mere humsafar tum jahan hum se chutte

wahin zindagi ke haseen khwaab tootte,
mere humsafar tum jahan hum se chutte,

sitaaron ne dekha, bahaaron ne dekha,
kabhi hum mile they, nazaaron ne dekha,

khabar kya thi hum ko, yeh waade hain jhoote,
mitaa kar tamannaon ke, har nishaan ko loote,

main hasrat se takta raha aasmaan ko,
chaman aarzuon ke fizaaon ne loote,

woh moti lutaati ghatayein na aatin,
kabhi phir woh gaati hawayein na aatin,

khafa ho gaye tum to, 
sab hum se roothe,
mere humsafar tum jahan hum se chutte.

insaa hi insaa ko mita dega

humne socha na tha ki waqt ka takaza yeh hoga,
ki koi meri wafa pe hi ungli utha dega,

humne pala tha hamesha se hi insaniyat ka jazba,
koi insaniyat pe mera vishwas hila dega,

yeh sach hai aaj har kadam pe dhokha aur fareb hai,
magar koi to sachai ko aage bardha dega,

yeh akhiri ummeed bhi ab to tutne si lagi hai,
yahan har koi aisa hai jo zami ko nark bana dega.

yeh khuda ne bhi socha na tha.. aye khuda ke bando,
ki insaan uske dariya dilon ko yun daga dega,

kitne armano se usne har ek insaa ko banaya tha,
usne socha nahi insaa hi insaa ko mita dega.

un sapano ko dhundhta hoon main

aankhon se door hai jo, 
un khwabon se darta hoon main,

gagan mein door hain jo, 
un sapano ko dhundhta hoon main.

tute phute yakino mein, 
roz sochta hoon main,

phir apni hi thakan mein,
doob ke so jaata hoon main.

roothi hai manzil, 
aur khushamad kar nahi paata hoon main,

jeene ki bhool karke,
marne se nahi darta hoon main. 

woh dost humara kaisa hai?

aye mouz-aye-hawa tu hi bata,
woh dost humara kaisa hai?
jo bhool chuka hai humein kab se,
woh jaan se pyara kaisa hai?

kya us ke jeewan lamhon mein,
koi lammha mera bakki hai?
kya us ki jaggti ankhoon mein,
meri yaad abhi bhi bakki hai?

agar aisa nahi to tu hi bata,
hum yaad usse kyun karte hain?
woh hum se bichard kar khush hai agar
to pal-pal hum kyun marte hain?


aye mouz-aye-hawa tu hi bata,
woh dost humara kaisa hai? 

dil ke armano ko kuch istarah mita leta hoon

dil ke armano ko, kuch istarah mita leta hoon,
ek khat likhta hoon, phir usko mita deta hoon.

phir ek jhooth bolta hoon, main kasam kha kar,
le aaj tujh ko.. apne dilse bhula deta hoon.

dekhte-dekhte jab, aankhein bhar aati hain meri,
teri tasveer ko, seene se laga leta hoon.

khudaya mujh ko maaf karna, haaye kya karoon mein,
sharab pitna nahi par maiykhane chala jata hoon.

aks yeh deta hai jawab.. khudkushi kar lo,
apni soorat ko jab, aaina dikha deta hoon.

nahi aati raas bul-bule ko meri dosti,
pani se bahar jab usse hathon mein utha leta hoon.

mere haalat hain kaise, yeh kya bataoon tumhein,
bas yeh jaan lo.. bahut majboor bana baitha hoon.

kuch bikhar gaye kuch toot gaye

zindagi ne kayi mauke diye par
kuch nikal gaye, 
kuch chhord diye,
kuch chhut gaye...

kitne hi khawab sajaye the meri aankhon ne,
kuch ujjard gaye, kuch bikhar gaye,
kuch toot gaye.

yeh bhi sach hai

tumhein yaad hum karte nahi par
bhool bhi nahi paayenge kabhi yeh sach hai.

tasweer tumhari dafan kar di kahi,
teri surat na bhool payenge kabhi yeh sach hai.

yun to iss zindagi mein kuch bhi nahi par
tumhein meri yaad jab tak aayegi nahi,
tab tak hum is duniya se
jayenge nahi yeh sach hai.

agar tum ab bhi yehi kahte ho ki
hum tumhein pyaar kerte hi nahi,
to is duniya mein pyaar hai hi nahi
yeh hi sach hai.

hum tum bichard gaye hamesha ke liye,
na jaane ismein tumhari galti hai ya nahi,
par ismein mera bhi kasur nahi 
yeh bhi sach hai.

iss zindagi se humein hai shikve kayi,
par shayad meri kismat hai yehi,
ab isse main aur seh sakta nahi
yeh bhi sach hai. 

kitni hai zalim shard hawa

khwabon se zakhmi,
huyi hain aankhein,
rone laga hai dil mera,

beete zamane yaad dilaye,
kitni hai zalim shard hawa.

aksar woh cheej nahi milti jispe haq hota hai

tabhi to insaan ko,
takdeer pe shaq hota hai,

aksar woh cheej bhi nahi milti,
jispe haq hota hai.

main tujhsa samajhdar nahi

kya hua gar tera deedar nahi,
nazar pe yeh haseen guwar nahi.

teri yaadein tera khayal reh gaya hai bas,
mujhko ab tera intezaar nahi.

bhula doon tujhko yeh hai namumkin,
kyunke yeh mere bas ki baat nahi.

tere khaton ko jala to deta,
teri tasvir, teri nishaniyon ko mitta deta,
magar main tujhsa samajhdar nahi.

badnaseebi hai tera na milna,
aur kuch tu bhi wafadar nahi.

tujhse nafarat si ho gayi hai besak,
kaise keh doon ke tujhse payar nahi.

phir bhi zinda hain hum na jane kyun,
zindagi se to ab koi sarokar nahi.

zinda hoon magar zindagi hai kya pata nahi

seene mein aaj kal mere yeh kaisi jalan hai,
yeh dard hai kaisa bata, yeh kaisi chubhan hai.

arman na koi hasrat, na aarjoo koi,
khali sa dil hua hai veeran sa mann hai.

kya gumm hua hai, jane kya dhondta hai dil,
anjani si talash koi dastan-aye-chaman hai.

duniya se nahi, waqt se hai mujhko shikayat,
jahan shiddatein thi kal tak, wahin aaj agan hai.

zinda hoon magar, zindagi hai kya pata nahi,
jeene ki aarju bhi seene main dafan hai.

waqt ne halaat se lardna sikha diya

har thokar ne meri, 
mujhko chalna sikha diya, 

mere aankhon ke aanshuo ne,
mujhe khul ke hassna sikha diya.

samundar ki lehro ne mujhe ghir kar
phir se ubarna sikha diya,

baarish ki bundo ne
zameen pe rehna sikha diya.

phoolo ne tutkar bhi
mehakna sikha diya,

tara tut jane par bhi
kisi ke kaam aata hai,

zindagi ki sachaiyo ne
mujhe chalte rehna sikha diya.

woh fakeer jo do roti ke liye taras jaata hai,
majbooriyon mein jazbaaton ka,
hadd se guzarna sikha diya.

aage yuh to karvaan chalte rahega,
waqt ne aankhon ki nami ke saath-saath
muskuraane ka hunnar sikha diya.

gile-shikwe se kuch nahi haasil “raaj”
waqt ne halaat se humein lardna sikha diya.

roshan hai sehar diwaali sab manaate hain

roshan hai sehar, yeh ghar hum sajaate hain,
khushi liye chehron, ashk hum bahaate hain.

karo tum dhamaake jagmagaati raahon par,
veeraane mein hum bhi apna dil jalaate hain.

laga do aag aasmaan mein aatishbaazi se,
pee kar do kash hum bhi dhuaan udaate hain.

dikhawe ki hansi, yeh tohfe tumhe mubarak,
nahi haunsla aur, yeh raaz tumhe bataate hain.

jashn to dastoor hai jahaan ka har mauke pe,
har mauke pe hum maatam bas manaate hain.

taras gaye jo deedaar ko karke hum,
keh kar alvida rooh ko apni woh dafnaate hain.

roshan hai sehar, diwaali sab manaate hain,
khushi liye chehron, ashk hum bahaate hain.

takdeer hi aisi pai hai

kaun kisi ka hota hai,
apna apna naseeb hota hai,
dhoka to wahi deta hai,
jo dil ke kareeb hota hai.

har rah par chal kar dekha hai,
har rah par thokar khayi hai,
kisi se gila shikva kya karna,
jab takdeer hi aisi pai hai.

chhoti si hai ek dua

aaj kal na jane kyu mera dil uddas rahata hai,
kabse baitha hoon main khuda ke dar par,

bas khuda se ye dil ek hi darkhwast karta hai,
aye khuda!! tu to sab ki sada sunta hai,

kya meri ek chhoti si dua puri kar sakta hai?
iss jahan mein shayad na mil saku main unse,

tu apne ghar bulana mujhe, unse pahale,
yahan na sahi wahan ek mulakat karna unse,

maine unhein jee bhar ke dekha bhi nahi hai abhi,
ek jhalak.. sirf ek jhalak dikhane ki guzarish karna unse,

mumkin ho to ek dafa gufftagu bhi karana unse,
phir bhale hi narak ka rukh kakh kar dena mera,

magar mulakat apne ghar mein hi karna meri unse,
agar ye mulakat bhi gavaara na ho to,

tu mere naseeb ek aur janam kar dena,
aaj jo naam likha hai maine apne dil pe,

agle janam mein ussi ka pyar mere naam kar dena,
phir hum milke kabhi judda na ho, bas itna karam kar dena,

hey shiv!! kabhi to mile mere pyaar mujhe,
chhoti si hi to hai dua, bas puara ye kaam kar dena.

apni zindagi ko bas yun hi guzarte huye dekhta hoon

kabhi chardte to kabhi dhalte huye suraj ko dekhta hoon,
main apni zindagi ko bas yun hi guzarte huye dekhta hoon,

waqt ke haathon ho chala ek majboor shakhsh hoon main aaj,
har roz yun hi apni tamannann ko marte huye dekhta hoon.

dard aur gum ke milne par koi bhi ranz nahi hai mujhe,
bas ek inhein hi to apne bure waqt mein saath dekhta hoon,

har woh cheez jo mujhe lagi kabhi pyaari woh door ho gayi,
ab jo bhi lagta hai pyaara bas usse door se hi dekhta hoon.

aaj har mord pe khud ko tannha tannha sa mehsoos karta hoon,
iss duniya mein har rishtey ko rang badalte huye dekhta hoon. 

dard ki tarha har dil mein rehne aaya hoon

ek baar phir se aapki iss mahfil mein aaya hoon,
dard hai wahi purana magar alfaaz naye laya hoon.

har waqt auron ki hi kehta aur sunta raha hoon,
par aaj apne dil ki kuch baatein kehne aaya hoon.

jaane kabse kaid hai seene mein dard ki maanind,
magar aaj banke aanshu aankhon se bahane aaya hoon.

khushi ki manzil ka raahi main nahi hoon aye dost mere,
bas dard hoon.. dard ki tarha har dil mein rehne aaya hoon.

hothon pe muskan sajaaye baitha hoon

zindagi ko bas yun hi guzar baitha hoon,
ha har khushi se aaj anjaan baitha hoon.

har dar se lauta hoon.. aaj na-umeed ho kar,
ki har rishtey ko aaj pehchan baitha hoon.

aankh yun to meri bhi nam hai aaj yahan,
phir bhi hothon pe muskan sajaaye baitha hoon.

yun mehfilo mein meri barbadi ka sabab mat puchho,
kay
i apno ke naam.. dil mein chhupaaye baitha hoon.

jeevan ke dhoop chaao se ukkta gaya hai dil

zindagi ke har bojh se ukkta gaya hai dil,
jeevan ke dhoop chaao se ukkta gaya hai dil.

khushiyan bahot hain door mujhse inka main kya kahon,
ghum mein bhari har shaam se ukkta gaya hai dil.

na subah ko koi naghma hai na shaam ko hai saaz,
har din ki berukhi se ukkta gaya hai dil.

har phool kaat-ta hai, khushbo bhi deti hai dukh,
har phool har kali se ukkta gaya hai dil.

palkein hain bhaari bhaari, sota nahi hoon phir bhi,
har naakaam khwaab se ukkta gaya hai dil.

maut tu mujh ko de de, aye khuda aisa kar
ghabra gaya hai.. ukkta gaya hai dil.

kya khoya kya paaya ab tak

kya khoya kya paaya ab tak, bhulane do hisaab mujhe,
bahot hua ashkon ko peena, peene do sharab mujhe,

phir yaad teri ne gheraya,  phir dard utha hai seene mein,
hosh abhi tak baaki hai, aur do sharab mujhe,

hosh rahe to main bhi, baatein jhoothi si kahta hoon,
main dhoott nashe mein kaha gaya,  jo baatein lagi kharab tujhe,

nasha ishq ka, talab husn ki, aur naya shikaar koi,
kyun kisi ke dil se khele, kya darr nahi khuda se tujhe.

jee bhar ke pee hai aur hosh mein aaya hai “bekarar”
jhuth lage jo kahte ho, yeh karti hai barbaad mujhe. 

jaane kya baat hai dil udaas hai

jaane kya baat hai, dil tannha hai.. udaas hai,
kucch pal yaad aaya woh dhundhla sa saaya.

saaye se nazar mili to khud ko rok na paya,
yun aanshu – yun aanshu chalak hi aaya.

tannhai ke iss aalam mein,
khud ko dekha to kaha paaya,
na is paar aur na us paar,
jahan dekha khud hi ko tannha paya.

in nazro ko talash hai jane kis ki,
jisko chahha woh na mila.
ab kahi na koi aas hai,
tabhi to yeh dil udaas hai.

eh shehar hai veeraan, chalo ab chalein tannha

suna tha ishq mein haal-e-dil bigad jaate hain,
lo yeh chale hum... dua karna bachaane ke liye.

woh paas bhi aayi to pal-do-pal mere,
waqt tang tha.. kuch unko sunaane ke liye.

mumkin tha mera khaali haath hi rahna,
unki har adda hai baaki.. zamaane ke liye.

ek gham mein humne khud ko jala kar dekha,
kaun aata hai.. meri aag bujhaane ke liye.

toofaan mein ek, bikhar gaya ashiyaan apna,
koi aata nahi.. ghar mera banaane ke liye.

khushi ke aanshoo bhi gham ki aankho se nikle,
dard jaada hai bohat.. dil se bahaane ke liye.

ek umr se, bhari nigaahon se hum jaage hain,
maut bhi aati nahi hai.. mujhko sulaane ke liye.

bohat pyaara mere khwaabon ka jawaan hona tha,
huye sab be-rang se kyun.. ek begaane ke liye.

kya kahein apne shauk bhi badal diye maine,
koi afsaana nahi ab.. kisiko sunaane ke liye.

yeh shehar hai veeraan, chalo ab chalein tannha,
jagah baaki nahi yahaan.. mere thikaane ke liye.

zindagi rooth-ti rahi aur hum manate rahe,

roz ek nayi umeed se ek kadam bardhate rahe,
zindagi rooth-ti rahi aur hum manate rahe,

na socha tha ho jayenge iss kadar tannhaa,
har aahat pe tere aane ki aas lagate rahe,

har aane wala pal hansi laaye lab pe tere,
khud ko teri khushiyon ka saamaan banaate rahe,

nazar na lag jaaye zamaane ki yaadon ko teri,
har mehfil mein jhoota sa muskaan hum sajaate rahe,

har pal jeene ki chah mein reth ke mehal banaate rahe,
waqt ki lahre mitaati rahi aur hum banaate rahe.

meri daastan kisi ne suni nahi

mujhe zindagi se gilaa raha, 
meri zindagi se bani nahi,
main khada hoon aise makam par,

jahan hasraton ki kami nahi.

main jalaa bhi hoon,
main bujha bhi hoon,
main sazaa bhi hoon,
main kata bhi hoon,

mujhe dekh kar hasse hain log,
meri zindagi mein hassi nahi,
kabhi iss gali, kabhi uss gali,
kabhi iss nagar, kabhi uss nagar,

main bhatak raha hoon dar-b-dar,
mere dard-o-dil mein kami nahi,
hai be-khabar, mera humsafar, 
main bhatak gaya, usse kya khabar.

na pohanchi ho meri sada,
yahan aise to koi gali nahi,
haalaat kuch iss kadar phir gaye,
hum apni hi nazar mein gir gaye,
kahi sabne apni hi daastan,
meri daastan to kisi ne suni nahi.

ek dard yahan.. ek dard wahan

ek dard yahan.. ek dard wahan,
mere yaar kahan.. dildaar kahan,

rutha hoon idhar main.. udhar tu bhi hai rutha,
yeh ishq ka zakham hai, humein hain chain kahan,


kabhi khush hoon main bhi, hansta hai kabhi tu bhi,
yeh ishq hai logon.. deewane hain jahaan,

kehte hain kabhi hum, kehte hain kabhi sab,
kabhi ishq na karna.. ismein chain hai kahan..

aaj aur kal ki kash-m-kash

aaj phir se hume tanhai ka guman hua,
ashkon ka samundar ankhon pe meherban hua.

dil mein jo dard tha, beh gaya kuch palon ke liye,
shant huyi dil ki hulchul, 

yeh dil bhi anshoon ka kadardan hua.

beete huye pal kyu aaj mein basna chaha rahe hai,
yeh aaj aur kal ki kashmakash mein,
yeh dil bhi jung ka maidan hua.

ek dard ek tanhaai mili humko

ek dard mila.. ek tanhaai mili humko,
wafaa ke badle bewafaai mili 
humko,

chaha tha mile chaaon kisi ke pyaar ki,
ek nafrat ki dhoop baar baar mili 
humko,

ek dard mila.. ek tanhaai mili 
humko,
wafaa ke badle bewafaai mili 
humko.

khwahishein rahi baaki zindagi mein kabhi bahar aaye,
ek ujdaa gulistaan.. ek fizaa mili 
humko,

ek dard mila.. ek tanhaai mili 
humko,
wafaa ke badle bewafaai mili 
humko.

raahein manzilon tak to pahuchi par manzil huyi na hasil,
raahein mohobbat mein thokrein baar baar mili 
humko,

ek dard mila.. ek tanhaai mili 
humko,
wafaa ke badle bewafaai mili 
humko.

hua jo khoon-e-khanjar se dil yeh zakhmi,
nikli hai dua dil se phir bhi uske liye,
jisne diya hai yeh zakhm mujhko,

ek dard mila.. ek tanhaai mili 
humko,
wafaa ke badle bewafaai mili 
humko.

kya sach mein kabhi mujhe chaha na tha?

bichad kar phir milenge hum
ek roz tune yeh wadaa kiya tha,
sach bata tujhko hai kasam
aakhir tera iradaa kya tha?

mujhe na ho dard yaa
tujhe na bewafaa kahoon kabhi,
sach bata tujhko hai kasam
kyu tune yeh jhoota wada kiya tha?

tu to na aayi magar
dekh main intzaar phir bhi karta raha,
sach bata tujh ko hai kasam
kyu tune chahat ka dikhawa kiya tha?

suna jab tu ban gayi kisi aur ka
na mujh ko yeh yakeen aaya ab tak,
sach bata tujhko hai kasam
kya tune sach mein kabhi mujhe chaha na tha? 

kahi andhera kahi ujaala

kisi ko saathi mila hai kisi ko saaya,
kahi andhera hai to kahi ujaala.

kuch raahon mein bichhti hain palkein,
kuch raahgir hote hain aawara.

koi sota hai zulfon ki chaaon mein,
to jaagta hai koi besahara.

ek karta hai ibaadat pyaar ki,
duja talashta hai madhusala.

saagar sab ko milta nahi yahan
parbat jaisa hai kinara.

shamma bujhti hai kahi raat ko
kahi dil jalne ka hai nazara. 

aao milkar phir se hum ek diya jalaye

aao milkar phir se hum ek diya jalaye,
hain andhiyaara jahan kahi mil kar hum hataye,

rahe sabhi khush diwali ke iss pawan avsar par,
aisa koi raag madhur mil kar sab gaaye,

hai kahin koi dukhi agar dukh door karein hum,
aisa ek sankalp hum sabhi apne dil mein laaye,

jeevan mein hardam sabke failaon ek ujiyaaraa,
yahi baat hum sab jan ko phir se sikhalaye.

life is a big puzzle

the person I wanted to be friends forever
is now like a stranger to me today,

he was so close to my heart
but today being near he is no where,

it hurts me more then anything today
that may be we wont be like we were before,

since I lost everything I had
and there is no more to looose now,

I don't know why I feel that
he is a part of me I dont wanna loose.

life is a big puzzle and there are all the peices,
he is a big peice but may be he don't understands,

sometimes because of one peice
the whole story makes no sense,

wish God makes all things alright
I don't wanna loose anyone anymore.

kuch baatein kuch yaadein

pyaar ki nishani hai, teri jaagir hain kuch yaadein,
dil lubhati hain, aaj bhi teri bemani si baatein,

sochta hoon, kuch to socha hoga khuda ne hamare vaaste,
yun to nahi mile hum aur phir juda huye yeh raaste,

dard mila, khushi mili, pyar mila, ruswayi yaan mili,
saath koyi ho naa ho, humein kabhi to teri parchhaiyaan mili,

haath ki nami aaj bhi kuch ehsaas humein dilati hain,
bechaini dil ki humein, aaj phir tardpati hain,

kuch yaadein, bas kuch yaadein reh jaya karti hain,
kuch baatein, bas kuch baatein, dil lubhaya karti hain. 

aye zindagi tu chalti rehna

aye zindagi tu chalti rehna,
chaahe koi saaya chooth jaaye,
chaahe koi sapna tutt jaaye,
gir gir ke tu sambhalti rehna,
aye zindagi tu chalti rehna..!


mere andhakar ka koi chaara nahi ,
yeh woh kashti hai jiska kinara nahi,
waise to phoolon se bhari hai duniya,
maango to ek phool bhi humara nahi,

chaahe koi khwaab rooth jaaye,
chaahe koi raah chooth jaaye,
tu ek raah nikalti rehna,
aye zindagi tu chalti renha..!

kitne aayenge.. chord jaayenge,
kitne bichdenge.. laut aayenge,
dastoor-a-aashiqi kabhi na badlega,

hum na sudhrenge.. chott khayenge,
chaahe apne hi loot khaayen,
chaahe dil kitni chott khaayen,
tu dard se bhi behalti rehna,

aye zindagi tu chalti rehna,
aye zindagi tu chalti rehna..!! 

kuch paane ki aas mein kaanto par bhi the hum chale

kuch manzilein thi apni, kuch khwaab bhi the bune,
kuch chahate bhi thi apni, kuch raaste bhi the chune,

pathrile raasto par mere kadam, kabhi kabhi the dagmagaaye bhi,
kuch paane ki aas mein lekin, kaanto par bhi the hum chale,

nahi hoti koi dagar aasan, kuch logo ne tha yeh samjhaya bhi,
par bhuj na paaye umeedo ke diye, jo mere mann mein the jale,

jaan rahe hain aaj sab mujhko, pehchaan rahe hai aaj sab mujhko,
kuch kar dikhane ke liye, hum har mushkilon se the lardein,

sab kuch dekha hai maine bhi, wafaa, prem aur judaai bhi,
kuch ghaav aaj bhi hai taaze,  jo apno ne humein the diye,

zindagi safar nahi hai aasaan, jab yeh samajh mein aaya,
tay karne har mushkil safar ko, hum akele chal the diye,

aaj mumkin hai manzil tak pahunch kar, mera har koi saath nibha jaaye,
par bhoola nahi hoon mein ab tak,  jo akele safar maine tay the kiye. 

yaadon ke saaye se hum bheege iss tarah

kal aagan mein mere barsaat huyi,
door tak thi bundo ki rimjhim,

kuch der mein hi khamosh huyi,
bundo ki rimjhim ne mujhko kuch aisa tardpaya,

saath mere meri tanhaai rahi,
yaadon ke saaye se hum bheege iss tarah,

phir der tak ashko ki barsaat huyi,
yeh bundein kasak si dil mein kuch aisi jaga gayi,

jinhein bhula chuke the hum kabhi,
unhi lamho ki yaad dila gayi,

kuch gham ka daur aur bardha iss kadar,
charon aur andhiyaara hua,

jo chiraag jalaye rakha tha humne,
ussi diye tale andhiyara hua,

barsaat mein mord ki kook ne kuch cheda aisa tarana,
mere lab khamosh rahe,
bas khamoshi mein hi dil ki asmaan se baat huyi,

kaha dil ne aye raaj ab aur na baras,
na le aur mera tu imthaan,
tere sang to hai suraj chand sang sitare
par mera na koi yaha, mera na koi yaha

na jaane kyu aaj badle huye se haalaat hain

na jaane kyu aaj badle huye se haalaat hain,
kalam bhi na nibha rahi aaj mera saath hai,

ek ajeeb se kash-m-kash mein uljhe hain hum,
na koi hai mere paas na hum kisi ke saath hain,
na jaane kyu aaj badle huye se haalaat hain,
kalam bhi na nibha rahi mera saath hai.

dil mein hain kayi baatein par zubaan deti saath nahi,
socha ki likh kar hi hum hale-e-dil bayan kar dein,
par kalam ko koi lafz bhi milta nahi,
na jaane kyu aaj badle huye se haalaat hain,
kalam bhi na nibha rahi mera saath hai.

hai kaisi yeh bechaini aur na jaane kyu hai berukhi,
jab ki na hai dil mein ab koi na kisi ki aas hai,
na jaane kyu aaj badle huye se haalaat hain,
kalam bhi na nibha rahi mera saath hai.

woh thi hawa ka jhoka koi, jo ehsaas unka kara gaya,
beetein lamho ke saaye se phir humko mila gaya,
na jaane kyu aaj badle huye se haalaat hain,
kalam bhi na nibha rahi mera saath hai.

aks bhi jinka mita chuke the hum,
kyu ab bhi aati unhi ki yaad hai,
na jaane kyu aaj badle huye se haalaat hain,
kalam bhi na nibha rahi mera saath hai.

beetein lamho mein hi kyu jeeti humari har saans hai,
tham jaaye ab ye silsila, dil yahi karta ab fariyaad hai,
na jaane kyu aaj badle huye se haalaat hain,
kalam bhi na nibha rahi mera saath hai. 

jhoota hi sahi... ek roz to kiya mujhe pyaar

kaun hota hai yaha kisi ka,  
kis par kare yaha aitbaar,
har kisi ke zehan mein dagaa basti hai,  
har koi hai yaha dhoke-baaz.

soch kar ki woh iss duniya mein sabse alag hai, 
kiya tha ek roz unpar aitbaar,
usne bhi dikha diya apna chalan,  
woh khudgarz bhi nikali dhoke-baaz.

dekar mujhe gham aur tanhaaiyan, 
meri bebasi par muskurati hai woh,
kar ke meri zindagi mein andhera, 
ghar roshni se apna sajati hai woh.

banake mujhe usne beechraah, 
akela chorda hai zaalim ne, 
phir bhi dil se dua nikalti hai, 
pura ho har unka khawaab.

unki yeh berukhi aur yeh bewafaai, 
bhi humne hass kar seh li,
dil ko samjha liya humne, 
chahe jhoota hi sahi... 
ek roz to kiya tha usne mujhe pyaar! 

All Time's Favourite Posts