new year ka intezaar

12 mahino ka intejaar,
phir tum aate ho har saal,
dilon ke beech dooriya,
kuch palon ke liye hi sahi,
mita dete ho har saal,

har koi ek dusre se,
happy new year,
kehne ko hai bekaraar,
mehfilein zama dete ho,
nacha dete ho har saal,

gujre waqt ka andhera,
mita dete ho har saal,
nayi ummeedein,
naye armaan sabke dilon mein,
jaga dete ho har saal,

ab aa bhi jaao na,
mat karwao intezaar,
tere swagat ko,
hum sab hai taiyaar.

lamha-lamha beet gaya yeh saal

lamha-lamha beet gaya yeh saal,
dekho kaisa hai yeh kamaal. 

har jeewan hai, ek mumm,
har ek saans hai, ek sawaal. 

sab ka dard hai dil mein mere,
kaise rakhon mein apna khayaal. 

uljhan se do-chaar sabhi hain,
jeewan sab ka ek babaal. 

nafrat ka yeh zeher na pheley,
pehlay usko dil se nikaal. 

pyaar ka laava mere ander,
iska mere dil mein ubaal. 

be-soor mere geet hain ab,
jamti nahin hai koi taal. 

raaz macha hai toofaan dil mein,
main hi jaanu mera haal.

jo aisa na ho to kya hoga

unke deedar pe bhi jo barsaat na huyi, to kya hoga,
lab khamosh par ankhon se baat na huyi, to kya hoga.

cham-chamate hue sitaare, khushnuma chaand,
rehmatein falak ki hamare saath na huyi, to kya hoga.

sandali saansein, makhmali farsh, narm hawayein,
aise mehekte phoolon ki saugaat na huyi, to kya hoga.

kalaayiyon ka thar-tharaana, palkon ka jhukana,
khwahishon se jo sharm ki maat na huyi, to kya hoga.

sab khwaab hain, sab hasratein hain, saare khayaal 
jo kabhi aisi haseen raat na huyi, to kya hoga.

woh raat bhi tannha thi yeh raat bhi tannha hai

woh raat bhi tannha thi yeh raat bhi tannha hai,
dil mein jo baat thi, woh baat bhi tannha hai.

dil ke aasmaan mein, udaasi ka andhera hai,
gham ke andheron ka ab na koi savera hai,

ankhon mein aanshuon ki barsaat bhi tannha hai,
woh raat bhi tannha thi, yeh raat bhi tannha hai.

bujha hua chaand hai, woh khamosh kinaare,
na neend hai apni, no koi humaare.

baadalon ki taaron se mulaakaat bhi tannha hai,
woh raat bhi tannha thi, yeh raat bhi tannha hai. 

yeh bodh sada jeewan mein ho

yeh deh alag hai, main hoon alag,
yeh bodh sada jeewan mein ho,

nirlipt rahe hum duniya se,
ke jaise kamal keechad mein ho.

apna parichay bhool gaye hain,
swany ko hi kaya maan rahe hain.

jad ki iss maaya ko chordo,
ke dhyaan sada chetan mein ho. 

nirlipt rahe hum duniya se,
ke jaise kamal keechad mein ho.

deh hain nashwar tu avinash,
kyu naa samjhe baat jara si.

aatam to amar hai deh nahi,
ke jalna isse marghat mein ho.

nirlipt rahe hum duniya se,
ke jaise kamal keechad mein ho.

nobody know how far it goes

nobody knows how it got there
the door in the side of the rock
always open. 

nobody knows if the stairs go down or up
does up lead to happiness?
does down lead to sorrow?

nobody knows if there is a light
at the end of the hall
waiting to be turned
on or off .

nobody know how far it goes
forever or does it stop?

nobody knows how it got there
the door in the side of the rock.

its been really long..

its been so long that I had a good night sleep,
its been so long that I had a beautiful dream, 

its been really long... yeah!

since I felt the morning dew on my cheeks, 
since I felt the warmth of your hands,
since I felt the glow in my brown eyes, 
since I felt the softness of the roses,

its been really long.. yeah! 

since I felt your fingers through my hair,
since I felt your smile light up my life,
since I felt your eyes looking at me,
since I felt your lips kissing me, 

its been really long.. I wonder

how life changes in a matter of moments,
how people change their colors so soon,
how relations loose their glow with time, 

I really wonder…

what if things were fine,
what if you really loved me
what if I was a little lucky, 

but its been really long,
since I last dreamt of these false hopes.

chahne par bhi na bhool paaye, lakh jo bhulaya humne

jinke-kan kan mein thi bewafaai ki khushbu,
dil ke aangan mein poudha aaisa mehkaya humne.

gir gaye woh khud hi aapni nazaroo se doston,
jab unka diya zakhm unhi ko dikhaya humne. 

bhale hi khud rote rahe hum sadda sitam se unke,
kabhi kissi baat par unko na rulaya humne. 

yaadein chali aati hain unki jab bhi tannha hote hain,
chahne par bhi na bhool paaye, lakh jo bhulaya humne. 

aaj woh hi sikhlate hain zamane mein tannha rehna,
jinhein kabhi yeh zaalim pyaar tha veeraan zindagi ka,
issliye baad unke saathi, mout ko banaya humne.

pucha jab kabhi humse raaz doston ne khamoshi ka,
aapni mohabbat ka ek alfaaz na batayaa humne.

sab loggo ne yahe jutai doulat zamane bhar ki,
khushiya ke baadle bas ghum hi tha jo jutaaya humne.

tum kabhi na karna mohabbat deewano ki tarha,
har aashiq ko iska kaaran bataya humne.

who, where, what are you?

sometimes I find you a reality,
sometimes a dream,
and sometimes you become an illusion.

who are you?

sometimes I find you deep within me,
sometimes you are around me,
and sometimes you are lost.

where are you?

sometimes I find you touching my heart,
sometimes holding my hand,
and sometimes you are nowhere to be seen.

what are you?

sometimes I find my heart speaking to you,
sometimes my ears listen to you,
and sometimes I crave for your voice.

how are you?

sometimes I find you to be a part of me,
but I always want to be a part of you,
sometimes I find it a fact
and sometimes fake.

who am I to you?

life is like a pack of cards..

life is like a pack of cards..

when fall in love.. its alll hearts,
when married.. its all flowers,

when rich.. its all diamonds,
and when dead.. its all spades.

adatan tumne kiye vaade, adatan humne aitbaar kiya

hans rahi thi yeh duniya, 
jab mera janam hua tha,
ek din badla lunga.. 

mout ke samay hansta hua jaonga 
aur royegi yeh duniya.

adatan tumne kiye vaade,
adatan humne aitbaar kiya,

teri raho mein ruk-ruk ke, 
humne apna hi intezaar kiya. 

ab na mangege rabse dusri zindagi,
yeh khata humne ek baar kiya.

iss kalam ka kamaal to dekho

iss kalam ka kamaal to dekho,
isne jab mehboob ka naam likha,
mere dil ko aur bhi dhadkaya,
phir hal-e-dil paigaam likha,
mere dil ko baichain kiya. 

iss kalam ka kamaal to dekho,
nazron ne jo waar kiya,
aur jubaan se jo na bayaan ho paya,
woh saare jazbaat dil ke,
shayari mein dil ka har paigaam likha. 

iss kalam ka kamaal to dekho,
likha bhi naam uska aur pyaar se usse sajaya bhi,
utar kaagaz par tasveer usse pass apne paya bhi,
dil ki iss bechaini ko khoob shayari mein bayan kiya. 

iss kalam ka kamaal to dekho,
juda huye jab woh humse,
saath isne mera nibhaya bhi
naam likha jab bewafa uska,
hazaar aanshu apne saath hamein rulaya bhi. 

iss kalam ka kamaal to dekho,
kalam ke jariye aaj humne,
phir ek mukaam haasil kiya,
kho chuka tha jin lamhon ko,
phir kagaaz par aaj usse zinda kiya. 

koi bhi ab wafadaar na raha

duniya mein sachha pyaar na raha,
koi bhi ab wafadaar na raha. 

vaade wafa ke karte hain sab,
nibhayein jo aisa yaar na raha. 

nazrein jhuki si, kap-kapate se lab,
pyaar ka aisa izhaar na raha. 

chudiya-kangan to khanakte hain sab,
par pehle jaisa jhankaar na raha. 

piya mann bhaaye bhala kaise jab,
karne ko koi shingaar na raha. 

pathjhad si lagti hai jeevan ab,
zindagi mein koi bahaar na raha. 

chale gaye wapas jaane woh kab,
unka ab koi intezaar na raha. 

hasratein hain adhuri, tutte sapne sab,
apna ab koi dildaar na raha. 

karu kya fariyaad.. sune jise rab,
ab aisa koi pukaar na raha. 

saasein to leta hai raaj
 ab bhi,
zindagi par koi aitbaar na raha.

aye zindagi mujhe kyun itna aazmati hai

na jee paata hoon na hi maut aati hai.
aye zindagi mujhe kyun itna aazmati hai.

jalti har shaam aur bujhti huyi subah hai meri,
yeh matlabi duniya ab mujhe raas nahi aati hai.

na hi koi tamanna hai aur na koi aarzoo rahi,
iss jism mein ab ruh ko badi ghutan si hoti hai.

pardte rehte hain der tak ashq chehre ko mere,
ab jhuthi hansi ki baazi mujhse kheli nahi jaati hai.

aye maut banke mehbooba tu hi laga le gale se,
ki yeh zindagi ab mujhse sambhali nahi jaati hai.

I am waiting for someone

I am waiting for someone to arrive,
whose face will shine to light up my life,

I am waiting for someone to care,
to spur me on and always be there.

I am waiting for someone to love on,
someone to lean on when the going gets tough,

I am waiting for someone to say,
that I am the thought every night and day.

yes I am waiting and that’s all I shall do,
for these are my dreams they never come true.

gar hai jeena to dard se kya darna

hamein ishq gar na hota, yeh dard phir bhi hota,
jo tumhari yaad ka hai, phir zamane bhar ka hota.

ehsaas yeh tera hai, kuch to diya hai tum ne,
gar tum na hum ko dete, koi aur hum ko deta.

gar hai jeena to dard se kya darna,
gar ishq ka na hota, koi aur phir bhi hota.

thak gaya hoon apne-aap se lardte hue

kisi ki yaad mein yeh aankhein kho jaati hai,
pal bhar mein rim-jhim barish ho jaati hai,

papi aankhon se aksar behte hain aanshu,
bahte aanshu dil ke daag bhi dho jaati hai,

unko dekhkar ehsas-e-tanhai jagati hai,
unki bebasi se sari khawaish dil ki so jaati hai,

chahtein meri tum samajhna nahi chahte,
yeh khayal aksar palkein bhigo jaati hai,

kash mere naseeb mein bhi kisi ka pyar hota,
yeh tannhai mujhe khud mein sama jaati hai,

thak gaya hoon apne-aap se lardte hue,
mere bebasi samandar-e-gham mein dubo jaati hai.

kash tum kabhi mere sath hote

mohabbat bhare kuch lamhat hote,
kash tum kabhi mere sath hote,

na rahti yeh tannhai aas-paas mere,
agar hathon mein tere hath hote,

mil kar chalte hum raah-e-zindagi,
har kadam mohabbat ke saugat hote,

waadon ke dhor mein bandh jaate hum,
shayad kuch aise hi apne baat hote,

tere mohabbat ki roshni ke saath mein,
maine guzare apne sare din raat hote.

kisi ne phir iss dil ko dukhaya to kya hua

kisi ne humein phirse rulaya to kya hua,
dil ko ek baar aur dukhaya to kya hua.

tannha the kab se mohabbat ke bawjood,
kisi ne phir se ehsaas dilaya to kya hua.

kismat mein kya tha yeh pata nahi tha,
kisi ne isse bahot bura bataya to kya hua.

sachhe dil se chaahte rahe hum kisi ko,
kisi ne mohabbat mein tardpaya to kya hua.

dil-o-jaan lootate rahe hum raah-e-ishq mein,
kisi ne bewafai se aazmaya to kya hua.

hum ne bhool ki usse samajhne mein,
usne fareb mein behlaya to kya hua.

hasrat hai dil mein ek arse se..

iss shehar ki bheed mein ghum-e-ishq ke maare,
zinda hain ab tak yahi badi baat hai pyaare.

yeh hansta hua chand, yeh tim-timate sitare,
magar yeh dil hai ek jarre ke sahare.

hasrat hai koi pyar se dekhe mujhe,
arman hai koi phool humein bhi dil se pukare.

har subah meri subah pe roti rahi shabnam,
har raat meri raat pe hanste rahe taare.

hasrat hai dil mein ek arse se,
koi mere uljhe naseeb ko saware.

mere gazalon ko mere sath gaao ki andhera hatte

dil ko roshan banao ki andhera hatte,
nafraton ko bhagao ki andhera hatte,

aao dil ki mehfil mein, aao ki andhera hatte,
rukh se julfein hatao ki andhera hatte,

do pyar ke geet gaao aur muskuarao,
sare ghum ko bhulao ki andhera haate,

pyar ke noor se khaiyan pat do nafraton ki,
jahan ko jagmagao ki andhera hatte,

chand se mukhde ki tareef mein kuch kehne do,
mere gazalon ko mere sath gaao ki andhera hatte,

ek “raaj“ hi hai aapke nazaron mein kabse,
jaam-e-ulfat pilao ki andhera hatte.

ab tak iss nadan dil ko main samjha na paya

woh kuch palon ka hi saath main bhula na paya,
apne man ke aaine se unka chehra mita na paya,

maine wada kiya tha har lamha muskarane ka,
iss liye unki yaad mein aanshu bhi baha na paya,

dil dhakta hai mera ab bhi unke hi naam ke saath,
ab tak iss nadan dil ko main samjha na paya,

maksad-e-zindagi meri ban gayi hai woh,
woh chale gaye magar yeh baat apne dil ko bata na paya,

ussi mord pe tannha khada hai “raaj” intezaar mein,
jis mord pe kabhi main aarzu-e-dil dikha na paya.

khud ko yun barbaad na kar

tere ashq bohot keemti hai, unko yun barbaad na kar,
bewafa kabhi na badlenge, unko kabhi yaad na kar. 

ashmano mein dekhne wale, bheegi zamin dekhenge kya,
na bhiga zamin ko ashkon se, milne ki muraad na kar. 

woh raht the inn hathoon ki, pal mein hai to pal mein nahi,
woh sagar sang behjayenge, ruk ne ki faryaad na kar. 

unke paas dene ko, phool nahi sirf kaante hi hai,
banjar zameen nahi, dil tera katon se abaad na kar.

apni gazlon se tera naam mitana aasan nahi

iss dil se teri yaad ko bhulana aasan nahi,
aur darde dil ko dil mein chupana bhi aasan nahi.

kahta hoon sabse koi naata nahi mera tumse,
aur apni gazlon se tera naam mitana bhi aasan nahi.

sochta hoon kyon chup hoon teri bekhabari par,
aur tumhi ko dil ka haal sunana bhi aasan nahi.

woh dard bankar meri aankhon mein rahti hai,
aur usse palkon se bahana bhi aasan nahi.

uski yaadein mere daaman mein nashtar chubhati hai,
aur duniya mein iss daulat ko lutana bhi aasan nahi.

apne dil se uske pyaar ko mitana mushkil hai magar,
aur uske dil mein apni mohabbat phir jagana aasan nahi. 

hum khud ko shayar banaye baithe hain

dil ko ab intezaar nahi kisi khushi ka,
hum ashqon se hi dil behlaye baithe hain.

zindagi ke andhere ko mitane ke vaaste,
dil ke zakhmon ko jalaye baithe hain.

woh baatein jo tardpati hain mere dil ko,
unhein hi seene se lagaae baithe hain.

bewajah tu chhord ke gayi hai jab se,
hum khud ko hi bewafa banaae baithe hain. 

masoom dil ko behlaane ke vaaste,
chahat ko hi mohabbat bataye baithe hain.

mere jazbaaton ko to chura le gayi hai woh,
aur hum khud ko shayar banaye baithe hain. 

andekhi khushi ki gar chahat na hoti

gar mukamal jahan hi mil jata,
to tere bina main behal hi kyon hota.

tu chhord ke hamein na jati sangdil,
to khuda se mera yeh sawal hi kyon hota.

andekhi khushi ki gar chahat na hoti,
to mera jeena phir muhaal hi kyon hota.

teri chahaton se gar muh mord leta,
mere naam se duniya mein bawal hi kyon hota.

maaloom hoti agar badkismati hamari,
to tujhe paane ka khayal hi kyon hota.

mere haale tabaahi ko gar duniya na dekhti,
to tu bewafaai ka misaal hi kyon hota…

khawab mein hi aa ke muskura jaao kabhi

pyar ka rang liye aankhon mein aa jaao kabhi,
dhoon bankar mere geeton par cha jaao kabhi,

door tak roshni rah-e-wafa mein fail jaaye,
mere jazbaat ke sholon ko bhadka jaao kabhi,

chaht-e-wafa mein shayar ban gaya mein,
mere geeto ko mehfil mein gun guna jaao kabhi,

tum aate nahi ho yaado ke tarane bhej dete ho,
bekarar man ko karar dene aa jaao kabhi,

tumhari muskurahtein door hain mujhse main kho gaya hoon,
khawab mein hi aa ke muskura jaao kabhi,

khwaish nahi tamam umar sirf ek pal ke liye,
“raaj” ke ghazal ke liye sanwar jaao kabhi.

kuch hum se na bole jhoot gaye

kuch tum ko sach se nafrat thi,
kuch hum se na bole jhoot gaye,

kuch logon ne uksaya tumhein,
kuch apne mukaddar phoot gaye,

kuch khud itne chalaak na the,
kuch log bhi hum ko loot gaye,

kuch ummeed bhi hadd se jada thi,
ki khawab hi sare toot gaye.

sab raaz nahi hote batane wale

kya hoon main aur kya samajhte hain,
sab raaz nahi hote batane wale,

kabhi tanhaiyon mein aakar dekhna,
kaise rote hain sabko hasane wale.

jeene ki chaah mein kya rakha hai

jeene ki chaah mein kya rakha hai?
dard-e-dil sunaane mein kya rakha hai?

woh to aadat pard gayi hai udaas rahne ki,
warnaa udaas rahne mein kya rakha hai.

mere khwabon ki basti se

mere khwabon ki basti se,
arthi uthte jaate hain,

meri ankhein jise chhu lein,
woh sapna roz marta hai.

parchai bhi saath chord de jab

kis tarah bikhar gaye hain hum,
kisi aaine pe paathar gira ke dekho.

dil roo raha ho jab,
tab muskura kar dekho.

kaise hota hai dard ka ehsaas,
kabhi phool pe kaanta chuba kar dekho.

dil dhardkana band kar de,
tab zindagi ko azmaa kar dekho.

kitne sailaab chupe hote hain aankhon mein,
kabhi samandar ki gehraai mein ja kar dekho.

jab saare sapne toot gaye ho,
tab naye sapne sajaane ki himmat laa kar dekho.

dekho kaisi hoti hai bewafai ki chubhan,
parchai bhi saath chord de jab,
tab andheron mein kadam badhaa kar dekho.

having a good friend is like a treasure

the days of pleasure is not far away
find a friend to move it like hay
the person you can trust upon
the person you can rely upon

more often wherever you go
your friend is with you every time
residing in heart it goes with you
to the destination you need

that’s why it is said that
a friend is always with you
as your heart beats in you
and move along on the dream path

having a good friend is like a treasure
naturally you will be in pleasure. 

khamosh yeh jaban hai

khamosh hum khamosh sa yeh saman hai,
khamosh lab khamosh yeh jahan hai,

kahin toot na jaaye mere sabra ka kinara,
isiliye khamosh yeh jaban hai.

I am the one you can’t forget

the day of my entry was really good,
some replies change my mood,
but I make up my mind to post,
I will be your friend up most,

must say a thing to you,
demanding positive replies from you,
as i am a new member give me support,
I need some help but a little short,

I am sure you will understand,
be my friend and grab my hand,
because I am the one you can’t forget,
and be the one I can bet,

be with me my friends here,
and I will give you reasons to cheer.

All Time's Favourite Posts