mere baba aaj bhi paise bachate hain

purani pant raffu kara pehante jaate hain,
branded new shirt dene pe aankhein dikhate hain,
tutte chasme se hi akhbaar padhne ka luft uthate hain,
topaz ke blade se dhadhi banate hain,
mere baba aaj bhi paise bachate hain.

kapda ka puraana thaila liye,
door ki mandi mein jaate hain,
bahut mol-bhav karke fal-sabji laate hain,
aata nahi kharidte, geyhun piswate hain,
mere baba aaj bhi paise bachate hain.

station se ghar paidal hi aate hain,
rikshaw lene se kat-raate hain,
sehat ka hawala dete jaate hain,
badhti mehngaayi par chinta jatate hain,
mere baba aaj bhi paise bachate hain.

poori garmi pankhe mein bitaate hain,
sardiyaan aane par rajaayi mei dubakk jaate hain,
ac/heater ko sehat ka dushman batate hain,
light-pankha khula chordne par gussa ho jaate hain,
mere baba aaj bhi paise bachate hain.

maa ke haath ke khaane mein ramte jaate hain,
bahar khaane mein aana-kaani machhate hain,
saaf-safayi ka hawala dete jaate hain,
mirch-masala-tel se ghabraate hain,
mere baba aaj bhi paise bachate hain.

guzare kal ke kisse sunate hain,
kaise yeh sab joda, garav se batate hain,
puraane dino ki yaad dilate hain,
bachhat ki ahemiat batate hain,
hamari har maang aaj bhi,
jhat se pura kerte jaate hain,
ha.. 
mere baba aaj bhi paise bachate hain.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts