shayaron ki mehfil mein

shayaron ki mehfil mein, ek salaam hamara ho,
sabke na sahi, par kisi ke labon pe to naam hamara ho,

uncha hai mukaam sabka, isse waakif hain hum,
koi likhta hai khushi mein, to koi taraashta hai gham,

muskurata rahe har koi yehi tamanna hai dil mein,
dilon ko jo chhoo jaye sabke, woh paigaam hamara ho,

shayron ki mehfil mein koshish to rehegi, 
hamesha kuch achha likhne ki,
dil ke jazbaaton ko, shabdon mein badalne ki,

gar na utar paya raaj, umeedon pe khara aapki,
to jo hona chahiye naadani ka,
wohi anjaam hamara ho,

shayaron ki mehfil mein, ek salaam hamaara ho,
sabke na sahi, par kisi ke labon pe to naam hamara ho. 

benaam tha rishta tera aur mera

bahut khubsurat tha wo manzar
jab tune mujhe apnaya tha,

lagta tha mujhko jaise tujhe,
khuda ne sirf mere liye banaya tha.

duniya ki nahi ki parvaah,
jab tune mera sath nibhaya tha,

teri baatein te-ri harkaton ne,
mere dil ko churaaya tha.

aadat ho gayi thi tu meri,
har sans mein tujhko basaya tha,

kurban kiya tha sab kuch tujh par,
apna khuda tujhe banaya tha.

karta gaya main teri har baat par yakin,
jism-o-jaan bhi tujh par hi lutaaya tha,

main samajhta tha tujhko sirf aapna,
aur tu to kisi aur ka hokar aayi thi,

teri duniya thi mujh se alag,
par meri duniya mein sirf tu samayi thi.

kar naa payi tu raaj se wafa,
jab tune apne raaj pe ilzam lagaya tha,

deti rahi tu mujhe pyaar ki kasme,
teri kasmo ko kab tune nibhaya tha?

kahti thi karti hoon tujhse be-intaha pyaar,
pyaar ka matlab kab tujhe samajh aaya tha?

benaam tha rishta tera aur mera,
badnam usse tune banaya tha.

chalte rahte hain tannha raaston par yuhi

yuh to naye logo se itni doori nahi hoti,
jo bichde hain unki kami puri nahi hoti,

chalte rahte hain tannha raaston par yuhi,
manzil ko pane ki koshish puri nahi hoti,

karte nahi hain ab to hum teri zustju bhi,
lekin teri yaadon se nind puri bhi nahi hoti,

hass kar gale laga leta hoon ab apne gum ko bhi,
sach hai ki ek tamanna bhi meri puri nahi hoti.

aa dil chirke dikhata hoon

bahut tadpata hai yeh pyaar ka dard,
phirbhi usse main chipata hoon,

tujh ko naa karunga badnam,
lo barbad main ho jata hoon,

sab kuch lutaya tere pyaar pe maine,
bache aanshu jo teri yaad mein bahata hoon,

kho na jaun kahi gham ke andhero mein,
yeh sochkar teri yaadon se dil ko jalata hoon,

bas ek baar tu aa mere paas ki,
dil ki tadap mein tujh ko dikhata hoon,

tujhse hi kiya hai maine sachha pyaar,
aa dekh dil chirke dikhata hoon. 

meri gazal mein

tere pyaar ki pyaas hai meri gazal mein,
tujhe kaha vishwas hai meri gazal mein,

tere bare mein likhna bahot mushkil hai lekin,
phir bhi kitna hassin prayas hai meri gazal mein,

tu mujhse juda hai,
is baat ka ghum nahi hain mujhe,
par tera rahna khaas hai meri gazal mein,

yuh adhuri gazal pardh kar udaas naa ho,
tu kaha udaas hai meri gazal mein?

tujhe har ek labz mein sajaya hai maine,
tera kaha khali ahesas hai meri gazal mein,

yeh baat aur hai ki tu dil tak naa pahoch saki,
phir bhi tera hi intezaar hai meri gazal mein,

raaj sirf pyaar ke bare mein likhta yeh sach nahi,
uski nafrat ka bhi nivaas hai meri gazal mein.

sath ek pal ka diya phir uski niyat badal gayi

bekarari badhte badhte, dil ki fitrat ban gayi,
jisko chaha usko khona, dil ki aadat ban gayi,

khatam kar de aye raaj, ab shaam-a-gam ki dastan,
kanch ki thi ye mohabbat, thokaro se dar gayi,

hasratein dil ki hamare dil mein dabb ke rah gayi,
sath ek pal ka diya, phir uski niyat badal gayi,

dekh un aankhon mein bhi aanshu nazar aane lage,
hamara tuta tha dil, kyon aankh teri bhar gayi?

socha bhi naa tha

socha bhi naa tha
aise lamhon ka samana hoga,
manzil to samane hogi, 
par rasta naa hoga

kuch saal purana yeh kissa

kuch saal purana hai yeh kissa hamara,
paa liya tha unke pyaar ka sahara,

naa dekha phir kabhi piche murdkar dobara,
kismat ne lekin aisa chakkar ghumaya,

toot gaya mehalon ka woh ghar hamara,
naa saathi raha, naa sahara raha,

sheesh mahal ka sapna adhura hi reh gaya.

bardi aarazu thi ek mulakaat ki

na jee bhar ke dekha na kuch baat ki,
bardi aarazu thi mulakaat ki,

kayi saal se kuch khabar hi nahi,
kahaan din guzaraa kaha raat huyi,

ujaalon ki pariyaan nahane lagi,
nadi gungunayi khayaalat ki,

main chup tha to chalti hawaa ruk gayi,
zubaan sab samajhte hain jazbaat ki,

sitaaron ko shaayad kahbar hi nahi,
musaafir ne jaane kahaan raat ki,

mukaddar mere ab kya soch raha,
barasati huyi raat barasaat ki.

kitna pyara dil tha mera

kitna pyara dil tha mera,
dard mein kaise bheeg gaya?

hansta har dum rehta tha jo
rote rote bheeg gaya,

khusion se daman jhatak ke,
ghum ka matlab sikh gaya,

kaise main haar gaya,
kab kaise koi jeet gaya,

kitna acha waqat tha jo
kitna jaldi beet gaya.

tere naam anek tu ek hi hai

har desh mein tu har vesh mein tu,
tere naam anek, tu ek hi hai.

sagar se utha badal bankar,
badal se gira pani bankar,

phir nahar bana, nadiya gehari,
tere bhinn prakar, tu ek hi hai.

har desh mein tu har vesh mein tu,
tere naam anek, tu ek hi hai.

chiti se annu parmannu bana
har jeev jagat ka rup liya,

kahi parvat-vriksha vishal bana,
shiv shambhu mere tu ek hi hai,

har desh mein tu, har vesh mein tu,
tere naam anek, tu ek hi hai.

yeh drishya dikhaya hai jisne,
woh hai gurudev ki punya kripa,

bas main aur tu sab ek hi hai,
har desh mein tu har vesh mein tu,
tere naam anek, tu ek hi hai.

aye zindaagi suno mujhe koi fark nahi pardta

aye zindagi suno mujhe fark nahi pardta,
tum ek pal ke liye ho ya ho sau saal ke,

hogi chhoti si bayaani,
ya banegi koi lambi kahani,

ya mit jaaoge khaak banke,
ya amar honge itihaas banke,

ya khushi se bhara har din hoga,
ya gum ka mela laga hoga,

ya kaante hi milenge raah mein,
ya bichhe honge phool pyaar ke,

kya fark pardegain baato se,
nahi bhaagna mujhe kahi bhi halaato se,

bas ek hi ichha hai meri
jab tak raho tum sang mere,

dekh sakoon, pehchaan sakoon,
zinda-dili se jee sakoon har pal,

chaahe khushi ho ya gum,
bas jaaye mere jehan mein
chhuu sakoon har haalat mein,

aye zindaagi suno mujhe koi fark nahi pardta,
tum ek pal ke liye ho ya ho sau saal ke.

kaash meri ek baat par saara shamaa badal jaaye

kaash mere ek awaaj par
yeh duniya dol jaaye,
abhi hai shaam
abhi subah ho jaaye.

kaash meri ek baat par
saara shamaa badal jaaye,
har insaan ke chehare par
muskaan fail jaaye.

kaash meri ek chaah mein
itna wajan ho jaaye,
adhure kore sapno mein
har rang bhar jaaye.

kaash yeh duniya
mere bas mein yun ho jaaye,
koshish rahegi meri
koi raaj phir na kho jaaye.

kaash waqt phir se
apani baat na duhraaye,
jis raah mein bardhta tha kabhi
ussi par kadam laut jaaye. 

sach meri bhool hi to hai

kitni aasani se keh diya tha,
mera pyaar ek bhool hai,
mere armaan, mere khawaab
yeh sab ek bhool hai,
kitni berahami se keh diya tha...

haan aaj maanta hoon,
yeh ek bhool hi hai,
pyaar se pyaar ki bhawana,
meri apni bhool hi hai
sach kaha tha,  jaan gaya hoon.

jo do bund aanshon hain gire
woh bhi ek bhool hai,
jo chitkaar uthi dil se
ek bhool hi to hai.

bhool hi to hai jazbaat yeh,
par kya karoon,
agar yeh bhool hi hai,
phir bhi baar-baar kyu hota hai?
kyu har baar usi bhool par chalta hoon?

kabhi sawaal bankar,
to kabhi jawab bankar,
khud se lardta hoon,
yeh bhi to ek bhool hai,
haan sach mein meri bhool hai.

har baar maaf karta hoon,
tujh ko nahi khud ko,
main khud hi bhool karta hoon,
khud rota hoon,
khud se pochhata hoon.

aakhir har baar,
har baar aisa kyu karta hoon
jaan boojh kar, anjaam jaankar
nahi sochata hoon,
sach meri bhool hi to hai.

yeh shaam bas yahi thehar jaaye

na jaane kaun hai woh jise,
reh reh kar mera dil bula raha hai.

har ek surron mein alag sa nasha hai,
aaj to hawao mein bhi apni hi adda hai,

yun fizao ka aana,
palko ko band kar dheere se muskurana,
door jaakar mujhse,
phir dheere dheere se mere nazdik aana,
kasma se meri saanso ko aur teji se barda raha hai.

shayada aaj koi shks mujhse milne aa raha hai,
ek ajeeb si khusi aankhon par chaayi hai,
barde dino ke baad aaj yeh rangat aayi hai,

kaash yeh rangat yahi thehar jaaye,
ek pal de kar mujhe zindagi bhar hansaye,

kaash yeh rangat yahi thehar jaaye,
dua karo aye doston,
yeh shaam bas yahi thehar jaaye,
yeh shaam bas yahi thehar jaaye.

yuh hi chup rah gaya

tum mujhe bhool gaye, main tumhe bhula na saka,
tum door chale gaye mujhse aur main rok bhi na saka.

yuh hi raste mein mile mujhe,
par main tumhe kuch keh na saka,
dekh ke tumhari khushi main bhi rah na saka.

dil ko samjha ke phir se tumhare samane gaya,
par tu aaj meri nahi yeh main sah bhi na saka,

kuch likhne ke liye kalam uthaya par kuch bhi likh na saka,
kash tum bhi kabhi yaad karo mujhe yeh fariyad bhi kar na saka,

bas yuh hi chup rah gaya,

apne dil ka haal kabhi kisiko suna na saka,
tumhe jeevan sathi banane ka sapna adhura hi rahe gaya,
aur isiliye to main maut ko bhi mil na saka. 

itne ghum ke saaye lage hain mere peechhe

mujhko udaas dekh kar kyon pareshaan hai,
yeh nami to meri aankhon ki pehchaan hai,

itne ghum ke saaye lage hain mere peechhe,
khud maut meri zindagi pe hairaan hai,

kehne lage woh mere dil ke tukde dekh kar
dekha hai kahi.. ye kiska saamaan hai?

beh rahi hai kastiyan dil ke kinaaro par,
dil ke beech-o-beech to kaayam toofan hai,

ek imtehan ki kahani rahi zindagi meri,
ab anjaam-e-zindagi bhi ek imtehaan hai,

kehte ho mere mehboob ko bewafa aye logo,
kuch khauf karo mere bhi moonh mein zabaan hai.

chalna jara sambhal ke

yeh shehar hai zaalim bada, chalna jara sambhal ke,
milte hain log yahan, chehare badal-badal ke,

zindagi sasti hai bahut, maut ki sadkon par,
phirte hain kaatil yahan, iraadein liye katal ke,

mazloom loot-te hain yahan kanoon ke rakhwalon se,
khakhi wardion mein milte hain looterein chambal ke,

khoon se range hain haath safed-poshon ke to kya,
bichte hain dariche magar un kadmon par makhmal ke,

aabru ke shikariyon se sehma hua har aanchal hai,
sharmate hain in vehshiyon se, darinde bhi jungle ke,

khudgarz hua hai insaan tarakki ki andhi daud mein,
aage bardhte hain log yaha, ek duje ko kuchal ke.

aaj koi bhi mere paas na tha

aaj kuch likhna chaha, to main likh hi nahi paya,
kya marr chuke hain ehsaas saare,  jo shabdon ka sokh hai chhaya?

kyu chah kar bhi meri kalam, aaj chal hi nahi paayi,
koi anjaana khauf hai dil mein, ya anjaani khushi hai aayi?

aaj utha ke bhi kadam apna, main neeche rakh nahi paya,
kyu aaj chahte huye bhi, main ek kadam bhi chal nahi paya,

mord kaisa liya hai zindagi ne, yeh samajh paana mushkil hai,
aaj lag raha hai jaise, mujh mein hi chhipa mera kaatil hai.

bechaini iss kadar badh jayegi, mujh ko yeh ehsaas na tha,
aaj main bilkul tanha tha, aaj koi bhi mere paas na tha.

khwaish jo ki thi dil ne khwaish hi rah gayi

woh kya hassin waqt the yeh mahaj kahne ko tha,
dard saari umar bhar phir mujhe sahne ko tha.

khwaish jo ki thi dil ne, khwaish hi rah gayi,
hua veeran woh saher jo kabhi basne ko tha.

darne laga hoon apni hi parchayiyon se main,
shikanja maut ka kuch is kadar kasne ko tha.


log bichrde to aise bichrde, bichardte chale gaye,
wajood mera aaj iss kadar mitne ko tha.

rok liya kalam halaat ne mera warna,
raaj phirse aaj ek ghazal likhne ko tha.

jab koi nahi hota

main kerta hoon dil ki baat,  jab koi nahi hota,
keh jaata hoon sare raaz,  jab koi nahi hota,

iss mehfil-e-masti se hai mera kya waasta,
main tanha nahi hota,  jab koi nahi hota,

rakha hai tujhe sambhal ke, nigahon mein apni,
main kholta hoon aankhein,  jab koi nahi hota,

kehta raha main haal-e-dil, aur khud hi sunta  raha,
yun hi behlata hoon khud ko,  jab koi nahi hota,

tune kiya rushwa, par rakha hai tera bharam humne,
main ro leta hoon jee bhar ke jab koi nahi hota. 

main to ek samunder hoon

main to ek samunder hoon
jis ki tahon ko sametna mumkin nahi,

hazaroon loog aate hain,
apne dard, apne raaz sammete,
mere ander gumm ho jate hain,

kabhi hansta, gungunata deriya aata hai,
apni hasti se be-khabar aur
be-khabri mein mujh mein mil jata hai,

kahi se ghusse mein bal-khati,
bekhudi se machalti nadi aati hai,

chupke se meri aaghoosh mein so jati hai,
mahino ki rahein taye kerta karwaan,
hazaaron sapne sajaye aata hai,

iska mehal numa lehar,
sahil ko kuch door choodne ke baad,
khamooshi se mujh mein panaah dhoond leta hai.

sab ke armaan aur sapne
issi khamoshi se soo jate hain.

main to ek samunder hoon
main to har ek ka gum sahne ki takat rakhta hoon,
aur har ek ko gale lagane ki sahuliyat rakhta hoon.

lekin kya kabhi kisi ne mere dard ke bare mein soocha hai?
kya kabhi kisi ne meri tardap ke bare mein soocha hai?

jab mera dil phat-ta hai to kya hoota hai,
meri ek chinghaad si sunayi deti hai,
jis se sari duniyan kaanpti dikhayi deti hai,
aur mere jazbaat ke raile mein
har cheez fana hooti dikhayi deti hai.

kya nadi, kya dariya,
kya yeh dharti, tilla aur pahard,
sab khamooshi se mujh mein samane lagte hain.

phir meri khamooshi,
badi khamooshi se laut aati hai
aur har koi mere kadmoon mein

apne rudan le ker aane lagta hai
kyuki main to ek samunder hoon

har ek phir se mujh mein samane lagta hai
apni apni rudan sunane lagta hai aur

main phir se sab ko gale lagane lagta hoon
kyuki main to ek samunder hoon

phir main hoon aur meri tanhai hai

phir main hun aur meri tanhai hai,
aur yeh kaun hai jis ne
teri yaad ki shamaa jalayi hai?

jab shaam ke saaye badhne lagte hain,
kuch aajeeb se jazbe bikherne lagte hain,

kabhi hathoon ki ser-sarahat pairo par,
kabhi sar ka ehsas kandhoon par,

kabhi tumhari behti taaiz sansein,
mil jaati hain meri saansoon mein,

kabhi tumahre badan ki khushbu,
samma jaati  hai meri saansoon mein,

yeh kis ehsaas mein kho jata hoon,
yeh kis khayal mein gumm ho jata hoon,

kabhi tumhare khanakte kah-kahe,
goonjte hain mere kanon mein,

kabhi tumhare aanshuon ki nami,
mehsoos hooti hai mere galon mein,

sharma kar yun kabhi
jhuke palkon se dekhna tera
aur achanak hath pakad kar,
ghabra kar baahon mein sametna tera,

phir tere badan ki khushbu,
aur sansoon ki garmahat mein,
tere khawabon mein kho jata hoon,
issi kash-ma-kash mein kuch dair soo jata hoon.

ekkayak tere hathoon ke sparsh se uth jata hoon,
aur phir main hoon aur meri tanhai hai,
yeh kaun hai jis ne teri yaad ki shamaa jalayi hai.

waqt chalta raha

waqt chalta raha,
zindagi jalti rahi,
dard uthta raha
aas mit-ti rahi.

waqt chalta raha,
aur waqt chalta raha,
chandni darrti rahi,
chand chupta raha.

shamma ruthi rahi,
magar waqt hansta raha,
aur waqt chalta raha,
mohabbat bikti rahi.

ishq takta raha,
be-basi hansti rahi,
khawaish hath malti rahi,
aur waqt chalta raha.
ruswai hoti rahi,
yaadein chubhati rahi,
ehsas ghut-ta raha,
zindagi khatm hoti rahi.

aur waqt chalta raha aur phir
zindagi khatm ho hi gayi,
magar waqt chalta raha. 

kuchh iss tarah tanha ho gaye hum to

chand chhune ko woh machalte rahe,
hum yahan sham ki tarah dhalte rahe,

wafa ke naam pe woh wafa badalte rahe,
hum to sirf mayusi se hath malte rahe,

hum to bas iss raste pe baithe hi rahe,
aur woh to dusre raste pe chalte rahe,

kuchh iss tarah tanha ho gaye hum to,
aankh se apne aanshu yun hi nikalte rahe,

woh to parwane hain, unka thikana kya,
aag ki tarah hum zindagi bhar jalte rahe.

zindagi safar hai tanhaiyon ka

zindagi safar hai tanhaiyon ka,
dil mein chhupi kayi geherayion ka.

duaon ke liye aab haath uthte hain humare,
jo asar nahi hota aab dawayion ka.

khoyi huyi nazar aur ankhon ki nami gawahyi de rahi hai,
ke silsila zahir hai apno ki riswaiyon ka.

dulhan ki tarah sajja rakha hai,
ashkon se teri yaadon ko,
jalane ke baad hi ada hongi rashm-e-vidayion ka. 

zindagi ki kardwi sachhai

phir baithe hain akhele,
par mann mein shanti bhi samayi hai,
talash thi jis manzil ki,
aakhir kar wohi humne aaj payi hai.

phir bhi ek bechaini si
bhi hai dil ke kisi kone mein,
kya kush hoon main iss manzil se,
jo zindagi ne hume dikhayi hai?

kya badla hai akhir?
kuch bhi to nahi anth mein,
pehle bhi the akhele hum,
mili aaj bhi to hume tanhai hai. 

ankhon mein sapne lekar,
chal pade the apni manzil ki aur,
kya jana tha 
humne to sirf,
khwabon mein hi zindagi basayi hai. 

ek manzil hi nahi anth zindagi ke raston ka
ki chup chap baith gaye,
manzil se aage bhi chalna hota hai,
yehi zindagi ki kardwi sachhai hai.

chalo raaj agge ke aur bardo
apni zindagi ki raha mein,
bahare to mili nahi
bas charon aur veerani si chayi hai.

aab thakk gaya hai raaj

zindagi ki kitab haath mein zindagi ko pardne lage,
jee rahe the phir se iss zindagi ke panno ko ultate huye,

har ek panne pe dafan thi purani purani kahaniya,
har ek lafz ro raha tha gum ka afsana sunate huye,

kuch dard kuch zakhm, kuch apno ke kuch gairo ke,
phir se mehesoos kiye woh sab, kuch ashkon ko bahate huye,

kuch paya hi nahi humne, zindagi se bas khoya hi hai,
phir bhi har raha pe, chalte rahe hum muskurate huye,

aab thakk gaya hai raaj, aab aur nahi chala jata,
vida karo hume dosto, abb aur nahi jeeya jata.

har safar pe tanha hi reh jaata hoon

dil kehta hai to kuch likhta hoon
dil rota hai to kuch likhta hoon

dil tanha hai tab kuch likhta hoon
dil hasta hai to kuch likhta hoon,

gulam bana hoon mein iss dil ka
iss dil ke zulm main sehta hoon,

jis rah pe dil ye mujhe le jaaye
uss rah pe yuh hi chala jaata hoon,

iss dil ki baaton mein aakar
kyun uske sapne mein bunta hoon?

hai nahi woh mera, jaane hai yeh dil
kyun usko paane ki aas rakhta hoon?

kyun dil ki baaton mein aakar
mein sachhi preet nibhaata hoon?.

kyun dil ki baaton mein aakar mein
bewafa-aye-yaar ka intezaar karta hoon?

phir dil ki baaton mein aakar
har baar main ghum hi paata hoon,

iss dil ki raah pe chalkar khud ko,
har safar pe tanha hi reh jaata hoon,

iss dil ki baaton mein aakar
bin manzil ke safar pe chalta jaata hoon. 

dosti bas aajkal waqt gujarne ka zariya hai

kaha dhudhe dosti ko
ab hum dost kisse kahe?
jinhein maana tha sabse kareebi,
wohi hume dhokha dete rahe.

kal jo karte the baatein badi badi dosit ki,
aaj hume dekh munh fer liya karte hain.
hum pichde rahe.. badal gaya hai zamana,
naye zamane ke log aisse hi shayad
doston se dosti nibhaya karte hain.


yeh bhi sach hai ki aaj
kaun kaha kiska hota hai?
dosti bas aaj kal mehaj
waqt gujarne ka zariya hota hai.

sometimes I do feel you right beside me

“shall I come over….?”
“now…?”
“yes…. why not?”
“but how..? how can you be here”
“you want me to..?”
I would love to… but how..?”
I wanted to be there too
to be with you
right then and there
over at your side

chat screen went silent
just the cursor
a little vertical black line
blinking… blinking…. blinking…

like 
I could feel your pulse
like 
I am just there
holding your face in my hands
those eyes open wide

“just close your eyes…
count ten seconds…
thousand one… thousand two…
see wheather you can feel me
right beside you…..”

so began a ritual…
no matter where 
I am
no matter what is going on around me
right at seven in the evening….

counting my ten seconds….
with my eyes closed….
yes… some days…
I do feel you…. right beside me…!

khamoosh yaado ke siwa ghar mein raha kuch bhi nahi

socha nahi acha bura, dekha suna kuch bhi nahi,
manga khuda se raat din, tere siwa kuch bhi nahi,

socha tujhe, dekha tujhe, chaha tujhe, pooja tujhe,
meri khata meri wafa, teri khata kuch bhi nahi,

jispe humaari aankh nahi, moti bhichhaye raat bhar,
bheja wohi khagaz usse, hum ne likha kuch bhi nahi,

ek sham ke saye talay, bethay rahe woh dair tak,
ankhon se ki baatein bahot, moonh se kaha kuch bhi nahi,

ehsaas ki khushbu kaha, awaaz ke jugnoo kaha,
khamoosh yaado ke siwa, ghar mein raha kuch bhi nahi,

do char din ki baat thi, dil khak mein mil hi gaya,
jab aag par kagaz rakha, baaki bacha kuch bhi nahi.

marna bhi mushkil hai, aur jeena bhi lachari hai

dard yeh sara keh kar bhi, kaisi yeh bekarari hai,
sare anshu baha diye par, aankh abhi bhi bhaari hai.

sailab-e-ask mein bhi jo, tasweer kahi tumahri hai,
hum ko paar lagayegi woh, kashti wahi humari hai.

dil to pehale de chhuke, ab zindagi ki baari hai,
tu mile na mile humein, apni puri tayaari hai.

jaan humein jab doge tum, tab ki tab hi dekhenge,
kehne sunne mein lekin, yeh baat bahut hi pyari hai.

karz-zindagi ke aage, har shakhs hi bhikari hai,
marna bhi mushkil hai, aur jeena bhi lachari hai.

ashk jo zahir kar den tab hi, gum ki kimat ayegi,
iss deewani duniya ka sara, karobar ishtehari hai.

teri zafa teri wafa mein, kya rakhein aur kya chordein,
dil bata tu hi mujh ko, kaun sa kaam tujhe pyari hai.

mujh ko ghumhin dekh ke tune, anshu kyon bahaye hain,
kaun si aag lagani hai, yeh kaun si chingaari hai.

wafa ki baat karoon to woh, duniyadari ki baat karte hain,
unki nazar mein aaj bhi yeh ishq koyi bimaari hai.

mere yeh anshu thukra ke ab, woh jaane kis aur gaye,
jaate jaate itna bole yeh, jheel bhi ab to khaari hai,

abhi unpe marne do, baad mein main jee bhi lunga kal,
jeene jaisi baaton pe, kyon itni mara-mari hai.

unko jaan gaye jab se, jaan yeh unmein hi rahti hai,
itna kab main janata hoon ki, jaan kaise ab pyari hai.

jaan se bhi jo pyare the, hum sath na unke ja paye,
aazad nahi ab.. hum pe sasnon ki pahredari hai.

marne ki tum baat karo to, hassi humein to aati hai,
dard humein bhi milta hai, tannha bhi raat guzari hai.

khali nahi milta koyi, khud hi yeh bojh uthana hai,
duniya se phir kyon bolein, dard bahut hi bhaari ha.

to sadmein deti ja, mujhko bhi tay kar leane de,
teri kitni tayari hai, meri kitni tayari hai.

ghum ki kalam lagayi thi, anshu ke phool khile hain ab,
tere joor ko raas nahi, yeh zakhmon ki phulwari hai.

tu humein na mili kabhi, lekin hum zinda to hain,
main jo tujh se haar gaya, tu bhi mujh se haari hai.

hal nahi jiska koyi us par charcha ka kya maane,
kaise din kaata hai humne, kaise shaamein guzari hai.

pahli baar hua hai aisa, ro kar bhi chain mila nahi,
ankh to halki hai ab lekin, dil abhi tak baahri hai.

dard mile har din naye, tab bhi hum to zinda rahe,
ghum mein na jaan gayi, kaisi hum ko bimari hai.

beeti hai dard-e-tufan abhi, na meethi meeethi baatein karo,
neend se jaag gaya lekin, baki abhi khumari hai.

meri wafa bhi khata meri, teri khata pe hai enaam,
main kyon itna sada hoon, tu kyon itni pyari hai.

kitne hi rang mile isme, kitni hi khushbu paayi hai,
mausam jo keh daale tune, ghazal nahi phulwari hai.

imaan se apne gir gaya hai aadmi

insaan se haiwaan ab ban gaya hai aadmi,
berahmi se aadmi ko maar raha hai aadmi.

ghar se nikalna bhi ab mushkil lagta hai,
har pal darr ke shaaye mein ji raha hai aadmi.

hindu bhi kush hai aur muslmaan bhi kush,
chorahon par roz ktal ho raha hai aadmi.

mandir aur maszid mein bhagwaan khamosh hain,
aaj ke daur mein khud bhagwaan hai aadmi.

begunahon ke khoon se manate hain holiyan,
imaan se apne gir gaya hai aadmi.

All Time's Favourite Posts