ek dost ka rishta

ek dost ka rishta hi hota hai saccha,
na woh do-mukhi, na woh swarthy, 

na usse kuch paane ki chaah, 
na usse kuch dene ki takleef,

bas woh to hota hai ek
niswarth chhalakta hua rishta.

jis-se tum kuch chhupate nahi,
jiska marham bina mange hi pa lete ho kabhi.

jiska saath hi hota hai har mord par sambal,
jiske saath tum baant lete ho kai baatein unkahi. 

aye dost woh ek dost hi to hai saccha iss jahan mein,
pati-patni, bhai-behan, bacche aur

baki sab rishte jo aaj swarth se hai bhare,
kuch na kuch umeed humse liye huye. 

koi nahi samajhta humari bekrariya,
har koi hai saath mein bas khushiyan hi baatta.

ek bas dost hi hai jo har sukh-dukh mein apne saath hai,
varna iss duniya mein to aye-dost jeena hi bekar hai.

mat dekho bahaar se koi sapana

ek roj ek kali ko yuhi ek khayaal aaya,
jaan loon mujhe kaun pehchaan paaya,

kis-kis ne mujh ko hai jaana,
kaise-kaise mujhe pehchaana,

yeh soch kaali bihas padi,
ek bhramar se woh puch gayi,

o bhramar! batao zara,
kya hain tera mera vaasta?

suno tum hi ho chahat meri,
adh-khili ho mohabbat meri,

jhumate phool jo usko dikha,
wahi prasn usne duhraaya,

batao zara kya hoon main?
kis vaaste yeha reh rahi main?

kali tu adhuri roop humaari,
badi ho banegi saheli pyaari,

yeh sun paas ki pattiyo ko dekha,
wahi sawal phir waha bhi utha.

berukhi se unhone jawab diya,
tum kuch nahi ho humaare bina,

khud ki pehchaan, kya tum ho kar rahi,
humare bina kya tum jeeti.. marti.

kali udaas ho gayi,
dekh yeh nisthurata ro padi,

yun dekh kaanton ne kaha,
mat ro, humein bhi sun zara,

tum shringaar ho humaare,
tum pe sab apna dil vaare,

surya-rashmiyon ke liye jhankaar ho,
sabka chhalakata pyaar ho.

yeh sunkar bhi kali hans na saki,
dard dil ko bhool na saki,

malin uska chehara ho gaya tha,
dard anshun ban bah raha tha.

hansta hua main dekh raha tha tamaasha,
ek khayal phir mujh ko bhi aaya,

khud ki khoj mein to main bhi hoon,
dard aur khushi se mila bhi hoon,

phir bhi mera dil bhi to hai ro raha,
uss kali ki jagah hai yeh khada,

kuch soch ke maine kali se kaha,
tu khud ko khudi se pehchaan jaa,

maun ho, jaha nisthabdhata chhaye,
jaha phir kisi aur ka tarang naa aaye,

wahi roop hai tumhara khudka apana,
mat dekho bahaar se koi sapana,

pehchaano khud khudi ki garima ko,
waha naa kisi ghum ka chhaaya ho,

ek anokha roop hai sabka,
usse khood hi jaano, wahi hai apna.

badal jab bhi mujhe bhigoya karta hai

bundein lekar badal jab bhi,
mujhe bhigoya karta hai,
akash bhej kar nit nayi khusbu,
mujh ko mehkaya karta hai.

kankad the pehle rashte par,
ab phool bichaya karta hai,
haath pakaj mujko lekar ke,
manzilen dikhaya karta hai.

khud ki khusiya nahi mangta,
woh hansi dilaya karta hai,
mujhe hua ab kuch haasil,
woh prem lutaya karta hai.

tum mera pehla pyaar ho

tum mera pehla pyaar ho,
tum chetna ka vistaar ho,
tum dhamaniyoon ka pravaah ho,
tum mera prem aatha ho,

tum saanso ki rahat ho,
tum meri pehli chahat ho,
tum jeevan ke sringaar ho
tum mera pehla pyaar ho.

tum dil ke deep ho,
tum mere man meet ho,
tum dhadkano ke taar ho
tum mera pehla pyaar ho.

tum meri monika ho,
tum dil ka yaar ho,
tum meri jeet ya haar ho,
tum mera pehla pyar ho.

yeh pyaar ki paribhasha
jo dil ke gehraai se nikli hai,
shayed tum dil ki pukaar ho,
tum mera pehla pyaar ho.

itni ruswaayiyaan sehker
dil jo tumhe aapnane ko hai,
kyn tum hi mera sansaar ho
tum mera pehla pyaar ho.

ek trainee tha anjana sa

ek trainee tha anjana sa,
coding karne se woh darta tha,
copy paste karke idhar udhar se,
pooch ke coding kiya karta tha.

chori chori chupke chupke,
discussions mein soya karta tha,
jab delivery honi hoti thi,
raat raat bhar jaga karta tha.

kuch aata nahi tha usko,
jaane kaise deliver karta tha.


jab bhi milta tha kisi doosre developer se,
unse aksar yeh poocha karta tha..
coding kaise hoti hai?
yeh coding kaise hoti hai?

aur woh developers
bas yahi kah paate the..

ankhe khuli ho ya ho band,
deedar code ka hota hai,
kaise kahoo main o yara,

yeh code kaise hota hai?

kya hai yeh jadoo hai, koyi code jo chal jata hai,
fix karke bugs hazaro, deliver ho jata hai,
door kahi onsite par hote hain yeh sare faisle,
kaun jaane koyi bug kab kaise kaha mile,

jiske naseeb mein ho likha,
acceptance useeka hota hai,
kaise kahoon main o yara,
yeh code kaise chalta hai...

pyar ka formula

usne mujse kal pyaar ka izhaar kiya,
tohfe mein mujko ek bada rasgulla diya,

maine kaha rasgulla barda meetha hai,
usne kaha dil tera barda seedha hai,

maine pucha yaar tune aisa kyun kaha?
usne kaha tujhe patane mein bas ek rasgulla laga,

maine pucha dusro ko tune kaise pataya hai?
usne kaha-yaar bahut dard uthaya hai,

phir jake yeh formula aaya hai,
kisi ko mumphali kisi ko kathal khilaya hai. 

aaj girl-friend se maar khaayi hai

aasmaan mein kaali ghata chaaiyi hai,
aaj phir girl-friend se maar khaayi hai,
kehti hai ki sudhar jaao...
magar meri galti nahi hai doston,
barabar waali ladki aaj mini skirt mein aayi hai.

aasmaan mein kaali ghata chaayi hai,
usko dekh meri haalat chakrayi hai,
dil mein baat karne ki khwahish aayi hai,
par aaj kismat ne bhi tangdi khayi hai,
aaj meri girl-friend mere saath mein market aayi hai.

aasmaan mein kaali ghata chaayi hai,
saare armaano ki huyi aaj vidaai hai,
arre bhai.. main uske saamne maar khaayi hai,
sharam ne mooh par laali lagayi hai.

par dil hai ki maata nahi,
chupke se karta mooh dikhai hai,
aasmaan mein kaali ghata chaayi hai,
aaj phir girl-friend se maar khaayi hai

dear sun let your rays come to me

my dear sun let your rays come to me
to make me fearless with rays of courage.

my dear sun let your rays come to me
to fill me with desire to live with rays of hope.

my dear sun let your rays come to me
to realize my ambitions with rays of motivation.

my dear sun let your rays come to me
to fill me with love and affection with rays of love.

my dear sun let your rays come to me
to chase the dark nights away and bring light in to my life.

kahan seekha yeh hunnar na jaane

kahan seekha yeh hunnar?... na jaane,
hum se milne ki ksama-kas aur
saamne atte hi ban gaye anjaane,
kahan seekha yeh hunnar?... na jaane.

khud ke aane ki bhanak dena,
jor se kisi ko pukarne ke bahane,
bagal ke ghar mein akshar aana,
apni saheli se milne ke bahane,
kahan seekha yeh hunnar?... na jaane. 

anguliyon ke beech se dekhna,
be-wajah annkh mallne ke bahane,

raah mein rakha, mera woh prem-patra,
utha lena, gira ke kitab uthane ke bahane,
kahan seekha yeh hunnar?... na jaane.  

may I write my name, upon your heart

may I write my name, upon your heart? 
will you give to me, just one small part,
of you that I might call my own, 
will you remember me like a song?

a song you have sung, since your first love, 
the words that flow, within your blood, 
and speak of love lost, by the young, 
will you think of me, in colors of love?

the color red of the rose, you gave her, 
the girl you knew, you did love forever, 
who comes to you, when drink is heavy, 
will you want me, when you are lonely?

on empty nights, when dreams are real, 
when they are the only thing you feel, 
they haunt you, when the morning comes, 
can I be the one you dream of?

if I write my name, upon your heart, 
will you take from me too much, to part with?
will you write your name on my heart?

main ne kaha dil ruba

main ne kaha dil ruba,
usne kaha paise dikha,

main ne kaha paise nahi,
usne kaha aise nahi,

main ne kaha mehangayi hai,
usne kaha.. ja tu mera bhai hai.

suna hai ke samandar mein koi toofaan aaya hai

suna hai ke samandar mein koi toofaan aaya hai,
pareshaani ki aalam mein insaan aaya hai.

samandar se nikal kar aa gayi hain mouj sadkon par,
gharon se beh ke paani mein saro-saamaan aaya hai.

hua hai yun to indonasia mein zalzala bahut bada,
magar tabahi mein srilanka aur hindustaan bhi aaya hai.

nahin puchha lehron ne naam aur mazhab marne walon se,
na zinda ram louta hai.. na wapas khan aaya hai.

dawayein baap ki lene jo apne ghar se nikla tha,
woh khidmat mein pita ke be-dawa, be-jaan aaya hai.

machhwaron ne samandar mein jahan ek jaal daala tha,
machlion ke saath phans kar us mein insaan aaya hai.

main roti leke aata hoon.. gaya tha keh ke bachchon se,
na khud louta, na khane ka koi saamaan aaya hai.

khuda mout yeh kaisi hai, jis mein marne walon ko,
naseeb na chitta aayi, na kabristaan aaya hai.y

luteyrein loot mein masroof hain aisi tabaahi mein,
badal kar apna chehra dekhiye shaitaan aaya hai.

gaye jab hadesa-e-tabahi mein kuch madat pahuchaane,
nazar manzar humein charon taraf veeraan aaya hai.

All Time's Favourite Posts