ek kahaani yaadon se...

woh beeti huyi shaam apne saath yaadon ko bhi le gayi,
woh aanshuon mein bheegi huyi ek dastaan bhi thi keh gayi,
bayaan karta hoon apne lafzon mein zazbaaton ki ek kahaani,
pariyon si ek ladki ki ek dard bhari kahaani...

yeh dastaan thi ek masoom pari ki jispe pyaar ka saaya tha,
jo toot gayi thi tabse jabse kissi ne usse thukraaya tha.
khamosh ho chuke labon par ek sannaata chha jata tha,
ashkon se bheege huye chehare se jab zulfon ko main hatata tha.

muskuraati thi woh hardam, harpal woh muskati thi,
main poochhta tha dard uska, woh nagme gungunati thi.
jab bheeg jati thi palkein kissi ko yaad karke,
dekhti thi meri taraf dil ke tukde chaar karke.

main thaamna jo chahta kabhi woh door hatt jaati thi,
mujhse apni dooriyon ka ehsaas bhi dikhati thi.
bebas thi woh dil ke haathon aur iss zamaane se anjaan thi,
nafrat bhi kaise karti woh , usse sirf pyaar ki pehchaan thi.

maine chorda usse kuch waqt akele uski tannhai mein,
dil ne roka mujhe bahut par chal diya de kar usse judaai main.
jab lauta main waapas woh phir se muskuraayi thi,
shayad kissi ke pyaar ki chamak uski aankhon mein utar aayi thi.

ussne bhar ke mujhko bahon mein pyaar se dekha tha,
jab maine usse uski khushi ka raaz puchha tha.
sharmaayi thi woh phir usne dheere se sar ko jhukaya tha,
bataya usne ki dil uska phir kissi par aaya tha.

main khush tha usse dekh kar uski khushiyon mein muskuraya tha,
par phir kyun utha yeh dard sa dil mein.. main isko samajh na paya tha.

main phir chal diya alag raah par usse chord kar uski duniya mein,
tannha reh gaya tha main jaise kyun main isse samajh na paaya tha.

door tha main phir usse.. par uski yaadon se nahi tha,
shayad main pehli baar uski khushiyon se khush nahi tha.
beete kayi din woh yaadon ke saaye mein thi kho gayi,
zindagi ki ek mord par uss-se mulakat phir se ho gayi.

main dekhta raha usse, woh mujh ko dekhti rahi,
maine poochha na usse kuch, aankhon mein baat ho gayi.
thukraaya tha aaj ussne kissi ko jaane kya baat thi ho gayi,
jaise woh har gham se haar.. khushi se anjaan ho gayi.

kuch na kaha maine usse bas phir se dosti ko thaam liya,
mohabbat ke kayi roop hain.. bas iss baat ko maan liya.
na chahat thi kissi aur ki na kissi ke pyaar ki aarzoo thi,
bas woh mere saath thi.. na ab kissi ki talaash thi.

dastaan yeh yahin par khatam nahi hoti hai,
iss zindagi ke har panne par nayi kahaani likhi hoti hai.

sharmayi si ghabrayi si, jab shaam dhale woh aayi thi

sharmayi si ghabrayi si,  jab shaam dhale woh aayi thi, 
haathon mein pallu ka kona, raste bhar ghumati aayi thi, 

maine puchha jo adab se, theek to ho, 
boli woo..woo.. woh mein mandir ke bahaane aayi thi, 

uske marmari haatho ko maine, 
chhu ke dekha, jaise barf se dho kar aayi thi, 

muh pher ke khadi ho gayi, 
jaise woh meri nahi paraayi thi, 

jee mein to aaya, aagosh mein bhar ke, 
uske kaano mein keh du, mere dil mein tum hi samayi thi, 

khayal kiya duniya ka, ghoonth piya sabr ka, 
aur socha bigad na jaaye, baat meri jo bani banayi thi, 

maine hans ke bola, ek pal jara idhar bhi dekho, 
shayad tum mujhse hi milne aayi thi, 

pehli, doosri, teesri, 
kuch mulakaatein aise hi guzri,

dheere dheere aise ghul gaye jaise, 
main phool aur uski khushbu mujh mein samayi thi.

All Time's Favourite Posts