jo kisi praani ko maare, woh shaitaan hai insaan nahi

jo kisi praani ko maare, woh shaitaan hai insaan nahi,
mare hue ko khaye kyu? yeh pet hai shamshaan nahi,

jo kaanta koi chubh jaaye, tardapta hua tu chillaye,
kaate tu talwaaro se, kyu cheekh na unki sun paaye,

dard unhe bhi hota hai, woh jeevit hai bejaan nahi,
jo kisi praani ko maare, woh shaitaan hai insaan nahi.

har ek ki apni satta hai, sabka apna apna wajud hai,
sab hain jeete apne liye, kisi aur ke liye maujud nahi,

sabhi ko jeewan diya hai usne, 
kaun yahaan prabhu ka santaan nahi,
jo kisi praani ko maare, woh shaitaan hai insaan nahi,

har dharma mein har mazhab mein, 
bible geeta ya chaahe kuraan mein
ek hai aatma, ek hi ruh, 
har pashu mein ya chaahe insaan mein,

ahinsa ka nirjhar sabmein, hinsa ka naam-o-nishaan nahi,
jo kisi praani ko maare, woh shaitaan hai insaan nahi.

buddh kahe, raam kahe, gandhi, paigambar, peer kahe,
jiyo aur jeene do yehi, naanak aur mahaveer kahe.

abhay do har praani ko, abhay sa koi daan nahi,
jo kisi praani ko maare, woh shaitaan hai insaan nahi.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts