us raat main so naa paaya

us raat tum to so gayi par main naa so paaya,
tumhein raat bhar sotey huye dekhta raha,

dekhta raha ke tum neend mein
kitni baar muskuraati ho,

dekhta raha ke paseene ki
jhun-jhulaahat mein kitna chat-pataati ho,

aahista-aahista leta tha saansein
khalal na pad jaaye tumhaare khwaabon mein,

kyonki jaanta hoon ki halki awaaj se bhi
tum aksar jaag jaati ho,

us raat main so naa paaya,
pehron tumhein dekhte jo rehna tha.

yeh mauka main kho naa paaya,
kayi baar chaaha ke tumhein chhu kar dekhoon,

kayi baar haath bardhaaya par tumhe chhu naa paya,
tumhaare uthte-girte se badan par
main tumhaari saansein ginta raha.

tumne to anjaane mein hi sahi haath rakh diya mere seene par,
lekin main chaahkar bhi tumhaari dhardkanein naa sunn paaya,

raatbhar tumhaari saansien, mere jism se takraati rahi,
raat bhar tumhaari yeh nazdikiyaan lekin,
ek doori ka ehsaas karwaati rahi,

kitni hi baar tumhaara woh dupat-ta bhi,
tumhaare badan se sarak jaata tha,

khirdki se jhaankta woh chaand bhi shaayad,
meri haalat pe taras khaata tha,

main kabhi moond leta palkein,
aur kabhi woh, baadlon mein chhup jaata tha,

aaj jab bhi main tumhaare kareeb aata hoon,
tumhein kuch simta aur sakuchaya sa paata hoon,

kyon bhool jaati ho ke tum ganga ho iss deewane raaj ki,
tumhaari nazdikiyon mein main aksar paap rahit ho jaata hoon.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts