ajeeb chiz hai mohobbat

ajeeb chiz hai mohobbat,
kahi pane ke liye tadapte hain umra bhar,
kahi pa kar tadapte hain umra bhar!

woh mohobbat hi kya jismein judai na ho,
aahein na bhare husan aur khafa bhi na ho!

mana ke woh khafa huye hain harkaton se hamari,
yun to sahi nahi jati khamoshi bhi hamari,

gum na kar raaj
aaj jo ruthi hai kal mann jayegi,
mohobbat bhi ajeeb chiz hai,
door ho kar hi bardh jati hai. 

phir kyun na muskuraoon main

tere pyaar ne woh raag charda
dil ke soone taaron par,
zindagi lage khoobsurat 
phir kyun na gungunaoon main.

masti bhari nigaahein
jaane kya kya ishaara karti hai,
samjhoon tere ishaare, 
phir kyun na muskuraoon main.

dekhi hai woh deewangi 
tere ishq ke har andaaz mein,
hai naaz uthaane wala koi, 
phir kyun na ithlaoon main.

yeh shokhiyaan teri, 
us par kayamat hai tera,
bebaak nigaahen teri hai, 
phir kyun na sharmaoon main.

saathi mera humdam hai, 
humraaz hai mera humsafar,
tumsa na koi dunya mein, 
phir kyun na vaar jaaoon main. 

jane kab waqt gujar jata hai

muskurati raho dil ko karar aata hai,
jitna hansti ho tumpe utna hi pyar aata hai.

tumhare sath baith kar monika,
jane kab waqt gujar jata hai.

aur bardhti hain hasratein dil ki,
tumhara hussn jab kuch aur nikher jata hai.

pilaao apne lawon se to bujhe dil ki pyaas,
tumhari aankhon se kuch kam khumar aata hai.

magear jab karti ho gairon se baat,
jane kyun dil mein ek khanjer sa utar jata hai.

aye raat aaj kuch dheeme gujar mera mehboob rutha hai

aye raat aaj kuch dheeme gujar mera mehboob rutha hai,
aawaz to nahi aayi koi magar kahi kuch jarur toota hai,

jab tak wo saath the waqt pata nahi kaise gujar gaya,
har pal lagta hai sadiyon sa jab se saath chhuta hai,

har shaam khawab unse milne ka palkon mein saja leta hoon,
jaise hi palak jhapke, malum hota hai khwab to jhootha hai,

aaj ki shaam kuch jada hi surkh dikhayi deti hai aankhein,
lagta hai kudrat ke nagar bhi ghumon ka sailab utha hai.

tum har din naye saal si chali aati ho

khilkhilati dhoop mein barsaat si chali aati ho,
tum din ke ujale mein chandni raat si chali aati ho,
mere dil ki viraan pardi sadkon pe,
tum gaati-bajaati baaraat si chali aati ho.

andheron mein jhilmilate sitaron si chali aati ho,
tum patjhard mein baharon si chali aati ho,
hone hi nahi deti mujhe kabhi tannha,
tum saze huye bazaaron si chali aati ho.

raat mein purani yaad si chali aati ho,
tum har dua mein fariyaad si chali aati ho,
likhta hoon jab bhi kuch naya,
tum har sher pe daad si chali aati ho.

holi pe abeer aur gulaal si chali aati ho,
diwali pe deepon ke thaal si chali aati ho,
manata hoon roz tyohaar ab main,
tum har din naye saal si chali aati ho.

hoon main kahi tujh mein

hoon main kahi tujh mein, 
mujko khud mein basa kar dekh,
dekh sake jo tu to meri,
nazar se khud ko nihaar kar dekh.

tujh mein main hoon,
mujh mein ab tu nazar atti hai,
bekarar dil ko tu bhi jara,
dhardka kar dekh.

hosh kaha hai mujko,
kahi mein udda jaata hoon,
mere sang tu bhi jara,
khud ko udda kar dekh.

behak raha hoon tere khayalon mein aaj main dilbar,
tu bhi aaj khud ko mere sath behka kar dekh.
hoon main kahi tujh mein, 
mujko khud mein basa kar dekh,
dekh sake jo tu to meri,
nazar se khud ko nihaar kar dekh. 

hathon mein hath le kar tera sath nibhaana hai

hathon mein hath le kar tera sath nibhaana hai,
tujhko apni mohabbat ka jazbah dikhaana hai,

teri baahon mein aakar sukoon mil jaaye mujhe,
teri zulfon ko apne kaandhon pe bichaana hai,

tu azeez hai mujhe itni main keh nahi sakta,
tera deewaana hoon main bas itna bataana hai,

haseen nazaaron mein, ab mera mann lagta nahi,
tere chehre ko nigaahon ke saamne laana hai,

main kahin baith jaaun tannha, duniya ki fikr mein,
tujhe apne paas bitha kar, sabko bhulaana hai,

jab dekhe tu mujhko to chehra khil jaye mera,
har takleef ko apne dil se mujhe, mitaana hai,

main dua’a mein maangta hoon, khuda se tujhko,
apna sab kuch kho kar bas tujhe hi paana hai,

khwaab-o-mein aksar yeh sochta hoon,
kya tujhe bhi kuch iss tarha mujhe sunaana hai? 

All Time's Favourite Posts