ek tannha raaj hai rehta kaha pe

jo pyar mila hai mujhe yahan se,
woh mila nahi kabhi kahi se,

koi dost bankar saath nibhata hai,
koi yahan bhi dushmani dikhaata hai,

koi pyaar se haath badhata hai,
to koi gusse se chird jata hai,

yahan ki shayri bahut khoob hoti hai,
pardhne wale ki aankhe tarasti hai,

koi hansta hai baar baar yaha par,
koi apne ghumon ko gungunata hai

koi roz roz aata hai,
koi kabhi kabhi muh dikhata hai,

koi dard se ubb jaata hai,
to koi hans ke lot-pot ho jaata hai.

aate rahna aap log hamesha yahan pe,
kahi chord na jaana akela yahan pe,

ek tannha raaj hai rehta kaha pe.

jab bhi koi doli uthti hai

jab bhi koi doli uthti hai,
yeh hgaliyan sooni ho jaati hain.

kisi ka ghar aabaad hota hai,
kisi ki duniya lut jaati hai.

ab kismat mein nahi hai tera didar mujhe

kis manzil par le aaya tera pyaar mujhe,
na din mein chain hai na raat mein karar mujhe.

kahan par jakar tujhko main awaaz du,
paththar na bana de tera intezaar mujhe.

kitne armano se humsafar banaya tha,
tum bhi dhoka de gaye.. pyaare yaar mujhe.

kabhi tera wajood jaagir tha baahon ka meri,
aur ab kismat mein nahi hai tera didar mujhe.

dum ghutne laga hai ab iss shaher mein mera,
zahar lagne lagi hai sawan ki bahaar mujhe.

mujhko teri wafa par bharosa tha.. vaado par yakeen,
lout aa.. na nilaam kar tu ser-e-bazaar mujhe.

na koi humraaz na humsaya mera

na mil saka kahi dhoondne se bhi nishaan mera,
tamaam raat bhatakta raha gumaan mera.

main ghar basa ke samunder ke beech soya tha,
utha to aag ki lapto mein tha makaan mera.

junoon na kahiye isse, bewakufi kahiye,
badan tamaam hua hai lahu luhan mera.

hawain gerd ki surat uda rahi hai mujhe,
na ab zameen hai meri na aasmaan mera.

musibato ke bhawar mein pukaarte hai mujhe,
ajeeb dost hai, lete hain jo imtehaan mera.

kise khat likhu, hal-e-dil sunau kise
na koi humraaz, na humsaya mera.

jada sach bolna aksar achcha nahi hota

aata hai jo nazar, woh sabhi sach to nahi hota,
har khush-haal insaan, andar se khush to nahi hota,

dard ko kuch log, muskurahat mein chipa lete hain,
hakeekat mein jinka apna koi ghar nahi hota,

zindagi sari guzaar jaati hai bas ro-ro kar,
doston tak unke haal-e-dil ka, khabar nahi hota,

jurm hai jada bhi sachchai se jeena yahan yaro,
jada sach bolna, “raaj" aksar achcha nahi hota.

aaj tumhari yaad ne humein tardpaya bahut

aaj tumhari yaad ne, humein tardpaya bahut,
aaj na chahte huye bhi, yaad tum aaye bahut,

aaj tannhai ne, darraya humein aa ke itna,
jab akele ro rahe the, tannha the hum bahut,

tu meri thi, mera hai, meri rahegi, umar bhar,
dil ko iss khayal se humne, bahlaya bahut,

dil ne jisko apna samjha tha,
wahi humare dard pe jaane kyun muskurayi bahut.

ek din bas yuhi

naa koi raah naa manzil thi chal pade yuhi,
woh kaisi pyaas thi jo jaag gayi thi bas yuhi.

yeh kaisi pyaas hai dil ki meri, mere rabba,
naa bujh saki hai bujhane se bhi, mere rabba,
woh ek pal tha chahat ka, jee gaya sadiyaan,
umar bitayi hai uss ki yaad mein bas yuhi,
umar bhaar jeete rahe aur jeete rahe bas yuhi.

woh jaan apni kehti thi jab bhi milti thi,
naa jane kyun huyi khafaa woh bas yuhi,
tu meri jaan hai, tu meri hai yeh kehti thi,
woh ajnabi thi nindon mein dil mein rehti thi,

woh mera khawaab thi, undekha mera apna sa,
woh mera khuwaab meri zindagi thi ek sapna sa,

“raaj” kyun aaj bhi dekhta tu wahi sapna,
rulaa ke chord gayi jo mujhe ek din bas yuhi.

main ne usse poocha

sahil ki gilli rait par main ne usse poocha,
bata tera hobby kya hai?

uss ne nazre jhuka ke, muskuraa ke,
mera naam likha aur mita diya.

meri tanhaiyon mein kyun aate

dekhu soorat jab apni aaine-mein main,
mujh ko bas tum hi tum, nazar aate,

kyun nigahon se, tera haseen chehra,
ek pal ke liye bhi juda naa ho pata,

tujh ko maloom hai kya yeh bhi sanam,
aaye jo khawab mujh ko raaton mein,
us mein tum hi tum bas nazar aate,

main jab bhi tannha beithu kabhi akele mein,
teri yaadon ka, mela wahan bhi aa jata,
main kya-kya soch kar o mere sanam,
kabhi hansta to kabhi rota hoon,

kyun khayalon mein aa ke tum aise,
dil ke taaron ko, cherd kar jaate,
dekh tannha akela tum mujh ko,
meri tanhaiyon mein kyun aate.

mujhe tum yaad aate ho

mujhe tum yaad aate ho...
khyalon mein sawalon mein,
mohabbat ki galiyaaron mein,
tumhein awaaz deta hoon,
tumhein wapis bulata hoon,

jab koi nagame likhta hoon,
tumhein aawaz deta hoon,
mujhe tum yaad aate ho,

tumhari yaad hone se,
koi sargoshi karta hai,
yeh palkein bheeg jati hain,
do aansu toot girte hain,

main palkon ko jhukata hoon,
par baahar muskurata hoon,

faqt itna hi kehta hoon,
mujhe kitna satate ho, 
mujhe tum yaad aate ho,
mujhe kyun yaad aate ho?

main tannha tha, tannha hi chalta raha

waqt apni raftaar mein dhalta raha,
main tannha tha, tannha hi chalta raha,

kabhi hasta tha apne naseebo pe main,
kabhi andar hi andar main jalta raha,

kayi shikwe mile aur kayi thokrein mili,
chhote aisi lagi ke main sambhalta raha,

us ko pane ki khatir to sab kuch kiya,
wahi sungdil thi, raste badalti rahi,

main tannha tha, tannha hi chalta raha.

yeh bharat varsh ko bech khayenge

anpad the jo log
the angutha chaap,
kheti the karte
rehte the bailo ke sath,

the gawar anpad jahil
par ek chiz thi unmein shamil,
karte the woh sina jori
khule aam karte the chori,

unhein mila ek naya rasta
tha unhein paiso se wasta,
khela chaal.. bane woh neta
kursi ko apne mein sameta,

kiya desh pe apna raaj
matralay mein gunji awaaz,
sansad mein chappal ka khela
lag gaya desh mein  inka mela.

janta bhi kya kehti inse
mantralay bhi darti jinse,
awaaz inpe kaun uthaye
yamraj bhi pratiksha mein aye,

apni phikr jinhein padi hai
woh ab desh chalayenge,
dekhna sare bharat varsh ko
yeh jald hi bech ke khayenge.

log kehte hain ek ajnabi thi woh

ho chuki ab kisi ki woh,
kabhi meri zindagi thi woh,

bhoolta hai koun mohabbat pehli,
meri to sari khushi thi woh.

phoolon ki tarah muskrati thi,
mere honton ki haansi thi woh,

baad barson ke usse dekha,
aaj bhi utna hi haseen thi woh.

zindagi naam jiske kar di thi maine,
log kehte hain ek ajnabi thi woh.

balance sheet of life

our birth is our opening balance,
our death is our closing balance,

our prejudiced views are our liabilities,
our creative ideas are our assets,

heart is our current asset,
soul is our fixed asset,

brain is our fixed deposit,
thinking is our current account,

achievements are our capital,
character & morals our stock in trade,

friends are our general reserve,
values & behaviour are our goodwill,

patience is our interest earned,
love is our dividend,

children are our bonus issues,
education is brands/patents,

knowledge is our investment,
experience is our premium account,
the aim is to tally the balance sheet accurately.

teri yaadein jo tardpati thi raat din

teri yaadein jo tardpati thi raat din unhein kaise bhulata?
tum bin iss khud fareb dil ko bhala kaise samjhata?

sahil ki tamanna thi par pana tha mushkil,
dil-e-samandar ke bhanwar mein bhala kaise dikhata?

jab dard the beshumaar, tab tum bhi the anjaan,
patthar ho chuki in aankhon ko bhala kaise rulata?

rota tha chandni raaton mein tere khaton ko pardh ke,
main ashqon se likhe un panno ko bhala kaise jalata?

mere naam ki mehndi rang lati nahi un haanthon pe jab,
khun-e-jigar se un haanthon ko bhala kaise sajata?

jo shamma aaj bhi roshan hai tere intezaar mein,
ghar ke munderon se woh chirag main bhala kaise bujhata..

shaam guzar jaati hai

har roz hum udaas hote hain, 
aur shaam guzar jaati hai,

kisi roz shaam udaas hogi,
aur hum guzar jayenge.

dhoka diya hai tune mujhe khud ko badal kar

zindaagi ki rahon mein sath sath chal kar,
dhoka diya hai tune mujhe khud ko badal kar.

ajnabi bankar kyon nazren pher lee mujhse,
gair ki ho chali, mere armano ko kuchal kar.

jis par bharosa tha mujhe khuda se jada,
mere zakhmo ki umar bardhai usne hi namak mal kar.

jis ki har dhadkan tere khwabon mein mehakti thi,
sadme mein aa gaya hai dil, tere gham se dahal kar.

mere aanshuon mein tera koi dosh naa tha dilbar,
wafa ki rahon mein mujhe hi chalna naa aaya sambhal kar.

daulat ke liye kyon badal jaate hain log aksar,
issi soch mein saari raat kati maine, karwaten badal badal kar. 

aisa mujh ko bhula diya usne

jaane phir kyun khud ko,
mujh se juda kiya usne,
jo na karna tha woh kiya usne.

yaad karne se bhi na yaad aaun,
aisa mujh ko bhula diya usne.

main to bas waqt ki zaroorat hoon,
mujh ko akhir bata diya usne.

apne hathon se khud hi likh ke mujhe,
jaane phir kyun mita diya usne.

na usko aaya na mujh ko aaya

kisi bhi dukh pe malaal karna, 
na usko aaya na mujh ko aaya,
wafaon ko laz-waal karna, 
na usko aaya na mujh ko aaya.

jo fasle the unhein mitana, 
agar chah dono chahte the,
magar taaluk bahaal karna, 
na usko aaya na mujh ko aaya.

dua ke roshan chirag apni, 
hatheliyon pe jalaye hum ne,
khuda se lekin sawal karna, 
na usko aaya na mujh ko aaya.

humne bhi ek baar mohabbat ki thi

sari duniya ke riwazon se adawat ki thi,
tumko yaad hai jab maine ek himakat ki thi?

usse raaj-dar samajh kar bataya tha hal-e-dil apna,
par us shakhs ne meri zaat se bagawat ki thi.

jab kisi ki yaadon ne ankhon ko bhigoya tha mera,
main ne ek saks ki sitamon pe shikayat ki thi.

unko chord ke hanste huye ghar aa ke,
itna roye the ke ankhon ne kayamat ki thi.

mere ujadne ka sabab jab bhi kisi ne pucha to,
main ne bas itna btaya...
ha humne bhi ek baar mohabbat ki thi.

Happy Bengoli New Year

nayaa saal sab ko khushiyan hi laye,
hon ghum-heen jo bhi sabhi ko hansaye,

naa ho koi shikwaa naa koi gilaa ho,
sabhi ko saabhi baas gale hi lagaaye,

naye saal mein saab ko mil jaaye apne,
naa birhaa ke ghum koi bhi uthaaye,

naa bichde koi bhi apne priyatam se,
nazaar samne woh hamesha hi aaye,

dukhon ki naa parchayi ho iss jahaan pe,
khushiya hi khushiya nazar sab ko aaye. 

Happy Bengoli New Year!

main mohabbat aur tum

aaj yun mausam ne di jashn-e-mohabbat ki khabar,
phoot kar rone lage hain... main mohabbat aur tum,

hum ne joon hi kar liya mehsoos manzil hai kareeb,
raaste khone lage hain... main mohabbat aur tum,

chand ki kirno ne humko is tarah dhokha diya,
tannha hone lage hain... main mohabbat aur tum,

aaj phir mehroomiyon ki daastane ord kar,
khak mein sone lage hain... main mohabbat aur tum,

kho gaye andaaz bhi, awaz bhi, alfaz bhi,
khamosh hone lage hain.. main mohabbat aur tum.

jab teri yaad aati hai to itne bechain ho jaate hain

jab teri yaad aati hai to itne bechain ho jaate hain,
teri aankhoon mein, to kabhi paimano mein doob jaate hain.

tere aane ki ummeed mein haal aisa hai sanam,
naa sukoon se jeete hain naa mar paate hain.

aaj bhi chahata hoon tumhe, main kaise yakeen dilaau,
rota bhi hoon to ashq jam jaate hain.

naa chhodi koi kasar usne dushmani nibhane mein,
naa jaane mere hi kyon jazbaat pighal jaate hain.

aaj itna to tazurba hua hai zindaagi se,
dil to badalte hi the, chehre bhi badal jaate hain.

dekh liya tera waada nibhana aye bewafa,
ja teri sari kasme hum aaj bhool jaate hain.

ek woh nahi to kyon udas hai aye dil,
chalti rahon mein kitne hi humsafar mil jaate hain.

uske bin iss tannha dil ko kaise behlau

ya rab tu hi bata main usse kaise bhulau,
uske bin iss tannha dil ko kaise behlau.

meri ibadat mein kya kami thi jo yeh haal kar diya
apne hii pahchante nahii gairon kaa kya batlau.

khoob kar sitam hum par jee bhar ke le imthaan,
uff tak naa karunga chahe ghut ghut ke hi mar jaaun.

jiske liye rab ne duniya banai,
woh hi nahi iss duniya mein,
jaanta hoon par dil ko yakeen kaise dilaaun.

aye khuda gar madad karni hai to bas itna bata de,
teri duniya se main usse wapas kaise bulaaun.

dil bhar gaya teri iss duniya se maula,
ab bhi bula le...
 kahin main khud naa chala aaun. 

dost banaya hai apna to dosti nibhao yaaro

dost banaya hai apna to dosti nibhao yaaro,
kadam-dar kadam humein yun na aazmao yaaro,

har imtehan ke liye tayyar hain hum,
lekin pehle apna wajood bhi to banao yaaro.

hamari nazro mein to tum aaj bhi wahi ho,
apni nazro mein thodi gairrat to laao yaaro,

zamane ki ungliya tumhi par uth rahi hai har tarf,
hamari chordo.. pehle unhein samjhao yaaro.

kisi jhoti hum-dardi se kyun dete ho dilasa,
pehle khud ko sach ka aaina dikhao yaaro,

kya sochte ho.. mita doge hasti meri?
pehle kisi rotey hue bacche ko chup to karao yaaro,

jis dosti par kal tak tha humein fakhr bahut,
chalo aaj kahi isse dafna-aao yaaro.

woh mazhab se karte hain sabko baatne ki baatein

mazhab ke naam par kuch logo ne ek basti jalayi hai,
insaniyat aaj phir thartharai hai,

woh mazhab se karte hain sabko baatne ki baatein,
har mazhab ne to mohabbat sikhayi hai.

khoun to jab bhi gira hai zamin par kisi ka,
issne kaha kisi mazhab se, apni pehchan karayi hai.

jo 
massom bacche ho gaye yatim
inki kaha kisi se koi lardai hai,

kisi ne apna suhag khoya..
kisi ne bhai, beta khoya..
unse poocho zindagi ne unhein
kitni badi saza sunai hai,

jo kehte hai yeh mandir-mazid, yeh tera.. yeh mera hai,
unke khud ke dil pe siyahi ki chaader si chayi hai,
woh jalana chahte hain har taraf nafrato ke diye,humne bhi mohabbat ki andhiya chalane ki kasam khayi hai,

purane dosto ko aise to na bhulao

naye dost banate ho to banao,
purane dosto ko aise to na bhulao,

jo har gum mein shamil the tumhare,
khushion mein apni unhein bhi to bulao.

tumhe dekh kar milta hai sukoon bohat,
tum bhi to hamari wali nazer kahi se laoo.

jo hamare raaz tumhari amanat hai,
unki yun sareaam nilami to na lagao.

dua nahi de sakte to koi baat nahi ,
baddua ke liye apne haath to na uthao.

kaash tum ek baar murd kar dekhte

sehamte dil ne kya tha bharosa pehli baar,
ek kandhe ka aasra chhaha tha pehli baar,

uss bharose ko banaye rakhte,
uss vishwas ko tikaye rakhte,
kaash tum ek baar murd kar dekhte,

har roz ki subah ke saath humare aash jage,
har doobte suraj ki tarah dil bhi doobe,

har raat ki kaali andhayari jaisi ghumi chhaye,
yeh dil humara iss pinjare mein tardpe,
kaash tum ek baar murd kar dekhte.

kaise jaaye ab hum tere dar par,
jab chhoda saath tune mukh mord kar,

jahan se hum sataye huye the,
phir bhi khuda se tere liye hi duan mangte,
kaash tum ek baar murd kar dekhte.

dil ka haal sunaya iss shayari ke jariye,
kuch humse suna, kuch khud bhi sunate.

dil ko phool samajh tere kadmon mein chadhaye,
tum usko aapni aankhon se lagate,
kaash tum ek baar murd kar dekhte.

aisa na ho jab tum murd kar dekho aur hum na rahe,
yeh shareer hi rahe aur humare praan na rahe,

phir chhah kar bhi tum pakad na paaoge,
jab hum bhavsagar ke uspaar chhale jaaye,
uske pahle ek baar tum murd kar dekhte. 

tujhe ab shayad mujh se koi vaasta nahi

tujhe ab shayad mujh se koi vaasta nahi lekin,
tere hisse ka waqt aaj bhi tanha guzarta hai.

kabhi khud se kabhi halat se lardna seekho

kabhi khud se, kabhi halat se lardna seekho,
rah -aye- zindagi pe iss tarah bardna seekho.

ba mohabbat zindagi ka maja lo yaaro,
zamane se nahi, halat se lardna seekho.

tord do zanjeerein wafadari ki sabhi,
bewak parindon ki tarah sauk se urdna seekho.

adakari bhi ho sakti hai chehre ki banawat,
chehre ko nahi, nighon ko pardna seekho.

maar dalegi dua in zaalimon ki,
bure logon ki meharbani se bachna seekho.

mat puch sambhal hai maine khud ko kis tarah

mat puch sambhal hai maine khud ko kis tarah,
waqt ne to mujhko tukde tukde kar diya .

tomorrow can be too late

if you are mad with someone 
and nobody’s there to fix the situation... you fix it. 
maybe today, that person still wants to be your friend 
and if you don’t, tomorrow can be too late...!

if you are in love with somebody, 
but that person doesn’t know... tell her/him.
maybe today, that person is also in love with you,
and if you don’t say it, tomorrow can be too late...!

if you still love a person 
that you think has forgotten you… tell her/him.
maybe that person has always loved you, 
and if you don’t tell her/him today, tomorrow can be too late...!

if you need a hug of a friend… ask her/him for it.
maybe they need it more than you do, 
and if you don’t ask for it today, tomorrow can be too late...!

if you really have friends who you appreciate… tell them.
maybe they appreciate you as well,
that if you don’t and they leave or go far away today, 
tomorrow can be too late...!

aag bistar hai aur main jalta hoon

raat bhar karvatein badalta hoon,
aag bistar hai aur main jalta hoon.

hukum unka hai mujh se mil tannha,
zid hai saaye ke saath chalta hoon.

mere haathon mein haath the unke,
chhord gaye haath, ab haath malta hoon.

dugni raunak hai unki mehfil ki,
shaamein jalti hain, main bhi jalta hoon.
aag bistar hai aur main jalta hoon.

keemati zindagi kyun aise ganwai humne

har jagah se teri pehchan hatai humne,
besabab ghar ki har ek cheez sajai humne.

jaan le leti teri yaad yakinan ek din,
yun bhula ke tujhe yeh jaan bachai humne .

humne ki thi kabhi jinki salamati ki dua,
umra bhar unke liye di hai duhai humne .

jis taraf se bhi hua sikwa apni nazron se,
phir kabhi us taraf na aankh uthai humne.

bas burai hi mili hai uske aur se,
jiske bhi saath agar ki hai bhalai humne.

teri firak mein kyu bhatke yeh ab sochte hain,
keemati zindagi kyun aise ganwai humne.

bekarari mein jo likhe the kabhi tere liye,
unhi kahton ko aaj aag lagai humne.

jo bhi milta hai yahan bade hi nasibon se,
jisko bhi chaha wahi cheez na pai humne.

kuch iss tarah waqt hatho se sarakta raha

waqt iss tarah hatho se sarakta raha,
naa apni khata jaan paaya aur
na zindaagi ko sawaar paaya.

mujhse koi umeed naa rakh ab aye dil,
nazar to aata hoon zinda main par
saans bhi aaj kal udhaar si lagti hai.

raah mein bikhre huye the rishte
socha baahon mein samet lu apne,
par na jaane daaman main yah kaisi
kaanto si chubhan chhu rahi hai.

kya yahi meri khata hui ke
tumhe khushiya dene ki chah mein,
naa jaane kitne abhaav apna liye
aur yahi abhaav dekh tumne kaha
ab patjhad sa nazar aa rahe ho tum.

agar tum aao to

agar tum aao to,
door kisi dariya kinare ki 
geeli ret pe gharonde banayegein,
aur ek nayi duniya basayegein.

agar tum aao to,
sheeshon par padi waqt ki dhool 
par yaadon ki lakeerein kheechein,
aur zindagi ki nayi tasveerein banayegein.

agar tum aao to,
soone veeran pade dil ke 
kisi kone mein umeedein lagayegein,
aur kuch khwaab ugayein.

agar tum aao to,
magar mujhe pata hai,
ab tum na aaogi..

aise koi tufaan mujhe hila bhi nahi sakta

kya ghum hai samandar ko bata bhi nahi sakta,
woh aanshu hoon jo aankh tak aa bhi nahi sakta.

tu chord gayi jo mujh ko to khataa teri nahi,
har shaks mera sath nibhaa bhi nahi sakta.

yun to kaafi hai ek katraa hi bahaa kar le jaye mujh ko,
aise koi tufaan mujhe hila bhi nahi sakta.

All Time's Favourite Posts