koi tumse pooche kaun hoon main

koi tumse pooche kaun hoon main,
tum keh dena koi khaas nahi...

ek dost tha, kaccha pakka sa,
ek jhooth tha, aadha saccha sa,
jazbaaton ko dhakke ek parda tha,
bas ek bahana tha wo accha sa...

jeevan ka ek aisa saathi tha,
jo door ho ke pass nahi,
koi tumse pooche kaun hoon main,
tum keh dena koi khaas nahi...

hawa ka ek suhana jhokha tha,
kabhi nazuk to kabhi tufaano sa,
sakal dekh kar ab jo nazrein pher le,
kabhi lage apna to kabhi begaano sa...

zindagi ka ek aisa humsafar,
jo samandar to hai, par dil ka pyaas nahi,
koi tumse pooche kaun hoon main,
tum keh dena koi khaas nahi...

ek saathi jo ankahi kuch baatein keh jaata hai,
yaadon mein jiska ek dhundla chehara reh jaata hai,
yuh to uske na hone ka kuch gam nahi,
par kabhi-kabhi aankho se aanshu ban ke beh jaata hai...

yuh rehta to mere dil mein tha,
par in aankho ko uski ab talaash nahi,
koi tumse pooche kaun hoon main,
tum keh dena koi khaas nahi...

dekh kar mujhe apne sabhi gam chhupa leta hai,
meri aahat pe he apni palkein sukha leta hai,
jis kandhe par gair bhi aa kar roya karte hain,
bana kar paraya, ussi par se ser utha leta hai...

tum kehti ho ki apno mein he shamil hoon main,
par dil mein kahi ab bhi mujhe pe vishwaas nahi,
koi tumse pooche kaun hoon main,
tum keh dena koi khaas nahi…
tum keh dena koi khaas nahi…

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts