kya tha mera kasoor ye bataate jaate

kya tha mera kasoor ye bataate jaate,
koi kahani logo ko sunaate jaate,
maine socha dil mera lauta ke jaaoge,
jaan bhi liye jaa rahe ho jaate jaate...

tum meri mohabbat ho aur mein tumhari ek zaroorat tha,
tum mujh ko jab bulaoge mein wapis lout aaunga,
kitne sapne dekhe humne jinki khatir,
chord gaye hamein woh tannha jatte jaate...

woh to na aaye par yaadein aati rahi,
kaise kahe kya haal hai jab unhone hi,
muh fer liya hamare saamne se atte aate..

iss jahaan mein kise bhala sacha pyar mila hai

roye hain bahut tab jara thoda karaar mila hai,
iss jahaan mein kise bhala sacha pyar mila hai,

guzar rahi hai zindagi imtehan ke daur se,
ek khatam huwa to dosra tayar mila hai,

mere damaan ko khushiyoun ka nahi malal,
gham ka khazana jo isko beshumar mila hai,

woh khusnaseeb hain jinhein apna pyaar mil gaya,
mein khushnaseeb hoon mujhe intezar mila hai,

sab kuch khuda ne unko ko bhala kaise de diya,
mujhe to unke dar se sirf inkaar mila hai.

dil se yaadon ka saath nahi toot sakta

yaadon ka ghera tha jo maine ek din torda,
par na jaana tha ye ki aisa ho na sakega,
na jaana tha ye ki tujhse door ho na sakega,

ek lamha hi kaafi tha ye batane ke liye,
ek lamha hi kaafi tha teri yaad laut aane ke liye,

us lamhe ne phir badli zindagi meri,
paya phir tujhe apne kareeb tha,

farak sirf itna tha ki...
jo aankhein teri yaad se nam hoti thi,
aaj nam nahi hai,

farak sirf itna hai ki...
jo hoth teri yaad mein khamosh rehte the,
woh aaj muskura rahe hain,

waqt badal gaya teri yaad ke ghere se,
mera damann phir kahin na kahin jurd gaaya,

par aaj hai ye maine jaana,
ki rishte bhale hi toot jaayein,
par dil se yaadon ka saath nahi toot sakta...

raah har mord par woh badalte rahe

woh lakeeron ko haaton ki malte rahe,
hum musaafir safar main hi chalte rahe,

beetin pal woh the, unhein to aana na tha,
hum to karwat pe karwat badalte rahe,

mom ke jaise pighla hai dil unke bin,
aur umar ki tarah hum to dhalte rahe,

ban ke toofaan udaaya hai aashiyana,
mere nazdik se jab jab woh nikalte rahe,

manzil aye ishq paane ki ummid me,
raah har mord par woh badalte rahe,

dil-fareb chehara unke aankhon me tha,
aur hum raah pe piche piche chalte rahe,

hausle past unke na hote hain ‘raaj’,
aandhi mein jo diya ban ke jalte rahe..

phir bhi tera intezaar hai

apna pata mile na khabar yaar ki mile,
dushman ko bhi aisi saja na pyar ki mile,
paas reh kar bhi ye duriya jo mile,
phir jeene se zindgi me kya mile..

aaj kahde hai mout ke samne,
phir bhi tera intezaar hai,
ek jalak dekhne ke liye,
dil ye bekarar hai..

main muskurata raha dard rota raha

ek silsila mere aur dard ke beech hota raha,
dard hadd ki aakhiri hadd tak hota raha,
main muskurata raha, dard rota raha,
dard hadd ki hadd tak hota raha...

baat bhi yeh ajeeb hi hai,
dard ke sar per saylaab si hai,
zindagi se kya maangenge ab hum janaab,
zindagi bhi to gareeb si hai,
issliye mere aur zindagi ke beech ye samjhota raha,
dard hadd ki hadd tak hota raha,
main muskurata raha, dard rota raha,

dard se umr bhar tak aah ka rishta raha,
jaise bimaar koi dawa ka rishta raha,
raaj ki bechaini ka bhi sabab kya tha,
apne hi kaatil ki nigaah ka intezaar raha,
lehrein mujhe bachati rahi,
aur sahil mujhe dubota raha,
dard hadd ki hadd tak hota raha,
main muskurata raha, dard rota raha..

ye to ek din hona hi tha

mere jazbaaton se khelna hi tha,
unhein iss dil ko tordna hi tha,
kyun aayein meri zindagi mein tum,
jab mujhe tannha chordna hi tha.

kyun mujhe pyar ka dhokha diya hai,
jab tumhein gair ka hona hi tha,
riste… rishte the, kachhe dhage nahi,
jhoote rishton ko to ek roz tutna hi tha.

shart kuch aise rakhe mujhse woh,
ki humein chup chap sab sehna hi tha,
anjam -aye wafa dekh ker hairaan kyun ho “raaj”,
ye to ek din hona hi tha...!

woh khwab hi the jo tut kar bikhar gaye

wo haalaaton ke aage dar gaye,
pyaar apna khud hi ruswa kar gaye,
bane the maajhi meri kashti ke woh,
mujhko tufaano ke hawale kar gaye...

itna bhi ehsaan unka kam nahi,
woh apna hakk to adda kar gaye,
yaad na kar un chand lamhon ko raaj,
woh khwab hi the jo tut kar bikhar gaye..

ab wo pyaar raha hi nahi

ruk jaaye ye pal yahi par,
tham jaaye har gam mera,
koi to thaam le aakar,
nahi raha ab koi mera..

waqt to chalta raha apni raftar se,
aur mera har apna bichard gaya,
dekha tha jo kabhi khwab wo suhana,
waqt k haathon sab kuch bikhar gaya..

kisko doshi thehrayein aur kisse gila karein,
naam le le kar hi uska meri saanse,
ab bhi kyu chala karein..

woh thi bewafaa ya koi majburi thi uski,
annginat hai baaki sawaal abhi,
jinka jawab ab tak mila nahi..

log kehte hain ki wo khush hai,
na usse yaad ab meri aati hai,
par dil-e-bekarar ko,
aitbaar kisi par hota hi nahi..

khushiyon se har naata tord chuke hain,
gam se ab kar li hai dosti maine,
kya karein kise apna kahein,
koi bhi apna to ab raha nahi..

khawaabon me ab bhi dhundate hain jinko,
sach to ye hai unke dil mein,
ab wo pyaar raha hi nahi..!!

ek aakhri baar tumse milna chahta hoon

ek aakhri baar tumse milna chahta hoon,
zindagi abhi bahut baki hai,
jeene ke liye aakhri baar dil mein tumhari,

kuch yaadein pirona chahta hoon,

wada kerta hoon aashu nahi aane dunga tumhari aankhon mein,
hum dono ke hisse ke aashu main bas, 

apni aankhon se rona chahta hoon,
ek aakhri baar tumse milna chahta hoon.

tum phir aashu pochna mere,
ek aakhri bar tumhari mere liye,
fikar ko dekhna chahta hoon,
bas ek baar tumse milna chahta hoon.

tum bas muskurati rehna,
tumhara muskurata chehra,
main aankho mein bhar kar le jana chahta hoon,
ek aakhri baar tumse milna chahta hoon.

tum mera haath thamme rehna jab tak hum sath rahein,
tumhari us chuuan ko main,
apne marne tak zinda rakhna chahta hoon, 
main aakhri baar tumse milna chahta hoon.

us din main jada kuch nahi boluga,
tab bahut kuch bas aankho se kehna,
aur samajhna chahta hoon,
ek aakhri baar tumse milna chahta hoon.

kitna pyar hai tumse ab tak lafzo mein kaha,
aakhri baar apni khamoshi main kehna chahta hoon,
ek aakhri baar tumse milna chahta hoon.

tumhare paas hone ke ek ek pal ko aise jeena hai mujhe,
ki zindgi bhar tum mujhe mere pas najar aati raho,
tumhare aise weham ke sahare,
main apni puri zindgi gujaar dena chahta hoon,

ek aakhri baar ... 
bas ek aakhri baar tumse milna chahta hoon.

bhale tum humko chaaho na chaaho

muskurate hue dekhna chaahte hain,
khilkhilate hue dekhna chaahte hain,
bhale yaar tum humko chaaho na chaaho,
magar bepanaah tumko hum chaahte hain,

tere hisse ke hum saare ghum chaahte hain,
jo aane hon tujhpe sitam chaahte hain,
bhale yaar tum humko chaaho na chaaho,
magar bepanaah tumko hum chaahte hain,

na koi ehsaan na koi karam chaahte hain,
teri chaahat ko apna dharam chaahte hain,
bhale yaar tum humko chaaho na chaaho,
magar bepanaah tumko hum chaahte hain,

na daulat na sohrat chaahte hain,
bus tumhare dil mein ek kona naram chaahte hain,
bhale yaar tum humko chaaho na chaaho,
magar bepanaah tumko hum chaahte hain.

o meri mohabbat, mere dilbar

o meri mohabbat mere dilbar,
tere intezaar mein hain hum idhar,
jaane khoye hue ho tum kidhar,
tumhi meri manzil, tumhi safar.

de do hume pyaar bhari ek nazar,
jaan maang lo, chaahe maang lo jigar,
har baat tumhaari sir aankhon par,
itna sa waada tum karo magar,

ho suna mord, ya veeran dagar,
aur ho udaas mann mera agar,
le chalna saath tum raho jidhar,

o meri mohabbat, mere dilbar!

tujh se ek sawaal hai mera

tujh se ek sawaal hai mera,
kyu banaya aisa haal mera,
kyu ki maine tujh se mohobbat,
pyaar ki jagah mili hameshaa nafrat,

afsaana meri mohabbat ka,
yaad kar ke dil rota hai,
teri judaai se chain nahi milta aur,
tere kareeb aana soch kar dil ghabraata hai,

teri judaai me na din ki khabar hai,
na raat ka pataa hai,
tujhe chahkar na bhoola sake,
bas itni si khata hai,

teri bewafai ne mera woh haal bana diya,
gulshan tha jo dil mera usse shamsaan banaa diya,
karte hain taubaa na karenge kabhi mohabbat,
lekin na bhoolenge tujhe jab tak na aayegi kayamat.

ye dil hi na tujhse lagaya hota

dil tardapta tha, tardapta hai, yun hi tere liye,
kaash tujh ko bhi yun pyaar sataya hota,

bhool jaate tujhe, jo bas mein hamaare hota,
kaash ye dil mera tujh pe naa ayaa hota,

zindagi guzri hai bas teri hi,
teri chahaat mein sanaam,
bhool duniyaa ko kabhi tumne bhi yun chaha hota,

kya milaa pyaar mein aashkon ke siwaa hum,
isse achchaa tha ye dil hi na tujhse lagaya hota.

meri mehfil mein aate ho kyun

tanhaai mein mehfilen sajate ho kyun,
khoon ke aanshu rulate ho kyun,

meri her jhalak agar dard ka sabab hai,
to meri mehfil mein aate ho kyun?

kya soch humse milne aa gaye,
jab jee chaha rula gaye,
humse dil lagaya tha aapne,
koi aur mila to humein bhula gaye.

baar-baar dil pe dastak de mere,
mujhe tum bulate ho kyun,

meri har jhalak agar dard ka sabab hain,
to meri mehfil mein aate ho kyun?

tere bina aalam hai tanhaai kaa,
waqt hua hai maatam ki sehnaai kaa,
iss duniya se chal diya ghayal,
jo dekh naa payega manjar teri bewafai kaa.

khuda bhi jo dekh dehal jaye,
itna mujhko tardpate ho kyun?

meri har jhalak agar dard kaa sabab hain,
to meri mehfil mein aate ho kyun?

har saans mein teri khusboo aati hai,
mere jism mein rooh teri samati hai,
fir bhi naa jane kyun tu,
mujhe lamha-lamha tardpati hai.

tez barsaaton me dekh mujhe,
chehra apna chupaate ho kyun?

meri har jhalak agar dard kaa sabab hain,
to meri mehfil mein aate ho kyun?

har lamha main tere kareeb tha,
tuta dil mera naseeb tha,
kaise bhula doon tujhko,
bas tu hi to mera mohabbat tha.

arthi ko rok kar mere,
ishq ki lahoo se maang apne sajate ho kyun?

meri har jhalak agar dard kaa sabab hain,
to meri mehfil mein aate ho kyun?

tujhe dekh aaj dard bahut ho raha hai,
dil mera khoon ke aansu roo raha hai,
main raat bhar chillata raha reham ko,
par ab tak ye zamana soo raha hai.

khusboo bankar meri zindaagi ki,
usse gamon ke sagar mein dubote ho kyun?

meri har jhalak agar dard kaa sabab hain,
to meri mehfil mein aate ho kyun?

mujhse shikwa hai to, dil mein basate ho kyun,
basa kar dil mein humein, fir bhoolate ho kyun,

meri har jhalak agar dard kaa sabab hain,
to meri mehfil mein aate ho kyun?

jaagte hain hum jab sabhi soya karte hai

har raat teri yaad mein roya karte hain,
apne aashko se apna daman dhoya karte hain,
pagal se ho gaye hai tere pyar mein,
jaagte hain hum jab sabhi soya karte hai.

mere saath mat chal

maine kaha meri saans se,
mere saath mat chal,
woh boli be-dard koi aur hai,
mujhse to mat lard.

tujhse koi rishta nahin,
tu gaair hai ab iss pal,
woh boli humsafar hoon,
phir milungi kal..

tum kahan jaaoge

bepanaah mohabbat thukra ke kahan jaaoge,
mere pyaar se munh chura ke kahan jaaoge,
laut aaoge mere dil ki sadaaein sunkar,
mera ehsaas paaoge tum jahaan jaaoge..

wo kya jaane tadap dil ki

wo kya jaane tadap dil ki,
jisne kabhi pyar na kiya ho,
wo kya maane baat wafa ki,
jisne her kadam bewafai ki ho.

dil ko samjhayen kaise

dard dil ka batayen kaise,
jakham dil ka dikhayen kaise,
sukh gaye hai aansu bahayen kaise,
wo bewafa hai dil ko samjhayen kaise.

wo begaane bahut yaad aaye

nazron ki gustakhiyon ke zamane.. bahut yaad aaye,
na ban sake hakikat jo fasane.. bahut yaad aaye,

dhoondhta raha saaya aankhein.. zindagi ke safar mein,
dhoop mein teri palkon ki chaav.. bahut yaad aaye,

meri raat ki gawaah hai bistar par pardi salwatein,
har karwat par teri baahon ke sirhaane.. bahoot yaad aaye,

aaj piche murd ke dekha jo zindagi ke safar mein “humdum”,
samjhte the jinhein apna wo begaane bahut yaad aaye..

khud se jyada aitbaar kiya tha

maine dil se pyar kiya tha,
tera kitna intezar kiya tha,
tujhe kitna yaad kiya tha,
khud se jyada aitbaar kiya tha.

tere naam se

dhadkan bhi dahadkti hai tere naam se,
ye dil bhi machalta hai tere naam se,
apna sab kuch de chuke hai tumhe,
jaan bhi de denge mangoge jo tumhe.

kisi apne se humne dil pe gahra jakham khaya hai

humein chahat thi jinki wo bewafaai pe uter aayi hai,
meri aankhon me pyar ki jagah khoon uter aaya hai,
kyun hansi dene waale ne mujhe itna rulaya hai,
kisi apne se humne dil pe gahra jakham khaya hai.

hum khud ko mitaa ke dekhenge

mohabbat mein teri hum khud ko mitaa ke dekhenge,
teri saari addaon ko hum seene se laga ke dekhenge

ye kya asar hogaya tera mujh par,
ke har taraf tu nazar aati hai,

tera naam leta hoon jab pyaar se,
to saansein teher jaati hai,

tune kiya hai hume is kabil ke mohabbat kar sake,
kisi ki chahat paane ke liye hum bhi mar sake,

jee raha hoon iss aas se ke tujhse mohabbat hai,
warna iss zindagi ki mujh ko kya zaroorat hai,

nahi bhoola sakogi tum meri chahaton ko kabhi bhi dil se,
gar aisa hua to ruth jaayegi khusiyan teri har mehfil se.

woh mujhko yaad aati thi bahut

khawaab mein aakar woh meri neend urdati thi bahut,
har ghardi woh mujhko dekh kar muskuraati thi bahut,

chord hi dena para ghabra kar us ke shehar ko,
yaad uski raat din mujhko rulati thi bahut,

apni baahon mein jab jakar leti thi woh mujhe,
aa ke ek andaaz mein mujhko hansati thi bahut,

apne dil ki baat ko woh mujhse kabhi kehti na thi,
doosron k pyaar k kisse sunaati thi bahut,

chahati thi sirf meri hi nazar us pe parde,
ghair ki nazron se woh khud ko bachati thi bahut,

din to kat jata tha mera kaam kerte kerte,
raat mein lekin woh mujhko yaad aati thi bahut.

aaj phir unnse bichardne ka ehsaas huwa

aaj phir unnse bichardne ka ehsaas huwa,
aaj phir wahi puraane dukh ka ehsaas huwa.

bahut kahate the hum kissi se dil na lagayeinge,
maloom nahi phir kyu dil lagane ka ehsaas huwa.

jo hum kabhi unnse mil ke hanste the,
aaj phir unke chenn jaane ka ehsaas huwa.

hum ne aaj chand ke gridh udaasi ka haal dekhha,
aaj phir apne aap ko dekha.

jin ko hum apni kismat ka sitara khehte the,
aaj phir kismat ka sitara toot jaane ka ehsaas huwa.

mehfil mein usski sare aam badnaam hogaya

mehfil mein usski sare aam badnaam hogaya,
mera yahaan aur naa jaane,
kahaan kahaan naam hogaya,
jashan-e-mehffil ban rahi hai unki,
yahaan jo mera ghar nilaam hogaya

What is Love

Love is something that is shared by two and two only.
Love is having the chance of being with someone you really care for.

Love is something that makes you feel good.
Love is thinking of her every second of the day.

Love is staring at a photo of her when you miss her.
Love is taking a shirt of hers home so you can smell her beautiful scent.

Love is always wanting to hold her hand or just feel her touch.
Love is being there for her whenever she needs you.

Love is dropping everything just to spend a few minutes with her.
Love is sharing your ideas and showing your emotions.

Love is kissing her soft, sweet lips every chance you get.
Love is wrapping you arms around her as to hold her for eternity.

Love is having fun with her.
Love is doing anything to please her.

Love is writing that you love her on everything.
Love is telling your friends how much you love her even though they may not like her.

Love is being able to joke around with no hard feelings.
If all this means I am in love with you, I am guilty as charged.

insaan chale jaate hain yaadein chord jaate hain

insaan chale jaate hain,
yaadein chord jaate hain,
koi tha apna chala gaya door,
bus uski yaadon ke sahaare jeeye jaate hain.

daffan hai koi door viraane mein,
aagaaz chaahte hain ab to dua kubul karlo,
khwaahishon ki laash mein zinda hai aaj bhi koi tere,
aas pehar zindagi ko maut mil jaati hai.

apne aanshuon ko chalkaana nahi chaahata,
per aanshun hain ki chalak hi jaate hain,
unko rok nahin paata.

parda na uthaana khudha ke vaaste,
main nahi chaahata yahaan bhi,
wahi kaafir bewafa sanam nikale.

That's my desire...

I want to experience your
warm body next to mine.
I want to feel your soft
chest pressing against my chest
I want to thrill to your
silken thighs melting into me.

I want to pleasure you until
you beg me to stop.
I want to kiss every inch
of your luscious body
I want to have you
cry out in ecstasy.

I want to share your
every thought and feeling.
I want to know your
joys and your sorrows.
I want to be your
comfort and your rock.

I want your love and
to be your craving.
I want to be your
last thought at night
and your first thought
when you awaken.

I want you.
That is my desire.

ek tujhe hi nahi khayal mera

jalti hai shabnam door kahin,
ehsaas hai lekin dekhai nahi deti,

umeed ki law bhi phardphadati hai,
aur dil ki dhadkan bhi sunai nahi deti,

deti hai fariyad kuch tootne ki aawaz,
par teri meethi hassi ab sunaai nahi deti,

ek tujhe hi nahi khayal mera,
aur teri yaad zalim.. bhoolaye nahi bhoolti

aaj unki yaadon se

aaj unki yaadon se mera ye dil pareshaan hai,
sochta hoon kya likhoon kalam bhi hairaan hai.

meri deewangi me to ussi sangdil ka haanth tha,
aaj pahchanti tak nahi kis kadar be-imaan hai.

khudaya ye khwaab kabhi tootein na to behtar,
yahin mere ghar wo do ghadi ka mehmaan hai.

aaj jo teri nishaaniyaan dhundhne nikle hum,
khamoshi hai bikhri huyi har raah soonsaan hai.

kabhi wo haalat the ki junoon ki kami na thi,
aaj mere palkoon me be-intehaan intezaar hai.

wo jab rukh se parda hata dete hain to yaaron,
farishte bahek jaate hain, hum to phirbhi insaan hai…

tu aayegi na kab tak mere paas

wafa ke deep kabse jalaye baitha hoon,
teri har rah me palke bichhaye baitha hoon,

kabhi na kabhi toh aaogi iss dagar,
ye soch kar tumse dil lagaye baitha hoon,

teri khushbu inn hawaon me basi hai,
inhein apni har saans me samaye baitha hoon,

tu aayegi na kab tak mere paas,
teri har rah ko hamdard banaye baitha hoon,

mujhe aasman se bhala kya shikayat hogi,
jab khud hi palke jhukaye baitha hoon...!!

Will you be.....

Will you be there when I’m down,
and catch me when I fall?
Will you hold me when I need,
to feel the warmth of your touch?

Will you laugh when I laugh,
and cry when I cry?
Will you let me rant and rave,
when I need to let off steam?

Will you discuss those painful things,
that you’d rather not think about?
Like the times we’ve hurt each other,
and promised would never do so again?

Will you say the right thing,
when all I’ve heard is the wrong?
And tell me soothing words,
that make the pain I feel subside?

Will you understand me when I say,
“I can’t see you now, go away”?
Will you come back when I call,
as if nothing happened at all?

If you’ll do these things for me,
and keep smiling all the way.
If you’ll be with me through the bad times,
as well as the good.

Then truly you are my friend,
my pal, my mate and my confidante.
And that means so much to me.
I thank you dearly, for being there,
you, my friend.

bas itni si gujaarish hai

ek bekasi si hai teri yaadon ke saath saath,
tutaa hai mera dil bhi khawaabon ke saath saath,

jee bhar ke dekhane bhi na paaye the ki wo chhup gaye,
armaan bhi hain udaas nazaaron ke saath saath,

dil mein dard ka tufaan liye huye,
khaamosh jaagataa hoon sitaaron ke saath saath,

bas itni si gujaarish hai tumse aye mere dost,
khud ko bhi bhul jaaun tere yaadon ke saath saath,

yahan ye aag ishq ki to phir bhi na bujh saki,
hai dil mein kai zakham bhi, teri yaadon ke saath saath.

udaasiyaan bekhar rahi hain

aaj ke baad mere ghar mein,
kabhi sham nahi aayegi,
aaj ke baad hawa koi pegaam nahi layegi,
na tumhare yaad mujhe raat bhar rulayegi,

mohabbat mein haadsoon ke baad,
bus itna jaan lo...

tute huye dil ke kesi kone se,
zindagi ki tammanyein obhar rahein hain,
udaasi aahista aahista hi sahi,
bekhar rahi hai…

koi raat aisi nahi

koi raat aisi nahi,
jis mein sapane na aaye ho,

koi din aisa nahi,
jis din tujhe yaad ker,
muskuaraye na ho,

koi aisa pal nahi,
jis mein ki tumhein bhool paaye ho

mil gaya tha ek shakhs

jab koi junoon aata hai dimaag mein,
apna khoon daal deta hoon chiraag mein,

ek chehara ban jaata hai meri aankhon mein,
ek soorat chhupi huyi hai dil ke darakho mein,

dard ke siwa mujh ko mila kuch bhi nahin,
maine dil lagaya tha khushiyon ki aag mein,

lapton mein mujhko dekh kar mayous hote hain,
jhoonk jo dete hain mere khaton ko aag mein,

kaanton se apna daaman bhar ke laaya hoon,
mil gaya tha ek shakhs phoolon ke baag mein.

tujhe yaad karte mera dam nikal na jaaye

khuda kabhi bhi woh din na dikhaaye,
tum aur main jab hum reh na jaayein,

bahut pathreeli hain yeh ulfat ki raahein,
chalte chalte kahin chaale pard na jaayein,

saza to liye khwaab aankhon mein lekin,
bikhar kar ye palkon par hi reh na jaayein,

main tera aayena hoon, hai tu aaskh mera,
yeh sach ek jhoota bharam ban na jaaye,

yeh kaisi tardap uth rahi hai aaj dil mein,
tujhe yaad karte, mera dam nikal na jaaye.

naa jaane kaun sa ek khwaab hai

naa jaane kaun sa ek khwaab hai… awaaz deta hai,
khud apne aap ko neendo mein chalte maine dikha hai,

badal jayega sab kuch,
baadlo se dhoop niklegi,
bhujhi aankhon mein ek khwaab,
jalte maine dekha hai,

mere baare main koi raai naa banayega,
waqt ke saath jamaane ko,
badalte maine dekha hai,

mujhe maloom hai unki dua saath chalti hai,
safar ki mushkilo ko haath malte maine dekha hai..

suno aisa nahi kerna

wafa ruswa nahi kerna,
suno! aisa nahi kerna,
main pehle hi akela hoon,
mujhe tannha nahi kerna,

meri in aankhon ko,
kabhi ruswa nahi kerna,
judaai bhi jo aa jayae,
to dil chota nahi kerna,

bharoosa bhi jaruri hai,
magar sab ka nahi kerna,
mukaddar phir mukadder hai,
kabhi daawa nahi kerna,

jo likha hai jarur hoga
kabhi shikwa nahi kerna.!

dil mere tu kiske liye dhadakta hai

dil mere tu kiske liye dhadakta hai,
tere ehsaaso ko kaun yaha samajhta hai,

tu kyu kisi pe yun marta hai,
har koi is matlabi duniya me jeeta hai,

khusi k liye kyu har pal tarasta hai,
yaha toh gam hi khubsurat lagta hai,

armaano ko liye kyu machalta hai,
unko adhura rehte dekh jeeya jalta hai,

tut kar bhi kyu tu sambhalta hai,
yaha tujhe phir bikharna pardhta hai,

bharosa kyu itna karta hai,
yaha har ghardi insaan chehara badalta hai,

tu kyu jaan yun chidakta hai,
woh to tera katil bana phirti hai,

pagal dil, tu kyu nahi samajhta hai,
teri halat dekh har koi hassta hai,

tere liye kisika nafrat hi acha hai,
yaha toh pyar bhi bahut sasta hai..

sitam sab sahe humnein hazoor ke

sitam sab sahe humnein hazoor ke,
maare gaye hum bina kasoor ke,

har ek ne khela dil ke saath,
jazbaat na dekhe dil majboor ke,

main manta hoon yun to iss jahan mein,
har cheez phiki hai aage unke noor ke,

saath rehkar bhi humein pyar na mila,
chaya na de jaise perd khajoor ke,

rehte the kabhi banke saaya saath,
abb rishte bane maano ho woh door ke,

bina thokar khaaye na utar sake jo,
rang charde hain kuch aisi hi fitoor ke,

gazalon ke jariye kiye iss deewane ne,
charche door tak bewafa hazoor ke..

har pal teri yaadoon mein katta hai is tarah

har pal teri yaadoon mein katta hai is tarah,
jaise dil to ho magar dharkan ke bina,

ankhon ke nashe main is tarah duub gaye hum,
duniya ne is tannha ko shaayar bana diya,

duniya mujhe deewana pukarne lagi,
teri bewafai ki maine khud li hai ye saza,

ek pal meri aankhon se hatta hi nahi,
woh tez hawaon ka khuli zulfon se guzarna,

jism se ruuh juda hoti nahi kabhi,
meri ruuh mujhse kyu ho gaye khafa,

aankhein yeh keh rahi hain aankhon se baar baar,
tu mil jaye mujhko warna maut de khuda..

ye zaruri to nahi

behisab baat bardhaayein ye zaruri to nahi,
tu na maane to manaayein ye zaruri to nahi,

ye bhi sach hai ke tere bin nahi aaraam humein,
phir bhi hum tujh ko sataayein ye zaruri to nahi,

tere dam se meri duniyaa ka bharam kaayam hai,
baat ye tujh ko bataayein ye zaruri to nahi,

ab ke milne pe koi aur baat kar lenge,
roz dil tera dukhaayein ye zaroori to nahi,

dil se jab dil ko koi khaas tallukh na rahe,
haath se haath milaayein ye zaruri to nahi,

bewafaai ka sabab kya hai ye maloom to hai,
haan wafa sab hi nibhaayein ye zaroori to nahi,

tune jo phoonk diya mere aashiyaane ko,
hum bhi ghar tera jalaayein ye zaroori to nahi ,

mere toote huye dil se ye aawaz aati hai,
wo bhi yun aashk bahaayein ye zaroori to nahi,

laut aayegi shama kha ke wo reham lekin,
unko awaaz lagaayein ye zaroori to nahi

usse meri zarurat nahi

pyaar pa saku uska meri kismat nahi,
zindgi hai us se magar uski rehmat nahi,
aaj wo is kadar khus hain,
ki shayed usse meri zarurat nahi..!!

khud apne liye baith ker sochenge kisi din

khud apne liye baith ker sochenge kisi din,
yun hai k tujhe bhool k dekhenge kisi din,
bhatakte huye phirte hain kayi lafz jo dil mein,
duniya ne diya waqt to likhenge kisi din

aapas ki kisi baat ka milta hi nahi waqt,
har bar ye kehte hain k baithenge kisi din,
aye jaan teri yaad k benaam parindey..
shakhoon pe mere dard k utrenge kisi din??

jati hai kisi jheel ki gehraai kahan tak,
aankhoon main teri doob k dekhenge kisi din,
khushboo se bhari sham mein jugno k kalam se,
ek gazal tere naam likhenge kisi din,

khushboo ki tarha, khawaab sanjho ker,
galiyoon se tere sehar k guzrenge kisi din..

yun raaj ki ek ghazal banaa karti hai

har dil mein ek kasak utthaa karti hai,
har kasak ek raaz kaha karti hai,
banaa sakta nahin har koi taaj mahal varna,
har dil mein ek mumtaaz basa karti hai,

aankhon mein asar hai ke nahi.. jaan-ta nahi,
aah lekin mere moonh se niklaa karti hai,
roz kehta hoon dil se, aayenge aaj woh,
teri umeed mujhse roz dhokha kara karti hai,

mere kapado ko dekh kar tu jaan jaayegi,
ke meri aankh tujhko yaad kiya karti hai,
main khada hoon dar pe khuda ke be-umeed ho kar,
aur zindagi tujhse milne ki duaa kiya karti hai,

ashk jab tapakte hain yaadoon ke kaagaz par,
yun raaj ki ek ghazal banaa karti hai...

All Time's Favourite Posts