ehsaan ye tumhara

dil ka makaan yeh mera aaker tumne sawara,
kaise adda karunga ehsaan main yeh tumhara,

tanha tha zindagi yeh, tanha safer tha mera,
ki tumne pyaar de ker mujhe sahara,

har aur mushkile thi, har aur tha andhera,
tum ban ke aaye ho sanam takdeer ka sitara,

us waqt aake tum ne thaami hai bhahein meri,
har shaks ker gaya tha jab mujh ko be sahara,

agar zindagi rahe to kabhi aajma ker dekhna,
raaj pe karz hoga ehsaan ye tumhara


No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts