of water make the stream flow,
Efforts and achievements make our dreams glow.

Little rays of light make our world so bright,
Light flames of fire make your hopes so high,

Few words of anger might make a person fight,
Few words of kindness might make a person light,

Then why not serve the suffering humanity,
To obtain the love and blessings of God Almighty.!!

yun hi jalkar teri duniya ko roshan kar raha hoon

jaise diya jal kar bhi roshni deta hai,
yun hi jalkar teri duniya ko roshan kar raha hoon.

iss hadh tak bardh gayi hai deewangi meri,
tujhe kho kar bhi paane ki umeed kar raha hoon.

ret pe mohabbat tera naam likha hoon

tere aane ki ummid me aaj phir ek paigam likha hoon,
ashko ki sihayi se tujhe salam likha hoon,
adhure se in khawaabo me rutha hua tera naam likha hoon,

aaj bhi tere intezaar me raah udaas huyi hai,
tere na aane ka dard ubhara jo iss dil me,

kuch soch ye aakhiri kalaam likha hoon,

tu kar apni khushiyo ki mehfile aabad,
meri duaao ne ebadat me subho-sham likha hoon,

tu ab na kabhi aayegi ye maloom na tha,
shayad kismat ne meri umeedo ka yahi aanjaam likha hai,

beh rahi hai lahar dhadkano ki dhire dhire,
ussi ret pe mohabbat tera naam likha hoon,
tere aane ki ummid me aaj phir ek paigam likaha hoon.

kya aapko yeh maloom nahi

hum mohabbat aapse karte hain jiska koi hisaab nahi,
par ab aapko paaye yeh hamara khwab nahi,
door rah ke bhi diloon se chahat kam hoti nahi,
faasle juda karde yeh faaslon mein dum nahi,

yaad har pal aapki aati hai kya aapko yeh maloom nahi,
door rah ke bhi kya aapka hamsafar main nahi,
yaad aapko kare bina raaton mein hum bhi sote nahi,
khawaab aaye unke liye hum palkon ke mohtaaz nahi.

tum bin...

tum bin yeh dil tannha hai,
tum bin har saaz adhura hai,

tum bin armaan dil mein dafan hai,
tum bin aankhein namm hai,

tum bin dil mein koi jazbaat nahi,
tum bin har sukh raas na aaye,

tum bin har shabd unkahe hain,
tum bin dhadkan tham jaati hai,

tum bin yeh zindagi niras si hai,
tum bin hassi bhi udaas hai,

aise na jaaya karo humein akela karke,
tum bin humein chain kaha

sirf tujhse mohabbat karta hoon

haan main aisa mohabbat karta hoon,
har lamha tujhe hi sochta hoon,

haan woh chahat rakhta hoon,
door hoke bhi tere dil mein dhadakta hoon,


haan main aisa mohabbat karta hoon,
tere naam ka hi mala ferta hoon,

haan main aisa mohabbat karta hoon,
band aankhon se bhi tera deedar karta hoon,

haan main aisa mohabbat karta hoon,
tera naam na ho badnaam kahi,
mehfil mein apne labon ko see leta hoon,

haan main aisa mohabbat karta hoon,
tere bin jeene se darta hoon,

haan main bus tujhse,
sirf tujhse hi mohabbat karta hoon.

jaise ajnaabi ajnaabi se milte hain

safar zindagi ka guzara hai yun,
jaise ajnaabi ajnaabi se milte hain,
kabhi mile hain khud se bhi yun,
jaise ajnaabi ajnaabi se milte hain,

jisse pane ke liye barbaad huye,
khud se bhi huye paraye hum,
ab unse mulakat hogi to bhi aise,
jaise ajnaabi ajnaabi se milte hain,

naa hakeekat mein koi aasra hai,
naa khawabon ka koi hosla hai,
yeh aankhein bhi milte hain sapno se yun,
jaise ajnaabi ajnaabi se mile hain,

mange kaise hum apni maut,
jab rishta khuda se hi koi nahi,
meri duwa aur asar milte hain yun,
jaise ajnaabi ajnaabi se milte hain..

hum unke liye zindagi luta baithe

dil roya magar honton se muskura baithe,
yun hi hum kisi se wafaa nibha baithe,

woh hamein ek lamha na de paye apne pyaar ka,
aur hum unke liye zindagi luta baithe.

mere baad tere nakhre kaun uthaenge

teri yaadon se jurdi har yaad ko mitayenge,
to kya huwa jo khud ko bhulayenge,

yaad karne me aur yaad aane me alag hai maza,
to kya huwa jo tumko na yaad aayenge,


kabh tak rahega yeh tere darwaze ke aage,
hum iss laash ko kahi aur hi lejayenge,

utha lega koi na koi arthi mera kando per,
tu soch mere baad tere nakhre kaun uthaenge.

maut ki aankhon mein humein pyar nazar aaya

jab bhi kahi mohabbat ka koi jikar aaya,
meri aankhon mein tera hi chehra utar aaya,

yaadon mein aapse muklakat ka manzar nazar aaya,
chandni raat mein mujhe mera chand yaad aaya,

dil jo gungunata hai woh tarana yaad aaya,
geeton ko apne ghazal bante nazar aaya,

aaj bhi apne dil mein aapki dhadkano ka dhadakna paya,
teri yaadon se aankhon ka chalakna paya,

tere bina mere dil ne kahi karar na paya,
mohabbat ka aisa asar humne apne dil mein baar baar paya,

aaj maut tujhse mera rishta gehra hota nazar aaya,
hayya ka rang galon pe khilta nazar aaaya,

uske intezaar mein hi din ka dhalna nazar aaya,
maut ki aankhon mein bhi humein khud ke liye pyar nazar aaya.


tere har waade pe humko bharosa tha

bardi mananton se humne tumko paya tha,
apni maut se tumhari zindagi ko manga tha,
dil teri khushi mein hi khushi ko pata tha,
tere pyar se hi dhadakna yeh seekh jata tha,

unki chehra hi aankhon ko sakun deta tha,
es bheed mein unhein hi dil se humein chahha tha,
sacha pyar uski seerat mein nazar aaya tha,
duniya ko bhula ke usse dil mein sajaya tha,

har baar tujh pe hi yakeen humko aaya tha,
tere har waade pe hi hum ko bharosa tha,
duaon mein bhi khuda ko tere liye manaya tha,
teri chahat mein sirf hamara naam aaya tha.

ha mujhko kuch waqt laga hai

khushbu jaise log mile hain, mujhko kuch virano mein,
kitni sadiya beet gayi hain, dil ko mere samjhane mein,

kiska sath nibhaye koi, mera sath bhi deta kaun,
kuch logo ne waqt liya par, mujhse door jaane mein,

pyar, wafa, rishte aur naate, naye daur mein sab hain baatein,
phir bhi mujhko apna samjha, kuch aadam deewano ne,

dil tuta hai kitni baar, kab kyu rutha mujhse pyaar,
yaad nahi kya khoya paya, safar mere anjane ne,

kitna safar gawaaya maine, kitne manzil paya maine,
kuch raho ko waqt laga par, manzil koi bhulane mein,

zakhm har ek bhar jata hai, maraham waqt lagata hai,
waqt bhi par nakaam raha hai, mere zakhm mitane mein,

kiski jaat se kaun jurd saka, kisiki dard ko samjhe kaun,
kuch logo ko sauk hua par, mujhko aur sataane mein,

mere liye sab kuch waisa hai, mere liye sab kuch jaisa tha,
ha mujhko kuch waqt laga hai, umr ke daur bitane mein,

raahein, gardish aur naseeb, tino mujhse aage the,
par koshish kuch to lagti hai, kisi ke piche jaane mein..

that is how I love you

It is time to say again how I love you.
I met you in my dreams, that is how I love you.

I see you as no other and the person that is in you.
You respond to me in kind, that is how I love you.

I love you with my hands, touching all of you.
I love you with my eyes and see right through you.

I hold you in my arms and gently rock you.
You respond to me in kind, that is how I love you.

My heart beats and that is how I love you.
I smile and that is how I show you.

My soul soars and that is how I take you.
I am and that is how I thank you.

This is the end of what I write.
Alone in our room, with you tonight.

I may not say all I want to.
I will write and that is how I love you.

tujhe yaad kerna raaj ka kaam hai

sanj savere surmayi shaam hai,
labon pe bas tera hi naam hai,
adaa, haya, khusboo aur nazakat,
tera hi tasweer tamaam hai,

pagal kahe koi deewana pukare,
kitna masoom sa yeh ilzaam hai,
tujhse hi jurde hain her lafz mere,
iss dil mei tera hi kalaam hai,

nachez se hain yeh lekin har lafz,
kerte bas tujh hi ko salaam hai,
har pal teri yaad ko naya rang diya,
tujhe yaad kerna raaj ka kaam hai.

unki duniya kabhi bas hum se hua karti thi

kabhi subah se kabhi sham se larda karti thi,
mudatein hui ek shamma yahan jala karti thi,

kya baat hui ki aaj wo shama band ho gayi,
ek khirdki jo kabhi pure din khula karti thi,

sehamta hai dil kyun ab ke bar iss toofan mein,
garajte the badal bijli pehle bhi gira karti thi,

kuch rang adhure mere armaano ke hain warna,
na umeedi iss dil se door hi raha karti thi,

khata meri hi thi jo duniya se dil laga baitha,
yeh kambakht pehle kab kisi se wafa karti thi,

main unse keh raha hoon mujhe yaad kejiye,
kabhi meri yaad jinki dhardkan huwa karti thi,

dekho aaj hum unki dunya me shamil hi nahi,
jinki duniya kabhi bas hum se hua karti thi.

tum jo bhi sunaoge saza maan jayenge

asaan hai bahut rahe wafa maan jayenge,
do char kadam saath chal ke dikha maan jayenge,

hawa ka koi jhonka kabhi aye idhaar bhi,
behti hai har samay hawa maan jayenge,

zindaagi ka safar kadam do kadam,
tum bhi thak jaoge hum bhi thak jayenge,

bahut yakeen hai hamein apne yakeen par,
dekho to hamein de ke daga maan jayenge.

ilzaam tumhara hai to is sar ki kya jurrat,
tum jo bhi sunaoge saza maan jayenge.

main kaise bhool jaoon

main kaise bhool jaun un haseen raaton ko,
un haseen raaton ke bheegi barsaton ko,
bheegi barsaton ke rangeen mulakaton ko,
un rangeen mulakaton ke methe baaton ko,

main kaise bhool jaun tere sard haathon ko,
mere haathon mien diye gaye waadon ko,
un wadon mein de gayi kasmon ko,
un kasmoon ko nibhanein ki baatoon ko,

main kaise bhool jaun teri jheel si ankhoon ko,
jheel si ankhoon mein kisi aur ko na paane ki duaoon ko,
un duaoon mein phir bheegti nighahoon ko,
bheegti nighahoon mein aate jaate khawabon ko,

main kaise bhool jaun un kuch logon ko,
un loogoon mein kuch apne kuch gheroon ko,
un apno ke badalte huye cheharon ko,
main kaise bhool jaun, 
main kaise bhool jaoon...

dil unhein yaad kar muskuraya hai

dil lagakar chain kisne paya hai,
sab ne har kadam par ishq ko aazmaya hai,
kyon mohabbat ho gayi hai unse humein,
ki dard ke sailaab mein bhi dil,
unhein yaad kar muskuraya hai..

aakhir kyun

kyun ek kashmakash si rehti hai mann mein,
kyun ek ajeeb si uljhan rehti hai mann mein,
kyun nahi hai in sawalon ke jawab,
kyun nahi ho tum mere saath??

kyun nahi maan sakti tum iss rishte ko,
kyun nahi pehchaan sakti dil mein chupi hui chahat ko,
kyun aakhir kyun??

mere saath gham ka saaya hai.
teri chahat bhari bahoon mein,
kyun mera tann mann samayaa hai??

tuhi mera sangeet

humne to har shabd mein dhali apni preet,
duniya ko usme dikhi kavita, gazale, geet,

charche rehte hain tere iss mehfil mein,
tu hi raazdaar mera tu hi mera maanmeet,

jahan teri chahat mili wahi hogi,
teri hi raah chale yehi hai pyaar ki reet,

tere hi khayalon mein din hai guzarta mera,
surmayi shaam aye aur yun hi raat jaye beet,

yeh jo hunar hai tujh hi se hua hai hasiil,
raj ka har lafz hai tu, tuhi mera sangeet.

ankhon se hoti anshu ki barsaat bhi hai

subha bhi hai raat bhi hai,
jo guzar chuka hai woh waqt mujhe yaad bhi hai,
dil mein chupakar rakhta hoon gam apna,
kabhi kabar ankhon se hoti anshu ki barsaat bhi hai.

yeh waada aaj bhi nibhaye jaa rahe hain

hum apne ghum ko lekar yun hi jeeye jaa rahe hain,
tanhai mein unki yaadon ke jaam piye jaa rahe hain,

log puchte hain mujhse kya baat hai ke tum itne udas rahte ho,
humne waada kiya tha unse ke hum unko badnaam nahi karenge,

unke humse bewafai karne ke baad bhi,
hum yeh waada nibhaye jaa rahe hain.

aaj bhi intezaar wahi hai

tut gayi hai talwar par dhaar wo hi hai,
door rehte ho to kya hua pyaar to wo hi hai,
jaanta hoon ki nahi mil sakte aap mujhe,
magar in aankhon me aaj bhi intezaar wo hi hai.

haatho ke inn chand lakiron mein

jo gujar gaye unn lamhon mein,
jo saath hain unn yaadon mein,
yeh kya dundhata hoon,
haatho ke inn chand lakiron mein,

jo kal raat dekha tha uss sapne mein,
har aane waale kal mein,
apni kismat ko dundhata hoon main,
haatho ke inn chand lakiron mein,

jo bichard gaye unn logon mein,
har anjaane se chehare mein,
ek dost dundhata hoon main,
haatho ke inn chand lakiron mein,

jo dekha hai sirf khwaabon mein,
chaha hai jisko dil-hi-dil mein,
humsafar wohi dundhata hoon,
haatho ke inn chand lakiron mein.

iska jawab sirf ussi ke paas hai

jane mujhe kis cheez ki talaash hai
jane mujhe kis cheez ki pyaas hai,
khojta hoon jise mein har pehar,
woh sirf mere khayalo ke pass hai,

kinare ke reth par haath pherata,
jaane kya dhundta hoon main,
shankh mein jo sunai nahi deti,
wo sirf meri dil ki aawaz hai,

ajab si bheed me dhundta hoon ek nazar,
jis nazar se mujhe zindagi ki talaash hai,
kis mord par takrayegi woh kab jaane,
iska jawab sirf ussi ke paas hai.

sansaar se ab dar lagta hai

ab mujhe pyaar se dar lagta hai,
uske izhaar se dar lagta hai,
waqt ka kya hai, guzarr hi jayega,
uski raftaar se dar lagta hai,

jo piye hain dusron ke hisse ke,
aise aanshuon se dar lagta hai,
unse mile dard me bhi meri khushi hai,
unke pyaar se ab dar lagta hai,

sunn ke akalmandi ke afsaane,
har samajhdaar se ab dar lagta hai,
humpe iss kadar huye hain dhoke
saare sansaar se ab dar lagta hai

nind to atti hai abb bhi magar

shabdo ne mere angaan mein aana chord diya,
shayari bhi kalam se gungunana chord diya,

gujar raha hai din bhi,
aur gujar rahi hai raatien,
ummeed ke diye bhi meine jalana chord diya,

nind to atti hai abb bhi magar,
sapne aab aankhon ko jagana chord diya,

roz sochta hoon, 
aaj koi naya nagamein likhu,
par khayal ab mujhse dostana chord diya,

shayari ka ek khawab mujhe jagayi thi ek din,
aaj phir se mujhe woh akela chord diye.

mujhe phir na mili uss subha ke baad

woh subha ka dhoop le aaya tere pyaar ka sandesh,
woh mujhe phir na mili uss subha ke baad,
umar guzar jaati hai tere intezaar mein uss subha ke baad,
ek mulakat thi aur tannha ruk gaye hum uss subha ke baad,

ek aisa zakhm mila hai humein uss subha ke baad,
laut aane ki umeed mein zindagi gawa di humne uss subha ke baad,
andher lag rahi hai sare duniya ki tasweer uss subha ke baad,
mayus huye hain hum har lammha uss subha ke baad.

na shikwa na duhi hai

unse pyaar karne ki yeh saza payi hai,
gham hazar seene me dekar humse duriya banayi hai,
unke zakhm se bhare dil ko rahat kaise milti,
maine jo unki yaadein dil se na nikal paya hai..

woh lauti nahi to unki yaadon se dillagi kar li,
nadaaniyo ne meri aisi haalat banayi hai,
bekarar dil ko bas tere pyaar ki chaahat thi,
sehte rahein har julm,
lab pe na shikwa na duhi hai..

meri daastan to kisi ne suni nahi

mujhe zindagi se gilla raha,
meri zindagi se banni nahi,
main khud hoon aise makam par,
jaha hasraton ki kami nahi,

main jala bhi hoon,
main bujha bhi hoon,
main sazaa bhi hoon,
main kta bhi hoon.

mujhe dekh kar hasse hain log,
par meri zindagi mein hassi nahi,
kabhi iss gali kabhi uss gali,
kabhi iss nagar kabhi uss nagar,


main bhatak raha hoon dar-ba-dar,
mere dard-o-dil ki kami nahi,
hai be-khabar mera humsafar,
main mitt gaya usse kya khabar,

na pahunchi ho meri sadaa,
yahan aise to koi galli nahi,
haalaat kuch iss kadar phir gaye,
hum apni hi nazar mein gir gaye
kahi sabne apni hi daastan,
meri daastan to kisi ne suni nahi.

shayad ek jhalak dikhlaane wo phir aaynge

dil ko kya khabar thi ki wo iss kadar apne ho jaaynge,
aa kar dil ke kareeb phir duniya ki bheed mein kho jaaynge,

na socha tha kabhi ki humse judaa ho kar,
wo humein itne yaad aaynge,

tut kar bikharna likha hai shayad kismat mein,
na niklegi dil se aah aur hum bikhar jaaynge,

aankhein khuli rahengi marne ke baad bhi meri,
shayad ek jhalak dikhlaane wo phir aaynge..

bedard duniya hai ya bedard zindagi

humne to chaha tha hasana sab ko,
kaun jane chahati kya hai yeh zindagi,

hume har waqt dard de jati hai,

kaun jane chahati kya hai yeh zindagi,

hame rula kar chal deti hai,

kaun jane chahati kya hai yeh zindagi,

be dard duniya hai,
ya be dard zindagi hai,

kaun jane chahati kya hai yeh zindagi,

ab yehi chah hai,
hasana sab ko hai,
par 
kaun jane chahati kya hai yeh zindagi,

rona hai,
par na ro paye hai,

kaun jane chahati kya hai yeh zindagi,

hasna hai,
par na hass paye hai,

kaun jane chahati kya hai yeh zindagi.

ek pal laga tu wahin mere paas thi

jaise jaise tum har ek kadam bardhaate jaa rahe the,
meri nazron se aur bhi door hote jaa rahe the,
dil to kar raha tha bahut, 
rok loon main tumhein,
wo lammhe kuch jada hi jaldi guzarte ja rahe the,

na jaane phir kabhi mulakaat ho na ho,
kuch aise khayalaat mujhe daraa rahe the,
jitna bhi waqt guzaara hai maine saath tumhare,
reh reh ke sab aankhon me lehraa rahe the,

wo tumhari muskaan,
wo har adaa yaad aa rahi thi,
wo saari yaadein mujhe bahut rula rahi thi,
aankhein to tumhari bhi jaate waqt namm thi,
judaai ka ehsaas jhuki palkein kara rahi thi,
na tum alvida keh sake jaate waqt na main,
zubaan pehli baar ladkhadaa rahi thi,

tumhare saath bitaaye in kuch palon me,
maine to apna ye poora zindagi jee liya tha,
samet ke rakha hai har wo lamha kuch aise,
sabse bardi khushi jaise zindagi ki mili ho,

aaj main har us jagah gaya, jahan jahan hum mile,
khushbu bhare mohabbat ke phool wahan the khile,
hawaaon me wahan ki kuch aisi mehak thi,
ek pal ko laga, tu wahin mere paas thi,
ghuli huyi hai hawaaon me tumhari hi khushboo,
simat jaati hai jisme meri zindagi ki har arzoo,

do pal ko aankhein band kara maine to dekha,
muskurate huye tum mujhe hi dekh rahi ho,
aisa ye jaadu tum kar gayi ho mujh pe,
yahan ki fizaaon me tum ab tak mehak rahi ho,

kaash main tumhein hamesha ke liye apne paas rok sakta,
kaash ye nigaahein har waqt tumhe hi nihaar saktein,
kaash in haathon mein har waqt tumhara hi haath hota,
har lamha mere paas tumhare saath hota,

tumhari hi baahon me basti hai meri ye zindagi,
tumpe to poora yakeen hai, par zindagi pe nahi,
na main tumhare bina kuch hoon, na tum mere bina,
kyon pyaar ko nahi samajhti hain ye majbooriyan,

jo pyaar bhari “yaadein” tum de gaye ho mujhe,
ab inke sahaare hi meri yeh zindagi hai,
tumse har khushi,
tumse ab ye zindagi hai,
bas tumhare liye hi jeeta ab yeh “raaj” hai.


mujhe maaf ker dena

agar main hadd se gujar jaau, to mujhe maaf ker dena,
tere dil mein utar jaau, to mujhe maaf ker dena.

yuhi gusse mein aksar,
daat dena to aadat hai hamari,
daat ke tumhein main apni,
baahon mein bhar loon to mujhe maaf ker dena.

raaste mein tujhe dekh tere deedar khatir,
pal bhar jo thehar jau to mujhe maaf ker dena,


apne jazbaat se likha ye kuch panktiyan,

tere naam ker jaau to mujhe maaf ker dena,

teri pal bhar ki judai mujhe jeene nahi deti,
tere bin mar jaau to mujhe maaf ker dena.

bas hum tum hain

raat ke andheron mein,
khamoshi ke pehron mein,
us nadi ke kinare bas hum tum hain.

hathon mein tumhare hath hai mera,
nazron se nazrein mili hain,
us nadi ke kinare bas hum tum hain.

karni hai lakhon batein aaj,
par shabd nahi hai hamare pas,
us nadi ke kinare bas hum tum hain.

pasine ki kuch boonde tumhare mathe par aayi hai,
kuch kehna hai shayd par jan ghabrayi hai,
us nadi ke kinare bas hum tum hain.

thami hai dil ki dharkane,
sama hai suhana,
us nadi ke kinare bas hum tum hain.

lelo mujhe bahon mein apni,
keh do ki mujhse pyar hai,
us nadi ke kinare bas hum tum hain.

kyon aaj bhi ek aas hai dil mein

aaj bhi main usse bhula nahi paya hoon,
dil ke zakham mita nahi paaya hoon,
aaj bhi pyar ke naam pe wahi yaad aati hai,
jise bhool jana dil yeh chahta hai.

har waqt wahi kyon yaad aati hai,
pyar ke sapne saare toot chuke hain,
umeedein jeevan ki rooth chuki hain,
phir kis liye jee raha hoon main.

sach kahun to maut se battar zindgi hai yeh,
kyon yeh jeevan ruk kar bhi nahi rukta,
kyon ye saansein tham ke bhi nahi thamtin,

kyon aaj bhi ek aas hai dil mein,
jiska kabhi koi wajood hi nahin,
kyon aaj bhi hai woh silsila.

bas ek sawal hai..

wo bhi ek waqt tha jab,
deewano jaisa mera haalat ho gaya tha,
jab kisi ki mohabbat mein,
main poori tarah se kho gaya tha.

na din ke guzarne ka pata rehta tha,
na raat ki aahat rehti thi,
teri ek jhalak paane ke liye,
din bhar betaab sa main rehta tha.

jaan liya hai ab maine mohabbat ko,
har jafaon se waakif ho gaya,
aisa bhi dard hai jise jeene me,
khushi milti hai ye jaan gaya.

jo pal jiye hain tardap-tardap ke,
teri mohabbat ke liye maine,
iss janam to bhula na sakunga,
gam jitne bhi zindagi ne diye.

bahut koshisoon ke baad bhi,
aaj bhi yaad karta hai dil tumhein,
sambhalta hoon itna isko,
baawra ho jaata hai dekhte hi tumhein,

kya haal bana diya hai tumne mera,
kaisi zindagi ban chuki hai,
jo mil nahi sakta,
pal pal ussi ki tamanna kyon karta hai yeh,

sachi mohabbat pe yakeen kiya tha,
har wafa ko anjaam diya tha,
jo ek sacha hamsafar karta hai,
woh sab tere pyar me kiya tha,
dil sab kuch bhula dene ko yun to taiyaar hai, 

bas ek sawal hai..
kami kahan thi is mohabbat me,
iske jawab ka mujhe intezaar hai,

main maangta hoon iska jawab,
bhagwan se, iss poore jahaan se,
par har koi khamosh rehta hai,
ab sab bhula doon main kaise,

kaise zindagi ke wo pal bhula doon,
jo sirf tumhare naam the,
kitne ashk barson bahaaye the,
sab iss mohabbat ka anjaam the.

kehte hain log bhula ke sab kuch,
hass ke zindagi ka swaagat karo,
kya itna asaan hai kisi ke liye,
apne astitva ko mitaa paana.

jab dil uske liye dhadakta hai to,
kaise kahin aur lag sakta hai,
kaise inn askhon ko chupaaye,
koi kisi se nazar mila sakta hai,

be-rang zindagi hai,
kab tak rangon ki chaadar main odhe rahoon,
bas tumhari kami hai jo sabse bardi hai,
kaise sabko samjhaaun.

mere kuch sawaalon ka jawab de do,
to mukt ho jaaun main bhi isse,
aur jee sakun phir apni zindagi,
nibha sakun poori wafa khud se.

jaanta tha main ek din toot ke bikharunga

talaashi thi zindagi jiski baahon me maine,
woh baahein kabhi mere liye thi hi nahi,
socha tha jise har pal har khushi apni,
woh khushi kabhi apni thi hi nahi,
kiya jiska intezaar maine itne barson tak,
woh shaks kabhi meri thi hi nahi,

gair ko uski baahon me dekhaa jab,
to ye zindagi kyon tham si gayi,
main to jaanta tha wo meri nahi hai,
phir kyon aankho me ashkon ki bahaar hai,

ye pyaar hai mera ya dil tootne ka dard,
zuban se na nikal saka usse dekh ek bhi shabd,
woh buland haussle woh pyaar pe aitbaar mera,
toote sheeshe sa bikhar gaya ye dil mera,

kyon kisi ko dil itna chah baithta hai,
kyon kisi ko zindagi maan leta hai,
ye jaante huye bhi ki woh apna nahi,
be-intehaan usse kyon chaahta hai,

jaanta tha main ek din toot ke bikharunga,
yeh na socha kabhi kaise main sambhalunga,
kyon main is kadar tumhe chahata raha,
khamoshi se pal pal nihaarta raha,
zindagi ke har sapne me tumhein jagah di hai,
par zindagi ko aaj kaise sapna keh doon main.

phir bhi intezaar karunga tumhara

zindagi ka har ek pal kiya hai tere naam maine,
teri chaukhat pe aaya tha bas itna hi kehne,

kya tha wo jo teri aankho me maine dekha,
laakh chupao tum mujhse kuch na chupega,

pyar kiya hai tujhse teri aankho ko samajhta hoon,
yunhi nahi daawa tujhse pyar karne ka karta hoon,

tumhari zuban se lekar tumhari khamoshi tak ko chaha hai,
pyar me maine tujhse kabhi kuch bhi nahi maanga hai,

main jaanta hoon tumne mujhse kabhi pyaar nahi kiya,
isiliye shayad maine kabhi tumko jaane se nahin roka,

main chahta hoon bas itna ki tum khush raho,
chahe na baat karo, mujhse na kuch bhi kaho,

main samajh jaaunga khud tumhein kya kehna hai kab,
bas yahi duaa hai meri tujhe har khushi de rab,

tum kabhi mere nahi hogi phir bhi intezaar karunga tumhara,
shayad kabhi koi rishta ban jaaye mera tumhaara.

kyun mujhe dekh tumhari raah badal jaati hai

chahe na kabhi mujhse pyaar karna,
na kabhi ek pal ko bhi deedar karna,
na kehna tum mujhse kabhi kuch,
chahe mere har sawaal pe muh pherna,
na kabhi mujhe apni muskaam dena,
na kabhi mere dil ko chaen dena,
tumhari khushi agar mere dard me hai,
to har pal tum bas khush rehna.

na main kabhi bhool sakunga tumhein,
yeh jaante ho tum acchi tarah,
sab jaante ho tum, sab samajhte ho,
phir kyun mujhe nahi apnaate ho,
kya kami hai mujhme ek baar bata do,
mere pyaar ko aise na thukraa do.

bahut pyar karta hoon main tumse,
har dua me tujhe maanga hai rabse,
jaante sab ho tum, kahoon to kya,
kis baat pe ho tum mujhse khafa,

ek baar mujhse kuch to kaho,
yeh khamoshiyan sahi nahi jaati hain,
kya hai tumhaare dil me batao to mujhe,
kyun mujhe dekh tumhari raah badal jaati hai.

main tannha mera safar tannha

hoon main pathik aur dhundta hoon raasta,
apni manzil par jane ke liye,
dikhta to hai dhundla sa chitr mujhe,
par kathin bahut hai mera raasta.

pathron se saji hain rahein meri,
aur us par main tannha,
mera safar tannha.

kya paar main ja paunga?
raahon ko apni kya phoolon se bhar paunga,
kya hoga agar main thak kar ruk gaya,
aur un patharon par main gir gaya,

kya koi aisa ayega,
jo mujhe yeh raasta paar karaega,
dega woh sath manzil tak meri,
ya woh bhi mujhe akela chord jayega,

nahi pata mujhe kis aur main ja raha hoon,
raasta sahi hai ya galat disha mein behta chala ja raha hoon,
kaash koi aa jaye mere paas,
jo khole ye unsulza sa, 
dhundla sa yeh raaz..!!

wo chahte hai ki hum unhein raasta de de

aaj phir kisi ki baat per rona aayaa,
roka to bahut per chupana na aayaa,
jise manga tha saath umar bhar ke liye,
woh do pal hamare saath chal to diye,
lekin wo chahte hai ki hum unhein raasta de de,
pyaar kisi aur se karne ki izzazat de de,

unhein kya khabar hum pyaar ess kadar karte hain,
unki khushi ke liye kuch bhi kar sakte hain,
mera waada hai aaj ye unse,
bhula to nahi paayenge unhine hum dil se,
per dukh ka ehsaas kabhi hone na denge,
unki khushi mein hum bhi muskura denge,
aashu aaye bhi to hum unse chupa lenge.

aakhir kyun...

kyun tumhara intezar hai,
kyun tumse pyar hai,
kyun tumhe dhundti hain nazrein,
kyun mujhe tumhara hi khayal hai??

kyun tumhari yaadein mujhe pareshan karti hain,
kyun meri ankhein tumhara intezar karti hain,
kyun ek madhoshi is cha jati hai,
jab tumhari khusbo meri sanson mein samma jati hai.

kyun tum mere khawabon mein basi ho,
kyun meri dhardkan bani ho,
kyun tumse milne ka je chahta hai,
kyun tumhari tasweer dekh dil mera dhak sa reh jata hai??

kyun khamoshi si chati hain jab purane din yaad aate hain,
kyun tum mere man mein bas ho iss kadar,
kyun nahi chale jate ban ke hawa behkar??

kyun hamesha sapne dikha ke unhein tord  jate ho,
kya yeh tumhara shauk hai,
kyun nahi samjhte kitna pyar karte hain tumse,
kya tum ho ek pather ke putle banker??

kyun log khelte hain kisi ke dil ke sath,
kyun bana dete hain kisi ko ek zinda lash,
kyun woh zindagi tabah kar dete hain bas shauk ke liye,
kyun samjh nahi paate woh kisi ke jazbaat??

kya unka dil nahi pathar hota hai,
par pathar bhi kab itna kathor hota hai,
arre pathar ko to hum bhagwan mante hain,
uske aage roz ser jhuka ke sabki khushi mangte hain..!!

patjhard dunniya mein chord jata hai koi

chal rahe the anjaan raste par,
achanak hi manzil dikha gaya koi,

mohabbat shabd se anjaan the,
uski paribhasha dikha gaya koi,

sath dene ke liye aate hain bahut,
pal bhar mein phir sath chord jata hai koi,

waada tha hamesha sath nibhane ka,
yaad hai par nahi jor dalta hai koi,

sab ko aata hai dil ko tordna,
toote dil ko nahi jordta hai koi,

kehte hain bahaar layenge zindagi mein tumhari,
par patjhard dunniya mein chord jata hai koi.

uski dastaan koi yaad phirse dila gaya

teri zindagi ki kitab se,
mujhe jaane kisne mita diya,
meri rooh kisne chord di,
mere dil ko kisne bhuja diya.

jise bhoolne mein maine apni aadhi umr guzar di,
ussi ek shaks ki dastaan koi yaad phirse dila gaya.

mere dil ka ek woh aaina,
jise maine ulat ke tha rakh diya,
ussi aaine ko dikha diya,
mere aks ko kyon jala diya.

karu kis khuda se shikayatein,
karu kya sawaal main aapse,
yeh naseeb tha ya majak tha,
kyon tumne mujhko bhula diya.

kisi raste ke pathar sa mujhe raste se huta diya,
mere doston ne wafaaon ka kuch iss kadar se sila diya.

aye raaj tumne ye daastan inn khandharon me sunaai kyon,
mujhe gum hai mere fasaane ne inn patharon ko rula diya.

ab unhein nazar aate hain hum gunehgaaron ki tarah

dard baaki hai mere dil main nasoor ki tarah,
aaskh har roz bardhta hai darakhon ki tarah,

jinki aankho ne kabhi humko khuda mana tha,
ab unhein bhi nazar aate hain hum gunehgaaron ki tarah,

har shaam aankhon se pighalte hain dil ke kuch arrma,
fail jaate hain phir palkon pe sitaaron ki tarah,

har ghadi pyaas ka manjar dikhaayi deta hai,
meri haalat hai nadiyon ke kinaaron ki tarah,

main khushi koi agar khoj bhi loon to kaise,
meri kismat khadi hai har aur diwaaron ki tarah,

tumne dekha nahi ho gar to mujhe hi dekh lo,
zindgi jiski hai sandhuk me pardi kitaabon ki tarah.

mujhe hai yaad tera mujhko bhool jaana bhi

kabhi hakikat hai to kabhi fasana bhi,
jara si baat nahi hai waffa nibhana bhi,

unhein guman itna hai ki kya kahein aye dost,
ki jaise unko hi aata hai ruth jaana bhi,

kisi se apne dil ki chaar baat kahne mein,
kabhi to lammha lagta hai kabhi jamaana bhi,

abhi bhi yaad aata hai to dil machalta hai,
barda haseen tha woh tera chhup ke aana bhi,

tujhe to yaad bhi na hoga mera afsaana,
mujhe hai yaad tera mujhko bhool jaana bhi.

dasti hai tannhai

milker teri yaadon se dasne lagti hai tannhai,
mujh ko rula ker mujh hi pe hassne lagti hai tannhai,

be-haale to sab hain yahan,
gham ke maare or bhi hain,
phir mere hi dil mein kyon basne lagti hai tannhai.

ya rab iss tannhai ko mujhse kyon itna lagaw hai,
bheed mein agar  jaau to bhi bardne lagti hai tannhai,

ban ker grahak main jab bhi khushiyon ke bazaar challa,
khud hi ban ke saudaager bikne lagti hai ye tannhai,

tum ne to dekha hi nahi,
roz kissi dulhan ki terah,
aaa ker shaam se pehle hi sajne lagti hai tannhai.

aao phirse hum dono ajnabi ban jate hain

phuloon ko khushbu se gila hai,
bikharne se pehle muh mord leti hai,

zindagi ko maut se shikwa hai,
jab chahe nata jord leti hai,

badal ko hawa se sikayat hai,
jahan jab chahe rook leti hai,

pani ko zameen se khauf hai,
jitna bhi ho sab sokh leti hai,

pather ko pani se faryaad hai,
ek ek boond dagh deti hai,

seep se boond ko shikayat hai,
moti aakhir de hi deti hai,

moti ko insaan se khauf hai,
motiyon ki mala banate hai,

mohobbat duniyan se darti hai,
lakh chupau aade aa hi jati hai,

mujhe ishq se sikayat hai,
tannhai zindagi ban jati hai,


to phir aao aaj..
phirse hum dono ajnabi ban jate hain,
aur kam se kam dono chalte to raheinge

tu hi bata tere sapnon ko main sajaon kaise

meri aankhon mein teri yaad saji hai,
inn yaadon ki jo lambi lardi hai,
inn ladiyon ne jo bedardi hai,
woh bedard raahon mein khada hoon,
ab tu hi bata aye dost main sojaon kaise,
tere sapnon ko main sajaon kaise.

chupke se khamoshi se,
aankhein jab band hoti hain,
inn band aankhon ko teri yaad tardpa deti hai,
phir khamoshi se inn behte aashkon ko,
aankhon mein samo leta hoon,
inn sisakti aankhon mein ab tu hi bata main sojaon kaise,
aur tere sapnon ko main sajaon kaise.

har taraf teri surat hai,
har taraf tera chehara hai,
kaisa junoo ka alam hai,
har chehra tera chehara hai,
ab inn aankhon mein bekhawabi hi bekhawabi hai,
iss bekhawabi mein main sukoon paau kaise,
ab tu hi bata main sojaon kaise,
tere sapnon ko main sajaon kaise.

meri khamooshi chpuke chupke mujhse baatein kerti hain

meri tanhai mere saath hassti hai,
aur khamooshi chupke chupke baatein kerti hai,
jab se tumne in veeraanon se milwaya hai,
yeh zindagi bardi aasani se guzra kerti hai.

aaj bhi zindagi ka saaz hai,
tumhari berukhi mein chupi khamoosh mohobbat,
tumhara mujhe nazer andaaz kerne ka andaaz,
mujhe khud se door nahin jane deti,
tumhari jaffaon mein chalakti chahat,
tumhein bhulaane bhi nahin deti,

kal tumhari adkhuli aankhon ne,
mere sapne me apni is dastaan ko sunnane aayi,
kehi tum hi nahi main bhi tannha hoon,
main bhi khamooshi mein,
chupke chupke kisi se batain kerti hoon,

kash tum meri majboori aur dard ko samajh sakte,
meri jaffaon mein waffaon ko dhood sakte,

tumne sach hi kaha hai shaayed,
isiliye aaj tak meri tannhai mere sath hassti hai,
aur khamooshi chpuke chupke baatein kerti hai.

ye kis cheez ko apne sinne se lagaye baithe hain

ye kis cheez ko apne sinne se lagaye baithe hain,
woh pass nahi phir bhi uski aas lagaye baithe hain,

soti aankho me khuli kitab hai kiski,
jagti aankho se kiske khawaab sajaye baithe hain,

gumnaam se tumhari baato me hai kaun,
hoto me kiska naam dabaye baithe hain,

nagmo me kiska dhundhla sa jikr hai,
aankho me kiski tasveer chhupaye baithe hain,

chehre pe jalakta hai wo noor hai kiska,
khawaabo me kiski duniya basaye baithe hain,

sar jhukate hain hain log meri uss chaahat ko,
jiski ummeed me apni hasti ko mitaye baithe hain.

My weird friend

I have this friend that is so weird,
its even worse then I had feared.


The way you are, the things you say,
I’m afraid you’ll be commited one day.

But, I will come and bust you out,
cause I can’t go a minute without,
the way I feel when you make me laugh,
its a feeling that I have to have.

I didn’t even mind the tear in my eye,
on that awful day you made me cry.

Despite the fact that I was mad,
I was still so greatful I had,
someone like you right by my side,
quickly making things alright.

You always know just what to do,
to change my mind from being blue.

I’m not sure you even know,
how much I miss you when you go.

Though I tell you, its not the same,
cause I mean it more, then I can explain.

And so, weird friend, I have to say,
Like you more with each new day!

Thanks for being wonderful!!

zindagi roothti rahi aur hum manaate rahe

roz ek nayi umeed se ek kadam bardhaate rahe,
zindagi roothti rahi, aur hum manaate rahe,

na socha tha ho jaayenge iss kadar tannha,
har aahat pe tere aane ki aas lagaate rahe,

har aane wala pal hassi laaye lab pe tere,
khud ko teri khushiyon ka saamaan banaate rahe,

nazar na lag jaaye zamaane ki yaado ko teri,
har mehfil me jhooti muskaan hum sajaate rahe,

har pal jeene ki chah mein, raite ke mehal banaate rahe,
waqt ki lahre mitaati rahi aur, badastoor hum banaate rahe.

dard ka naam hua aur meri pehchaan ho gayi

gum se naata kuch aise jurd gaya,
dard ka naam hua aur meri pehchaan ho gayi.

yun ghul gaye hum apni hi parchaayi mein,
hua jis gali se guzarna, wo sunsaan ho gayi.

zindaagi ko duniya zinda-dili ka naam kehti hai,
ziker mera aaya aur ye bejaan ho gayi,

banke reh gaye hain zinda laash hum aur,
khwaab meri maano shamshaan ho gayi.

jaane kiski aankho me basi ho tum

jaane koun si thi wo ghadi,
jab tumse mulakaat huyi thi,
dil ho gaya bechain,
jaane kya baat huyi thi,

yun to kayi baar dekha tumhe,
magar nazar yun to na mili thi,
mast bhaware to kayi dekhein magar,
dil ki kali yun to na khili thi,

naakaam huye kyun pyaar mein hum,
kuch aisi hi takdeer thi,
chaah kar bhi tord na paaye,
kaisi ye janzeer thi,

inhi janzeero mein bandhe,
teri judaai ki saza seh rahe hain,
jaane kiski aankho me basi ho tum,
aanshuoo ke samandar mein hum beh rahe hain.

tumhe to adat si pard gayi hai humko tardpane ki

tumhari rah takte takte ,
naina bhi thak gaye,

ab bhi hai zara si umeed inhein tumhare aane ki,
akar hamari zindagi mein ,
inhein thandak pahunchane ki,

ab to yeh bhi kehne lage hai,
tumhein to adat si pard gayi hai humko tardpane ki.

tanhai me chala aata hai kyon dikhane ko yahan

har koi dard sajata hai kyun dikhane ko yahan,
ashk aankhon se behata hai kyon dikhane ko yahan,

ruswaai ke raston se guzarti huyi is dunia mein,
phaard gam ke urdata hai kyon dikhane ko yahan,

chaand ki chaahat mein bilakhte bachhon ki tarah,
maatam mohabbat ka kyon dikhane ko yahan,

sukoon ki manzil paane ke joonoon mein har shaksh,
kaafile gam ke bardhata hai kyon dikhane ko yahan,

sab ke khawab hakeekat bane yeh jaroori to nahin,
muhrat armanon ki banata hai kyon dikhane ko yahan,

beshumar aabadiyon se bhari iss dunia mein,
tanhai me chala aata hai kyon dikhane ko yahan.

kaise kissa barson ka kuch lamhon me bayan karu

kahan se shuru karu aur,
khatm isse kahan karu,
kaise kissa barson ka,
kuch lamhon me bayan karu,

ek rang tha masoomiyat,
ek pyar tha rang,
ek rang tha aanshoo,
ek muskurahat ka rang,

ek rang tha josh ka,
ek niraasa ka rang,
zindagi ke kagaj pe,
bikhre sab ek sung,

kis tarah ek rang ko,
doosre se juda karu?
kaise kissa barson ka,
kuch lamhon me bayan karu?

kuch lamhe doston ke,
kuch ajnabi se pal,
kuch pehchana sa aaj,
kuch andekha sa kal,

kuch honthon pe hansi thi,
kuch palkein huyi namm,
kuch tukde kaanch ki,
kahani me chunne hain sambhal,

har chubhne wali yaad ko,
aaj phir main yaad karu,
kaise kissa barson ka,
kuch lamhon me bayan karu..?

zakhm bharne me der lagi

rang utarne me der lagi,
dil therne me der lagi,
teri aankho ki tarah gehra tha,
zakhm bharne me der lagi.

kab sameta tha kisi ne mujhko,
bikharne me bahut der lagi,
zindagi guzri hai pal me meri,
magar marne me bahut der lagi.

woh chota sa dil mera hi tha

chal kar aaye thi jo mere paas,
wahi chal kar door jaa rahe hain,
aye khuda mujhe kyon,
woh suhane din yaad aa rahe hain,

kehte thi jo kabhi mujhe apne dil ki dhadkan,
dekho aaj wahi apna dil jalaye ja rahe hain,

usne to keh hi diya tha,
rishta pyaar ka thord diya tha,
woh chota sa dil mera hi tha,
rishta jo nibhaye ja raha tha,

bina hawa ke jaise,
koi jeeta ja raha tha,

halat ne na jaane kyon,
bewafa unhein bana diya,
warna ye dil to unko,
apna sab kuch banaye rakha tha.

phir pyar kise tum kehte ho?

khamosh jubaan ke lafzon mein,
kuch dabi dabi si baatein hain,

inn dabi dabi si baaton mein,
kuch chahat ki barsaate hain,

inn baaton ko hum muddat se,
seene mein chupaaye beithe hain,

kuch paaye bina kuch kho dena,
yeh pyar mein humne seekha hai,

sooraj mein, chand sitaron mein,
har chiz mein tumhi ko dekha hai,

dhadkan mein bhi naghma bankar,
saagar ki tarah tum baihte ho,

yeh pyar nahi to tum hi kaho,
phir pyar kise tum kehte ho?

bhule nahi bhulta woh baatien teri

kitni bechain hain ye saansein meri,
bina tere bahut roti hain ye aankhein meri,

aake lag ja gale ke ab raha jaye na,
dil bhulane se bhi nahi bhulta woh baatien teri,

kab se meri aankho ko nind aati hi nahi,
baahein mangti hain mujh se raatein teri.

aayega kisi ka naam isliye chup hoon

zindagi hai nadan isliye chup hoon,
dard hi dard hai subha sham isliye chup hoon,
keh to doon jamane se dastan apni,
lekin usme aayega kisi ka naam isliye chup hoon.

hadd pyar ki woh kya jane

inteha mohabbat ki woh kya jane,
hadd mere pyar ki woh kya jane,

jinhe kaanton se bachne ki aadat ho,
phoolon ki chahat woh kya jane,

jo na rakhte hon zameen par paanv,
kadmon ki aahat wo kya jane,

bin maange jinhein mil jati ho sab kuch,
kuch pane ki shiddat wo kya jane.

chale bhi aao ab tum

chalo bhi aao ab tum in baahon mein,
yuh akele humse ab baitha nahi jata,
aa jao ki humme saath chahiye tumhara,
in raahon pe ab akele chala nahi jaata.

pairo mein chubte huye kaante,
khawaabo ke duniya se humme bahar le jate hain,
hum sochte hain har pal tumhein,
ab toh ek tarfa humse socha bhi nai jaata.

jo miloge humse toh jaan paoge,
ki intezaar mein kitna dard hai,
aur der na kar kuch toh soch,
apno ke bina toh arthi uthaya bhi nai jaata.

mere mehbub ki shadi

sochta hoon..
kya kisi ki zindagi mein kabhi aisa waqt aaya hoga?
kya kisi ne khud hi apne aanshuon ko poch khud ko hasaya hoga?

dekho aaj meri zindagi mein kuch aisa hi waqt aaya hai,
dekho to sahi takdeer ne mera kaisa mazak urdaya hai,

woh mera pyar, meri jaan jo meri apni thi,
aaj ussi ki sakhiyo ne usse, 

kisi aur ki dulhan banne ke liye sajaya hai.

meri ek haa se jiski naa bhi haa hua karti thi,
aaj usne meri 100-100 haa ko bhi thukraya hai,

dekho kaisa chamak raha hai uska woh laal joda,
jaise mere dil ka khoon usne us par chadhaya hai,

hum to wafa kar ke bhi apne dil ko sambhal na paye,
pata nahi kaise uss bewafa ne apne us nadan dil ko sambhala hai.

dekho kaise hans rahi hai woh khud ko dekh aaine mein,
jaise mera dil tord kar usne koi bada teer chalaya hai,

aise saja rahi hai ek ek gehne ko apne aap par,
jaise meri arthi par usne phulon ko sajaya hai.

dekho kaisi saji hai uske hatho ki mehndi,
uss mehndi ke piche us bewafa ne mere naam kahi chupaya hai.

puch rahi hai apni sakhiyo se ki main kaisi dikhti hoon,
sakhiyo ne kaha jaise aaj to chand zami par utar aaya hai.

par bhool gayi woh bewafa dekho iss raaj ko,
ki uss chand ko itna hasin chand kisne banaya hai.

dekho ab rone lagi woh apni sakhiyo ki baahon mein,
ki ab aap sabko humein chord ne ka waqt aaya hai,

par usne ek pal yeh bhi nahi socha...
ki us raaj ka kya hoga, jisne us par jee jaan lutaya hai.

dekho aise jaa rahi hai woh ser ko jhukaye shadi ke liye,
jaise kisi ne usse rangeen daawaat ke liye bulaya hai.

pucha gaya uss se jab ki manjur hai tumhein yeh rishta
to ek baar hi sahi, uski palko par aanshuon ka sailaab aaya hai.

sochne lage sab ki kya hua dulhan ko iss hasin mauke par,
par main  janta hoon ab aakhiri pallon mein usse mera pyar yaad aaya hai.

rote - rote uski aankho se aanshu jab uske hatho par girne lage,
tab usse shayad, un aanshuon ko baar baar pochne wala yaad aaya hai.

tab hi ehsas ho gaya usse shayad ki us mehfil mein hum bhi hain,
mujhe mehsus kar usse meri saari wafaon ka silaa yaad aaya hai.

jab laya gaya usse shadi ke mandap par, rote - rote uski saanse ab thamne lagi thi,
log kehne lage aaj yeh hasin mouke par kudrat ka kaisa kehar aaya hai,

uske maa-baap ne usse aakar pucha ki kya hua tujhe aye beti,
par woh kya jane in aanshuon ke piche usne apni wafaon ko chupaya hai,

reh na paya mera dil meri jaan- aye - wafa ke aanshuo ko dekh,
maine socha shayad maine hi yaha aakar mere pyar ko rulaya hai,

galat hai meri soch, galat hai mera uthya har kadam,
kyuki.. ab woh meri nahi, woh to kisi aur ka humsaaya hai,

uth kar chalne laga jab main uss mehfil-aye-shaadi se,
tab mujhe laga jaise kisi ne piche se mera naam pukara hai,

murd kar dekha jab maine ki kaun hai woh shaqs,
to pata chala ki meri hi jaan ne rote huye mera naam pukara hai,

ruk si gayi har dhadkan, waqt ka har ek pal tham sa gaya,
koi samajh hi nahi paya ki iss waqt mein kaisa badlaaw aaya hai.

mehfil- aye- shaadi ka har ek aadmi mujhe dekhne laga,
ki kaun hai yeh jisne iss khubsurat mouke ko itna badsurat banaya hai.

abhi tak jin aanshuon ko maine palko ki kaid mein chupa rakha tha,
dekho woh behne lage ab, kyuki meri jaan roti huyi aankho se mujhe dekh musukrayi hai,

mehfil -aye- shaadi mein baitha hua har ek shaks mehfil se uth gaya,
jab dekha ki mera bichda hua mehbub bhagte huye meri aur aaya hai,

lipat gayi meri sanam mere baahon mein aakar iss kadar,
jaise usne khud ki jaan ko meri jaan mein samaya hai.

rote rote woh kehne lagi aye mere jaan -aye- wafa,
aye mere raaj kumar...

dunia ki riwaazo ne muje rok rakha tha,
par lo aaj maine saari duniya ko tumhare khaatir thukyara hai.

behne lage meri aankho se aanshu iss kadar jaise sailaab aaya ho,
sochne laga aye kismat tu ne bhi kitna ajeeb khel dikhaya hai.

mahfil -aye- shadi mein hone lagi hazaro baatein,
ki dekho iss pagal ladki ne ek lande ashiq ke liye itna accha rishta thukraya hai,
iss shaadi
 ko tord usne, apni maa baap ka dil bahut dukhaya hai,

sunkar in lafzo ko meri jaan ne bas itna kaha...
maaf kerna mummy-papa... aye dost-rishtedaar mujhe maaf kerna,

ek baar mere pyaar... mere raaj ke baare bhi to socho jara,
jisse maine na jane kitne khoon ke aanshu rulaya hai.

main nahi janti kya shadi, kya rishta, kya gunah maine kiya,
bas main janu to sirf itna janu ki maine to khuda jaisi sacchi,
apni mohabbat ka farz aaj nibhaya hai...

tabhi kaano mein mere kisi ki aawaz di,
maine dekha yeh sab mera sirf ek sapna tha,
ho chuki thi mere mehbub ki shadi, rah gaya main tannha tha.




har mord per mazbooriya kyu hain

har mord per hamare liye mazbooriya kyu hain,
jaha tak bhi nazar uthti hain, 
har jagah mayoosiya kyu hain,

tere aagosh mein aane ko sisakta hai badan mera,
zindagi ki lau jali jaati hai tujhe paa lene ki chahat mein,

armaano ki baraat dil ki nazuk naso ko tordti hain,
maun reh kar bhi bebasi sooni si zindagi mein faiyli kyu hain,

zindagi ke kuch haseen pal beetane ki chahat mein,
til-til jalti ye zindagi toot toot kar bikharti kyu hain,

hum mar jaane ki khwahish rakhte hain,
tere pehlu mein aakar zindagi tabaah kar lene ki khwahish rakhte hain,

tamaam umar jeene ki tamanna nahi hai,
magar is tabaahi ke badle bhi  us ko bewafa ki chaahat kyu hai,

har mord par hamare liye mazbooriya kyu hain,
jaha tak bhi nazar uthti hain,
har jagah mayoosiya kyu hain.

raat angaaro par karwate badal kar aaye hain

hum chaaro peher raat ki aaj jaag kar aaye hain,
apni wafaaon ke badle mili teri jafaao ka maatam mana kar aaye hain,
mat poocho hum se dil-e-dard kya hota hai,
saari raat angaaro par karwatein badal badal kar aaye hain,

apne dil ko aaj hum apne hi haathon se noch ker,
dekh dab dabati aankho mein raat ki kalikh samet ker,
rond diya har armaan jo kal tak seencha tha apne khoon se,
aaj har us jazbaat ko apne pyar ki arthi per chardha ker aaye hain,

hum chaaro peher raat ki aaj jaag ker aaye hain,
saari raat angaaro par karwate badal kar aaye hain.

kyun sehna pardta hai itna dard judaai mein

jab jab unki yaad aayi judaai mein,
ye aankhein nam ho gayi judaai mein,

unse door reh kar to ye lagta hai,
ki tord doon saare bandhan judaai mein,

aye khuda! ye duniya ka kaisa dastoor hai,
kyun sehna pardta hai itna dard judaai mein,

aasmaan me dekhu to chandni raat bhi,
amavasya ki raat lagti hai judaai mein,

waqt ke haatho iss kadar majboor hain,
ki maut bhi naseeb mein likhi nahi judaai mein,

ungliyaan chalti gayi hum likhte gaye,
jazbaat bhi alfaaz ban gaye judaai mein,

tiki hain nigahein darwaze pe kabse,
ek pal bhi sadiyon sa lagta hain judaai mein,

ab aa bhi jaao ki kahi hume tumhare bina,
jeene ki aadat naa pard jaaye judaai mein.

par tum nahi samjhe

subha se raat ki,
maine kitni baat ki,
sara jahaan samjh gaya,
par tum nahi samjhe,

kehti hai kya chaandni,
khamoshi ki ye raagni,
yeh aasmaan bhi samjh gaya,
par tum nahi samjhe,

khushboo phaile gali gali,
kehti hai kya kalli kalli,
dil ye be-zubaan bhi samjh gaya,
par tum nahi samjhe..

phir teri bewafai yaad aayi

phir teri bewafai yaad aayi,
teri galiyon se aaj phir guzare,
aaj phir sookhi aankh bhar aayi,
kabhi naaz tha kismat par apni,
aab to kismat bhi hamse gabhrayi,

pyar ki umar ko ginna chahaa,
lekin jawani, dino mein hi murjhayi,
humein yaad kar ke tum bhi roye,
roni ki kismat hamne hi nahi hai payi,

khuda mere, tera banda aaj phir roya hai,
dil lagaane se pahle maut bhi to nahi aayi,
phir teri bewafai aaj kyon yaad aayi.

aaj bhi tanhai mein

aaj bhi tanhai mein,
tumhein yaad karta hoon,
tumhein yeh kasise bataon ki main,
tumhein kitna pyar karta hoon,

aaj bhi jab kissi ki aahat ho,
to palat kar tumhein hi dekhta hoon,
aaj bhi tanhai mein,
main tumhein hi yaad karta hoon,

tumhein yeh kaise bataon ki main,
tumhein kitna pyar karta hoon,

aaj bhi jab kissi ka naam lon,
toh naam tumhara hi zaban per aaye.

kya jaano tum bin hum kaise jiye

guzarte hain subah se sham tumhein yaad kerte huye,
tum kya jano ki tum bin hum kaise jiye,

tum chal diye yun hi humein tannha chord ke,
jala ke in aankhon mein phir bujha gaye diye,

khamosh laboon pe muskurahat sajaye,
ankhon mein aanshoo liye,
hum bahat bar in aanshkon ko zehar samajh ker piye,

tumhara ehsaas rahega hamesha mere pass,
jeena hai humein iss bewafa zindagi ki liye,

tum aao ya na aao, iss dil ko intezaar rahega,
kyun na jane dil ne iss zindagi se shikwe kiye,

hum to masoom the zamane ke usul bhi na samjhe,
kuch bhi na manga jis se, chahaton ke yeh siley diye,

sab jeete hain apne liye, koi nahi merta kise ke liye,
per tum kya jano ki tum bin hum kaise jiye.

woh khawaab bikhar kyon nahi jata

benaam sa ye dard,
thehar kyon nahi jata,
jo beet gaya hai,
woh guzar kyon nahi jata,

sab kuch to hai,
kya dhundti rehti hai meri nigaahein,
kya baat hai main,
waqt pe ghar kyon nahi jata,

woh ek hi chehra to nahi sare jahan mein,
jo door hai woh,
dil se utar kyon nahi jata,

main apni hi uljhi huyi,
raho ka tamasha ban gaya,
jate hain jidhar sab,
main udhar kyon nahi jata,

woh naam jo na jane kab se,
na chehra na bandhan hai,
woh khawaab agar hai to,
bikhar kyo nahi jata

dil ki har baat to hum aapas mein kiya karte the

kya haseen din the woh,
kya lamhein hua karte the,

jab hum ghanto hi saath raha karate the,
khatam hoti hi nahi thi baatein apni,

har baat par ek shair kaha karte the,
humari har baat se aati thi wafa ki khushboo,

ek dosre ki awaz par hum roz jiya karte the,
baas waqt to dhal jaata tha shaam baaton mein,

yun hum har gham se hi begane raha karte the,
jaane kyun phir hum chord gaye ek doosre ko,
bhool kar bhi na hum ek dooje ko khafa karte the,

aise mein apne gham sunaoon bhi to kis ko,
dil ki har baat to hum aapas mein kiya karte the.

yaad aooge tum hum ko bahut

tum jo muskura rahe ho,
kaun sa gham chuppa rahe ho,
namm hain tumhari aankhien,
par labbo se muskura rahe ho,

wada kiya tha jo tum ne,
kya khub tum nibha rahe ho,
har saks jo kharda hai,
bass tum ko tak raha hai,
kaise aye the tum duniya mein meri,
kaise mujhe akela chord tum ja rahe ho,

yun sadiyaan beet jaate hain,
aise hi kayi baras hain beetein,
na hum tum ko samajh sake the,
na tum hum ko samajh sakhe ho,

bas abb tu hai iss pehar ka aakhir,
alvida hai bass humara tumhara,
kuch kaha suna maaf karna,
han har zakham humara maaf karna,

par yaad aooge tum hum ko bahut,
par hum dil ko behlayenge bahut.

ek tera ehsaas hai

ek tera ehsaas hai,
jo har waqt mere saath hai,

ek teri yaad hai,
jo din raat mujhe terdpati hai,

ek umeed hai tere aane ki,
apna tujhe banane ki,

na chain hai na sakoon hai,
yeh kesa mera hall hai,

raatein ho gayi hain itni lambi,
jo kaate nahi katin,

na bhook hai na pyas hai,
na koi aas hai na koi paas hai,

bas ek tera ehsaas hai,
jo har waqt mere saath hai.

abhi shayed mujhe rona bahut hai

mohabbat ka guman hota bahut hai,
ke aab yeh alfaz bhi rushwa bahut hai,

udaasi ka sabak mein kya bataon,
gali kochoon mein sannata bahut hai,

tere ghum ke saugat pane se pehle,
mein samjha tha ghum iss dunya me bahut hai,

tujhe maloom to hoga meri jaan,
tujhe ek shaks ne chaha bahut hai,

na mitne ki kasam kha ke bhi main ne,
tujhe har raha mein dhonda bhi bahut hai,

yeh aankhein aur kya kisi ko dekhein,
inn aankhon ne kisi ko dekha bahut hai,

na janae kyon bacha rakhaein hain anshoo,
abhi shayed mujhe rona bahut hai..!!

tum rehti ho dil ke paas

yeh faasle chahe kitne bardh gaye ho,
phir bhi tum rehti ho dil ke paas,
jab hota hoon main tannha kabhi,
tab hota hai teri judaai ka ehsaas.

unhein koi aur bha gaye hain

pahle to dooriyaan jagah tak simiti thi,
ab dooriyaan dilon mein aa gaye hain,
dil mein hamaare wo to ab bhi hai,
gum iss baat ka ki unhein koi aur bha gaye hain.

kaise katega ye safar tannha tannha

nahin katta ek bhi pal tannha tannha,
kaise katega safar tannha tannha,

main tumahara kya tha kya ho gaya hoon,
yahi sochta hoon aksar tannha tanhan,

barda mayuus hai koi mere dil mein jaakh kar-ke dekhe,
parda hua hai arrse se ek raaz tannha tannha,

teri aadat si ho gayi hai mere ghar ki har ek kone ko,
na jaane ab kaise hoga guzara tannha tannha,

tere saath khilne ki zid hai saari kaliyoun ko,
aaj bhi teri firaak mein hai chaman tannha tannha,

nahin kattta ek bhi pal tannha tannha,
kaise katega safar tannha tannha.

naa mohabbat kisi se karte to acha hota

naa umeedein kisi se rakhte to achha hota,
aitbar naa kisi pe karte to achha hota,

sabak deta hai zamana yeh auron ko girane ka,
sahara naa kisi ko samjhte to achha hota,

yakeen apni kamyabi ka kisi ko kab hota hai,
takdeer ke bharose na hote to acha hota,

sochte the aitbar andha hoga dewana tum per,
naa khuwaab jagte main daikhte to acha hota,

naa chahate tum kisi ko naa koi tumhein poojta,
naa ache kisi ko lagte to acha hota,

darya mohabbat ka kab koi paar karta hai,
naa mohabbat kisi se karte to acha hota.

kyu mujhe akela iss mord par chorda

kyu dil tune mera torda,
kyu mujhe akela iss mord par chorda ,

ab shikayat karu to kaise,
ek tumhare siwa kaun tha mera ,

koi shaam aati hain tumhari yaad lekar,
koi shaam jati hain tumhari yaad dekar ,

hamein to intezaar hai us shaam ka,
jo aaye tumhein saath le kar,

maut tohffa le mera yaar aaya hai

mere ishq ki laash pe hoke sawaar aaya hai,
mere liye maut tohffa le mera yaar aaya hai.

aaj yaad uski har adda aa rahi hai mujhko,
jane kyun aaj phir us bewafa pe pyar aaya hai.

kahin phir se dil na laga baithun main yaaron,
jo meri mehfil me dil le ke koi bekarar aaya hai.

apni to ab pehchan hi kuch yun ho chuki hai,
ki jahan jaun log kahete hain ishq ka beemar aaya hai.

aye khuda wo mera ishq hai,
uska dil kabhi na tute so,
aaj teri mehfil me dua karne,
tannha raaj aaya hai.

aisi zindagi kisi aur ko na dena

jab koi bhi nahi saath hota hai,
tab mera dil bhi rota hain,

jab kabhi bhi raat hoti hai,
tab aaskhon ki barsat hoti hai.

arman, aarzoo ki shanshein nikal rahi hai,
aaj meri umangon ki lashein nikal rahi hai.

har haushla ab mera dher ho raha hai,
charon aur bas andhera ho raha hai.

jo kuchh maine saha hai,
woh kisi se nahi maine kaha hai,

ab to dil ko bhi bha chuka hai itna kala rang,
ki aankhein to ab dekh hi nahi pati hain ujala.

aye khuda tu mere zakhmon par aur namak chirdak dena,
par aisi zindagi kisi aur ko na dena.

ishq ek dard kaa naam hai

ishq ek dard kaa naam hai,
ye bewakoofon ka kaam hai,

ishq ki galiyoon mein to,
dil ka tootna aam hai,

jin hathon mein kalam thi,
unhone thame jaam hai,

pata hi naa chala humein ki,
ho gayi zindagi ki shaam hai,

bewafai aur judaai hi to,
hoti wafaa ka inaam hai.

kaise bataun tujhko kasak,
tu hi to “raaj” ka chaar dhaam hai.

aaj phir dil machal gaya

teri yaad mein aaj likh ek aur ghazal gaya,
aaj tere deedar ko phir dil machal gaya.

raat-din uski yaad mein guzarata par,
aaj kyun mehboob mera badal gaya,

mujhe jala dena par dil chord dena usme,
aap base ho, mar jaunga agar wo jal gaya.

teri bewafai mein hum is kadar loot gaye,
ki aaj to armaano ka suraj bhi dhal gaya.

aapko kam se kam humari yaad to aayi,
so aapki bewafai se bhi dil behal gaya.

aapko pukarte reh gaya, aapne naa suni,
par aapki aawaz pe main bana mahal gaya.

ab to apne naseeb ko hum koste hain,
ki aapki adaaon ka jadu kyun chal gaya.

apni halat dekh kar to na jane kyun iss,
ghayal ka dil khud hi aaj dahal gaya.

maut aane se pehle hi kafan pehna kar chal diye

ghamo ke saagar se baahar nikale bhi na the,
ki wo humein usme aur dubbo kar chal diye,

pyar ki raaho me socha tha saath khushiyo ke deep jalayenge,
par wo itne bewafa nikale ki dil hi jala kar chal diye,

kehte the kabhi humse ki aap meri takdeer bankar aaye ho,
aaj humse muh modkar hamari hi takdeer badal kar chal diye,

saath me reh kar pyar ki basti basayenge ye armaan tha,
basti basaana to door ki baat, wo to duniya ujaad kar chal diye,

dil ke jazbaat jo nikale haal-e-dil bayaan karne ko,
wo usse mehez ek taraana keh kar chal diye,

mera bharam ye tordkar ki wo aayenge ek din,
intezaar umar bhar ka in aankho me saup kar chal diye,

unse hum gila-shikwa karein bhi to kya fayeda,
jab maut aane se pehle hi kafan pehna kar chal diye.

aapse dil kyon lagaya tha humne

jaise bhi hoga hum jee lenge,
aap humein chord kar chale jaao,

koi marta nahi kisi ke liye,
har kasam tord kar chale jaao,

kuch na socho hamare baare mein,
dil ko patthar bana liya humne,

sochte hain yehi phir se aaj,
aapse dil kyon lagaya tha humne..


woh tum tum nahin ho

arjoo thi jiski woh tum nahin ho,
mohabat hai jisse woh tum nahin ho,

masoom hai jo woh tum nahin ho,
zindigi hai jisse woh tum nahin ho,

sajni hai jo woh tum nahin ho,
sapna hai jo woh tum nahin ho,

tum jo nazar aati ho hamesha,
meri nazaron mein woh tum tum nahin ho.

hasti teri bewafai pe aaj duniya saari hai

bheegi bheegi si aaj meri palkein hai,
o bedardi humne pyar ki baazi haari hai,

pyar ke badle mujhko yeh din dikhaya,
saanse aahein bharte ek pal na ruk paati hai,

chaah ke tumhein, dukh liye zamane ke,
dushmano se bhi battar halat meri aisi hai,

andheri duniya mein aaj ujalla kyun,
jaab ki meri to ujaadi duniya saari hai,

kyun hua pyar mujhe ek bewaffa se,
hasti teri bewafai pe aaj duniya saari hai.

jhoothi thi uski bepanah mohabbat

dard hi dard hai mera humsaya,
mohabbat mein maine yeh paya,

saath chalne ka tha uska wada,
beech raste mein hi dhoka de gaya,

jhoothi thi uski bepanah mohabbat,
bichardne ke baad yeh samajh aaya,

ruth gaya apni zindagi se hum,
phir mauth ko hi gaale lagaya.

meri yeh zindagani adhoori si hai

yeh dewanapan, yeh pagalpan,
yeh aarzoo, yeh justujoo,
yeh bekharari, yeh khumari,
tum bin sab kuch bekhabar sa hai...!!

yeh jism, yeh rooh,
yeh saasein, yeh aahein,
yeh annkahe lafz,
yeh chand, yeh sitare,
yeh subah, yeh sham,
yeh aasman, yeh zameen,
yeh manzil, yeh raste,
yeh safar, yeh manzar,
yeh aasiyana, yeh mehfil,
tum bin sab kuch bewajah sa hai...!!

yeh jazbat, yeh ehsas,
yeh khawaab, yeh aarman,
yeh husn, yeh haaya,
tum bin sab kuch bekaar sa hai...!!

aur kya kya main batao sanam,
bas tum bin main aur meri yeh zindagani adhoori si hai...!!

All Time's Favourite Posts