sochta hoon ki bhool jaau tujhe

hasrat thi ki tujh se mil ker hal-e-dil kahu,
par ab to tune khawaabo mein bhi aana chord diya,

sochta hoon ki bhool jaau tujhe,
magar saansein hi rukne ka naam hi nahi lati,

teri tasveer se dosti ker li ab meine,
tu to kabhi milna ka naam nahi leti.

kyun humein itna sataya aapne

ek pyase ko kyun saagar dikhaya aapne,
mar rahe the hum kyun jeena sikhaya aapne,

kaise tumse keh de kya kuch kiya hai aapne,
hum to sazde mein the kyun kaafir banaya aapne,

aap hi ke khayalon mein guzarte hain raat or din,
khud ko bhulaye baithe hain kyun apna banaya aapne,

ab to shaayad umar bhar dag-magayenge kadam,
madbhari nazron se kyun hum ko pilaya aapne,

intezaar mein tumhare ashq peete rehte hain hum,
kya khata thi meri kyun itna rulaya aapne,

har ghardi bas aap ki yaad mein tardapta hai dil,
tum hi bolo kyun humein itna sataya aapne??

kyun aap humse door aise chale gaye

bahut yaad aati hai woh aap ki pyari pyari baatein,
kaise pyare se din the or kya thi woh raatein,

ek doojhe ki aankhon mein buss kho jana,
kash phir se aa jaayein woh pyari baharein,

kyun aap humse door aise chale gaye,
ab aap ke bagair bahut mushkilon se katati hain yeh raatein.

aaj bhi tera naam dil mein saja rakha hai

teri yaad ne mere dil ko saja rakha hai,
tere pyar mein sabko bhula rakha hai.

kuch acha nahi lagta teri judaai ke baad,
ek teri yaad ko seense se laga rakha hai.

tera milna to ab khawab sa lagta hai,
na jane kyu ab dil ko bhula rakha hai.

mukaddar se milte hain bichard ke varna,
aaj bhi tera naam dil mein saja rakha hai.

na jane koi nahi basta siwa aankho mein,
ek teri tasweer ko dil mein chupa rakha hai.

hum ek nahi so so raatein jaage unke intzar mein,
lagta hai so saal ka waqt legega unke ikrar mein.

kuch khawaab sunhare dekhe the

kuch khawaab sunhare dekhe the,
aankhein khulte hi toot gaye,

sadiyan guzar gayi rishte banane mein,
woh bhi ek lamhe mein toot gaye,

najane kis rah pe murd gaye tum,
kyu in raho pe akele chord gaye,

kuch khawaab sunhare dekhe the,
aankhein khulte hi tut gaye.


tumhi ko humne chaha tha tumhe milte to accha tha

jahan phoolon ko khilna tha wahin khilte to accha tha,
tumhi ko humne chaha tha tumhi milte to accha tha,
koi aakar humse pooche tumhe kaise bhoolaya hai,
hazaar zakhm aise the agar silte to accha tha.

tumhi ko humne chaha tha tumhe milte to accha tha,
tumhein jitna bhoolaya hai tumhare yaad aayi hai,
bahaar jo aayi hai wohi khushboo hi layi hai,
tumhare labb agar meri khatir silte to accha tha.

tumhi ko humne chaha tha tumhe milte to accha tha,
mila hai lutf humko bhi haseen yaadon ki jhilmil mein,
kati hai zindagi tum bin magar itne si hai dil mein,
agar aate to accha tha agar milte to accha tha,
tumhi ko humne chaha tha tumhe milte to accha tha.

adhora pyar mat karna

chalo aap saath mat dena,
hamein beshak bhula dena,
naye sapne saja lena,
naye rishte bana lene…

bhula dena sabhi wadey,
sabhi kashmein,
sabhi natye,

aapko jaana ijazat hai,
jo dil chahe wo sab karna,

mager ab aap kisi se bhi,
adhora pyar mat karna….!

sajan mora chut gaya hai

pyar ka sapna toot gaya hai,
balam mora chut gaya hai,
ab dil ki nayya kaun khiwaye,
sajan mora chut gaya hai,

bijuri chamke barsain naina,
tum bin katun kaise raina,
tardpat hoon main rain akele,
dilber mora chut gaya hai,

dil ki agan kaise bujhaun,
aankhiyan barsain neer bahaun,
birha ki aandhi dasti muhe,
priyatam mora chut gaya,

rulati mohe biti yaadein,
bhool na paun prem ki baatein,
kisko sunaun bipada dil ki,
sajan mora ruth gaya hai,

kahe khele sajani tu dilse,
chordna tha jab beech dagar se,
monika tu meri tuti asha hai,
jeewan sapna tuut gaya hai.

aye dil humne bhi kisi se wafa ki tamana ki hai

aye dil humne bhi kisi se wafa ki tamana ki hai,
tu hi bata iss mein hamari kya khata hai,

humne to mohabbat ki kasmein khaayin hain,
to unhone bhi to kiye waade bahut hain,

gar hamari bekarariyan kam nahi koi,
to unki arzooyon ki bhi hadd nahi koi,

woh chahe to le shok se imtihaan mera,
lekin hai yakeen hoga ek din mukadar mera,

jab dekha unhone sare rah mere,
ker gayi negahon se hazar shikawein,

hum to chahate hain kar de har arzoo puri,
magar samajhti nahi woh hamari majbori,

hum se bhi to na sahi jaye yeh doori,
dua kar khatam ho jaye yeh zindagi adhuri,

jataye jataye bas itna hi kehna hai,
aye dil humne bhi kisi se wafa ki tamana ki hai.

kabhi mujhko magar bhulana nahi

wo main sochta hoon ki tu meri hai,
par mere as pas andhera tha andhera hai,
mere haathon ki lakiren khali hain,
aur tujhe us ki bahon ne ghera hai,

par main aaj sar jhukane aaya hoon,
yahi bass tujhko batane aya hoon,
tujh ko apne in anshuon mein,
shiv ki tarah nahlane aaya hoon.

tune jo bhi diya hai mujhe usse,
kabhi bhula nahi payunga,
main mere hisse ka yeh pyaar,
tere liye hamesha nibhayunga.

mera dil rakhne ko tune mujhe
baar baar hansaya tha,
tune mere ujda huya
dil ke shahar phir basaaya tha,

tu shayed usse hi chahti thi hamesha,
par yeh baat mujhe kabhi bata nahi saki,
jiss dil mein rahne lagi thi tu
woh dil mera tune hamesa dukha hai.

ab darr lagta hai to un chahane walon se,
jo tere as pas hain har din kinara badalte hain,
tu jis ke saath khadi hai aaj mere humdam,
woh har din sahara badalte hain.

jiss udasi se guzra hoon main,
tu un anshuon mein na aaye,
tu meri tarah har dard sah nahi pati,
kabhi koyi tera dil na dukhaye.

awaaz na dena mujh ko kabhi beshak,
kabhi mujhko magar bhulana nahi,
main mere aanshu khud ro lunga,
tu mujh ko kabhi rulana nahi.

mushkil waqt ko rok pana tha

ashqon ko aankhon mein aaj mushkil rok paana tha,
jazbaat aye dil thukraye, mushkil maut ko rok pana tha,

dost banne the kabhi honton pe muskurahat liye,
aaj baat na ki usne, mushkil waqt ko rok pana tha,

aankh nam hai to kya aaj hum uff na kare to kya,
zakham mile dil ko, mushkil cheekhon ko rok pana tha,

chalte rahe andhe vishwas pe, sochti samajhti hai woh,
halaton ko natak kaha, mushkil duniya ko rok pana tha,

apne dil ki keh woh kahi khush hai mujhse door hoke,
nafarat hai mujhse suna, mushkil lafzon ko rok pana tha,

gusse ki aag mein jala di mera pyar us jalim ne,
khatam rishta sun mushkil shamshan ke kadam rok pana tha,

khatam na jane kis pal ye zindagi, saccha pyar ho jayega,
rakh-e-pyar me mushkil khud ko dafn hone se rok pana tha.

if by chance I see you

all the love in the world
anywhere, anytime

all the love in the world
is no greater than mine

all the songs the world sings
all the great works of art

I would have other things
that i fear here in my heart.

so I give you these arms
that will never hold anybody but you!

and I give you these lips
that burn with a fire they never knew

as long as I live, my love
I promise to give, my love'

all the love in the world
to no other one but you!

so open your eyes
and look at a boy who longs for your touch,

won't you open your heart?
and take in this boy who who needs you so much!

and if all the stars burn out
you are all that I will ever care about

because you…..
all the love in the world.

zindagi me chup chap sahna sikha diya

bhari mehfil me tanhaa mujhko rahna sikha diya,
tere pyar ne duniya ko jhoot kehna sikha diya,

kisi dard ya khusi ka ehsaas nahi hai ab to mujh ko,
sab kuch zindagi me chup chap sahna sikha diya...

pal bhar ke liye aankh milane ke liye aa

ujarde hue dil ko basane ke liye aa,
pal bhar ke liye aankh milane ke liye aa,
aa dekh to nazdik se mere jalne ka tamasha,
kab tujhe kaha ki aag bujhane ke liye aa.

mat aazma apne dard dene ki hadd ko

mat aazma apne dard dene ki hadd ko zalim...
main bardast karna agar sikh gaya,
to na mujhe dard sehne me maza aayega,
na tujhe dard dene me..

dil ko patthar ka bana liya

chehara uss ka phoolo se bhi komal,
dil ko patthar ka bana liya,

main khada reh gaya baahein faylaaye,
tunne gairon ko galle laga liya,

ummr guzaar di maine tumhare intzaar me,
tunne mujhe bitte pal ki tarah bhula diya,

jiss ki ek muskurahat pe main mar mitta tha,
ussi ne mujhe har dam rula diya,

tord kar mere sapno ka taj mehal,
ussme mera kabar bana diya,

pyar kai badale, dhokhe ka khanjjar chubo kar,
tumne mujhe jeete jee maar diya,

ummar bhar sath chalne ka wadda tha,
do kadam pe hi daman churda liya,

khusion se bhara rahe usska daman,
main ne to gam ko hi apna humsafar bana liya..!!

tannha tha, tannha hoon, tannha rahoon

tannha tha, tannha hoon, tannha rahoon,
iss zindagi ke falsaffe ka kya kahoon,

subah sham roz yehi sochta hoon main,
yeha rahoon, waha rahoon, kaha rahoon??

roz karti hai baatein yeh tanhai,
koi nahi hai jisse main apna kahoon,

yeh kaisi ulfat.. yeh kaisi naffrat..
hai yeh kaisi waffa unki , kya kahoon,

iss jahan ke kaabil hi main nahi lagta hoon,
aab to hone lagi hai zindagi se dehsat.. kya karoon...!!

tu kisi aur ke sath khus hai

tu kisi aur ke sath khus hai, tujhe ab meri jarurat kya hai,
tu meri chaahat hai, par tujhko meri jarurat kya hai,
hamne aanshu bahaye bahut lekin tu na dekh paayi kabhi,
bahut roya humne, kabhi kadra na jaani meri,
mil gaya tujhko tera pyar, meri jarurat hi kya hai,
tu kisi aur ke baaho me khus hai, tujhe ab meri jarurat hi kya hai..

gar khata kuch huyi ho to mujhe maaf ker de,
yaa khuda mere sath kuch to insaaf ker de,
marta hu aaj bhi teri hi chaahat me,
lekin tu kisi aur ki aamanat hai, meri jarurat hi kya hai,
tu kisi aur ke baaho me khus hai, tujhe ab meri jarurat hi kya hai..

sapane barde sajaaye the tere,  jo khwab pure ho na sake,
aarman the kuch mere jo pure ho na sake,
rishte ke paymaane pe, main shayed kuch kam nikala,
wo jo tujhko mila mujhse behter nikala,
tu khus hai kisi aur ki panhaa me, meri jarurat hi kya hai,
tu kisi aur ke baaho me khus hai, tujhe ab meri jarurat hi kya hai..

kehlata hai aadami

aakshar roota aur chhillata hai aadmi,
apne kiye pe pachtata hai aadmi,
soche mutabik kaam nahi hota jab to,
apne aap par hi jhallata hai aadami,

aadamiyon se kaam kar leta hai aadmi,
tab jaaker aadami kehlata hai aadami,
mohabbat me pehle pa le khus hoke phir,
zakhamon ko khud hi sahlata hai aadami,

puraani yaadon se nijaad pane ke liye,
kaise kaise khud ko behlata hai aadami,
ishque ki aag jala kar bhadka ker,
khud tardape dujo ko bhi tardapata hai aadami,

aur to usse kuch nazar na aaye jab,
pyar me kisi ke pagalata hai aadami,
pyar me kisi ke pagalata hai aadami..

lab pe ab shikayat bhi na ho

chahate ho ki mere lab pe ab shikayat bhi na ho,
aap katal kero aur mujhe dard bhi na ho,

jab chaha dil se khela, jab chaha tord diya,
jab chaha dil se khela, jab chaha tord diya,
aur aapki bewafai ki kisi se charcha bhi ha ho,

roz ek zakham naya is dil pe mere lagaya jaye,
par aakho se aaskh chalakane ki ezaajat bhi na ho,


zindagai jaise bhi ji chahe gujaro,
aayena samane rakho to galtiyo ka ehsaas bhi na ho,

had se bardne lage dard to chup kya rahna,
bujhdili lagne lage, aisi sarafat bhi na ho,

kyu saza lete hain aap jaise log un kitabo ko almari me,
jinhe pardne ki fursat bhi na ho..!!

tumhein bataye kya

jo humpe gujari hai jana, tumhein bataye kya,
ye dil to tut gaya, hum bhi tut jaye kya,

pyar dene ki milti hain ye sazaye kya,
bujha ke manegi humko bhi ye hawaye kya,

hamare charo taraf hadase huye hain kayi lekhin,
hamein bachati hai maa baap ki duwaye kya,

tumhare baad is safar me koi maza na raha,
har ek mord pe socha ki laut jaye kya,

hamare chehare ke daago per katash kerte ho,
hamare pas bhi hai aayena dikhaye kya,

na tees hai, na kashak hai,
na aah hai ab is dil me,
chali gayi tu is dil ke haweli se hamesa kya.

hamein to liwaz bhi sada pasand hai mere dost,
jab dil hi bujh gaya to bahar se jagmagaye kya…

bewafao ki basti hai

bewafao ki basti hai,
mohabbat karo to ilzaam dete hain log,
muskurate hain yaha fareb kerne wale,
hum to aanshu bhi bahaye to badnaam kerte hain log…

mausam ka badalna ye to fitrat hai baharo ka,

mausam se bhi jyada yaha rang badalte hain log,
bana lo apna iss jahan me kitna bhi kisi ko,
par apni fitrat se kaha badalte hain log...

paani baahe agar saant to bahane dete hain,

jo aaye uffan.. to bandh bana dete hain log,
kaise bhari mehfil me samjhu tere ishaare,

yahan jhukti palko ko bhi pyar samajh lete hain log...

meri chaahat meri ehsaaso ko apne dhadkkan me samet lena,
meri chaahat meri ehsaaso ko apne dhadkkan me samet lena tum,
urdti hawao ki khusbu ko bhi pehchan lete hain log...

yun to tanhayi me bhi koi apna nahi hota,

par dena ho dhokha to rishta bana lete hain log,
jo dena ho dhokha to rishto ka nakab lete hain log..

teri mohabbat mere liye ebaadat thi,

kyu tujhe nazar bhar bhi dekh lu to washana samajh lete hain log...

aur kya likhun

zindagi ki hakikat likhun ya likhun ulajhte khwab,
pariyon ki kahaniyan likhun ya likhun mohabbat ke alfaaj,

bachpan ki shaitaniyan likhun ya likhun dard se bhare aagajh,
phoolon ki khusbu likhun ya likhun tanhaayi se bhari meri yaad,

sang bitaaye lamhein likhun ya likhun kaise gujarti tanhaa raat,
uske chehare ki hassi likhun ya likhun dard se bhari daastan,

patjhard me baahar likhun ya likhun aankho se jhalakte jam,
usski balkhati aada likhun ya likhun mere badalte haalaat,

mere madhooshi ke aalam likhun ya likhun ladkhadate andaaz,
uski khubsurati likhu ya likhun rang badalte uske mijaaz,

meri wafaon ki daasta likhun ya likhun tute dil ke farmaan,
aur kitna kya likhun ya likhun sang jeene ke aarmaan...

wo zindagi ki hakikat kaha samajhte hain

wo zindagi ki hakikat kaha samajhte hain,
sitare chaand ki keemat kaha samajhte hain..


sab apni apni jarurat batate rahte hain,
hamari bhi koi jarurat hai.. ye log kaha samajhte hain..

hum ek hote to duniya ko jeet lete,
wo hamari baho ki takat kaha samajhte hain..

har ek mord pe raste badate rahte hain,
ajeeb log hain jo chehare badalte rahte hain..

jo bulandi me ho ussi ke kareeb ho gaye,
yeh har mauke pe humsafar badalte rahte hain..

tum dusor ke dhan daulat per yu na itrao,
har ek daur me sikke badalte rahte hain..

bhool jata hoon

yun jaa kar uski gali se
main laut aata hoon,

kuch dhoondne nikla jaise
aur bhool jata hoon.

bhool jane ka tujhe koi irada na tha

bhool jane ka tujhe koi irada na tha,
tere siva kisi se kiya koi wada na tha,
nikaal dete iss dil se shayad tumhara khayal,
par iss kambakht dil me koi darwaja na tha…

kuch bhi kehna hai to kehdo

kuch bhi kehna hai kaho phir yeh din lautker nahi aayega,
tumhare dil ka thoda bojh aaj kam ho jaayega,

main chala jaonga aaj ki shaam aakhri hai meri,
yeh dil kabhi lautkar tumhari dahleej par na aayega,

bhoole se bhi kabhi jo meri tasveer nazar aa jaayegi,
bheeg jayegi palkein aur tu mujhe dekhti rah jayegi,

chain na aayega kabhi tujhe ek pal mere bagair,
dil mera jab karega yaad tumhein aur tu bahot pachtayegi,

barishon se bhi jada barsenge tumhari aankhein magar,
thakk jayengi aankhein tumhari aur tu akeli rah jayegi.

All Time's Favourite Posts