inn khwabon ke sahaare kuch sapne hain hamaare

inn khwabon ke sahaare, 
kuch sapne hain hamaare, 
iss dil mein basi tum ho, 
kyun samjhe na ishaare, 

inn khwabon ke sahaare, 
kuch sapne hain hamaare. 

tu yun milogi ek din, 
dil mein basogi ek din, 
yeh sath yun rahega, 
har zakhm yun bharega,

inn khwabon ke sahaare, 
kuch sapne hain hamaare. 

iss dil mein basi tum ho, 
mil jaayenge kinaare, 
inn khwabon ke sahaare, 
kuch sapne hain hamaare.

tu yun milogi ek din, 
dil mein basogi ek din,
yeh pyaar yun rahega,
har waqt yun katega,

inn khwabon ke sahaare, 
kuch sapne hain hamaare.

tere khayal teri baatein

tere khayal, teri baatein,
kati jinme humne lambi raatein,
kabhi muskuraye kabhi roye,
tere khayal, teri baatein..!

woh muskurana tumhara aur
khamosh labo se izhaar-e-mohabbat,
tere khayal, teri baatein
kati jinme humne lambi raatein...!

woh aankhon se jhalakta pyar aur
dil mein chupa hua ikraar-e-wafa tumhara,
tere khayal, teri baatein,
kati jinme humne lambi raatein..!

woh tumhari kahi-ankahi hazaaron baatein,
aur zikr-e- guftugu gairon ka,
tere khayal, teri baatein,
kati jinme humne lambi raatein..!

woh nakamyaab koshish meri tumse door jaane ki aur
phir saamne mere nazrana tumhare pyar ka,
tere khayal, teri baatein,
kati jinme humne lambi raatein..!

woh meri khamosh mohabbat pe karam aur
rehna sada mere hum-kadam tumhara,
tere khayal, teri baatein,
kati jinme humne lambi raatein..!

woh milna tumhara,
aur kehna alvida-phir milenge,
woh andaaz-e-bayan tumhare pyar ka,
tere khayal, teri baatein,
kati jinme humne lambi raatein..!! 

chal mere yaar tujhe aaj chand par le chalta hun

chal mere yaar tujhe aaj, 
chand par le chalta hun,
wahan na rahega koi dekhane wala,
koi zamana na rahega khuch kehne wala,
chal mere yaar tujhe aaj,
chand par le chalta hun...

har koi kehta hai chand sa
khoobsurat koi nahi,
to chal aaj usse bhi dihkha doon
ki tujhsa khoobsurat koi nahi,

le chal raaj apne pyaar ko chand pe,
us chand mein to daag hai par,
raaj tera chand to bedaag hai

chal raaj tere chand ki khoobsurati se,
us chand ke daag ko mita deta hun,
chal raaj aaj us khuda ke
chand ko bedaag bana deta hun..!!

aao mil ke iss jahan ke dard ko baantein

jism ke ek kone mein dil hai hum sabke paas,
maloom nahi zinda hai ya marr gaya iss ka ehsaas,

samajhte hain hum sab khud ko darya dil,
lekin raah mein ek chota bacha gaya mujhe mil,

uss ne meri puri soch badal di,
mere ehsas ko ek nai zindagi di,

woh masoom sa bacha sadak kinare kuch dhoond raha tha,
sardi ke maare woh buri tarha thatharr raha tha,

poochne par pata chala dhoond raha tha woh kuch khaane ko,
main ne kaha kyun zehar dhoond rahe ho marr jaane ko,

tan pe kuch phate huye kapde the uss ne pehne,
haath mera thaam kar laga woh kehne,

bhaiya bohat dino se kuch khaya nahi hai,
sarr pe mere maan baap ka saaya nahi hai,

ro rahi hai bhook ke maare meri teen saal ki behna,
kuch khaaye baghair mushkil hai usska chup rehna,

yeh sunn ke mera kaleja phat gaya,
reh gaya main bas sakte mein khada,

sochne laga ho sakta hai duniya mein itna dard kaise,
yeh soch kar usske hath mein thama diye main ne kuch paise,

khushi se woh bola, kuch kaam doge to karoonga,
saari umr aapko duaayein deta rahoonga,

usski khuddaari mere dil ko choo gayi,
dard mein usski himmat mere dil mein utar gayi,

maine usse poocha pardhne kaha jaate ho,
woh bola sahab kyun ghareeb ka mazaak urdate ho,

ban-na chahta hoon doctor ek sacha,
kar sake ilaaz bin paison ke bhi acha,

kuch soch kar unn dono ko main ghar le aaya,
usski zindagi sanwaarne ka maksad dil mein banaya.

mere bharose ko uss ne pura kar dikhaya,
apni mehnat se ek accha aadmi ban ke saamne aaya,

khushi ke maare main phoola nahi samaaya,
mere pair chuwe uss ne, main ne usse gale se lagaya,

yeh wakiya mere dil pe sawaal gehra kar gaya,
sochne par majboor kiya,
kya insaan apne ehsasa mein marr gaya,

kitne bache hain jinhe koi sahara mil jaaye,
ek acha shehri aur insaan ban ke woh dikhlaye,

kitne lachaar hain log, jinki zindagi ek andhera hai,
unhein zaroorat hai hamari, hum unnka sawera hain,

mere dil mein sirf ek sawaal hai,
pardhe likhe hain hum phir bhi,
bhoole hain insaniyat ke khayaal ko,

aao mil ke iss jahan ke dard ko baantein
dard ke sookhe jungle ko pyaar se kaatein.

without you I am nothing

without you
my mind stops thinking,

without you
my lips stop speaking,

without you
my night are sleepless,

without you
my eyes stop dreaming,

without you
my ears stop hearing,

without you
my heart beats in distress. 

tumhari aankhein

ek ajab khwaish ka ehsas dilati hai tumhari aankhein,
bhoole lamhon ko yaad dilati hai tumhari aankhein,

ek ajab sa nasha hota hai tum se nazrein milane par,
door se hi chahat ka jaam peelati hai tumhari aankhein,

ghaneri palkein dekh unhein chhune ki hasrat jagti hai,
dil ko din-raat tardpati hai yeh tumhari aankhein,

saara jahan mujhe un aakhon mein nazar aata hai,
ek mohabbat ki dastaan batati hai tumhari aankhein,

kash tum samajh pati khawaish-e-dil “raaj“ ki,
jane kyun nahi raaj-e-dil batati hai tumhari aankhein.

thank you for loving me

sitting by the broken window
thoughts began to unfold within me,
how the simple things in life make me happy
and the little joys that brightens up my day.

like the colorful vibrant rainbows in the sky
the aroma of the pretty little white roses
the soft rhythm of the falling rain
tiny little dewdrops on the dry rusty leaves.

playful children and pretty faces
all the lovely thoughts made me think of you,
how blessed I am to have you with me
to share my happiness and sorrows.

those beautiful twinkling eyes staring at me
the healing touch that erases a million scars,
the sparkling smile that lightens up my soul
the caring look that makes me feel so alive.

everything is so wonderful with you by my side
it is you, who makes all the difference,
it is you who lends me the courage and
the will to go on to look at every new.

day as an oasis in the desert
it is you and only you my sweetheart,
who gives a deep meaning to my life.
thank you for being there always
thank you for loving me the way I love you. 

All Time's Favourite Posts