ab hum tumko kaise bataye apne dil ki baaton ko

ehsaaso ko tumne jaga ke humko jagaya raaton mein,
ab hum tumko kaise bataye apne dil ki baaton ko,

har pal khwaab sajje aankhon mein lekin hum yeh jante hain,
ekk din khwaab bikhar jayenge dil se sajjaya hain jinko,

tumko ab hum kaise bataye dil par ab kya gujre hai,
samjhane par bhi na samjhe tum mere jazbaaton ko,

tumko humne sab kuch maana lekin ab naa jaane kyun,
tumko maan naa paayenge kuch soche hai yeh raaton ko.

haalat kya hai tum naa jaano hum bhi ab kya arz kare,
ek din shayad samjh hi loge tum mere haalatoin ko.

do jismo ke milne ko pyar nahi kahte

jo keh rahe hain hum har bar nahi kahte,
ke jismo ke milne ko hi pyar nahi kahte,

ke khamosh se aankhein hi keh jaati hai sab kuch,
jo kahe labo se unko hi izhaar nahi kahte.

aankho mein unki aashu kajal se bhi hai pyaare,
ke husn ke sajne ko hi sringaar nahi kahte.

jo dil agar hai saccha woh hai milaane waali,
yoh hi khudai unko hum yaar nahi kahte,
jo keh rahe hai hum har bar nahi kahte.

All Time's Favourite Posts