lagta hai mera wajood uske bina dhundhlaya hua

naseebon ke pannon par hai ek naam likha hua,
hamare haathon mein hai kisika haath bandha hua,

kitne suhane bane hain din kitni madhosh raatein,
mehka hai har pal jaise kismaton se churaya hua,

maasoom si uski baatein, bholi si uski shararatein,
har adda mein chupa ho koi bachha shararat karta hua,

aayine mein takti hai uski chanchal aankhein,
gudgudata hai uska ashk mujhe hararat karta hua,

kyon utar gaya wo sanam rooh mein is kadar,
lagta hai mera wajood uske bina dhundhlaya hua…

jab bhi yeh dairy khulti hai

jab bhi yeh dairy khulti hai, 
jab bhi yeh kalam uthti hai,
mere dil ki dhardkan mujhse kehti hai,

iske har ek panne pe.. ek teri yaadein rehti hain,
yeh toota dil, yeh pathrayi ankhein, mujhse aksar kehti hain,
shayad tu bhi mere liye kuch to tadapti hai?

sher likhun main tujh par, meri wafa yeh kehti hai,
shayad tu bhi mere liye, kuch na kuch to likhti hai?

tera mere kareeb hona, na hone ke brabar hai

tera mere kareeb hona, na hone ke brabar hai,
aye sanam tera sath mujhse, juda hone ke brabar 
hai,

apne iss zulam pe to zara ghor to farma jaana,
ke tera pyar karna, mujhse nafrat karne ke brabar 
hai,

meri yeh mayoosi khamoshi, tangi, woh behassi,
ki zindagi gujarna bhi har lamhe ki mout ke brabar 
hai,

meri zindagi-e-ghaflat mujhe har chand darrati rehti hai,
ke meri bandagi bhi mere nafrat ke brabar 
hai.

koun aake mera dard baatega

koun aake mujhe baahon mein thamega,
jab tum kisi aur ki baanhon mein hoge,

koun aake mujhe mathe pe chumega,
jab tumhare hoth kisi aur ko chum rahe hoge,

koun aake dil ko tassalli dega,
jab tum kisi aur ko sulajh rahe hoge,

koun aake dil ki aag bujhayega,
jab tum baithe kahi aag laga rahe hoge,

koun aake mera dard baatega,
jab tum kahi apna pyar baat rahe hoge,

koun aake meri baatein sunega,
jab tum kisi aur ki aawaz mein goom ho rahe hoge,

koun aake mujhe maut se bachayega,
jab tum kisi aur ki zindagi sawar rahe hoge,

koun aake mere lash per royega,
jab tum kisi ki baarat ke aane ka intezaar kar rahe hoge?

woh kaun hai?

mere dil ko dukhaane waali kaun hai,
meri khushiyan mitaane waali kaun hai,

mujhko gaali dete ho keh kar paagal,
mujhe paagal banaane 
waali kaun hai,

mujhko be-ghar kar diya ab rooti ho,
mere ghar ko jalaane 
waali kaun hai,

aaj mere dushmano ne raaz khola hai,
mere yaaron ko behkaane 
waali kaun hai,

mohabbat fareb hai dhokha hai zindagi,
mujhe mehsoos yeh karaane 
waali kaun hai,

lag ke mere saath chhun rahi ho tinnke,
aandhiyon ko raasta bataane 
waali kaun hai,

meri arthi dekh kar hairaan hoti ho?
meri musibatein bardhaane 
waali kaun hai,

ishq mein deewaana kaun.. tum ke main
raah mein aankhein bichhane 
waali kaun hai,

haye.!! koi to utthao haath pochta hoon main
mujhko seene se lagaane 
waali kaun hai,

mere shayari sunn kar poochti ho logon se
aisa bhi likhne-likhaane 
waali kaun hai?

patthar ke sanam se ab koi ummid rakh nahi sakte

kasam pyar ki intezaar mein ab hum jee nahi sakte,
mohabbat karne walon ki aur imtihaan le nahi sakte,

patthar ke sanam se ab koi ummid rakh nahi sakte,
saagar ki lehron ko kinare par hum rok nahi sakte,

har jharne pahard se guzar kar saagar se mil nahi sakte,
har toofan kahi kamjoor naav ko duba bhi nahi sakte,

mar mar ke to jee hi rahe the ab hum mar nahi sakte,
phool ko iss tarah kuchal gaye ki ab murjha bhi nahi sakte,

jeevan ke kuch raaz aaise chhupa ye chhup nahi sakte,
jooth se hi kaam chala lete hai sachchaai samajh nahi sakte,

har khushi kisi ek ke naseeb ho aisi galti vidhaata kar nahi sakte,
chahe kuch bhi kar lo har gham humhari jholi mein samaa nahi sakte.

tu hi bata monika

aaj bhi dhardkan ruk jaati hai teri aahat se,
aaj bhi teri yaadein sirf meri hain,

aaj bhi aanshu aate hain tere liye meri aankho se,
aaj bhi teri kami mere liye aadhuri hai,

har ek khayal ke saath tu meri saanso mein chali aati hai,
andar hi andar dil ko bahut jalati hai,

sochta hoon teri yaadon ko juda kar doon khud se,
par juda karte hi tu aur yaad aati hai,

saaanso se badkar hai yaadein teri jeene ke liye,
tu hi bata kaise rok loon aanshu, jo tune in aankhon mein diye?

har ek annshu mein teri surat nazar aati hai,
tu hi bata monika, tu itna mujhe kyun yaad aati hai? 

ek shayar jo hamesa muskurana chaahta tha

soyi kismat ko jagaana chaahta tha,
ruthe dilbar ko manaana chaahta tha,
chaahta tha main usko hudd se jyada,
phir mujhe woh kyun rulaana chaahta tha.

uske dil mein aa gaya tha soch kar
rehne ko main ek thikana chaahta tha,
pyaar mujhko na mila iss duniya mein,
kehne ko to mujhko zamaana chaahta tha.

meri yaadein usske dil ka thi sukun
phir woh mujhko kyun bhulana chaahta tha,
marr gaya mujh mein woh jo ek shaks tha,
har haal mein ussko main  par bachaana chaahta tha.

hai hakeeqat.. usne mujhko tord daala,
main bhi shayad tut hi jaana chaahta tha,
karke ansuna mujhse mera humsafar,
jaane kya mujhse chupana chaahta tha.

mujhko tannha jaan kar woh kabhi,
apne seene se lagaana chaahta tha,
ho kar khada woh aaine ke saamne,
aaine ko kuch bataana chaahta tha.

chatpatata reh gaya dil ka kabutar
teer teri aankhon se khana chaahta tha,
tujhse hokar paraya mera humsafar,
dil ke rishtey ko main nibhaana chaahta tha.

uske seene mein dhadakna chaahta tha,
ruh mein usski samaana chaahta tha,
saari duniya ko chala kar aa gaye hum,
aur woh humko chalaana chaahta tha.

thi iss tarah mujhko talab uss shaks ki,
har haal mein main ussko paana chaahta tha,
meri kareeb aa raha tha usska har kadam,
woh jo door jaane ka bahaana chaahta tha.

zindagi par apni likhta hai raaj
ek shayar jo hamesa muskurana chaahta tha.

marrne ke tarike aur bhi the

mushkil jabse humne chun liya,
khudk-hushi ke tarike aur bhi the,

ishq kiya tujhe khuda banaya,
kafir banne ke tarike aur bhi the.

teri saanson se khud ko mehkaya,
ittar bazaar mein aur bhi the,
honthon pe tera naam hardam,
mala japne ke tarike aur bhi the.

tere jism se aag li jalane ko,
maachis bazaar mein aur bhi the,
paiymaane bhar diye teri aankhon se,
maikhaane waise aur bhi the.

dooriyan mitate to kuch achha hota

yeh dooriyan mitate to kuch achha hota,
hum jo ek raah pe aate to kuch achha hota,

nafrat ki aag laga ke door kyun jaate ho,
pyar ke deep jalate to kuch achha hota,

chahat ke jahan mein hai pahunchne ki tamanna dil mein,
woh kabhi humko paas bulate to kuch achha hota,

jinko pane ki tamanna mein hum jiye ja rahe hai,
hum unka pata bhi pate to kuch achha hota,

maksad-aye-zindagi jinhone humko diye hai,
jaan-o-dil unpe lutate to kuch achha hota.

all I need is your smile

please give me a pill for this pain
and don’t let me feel love’s disdain,

come sew my bleeding heart
let not renewing love rip it apart,

please help me stop this crying
cover my eyes please,
so tears stop falling.

I know this feeling won’t last forever
but help, it’s hurting now more than ever.

please handle with care,
I am fragile.

all I need is your smile
to mend this torn heart
so I wake to a new start

All Time's Favourite Posts