waqt bewaqt aap ko miss kiya karenge

aap ki yaadon ko aanshu bana kar piya karenge,
waqt bewaqt aap ko miss kiya karenge,
aapki yaadon mein marr bhi gaye to kya huwa,
yamraj ke mobile se sms kiya karenge.

kitana badal sa jata hoon bas tera ek sath pane se

mujhko khud malum nahi ki,
ahsas se tumko chhuta hoon,
ek pyas bujhhane ko apni,
ek pyas se tumko chhuta hoon.

hawayon ka chehra le kar
jab sanson se sahlati ho,
main to mar hi jata hoon
tum kaise zinda paati ho.

tab apne bahon mein lekar,
phir shayed zinda karti ho,
sansein chalne lagti hain,
tum jab bhi hath pakardti ho.

kitana badal sa jata hoon,
bas tera ek sath pane se,
badal ordh leta hoon main,
tere bahon mein aane se.

sihar sa jata hai tann mann,
lab jab lab se kuch kahate hain,
duniya bhar ke khwaab sabhi,
in ankhon mein hi rahte hain.

hum kuch kah nahi pate hain,
lab ko lab se lete hain,
khamoshi mein kuch lamha,
teri baahon mein jee late hain.

ayeene se ab jaane kya
aksar main poochata rahta hoon,
itna kyon chahta hoon tujhko,
raaton main sochata rahta hoon.

mere seene par sar rakh ke
tere sapno ko sath le sona hai,
hath bardha ke mujh ko pa lo
ab tera hamesa ke liye hona hai.

tum jis bhi dunya mein ho,
main kahi bhi rahta hoon,
jahan hoon main bas tera hoon,
ab to itna hi kahta rahta hoon.

mere sanso ko jab tumane
apni khushboo se sajaya hai,
mere hisse ka sara dard,
aksar yoon hi churaya hai.

mere tumhare pyar ka
jo bhi koyi kissa hai,
main hi likhta hoon usko par
usmein tera bhi hissa hai.

jab bhi bheegegi aankh tumhari,
mere honth wahin ruk jee lenge,
tere har ansoo ko yeh
boond boond sab pee lenge.

main kya rokun tum kya roko,
ek dooje ko pas ab aane se,
yeh rooh ka rooh se rishte hai,
hum tum hain anjane se.

kadam kadam se antim saasn tak,
har kadam sath ab rahana hai,
maine tum ko ordh laya aur
tum ne mujh ko pahana hai. 

tanhaai ka sannata dekh ghabraa jaate hain hum

tanhaai ka sannata dekh ghabraa ke rah jaate hain hum,
tera har ghum teri hi khatir hans ke sah jaate hain hum.

karna to chaahte hain hum ab tujhse bagabat aye waqt,
lekin tere hi haathon yeh waqt majboor ho jaate hain hum.

tujhe chalte dekha jo sath, humne khushiyan samet li,
un khushiyon ko dafan karne ka sama samet-te hain hum.

jab tu nahi hogi mere aas pass mein kahin to kya karenge,
yeh sochte hain aur ankhon se ashqo ko bahaye jate hai hum.

dost kya baat hua phir jo ghum-e- mahfil mein tum sarik huye,
tera ghum iss ghum-e-mahfil mein phir se duhraate hain hum.

tum khade raho mere paas, har muskilein jhuk jaayegi

tum khade raho mere paas, har muskilein jhuk jaayegi,
ho agar tum saamne mere to ek baar maut bhi ruk jaayegi.

dukhon ki aandhi jhel lunga tere pyaar ke sahare,
muh se uff ! na nikalegi agar saath ho tum humare.

de dekar har zakm mujhe ab tees bhi thak jaayegi,
ho agar tum saamne mere to ek baar maut bhi ruk jaayegi

teri baatein

iski baatein uski baatein, sabse pyari teri baatein,
chandni si sheetal ho tum aur chaand si teri baatein, 

mujhko meetha kar jati hai, sehad mein dubi teri baatein,
tannhai mein baith akele, karta hoon main teri baatein,

fagun mein mujhko rang jati hai, rango jaise teri baatein,
tan mann mera mehka jati hai, phoolon jaise teri baatein,

mujhko pawan kar jati hai ganga jaise teri baatein,
tum ho meri neendo jaise aur khawbon jaise teri baatein,

mujhko urrdake le jati hai pankho jaise teri baatein,
dil mein chhipke kuch kehti hai, dharkan jaise teri baatein,

taaro jaise tim tim karti, kali raaton mein teri baatein,
dil ke kore kagaz pe hai, gazlon jaise teri baatein,

jeevan zehar bhara ek sagar, amrit jaise teri baatein,
jeete jee jisme rehta hoon, us jannat jaise teri baatein,

har pal mujhko bhata hai, tujhse karna teri baatein,
kano mein ras ghol rahi hai, geeto jaise teri baatein,

mujhko chhuke sona kar gayi, paras jaise teri baatein,
raaj ko jeena sikhlati hai, jeevan jaise teri baatein.

All Time's Favourite Posts