kaash woh gulaab ka phool jo tumne kabhi diya tha sookhne se pehle kho gaya hota

kaash woh gulaab ka phool
jo tumne kabhi diya tha,
sookhne se pehle kho gaya hota,
to aaj achanak kitaab kholne par
mere hosh kho naa gaye hote.

kaash woh bargad ke ped
jispe humara naam likha tha,
aari se kat gaya hota,
to aaj achanak usse dekh kar
mere dil par aari naa chalti.

kaash woh rassi ka jhoola
jispe kabhi hum jhoolte the,
kisi ne utaar liya hota,
to aaj achank usse dekh kar
mera chehra uttra naa hota.

kaash woh saaree tasveerein
jisme hum saath hain,
sab jal gaye hoti
to aaj achanak usse dekh kar
mere dil jalta na hota.

paise ke peeche bhagte bhagte woh apno ko peeche chord aaye the

paise ke peeche bhagte bhagte woh
apno ko peeche chord aaye the,
mil to gaya tha unhein sab kuch
par kabhi santusht nahin ho paaye the.

kho gaye the duniya ki chamak mein
so gaye the rupayon ki khanak mein,
payi thi unhone bas joothi shaan
yeh paaakar hi samajhte the woh mahaan.

zameer aatma ko bech daala tha
saara dhan isliye kaala tha,
paise se sab kuch kharid sakte hain
aisa bacchon ke dimaag mein daala tha.

insaan hokar bhi veh insaan naa the 
humne to dekhe kabhi aise hevaan naa the,
paise se kharid lenge pyaar ko
itne bhi woh paise wale balwaan naa the.

sab kuch hokar bhi woh gareeb the
koi apne naa tha aise naseeb the,
apne bhi unse door rehte the kyonki
upar se hi bas wohi shareef the.

mohabbat ek jua hai

tanhaiyon mein hamara haal woh hua hai,
bistar ki silwaton ko tumhe samajhke chua hai,

yeh jaante hue ki tum paas nahi mere,
nazron se phir bhi bachake jaam ko chua hai,

agar miloge kayamat mein to kayamat hi aaye,
subah shaam honthon pe bas yeh dua hai,

chehra dekh ke hi mera samajh jaoge,
beete dinon mere saath kya-kya hua hai,

zinda hoon kaise main yeh jaan lena,
dhardkano mein teri aawaaz ko suna hai,

samajh paya hoon ab iss khel ko,
daaon pe hai saansein.. ki mohabbat jua hai,

aa bhi jaao ab aur kitna tardpaogi,
bagiya mein dekho naya gulaab khila hua hai,

ram se bhi maanga tujhe rahim se bhi maanga,
mila de jo tujhse bas woh hi khuda hai.

tere diye zakham bharte kahan hain

tune to koi kasar chodi na thi humein maarne mein,
par pyar karne waale aasani se marte kahan hain?

shuruaat se katal hi to karte rahe ho mera,
ab teri kaatil addaon se hum darte kahaan hain?

hogi na tujhe koi taqleef meri wajah se,
aise haseen vaade hum aaj kal karte kahan hain?

jee to karta hai tu jab tak jeeye tadap tadap kar jeeye,
par bhagwaan bhi saari dua poori karte kahan hain?

chaha to bahut tujhe ek khuwaab samajh kar bhula doon,
par sanam tere diye zakham bharte kahan hain?

kabhi miloge humse to puchunga ek hi sawaal...
yeh zameer, aatma, mohabbat aakhir bikkte kahan hain? 

humne ab yeh kissa sunana chord diya

unko bhi jab apni kasme apne vaade yaad nahin,
humne bhi unke khuwabon ko sajana chord diya.

aate hain abhi bhi ashq in aankhon mein,
farq itna hai humne inko bahana chord diya.

uthti to abhi bhi hai kasak dil mein unse milne ki,
humne par ab dil par taras khana chord diya.

woh jagah woh fizaa jahan milte the kabhi,
humne ab un thikano par jaana chord diya.

woh haal kiya hai usne mere dil ka,
humne ab shama jalana chord diya.

door rehkar bhi mujhse.. khush reh lete hain,
humne ab unpar nazar lagana chord diya.

milte to abhi bhi hain kai rehnuma,
humne par ab dil lagana chord diya.

kyon kiya usne aisa mere saath,
humne ab yeh ghuthi suljhana chord diya.

khayi hain jabse usne meri jhothi kasam,
humne tabse kasam khana chord diya.

naa aana kabhi bhool se saamne mere,
humne ab unki soorat pehchana chord diya.

dekhi nahin jaati halat unki tasveeron ki,
humne unko seene se lagana chord diya.

yeh mat soch ke unhe badnaam karenge,
humne ab unpe ilzaam lagana chord diya.

maanga tha unhein kabhi har duaaon mein,
humne ab dua mein haath jordna chord diya

naa woh pyaar naa dosti nibha paaye,
humne bhi unhein ehsaas dilaana chord diya.

bharte hi nahin hai unke diye zakham,
humne ab marham lagana chord diya.

naa jaana mere hanste huye chehre par doston,
humne ab yeh kissa sunana chord diya. 

tune jo bewafai ki kya hum samajhte nahin the

tune jo bewafai ki kya hum samajhte nahin the?
yeh aur baat thi ki hum kuch kehte nahin the,

toda mere dil ko yeh samajh mein aata hai,
chhoda kyon apne dil ko, kya hum wahan rehte nahin the?

aaj lagte hon tumhein gair kitne hi acche,
kal tak meri wafaon par kya tum marte nahin the?

naa jaane kya tujhe humme pasand nahin aaya,
tere ek ek sitam ko kya hum sehte nahin the?

aaj juda hokar bhi teri aankhein khushq hain to kya
kal tak kya mere liye inse ashq behte nahin the?

milte to humein bhi the kai rehnuma,
farq itna hai ku hum dil fenka karte nahin the.

aati hai teri yaad to hum toot ke bikharne lagte hain

jab teri yaad ke zakhm bharane lagte hain,
kisi bahane tumhein phir yaad karne lagte hain,

jab kabhi woh baatein, woh mulakate yaad aati hain,
phir hum tere khyalon mein utarne lagte hain,

apni yaadon se keh do woh ab to na aaya kare,
ab aati hai teri yaad to hum toot ke bikharne lagte hain,

kabhi tum aa jaogi meri aanshuon se pighal kar,
yeh soch kar pal-pal tera intezaar karne lagte hain,

tum aati nahi ho, apni yaadon ko bhej deti ho,
yahan hasrat-e-deedar mein hum har roz aahein bharne lagte hain.

afsosh... ki koi humse wafadar na tha

ghum ki hadhon se bahar nikalna koi muskil na tha,
agar muskil tha to teri yaadon ki giraft se nikalna tha,

humdam bhi hain, humraaz bhi hain iss mehfil mein,
afsosh... ki koi humse wafadar na tha,

chahhat ki raah mein luta diya jo bhi mere pas tha,
phir bhi pyar mera teri nazar mein kabhi aitabar na tha,

humne to hans kar tere waadon par jaan de di,
dum tordne par bhi mere janaze ko tera sahara na tha

kyun ka sawal chhubhta hai ab bhi

dard hota hai dil mein aaj bhi, aanshoo ab aate nahi,
sooni si ho jaati hain aankhein, zakham ab utna satate nahi,

kyun ka sawal, chhubhta hai ab bhi teer rah rah kar,
magar yeh teer ab lahoo ke aanshoo mujhe rulaate nahi,

awaaz teri sunn kar bhi kar deta hoon anshuna sab kuch,
dhawani tere shabdo ki, ab dil ko sehma paati nahi,

dab chuka hai sab kahin ander mere,  jaise ban gaya ho shamshaan,
magar phir bhi kuch jazbaaton mein se saansein jaati nahi.

toote sapno sang rahna achha lagta hai

apni duniya mein rahna achha lagta hai,
toote hain sapne, toote sapno sang rahna achha lagta hai.

chaah badi thi.. dekhun iss duniya ko main,
dekh kar duniya ka haal, akela rahna achha lagta hai.
toote hain sapne, toote sapno ke sang rahna achha lagta hai.

har koi kahe mujhko apna, par sabse mujhko ab dar lagta hai,
woh na samjhe mujhko, main na samjhu unko, 
sab kuch dhoondhla dhoondhla sa lagta hai.

chahe woh bolun main bhi duniya ki boli, 
mujhko khud main rahna acha lagta hai.
toote hain sapne, toote sapno ke sang rahna acha lagta hai.

jab soch kar agge barda, dukh hi maine paaye hain,
shayad yeh duniha mere liye nahi, 
na jaane kyun hum iss duniya main aaye hain,
mujhko chord kar jaana hi sabko phir achha lagta hai,
toote hai sapne, toote sapno ke sang rahna acha lagta hai. 

bani hain deewarein mere dil ke tukdon se

banaya hai mere aashuon par aashiyana apna,
jo aaye bech mein sailaab to shikyat naa karna.

bani hain deewarein mere dil ke tukdon se,
jo dhardkane lage tukde bhi to shikyat naa karna.

rangi hain deewarein mere khun ke katron se,
jo tapkane lage bech mein to shikyat naa karna.

bani hai chatt mere tute hue armaanon ki,
jo gir jaaye bech mein to shikyat naa karna.

laga is par mere sabr ka darwaaza hai,
jo tut jaaye bech mein to shikyat naa karna.

hai kaid mere saansein inn fizaon mein,
jo aaye meri khushbu to shikyat naa karna. 

dil mein ek soonapan lag raha hai

koyi mere tarah mere sawaalon mein uljha
kahin jaag raha hai?

mujhe aisa kyon lag raha hai,
shayad koi dabbe paun se aayega.
ek halki si dastak dega, 
apne hone ka ehsaas karayega,

achhank yeh kya hua hai,
mujhe yeh khalipan kyun lag raha hai?
saare jazbaat kahin kho gaye hain,
naa dukh hai naa dard, naa hi koi chah hai.
ek soonapan sa dil mein jaag raha hai.

kaise jeeyunga sochta hoon,
kaise bharunga yeh khalipan,
kaise bharunga ye khali mann?
kaun nayi rah dikhayega?

shayad koi dabbe paun se aayega,
ek halki si dastak dega, 
apne hone ka ehsaas karayega.

thodha sa pyaar dikhyega,
dil mein ek vishwas dilayega,
mujhe apna banayega,
pyaar ke sapne jagayega,
mera soonapan bhar jayega,
par kaun aayega?

yahi soch raha hoon aur dil mein
ek soonapan lag raha hai...

nothing left but an empty picture frame

nothing left but an empty picture frame,
hopes and dreams that went up in flames.
the picture of you and me ceases to exist,
like a dream disappearing into the mist.

the picture perfect you is an illusion,
leaving me in dis-belief and seclusion.
foolishness prevented me to see
the power you had over me.

tempting me with love and affection,
ending with feelings of rejection.
taking away the picture in my mind,
of a true love I can find.

taking back the love, you proclaimed,
leaving me broken and never the same.
nothing left to reclaim,
but an empty picture frame.

har roz is dil ne ek naya ilzaam liya hai

mohabbat ne dil se mere yahi kaam liya hai,
tujhe yaad kiya hai, sirf tera naam liya hai,

simatt aayi hai duniya ek tere chehre mein,
aankhon ne aankhon se paigaam liya hai,

shama jalti hai tere intezaar mein har raat,
ishq ne mera imtehaan har shaam liya hai,

jis ka nasha na utarega umar bhar mujhe,
pyaar ka haathon mein woh jaam liya hai,

mat puchho kya-kya sitam na sahe humne,
har roz is dil ne ek naya ilzaam liya hai.

aaj phir wohi pyaasi shaam hai

aayi phir wohi pyaasi shaam hai,
phir wohi intezaar ka mukaam hai,

lut gaye yeh neend-o-karaar ab,
aarzu mein tere.. dil hua nilaam hai.

karte hain sawaal yeh lab mujhse,
muskaan kis cheez ka naam hai?

kahaan dhoondhu main us shakhs ko,
la-pata woh, shehar gumnaam hai.

aa ja ke saansein hain pareshaan,
tere bagair lage zindagi ilzaam hai,

sab paa kar bhi kuch nahi hai paas,
bas yeh jazba-e-ishq nakaam hai.

you have no idea the pain that you put me through

you broke my heart, 
you crushed it like dirt, 
but you have no idea how much it hurts. 

you made me cry for hours & hours
but even worse I lost all power
my heart was ripped,

a piece forever lost
but you have no idea–no idea the cost, 

the cost of my love that you got for free
you brought me happiness you brought me glee, 

it made me sad to see you happy
how could you go on.. leave me feeling so crappy? 

I am heartbroken… forever scarred
but your life is wonderful
and my life is barred, 

away from love, away from you,
oh god, you have no idea the pain 
the sadness that you put me through.. 

tera pata to yaad raha khud ka thikana bhool gaye

hum ne aap se pyaar kiya muskurana bhool gaye,
apne dil mein aag lagayi aur bujhana bhool gaye..

deewana ho gaye sanam, tere ishq mein hum itne,
tera pata to yaad raha, khud ka thikana bhool gaye..

socha na tha ulfat kabhi iss mod par laayegi humein,
dil lagaana bhool gaye,  fitrat-e-aashiqana bhool gaye..

kehte rahe hum sab se.. zindagi zinda-dili ka naam hai,
behaal huye khud iss kadar,  jeene ka bahana bhool gaye..

aanshoon teri aankhon ki, girti hai aankhon se mere,
ishq jo humne ki sanam, tum usse nibhana bhool gaye.

hum musaafir safar pe hi chalte rahe

woh suraj ke taraah aag ugalte rahe,
hum musaafir safar pe hi chalte rahe,

woh beete waqt the, unhein aana na tha,
hum saari raat karwat badalte rahe,

dil bhi pighla hai mom ke taraah unke bin,
hum umar ki tarah sirf dhalte rahe,

aashiyana ujda tufaan ki taraah,
kyun kareeb se mere woh nikalte rahe?

manzil aye ishq paane ki ummid mein woh,
mord pe har raah kaise badalte rahe..?

gar nasib mein nahi tum to kaisa nasib,
band-e-ghum mein hi hum roz galte rahe,

hausle past nahi hote hain unke kabhi,
aandhi mein jo diya ban ke jalte rahe..

dard mein khil khilaana seekh liya maine

zindagi tujhe sataana seekh liya maine,
dard mein khil khilaana seekh liya maine,

darr mujhe to ab andheron se lagta nahi,
dil-e-aashiq jo jalaana seekh liya maine,

zindagi mein mere woh aate kyun nahi,
sapnon mein bulaanaa seekh liya maine,

dil ki baatein bayaan kar deti hai nazrein,
ab nigaahein churaana seekh liya maine,

musibaat ke waqt saath chhordte hain sab,
in logon ko aazamaana seekh liye maine,

kuch bhi nahi hai zindagi ka falsafaa,
bemaan hasratein lutaana seekh liya maine,

aage manzil bhi hai, karwaan bhi ahi,
ummedon se dil behlaanaa seekh liya maine..

kiya pyaar par jataaya nahi

chup raha, bataaya nahi,
kiya pyaar par jataaya nahi,

dil ke zakham nasoor huye,
marz ki dawaa karaaya nahi,

barbaadi par dil roya bahut par
kisi ne mujhe hasaaya nahi,

zindagi bikhri, armaan bikhare,
kisse to thik se saltaaya nahi,

kah ke bewafa woh chal diye,
samjhe khud par samjhaaya nahi,

waqt gujra, ek umar gujra,
ashiyaana koi basaaya nahi,

halat dekh kar kahte hain log,
kya pyaar par nibhaaya nahi.

yeh dil hai pyare bachana iss ko

yeh dil hai pyare, bachana iss ko,
chahat ke raaste na dikhana iss ko,

pyar karna buri baat nahi lekin,
kisi bewafaa se na lagana iss ko.

dushmanon se to tum bachte rahoge yakinan,
yaad rakh.. doston se bhi chupana iss ko,

agar koi thukraye to bhool jaana usse,
na maane to, pyar se samjhana iss ko.

kabhi iss par koi sitam na karna,
raaj ki tarha na tarsaana iss ko.

dil ke zakhmon ko koi shaayri kahe

dil ke zakhmon ko koi shaayri kahe to parwah nahi,
dard to tab hota hai jab koi wah wah kare!

bhula di woh tu ne mohabbat ki baatein

nighahein mila kar badal jaane waale,
mujhe tujhse koi shikayat nahi hai,

yeh duniya bardi sangdil hai,
yahan par kisi ko, kisi se mohabbat nahi hai,

jafaaon se tu ne mere dil ko torda,
mujhe tu ne zaalim kahin ka na choara,

huwa mujhko maloom, sab kuch lutaa kar,
wafaa ki yahaan koi keemat nahi hai,

na pehle se din hai, na pehli si raatein,
bhula di woh tu ne mohabbat ki baatein,

sunaaye the jo tu ne jhoote fasaane,
zara si bhi unn mein hakeeqat nahi hai,

karoon main jo faryaad apni zubaan se,
girein toot kar bijliyaan aasmaan se,

main ashkon mein saare jahan ko bhua doon,
magar mujh ko rone ki aadat nahi hai.

kaise keh doon sirf saans se zinda hoon

alvida keh kar jab koi aankhon se door hota hai,
aankhein dekhti rehti hain lekin dil rota hai,

koi kahe na kahe juban se magar
dil mein dard jarur hota hain.

saanse lene se teri yaad aati hai,
na lene se meri jaan jaati hai,

kaise keh doon sirf saans se zinda hoon,
kambakht saanse bi toh teri yaad ke baad aati hain,

kisi ke dil mein basna bura to nahi,
kisi ko dil mein basana khata to nahi,

gunhaa hai yeh zamane ki nazar mein to kya hua,
zamane wale bhi insaan hai koi khuda toh nahi,

pyar ka zajbaa bhi kya khub dikha deta hai,
ek ajnabi chehre ko mehboob bana deta hai,

maine to usse zindagi bhar ka saath manga tha,
ussne to mere dil se khel kar wapas kar diya. 

kahan aye dost chalte jaa rahe ho

kahan aye dost chalte jaa rahe ho,
bohut aage nikalte jaa rahe ho,

chale jaao magar yeh to bata do,
yeh raaste kyu badalte jaa rahe ho?

dilon ko ishq ki sooli chada kar,
kahan ab haath malte jaa rahe ho?

hume samjha rahe ho pyaar se tum,
suno tum bhi badalte ja rahe ho,

utha kar bojh kaandho par jafa ka,
suna hai phir sambhalte jaa rahe ho,

lagi ho chot koi dil pe jaise,
utha kar dard chalte jaa rahe ho,

bada kar dosti raaj  se,
kaha shaayon mein chalte jaa rahe ho?

jaao chale jaao
kabhi na wapas aana,

bohut door chale jaao,
kabhi peeche mudh kar na dekhna,

magar jaane se pehle,
mere ek sawal ka jawab de kar jana.

jab sari duniya soti hai hum chand se baatein karte hain

jab sari duniya soti hai, hum chand se baatein karte hain,
ek khwab hai jo in aankhon mein, har roz sajaya karte hain,

woh raat kabhi to aayegi, jab chand humein mil jayega,
uss raat ko aksar soch ke hum, har raat guzara karte hain,

yeh chand kabhi chhup jata hai, badal mein rooth ke humse jo,
hum aanshun bhar kar aankhon mein, ro ro ke pukara karte hain,

ek roz kabhi to aayega, jab humse nahi roothega yeh,
yeh soch ke ab iss chand ko, hum har roz manaya karte hain. 

kise achha kahu aur kise kahu bura

kise achha kahu aur kise kahu bura,
yaha to juth bhi imandari se bolte hain,

socha kasi jab kisi juth ko juth sabit karna ho to karte kaise,
yaha to sach bhi beimani se bolte hain,

be-nakab kare kaise un mukhoton ke pichhe chippe cheharo ko,
yaha to mukhota bhi chehare se bolte hain,

dekh kar be-gunah nazro ko bas itana sa khayal aata hai,
kis nazar ko be-gunah kahu, yaha to gunah bhi begunahi se bolte hain.

go ahead and take the leap

take a breath..  step into the light
and know that you are going to be alright!

those tears will dry, that heart will mend,
keep one eye out for that angel god will send!

now you feel broken,
but know things will get better!
let God put all of your broken pieces back together.

he is reaching out to you now…
will you take his hand?
his arms are always open!

here is your chance to break free from all your insecurities,
so go ahead..! take the leap.

meri haar jitna teri jeet mein dum nahi

ab tumhein dekhne ka koi arth nahi,
mujhe samajh sake aisa tera dil nahi,

main chaha karu tujko aur tu nafrat 
kare mujko,
ab yeh mujhe manjur nahi,
agar main haara hoon aur tu jeet gayi hai,
to meri haar jitna teri jeet mein dum nahi,

khush naseeb hai woh jise tu mil gayi,
par usmein main kya kar saku kyunki
mere haatho mein tujhe paane ki
koi lakeer nahi.

aanshu nikle aur aankhein zuk gayi par
kab tak yeh aankhein bhigota rahu,
main tumhein dekhu aur tum mujhe na dekho
isiliye ab tumhein dekhne ka koi arth nahi.

main likha karu aur tum padh na sako,
agar padh sako to samajh na sako
to phir mere gazal likhne ka koi arth nahi.

kyun kahani meri itni aadhuri hai

kyun zindagi ne tumse milaya humein,
aur phir iss tarah se juda huye hum,
kyun tumko dil itna chahata hai,
phir har baar tumse milne ko tardpe hai mann.

kyu humare dil ko phir se dhardkana shikhaya tumne,
kyu humari aankho ko woh sapne dikhaye tumne,
jo ummeed pahele se hi mit gayi thi,
kyu us ummeed ko phir se jagaya tumne?

hum to dost the dost hi rahne diya hota,
kyu apne dil ke kone mein bithaya tumne?
kyu har insaan mein tumhein main talashta hoon,
ab to yeh aankhein bhi tumhein dekhna chahti hai.

kyu har aawaz pe main chaunk uthta hoon,
kyu har khushbu mein tumhein khojta hoon,
kyun zindagi se kuch maang nahi sakte?
tumko kabhi aapna keh nahi sakte.

kya iss ke baad bhi jeena aasan hoga?
kya ab hum mar bhi nahi sakte?
bas yahi iss dil ki majburi hai,
kyun kahani meri itni aadhuri hai?
kyun sapne aise dekhein maine,
jiski wajeh se aaj zindagi mein yeh tannhai hai.

the sun is rising

the sun is rising, strong are his rays,
spreads his warmth everywhere, 
all are his ways.

the life we owe to him, he is the reason so bright,
when we are sad from the darkness of life, 
he makes everything seems so right.

his rays are the energy, his heat is the passion,
a new days begins with him, he is the enthusiasm.

so much to do in a lifetime, he makes us feel delight,
everything would seem so dark and dull, without his sight!

when we see the sun rising, 
rises my thoughts and inspirations,

I feel the sun gives us a reason to smile, 
look forward as he is the symbol of motivation.

har sans sulajh rahi thi uljhane ko tum aa gaye

har sans sulajh rahi thi,
uljhane ko tum aa gaye.
jo aag bujh rahi thi,
bhardkane ko tum aa gaye.

har kadam thakka hai, kathin raasta hai,
jeene ka hosla par dard ka silsila hai,
sans tut rahi hai,  jeena dushwaar hai,
ab iss dil ko maut se pyaar hai.

main phir bhi jee raha hoon,
azmane ko tum aa gaye.
main kab ka kho chuka hoon,
batane ko tum aa gaye.

koi kehta yahan zindagi sujj gayi,
main kehta yahan zindagai mitt gayi,
ek tamana yahan, ek tamana wahan,
ek bharosa yahan aur bewafai wahan.

har zakham khil raha tha,
dil jalane ko tum aa gaye.
rashte pe main chal parda tha,
behkane ko tum aa gaye.

har sans sulajh rahi thi,
uljhane ko tum aa gaye.
jo aag bujh rahi thi,
bhardkane ko tum aa gaye.

aaj samane hoke bhi woh kitne anjaane hain

aaj woh samane hain par anjane hain,
phir bhi unko hi chahte hain, 
hum kaise deewane hain?

rote hain na haste hain, na kisi se kehte hain,
woh mere hoke bhi mujhse begane hain,

pas hain itni ki chu le hum unhein,
par dooriya kuch ajeeb hain, sab rishte bemane hain,

hum kya kare.. kya na kare?
aakhir hum na sahi woh to humare apne hain,

aaj samane hoke bhi woh kitne anjaane hain,
phir bhi dil unhein hi chahta hai, 
hum kaise dewane hain. 

tere liye kya kuch kar gaye hum

tere liye kya kuch kar gaye hum,
apno se hi khafa aaj ho gaye hum,

intezaar mein iss kadar kho chuke hum,
na jaane kitne saal aaise jee chuke hum,

tumhein kabhi kyun na bhula sake hum,
yaadon ko dil se kyun na mita sake hum,

aankhon se aanshu kuch baha gaye hum,
mehfil mein aaj tannha tannha rah gaye hum,

saagar ki gehrayinon mein simat gaye hum,
tumhari khushboon se aaj mehak gaye hum,

mohbbat ke kuch raaz ab samjh gaye hum,
bewafai bhi iss kadar tum se sikh gaye hum. 

khwaab huye dhundle aur unhein khoya

yun hi zindagi ko sanjoya,
khwaab huye dhundle aur unhein khoya.

kalam ko shihayi mein duboya,
phir ek ek moti saath piroya,

halke se – kahi chub naa jaaye,
yeh kaanch ke tukro sa dil,
sab tukdo ko saath rakha to
dekho khud ko kabhi tannha naa paaya.

mein aur kuch soch.. gehri sagar si,
iski lehron par kaabu kaise paaun,
jo de iss dil ko sukoon,
woh saugaat aye dard kaha se laun?

ek ek moti se gharda bharta hai,
par daaman jo yeh bhara hi nahi,

jo mila.. usse chaha nahi,
jo chaha.. woh kabhi mila hi nahi,

yun hi zindagi ko sanjoya,
ek ek moti sang piroya.

All Time's Favourite Posts