aashiq hoon deewana na banana muhj ko

kacha deewar hoon thokar na lagana mujh ko,
apni nazron mein basa kar na giraana mujh ko,

tumko aankho mein tasavir ki tarah rakhta hoon,
dil mein dhardkan ki tarah tum bhi basana mujh ko,

baat karne mein jo mushkil ho tumhin mehfil mein,
main samajh jaaunga nazron se bataana mujh ko,

vaada utna hi karo jitna nibha sakti ho,
khawab poora jo na ho woh na dikhana mujh ko,

apne rishte ki nazaakat ka bharam rakh lena,
main to aashiq hoon deewana na banana mujh ko.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts