yeh dil to pagal hai

meri sochon ke harpal mein, tum kyo aa jaati ho,
mere dil ko anjane mein, tum kyon tardpaati ho?

iss daman mein to bas, kaanto ka gulshan hai,
phir iss banjar duniya mein, kyon phool sajaati ho?

deewana bhi kehta hai, yeh chand kahan se aaya,
taaron ke jhurmat mein, jab tum sharmaati ho.

phir koun na chahega, jeete jee hi marna,
apni aankhon mein jab, samundar bhar kar laati ho.

inn khushk fizaon mein, ghangoor gatta chha jaati hai,
chehare par mere jab bhi, zulfein lehrati ho.

iss veerane se ghar mein, bahare lout aati hai,
jab dil ke darwaze par, dastak de kar jaati ho.

yeh dil to pagal hai, bas jhoomta rehta hai,
tum mere humsafar ho.. jab keh kar jaati ho.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts