maine dil se kaha aye deewane bata,
jabse koi mila.. tu hai khoya hua,
yeh kahani hai kya hai yeh kya sil sila,
dhardkan mein chhupi kaisi aawaz hai,
kaisa yeh geet hai.. kaisa yeh shaaz hai,
kaisi yeh baat hai.. kaisa yeh raaz hai,
mere dil ne kaha.. na woh koi pari na koi mehzabi,
na woh duniya mein sabse hai jaada hassin,
sidhi saadhi si hai, bholi bhali si hai,
lekin uss mein adaa ek nirali si hai,
uske bin mera jeena bhi bekaar hai.
maine dil se kaha.. baat itni si hai, ke tujhe pyar hai,
mere dil ne kaha.. mujko ikraar hai, haan mujhe pyar hai,
haan mujhe pyaar hai, mujh ko ikraar hai haan mujhe pyar hai.
jabse koi mila.. tu hai khoya hua,
yeh kahani hai kya hai yeh kya sil sila,
aye deewane bata..
dhardkan mein chhupi kaisi aawaz hai,
kaisa yeh geet hai.. kaisa yeh shaaz hai,
kaisi yeh baat hai.. kaisa yeh raaz hai,
aye deewane bata..
mere dil ne kaha.. jabse koi mila,
chand taare.. fiza phool.. bhawre hawa,
yeh hassin wadiyan.. neela yeh aashma,
sab hai jaise naya.. mere dil ne kaha.
maine dil se kaha mujko yeh to bata,
jo hai tujhko mila, uss mein kya baat hai,
kya hai jaadugari, kaun hai woh pari,
mere dil ne kaha.. jabse koi mila,
chand taare.. fiza phool.. bhawre hawa,
yeh hassin wadiyan.. neela yeh aashma,
sab hai jaise naya.. mere dil ne kaha.
maine dil se kaha mujko yeh to bata,
jo hai tujhko mila, uss mein kya baat hai,
kya hai jaadugari, kaun hai woh pari,
aye deewane bata..
mere dil ne kaha.. na woh koi pari na koi mehzabi,
na woh duniya mein sabse hai jaada hassin,
sidhi saadhi si hai, bholi bhali si hai,
lekin uss mein adaa ek nirali si hai,
uske bin mera jeena bhi bekaar hai.
maine dil se kaha.. baat itni si hai, ke tujhe pyar hai,
mere dil ne kaha.. mujko ikraar hai, haan mujhe pyar hai,
haan mujhe pyaar hai, mujh ko ikraar hai haan mujhe pyar hai.
No comments:
Post a Comment