aankhein michh kar soone se pehle,
jazbaat pighal kar roone se pehle,
jab aalfaz sinne mein dafan ho jaate hain,
tab yaadon se palkein bhigone se pehle,
aapke ashk se baatein karne lagta hoon,
tashveeron ko mana kar, unhi se ruth leta hoon baba,
gujarte har lamhon mein.. aapko dhund leta hoon baba !
bin mausam ki barsaat mein kabhi bheegne lagta hoon,
raat chaadar lapet kar thand ke maare jab kappne lagta hoon,
tab lagta hai jaise apna chaadar aap mujhe ordha rahe ho,
aur garm haathon ki narm ungliyon se mere baalon ko sehla rahe ho,
aapke hone ka ehsaas bhar se hi, har dard mein sukkun paa leta hoon baba,
yaadon ki chaadar ordhe har raat... aapko dhund leta hoon baba !
kisi raat sapnon mein puraane school pahuch jata hoon,
shaam dhalne par jab khil-khilate baccho ki toliyan nikalne lagti hai,
tab naa jaane dil ko kaisi aas bandh jaati hai,
meri nigaahein un cheharon mein kuch dhundane lag jaati hai,
dhundata hoon un haathon ko jinme jhaalmudi ki thayali hogi,
mera intezaar karti huyi, apni priya scooter kahi kadi hogi,
jispar sawar hone par ke khayaal se hi main jhoom leta hoon baba,
har nukkad, gali, chauraahe mein, aapko dhund leta hoon baba !
bheed mein akelapan ka ehsaas aapke bin hota hai,
jab kabhi bhi pariwaar mein kisi ka janam-din hota hai,
sabse chupte-chupaate koi tauffa le aaoge,
jo humse naa bujhi, woh mom-battiyan aap bujhaaoge,
bas yehi sochkar jaan bujhkar, aankhein mund leta hoon baba,
kabhi na khatam hone wale intezaar mein.. aapko dhund leta hoon baba !
woh aakhri pal nahi bhoolta mujhse kisi bhi haal mein,
aap zindagi ki door thaame ashpataal mein,
mujhse tab yeh kaha gaya ki kuch hi pal ab sesh bachi hai,
laga jaise khusiyon ki duniya ab dher ho chuki hai,
lekin maut ke farishton se chupte-chupaakar,
rakha tha aapne kuch saansein bachaakar,
aapki pairon ko apne hatheliyon se malte huye,
maine haathon mein aapke pairon ko jakkad rakha tha,
kuch naa keh kar bhi kitna kuch keh rakha tha.
aapse thi saari muskuraahat, aap khusiyon ke jahan the,
mere aanshu tab sukh chuke the, jab aap be-jubaan the,
ab to bas aapki tasveeron se baatein kar leta hoon,
dil kaagaz ban jaata hai, jispar dard apna likh deta hoon,
ussi dard ki dabbi huyi aawaz mein, likhe huye har alfaaz mein,
aapko dhund leta hoon baba,
gujarte har lamhon mein..
aapko dhund leta hoon baba !
(Huge Collection of Poems & Sher-o-shayari)
Ek yeh dar hai ki koi zakham na dekh le iss dil ka,
Aur ek hassrat hai ki koi isse dekhne wala hota....!!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
All Time's Favourite Posts
-
jo kisi praani ko maare, woh shaitaan hai insaan nahi, mare hue ko khaye kyu? yeh pet hai shamshaan nahi, jo kaanta koi chubh jaaye, tarda...
-
koi tumse pooche kaun hoon main, tum keh dena koi khaas nahi... ek dost tha, kaccha pakka sa, ek jhooth tha, aadha saccha sa, jazbaaton ko ...
-
tum paas aao to ek ghazal keh doon, zara muskuraao to ek ghazal keh doon, hai barson ki tamanna meri aye jaan, saath gun-gunao to ek ...
-
aankhein michh kar soone se pehle, jazbaat pighal kar roone se pehle, jab aalfaz sinne mein dafan ho jaate hain, tab yaadon se palkein bhigo...
-
kabhi abhimaan to kabhi swabhimaan hai pitah, kabhi dharti to kabhi aasmaan hai pitah, janam diya hai agar maa ne, jaanega jisse jag, woh pe...
-
you never said I am leaving, you never said goodbye, you were gone before we knew it, and only God knows why? a million times I need you, a ...
-
purani pant raffu kara pehante jaate hain, branded new shirt dene pe aankhein dikhate hain, tutte chasme se hi akhbaar padhne ka luft uthate...
-
hamesa ek dussre ke hakk mein.. dua karenge.. yeh tay hua tha, mile ki bichhde.. magar tumhi se.. wafa karenge.. yeh tay hua tha, hamesa ek...
-
aisa bhi nahi hai ke I don’t like your face. par dil ke storage mein no more disk space. kal jab mile the to dil mein huyi ek sound. a...
-
yeh baat samajh mein aayi nahi, aur maa ne kabhi samjhayi nahi, main kaise meethi baatein karoon? jab meethi cheeez khayi nahi. didi ro...
!->
No comments:
Post a Comment