bas ek baar

wo hawa jo tujhe chu ker gayi ,
mujhe chu jaaye ek baar.

ek baar teri khusbu,
mujh me simat jaaye…. ek baar.

ek baar to apne pallu se sehla,
ek baar tu apne rang faiyla.. ek baar,
ek baar phir se dewaana bana.. bas ek baar.

ek baar teri aanshu,
meri hateeli me tham jaaye,
ek baar teri hassi se,
mera aangan bhar jaaye.. ek baar.

ek baar tu apna haat barda,
ek baar tu mujhe lage se laga,

chu lu tujhe bas ek baar,
to ho jaaye rabb ka deedaar... ek baar.

tu hai to main hoon,
tu hai to to hi hai ye jaahaan,

ek baar…
ek baar bas ek baar..

ek baar pachtana chahata hoon

aaya hoon tere dar par,
jholi bhar kar jana chahata hoon,
pata nahi kya mangte honge log,
main to bus pyar pana chahata hoon,
naseeb me hai ya nahi,
par main ek baar jatana chahata hoon,
khwaaish hai meri ya hai sanjog,
main to bus aajmaana chahata hoon.

din- raat tere khayalo me,
par main ab rubaroo hona chahata hoon,
chahata hoon tera sahayog,
main to bus lipat jana chahata hoon,

suna hai ki pyar me hai tardap,
par main apne ko tardpana chahata hoon,
mujhe bhi lag gaya hai ye rog,
main to bus aise hi bitana chahata hoon.

suna hai k pyar buri hai balla,
par main isse gale lagana chahata hoon,
thokar mili to le lunga jog,
main to bus ek baar pachtana chahata hoon.

agar safar mein humara bhi humsafar hota

kisi ki yaad mein palkein zara bhigo lete,
udaas raat ki tanhaiyon mein ro lete,

dukhon ka bojh akele nahi sambhalta hai,
kahin woh milti to unse lipat ke ro lete,

agar safar mein humara bhi humsafar hota,
bardi khushi se inhi pattharon pe so lete,

tumhari raah mein shakhon pe phool sookh gaye,
kabhi hawa ki tarhan iss taraf bhi ho lete,

yeh kiya k roz wahi chandni ka bister ho,
kabhi to dhoop ki chaadar bicha ke so lete.

phir se sataane ke liye aa jaao

hum ruth gaye humko manaane ke liye aa jaao,
honthon pe lagi pyas bujhane ke liye aa jaao,

zindagi chain se kat rahi hai sanam yaadon mein tere,
aa jaao mujhko phir se sataane ke liye aa jaao,

hasrat-e-dard ne phir mujhko aa ghera hai,
aa jaao mere dil ko dukhane ke liye aa jaao,

tum mere ho.. ke zamaane mein tum hi ho mere,
mujhko seene se ek baar lagaane ke liye aa jaao,

humse hi pareshan ho, humse hi mohabbat hai,
hum kya hain tumhare, ye bataane ke liye aa jaao,

waqt rahte mujhe chehra dikhaya na gaya tumse,
mumkin hai to arthi uttane se pehle hi aa jaao,

hum marr gaye hain lekin, hum dard mein hain tere,
na sahi ishq magar phir bhi zamaane ke liye aao,

neend aati nahi.. sote hain, sote hain bahut rote hain,
kuch khwaab haseen dil ko dikhane ke liye aao,

tum meri jarurat ho, tum meri tamanna ho,
aa jaao mujhko zehar pilaane ke liye hi aa jaao,

tere intezaar mein hum thak chuke.. kasam se,
bhaahon mein humein apni sulaane ke liye hi aa jaao,

maana raaj buraa hai, ye tum bhi jaante ho,
ek baar mujhko accha banaane ke liye aa jaao..!!

zakhmon ko hanste-hanste seh jana pardta hai

majburi mein sun ke chup rah jana pardta hai,
aankhon se hi sara kuch keh jana pardta hai,

wafa ki raah mein aksar chattanon ko bhi,
jazbaaton mein be-sahara beh jana pardta hai,

barde-barde honsle wale pardte hain kamjor isme,
mohabbat ki aajmaish mein unhein bhi bikhar jana pardta hai,

aashkon ko gam ke payimane mein pi-pi kar,
zakhmon ko hanste-hanste seh jana pardta hai,

hoti hai jab sachhi chahat dil mein unke,
duniya ki sari deewaron ko dheh jana pardta hai.

woh to bhul gaye hain sab kuch

woh pal kabhi gujra tha mera,
gam ke saaye se door kahin,
aaj unhi meethe palo ki yaadein,
bhar laayein hain neer abhi...

kitna khush tha main sang unke,
na bichardne ka tha khauf kahin,
kabhi ruthta kabhi manaata tha unhein,
ujard gayi kyu ab wo duniya meri...

kuch kasmein thi kuch waade the,
aur kuch khel suhaane the,
beetein palon ki yaadein sanjone mein,
yun beet gayi zindagani meri...

wo to bhul gaye hain sab kuch,
aur mujhe unki har baat yaad rahi,
keh gaye the jis mord par laut aane ko,
ussi mord par khade meri umra beet gayi...

wo nahi aaye laut kar lekin,
unki yaadein mere saath rahi,
keh na saka jo bhawna unse lab se kabhi,
meri shayri ne us dard ki har kahaani kahi...

unki bewafai ka kaise sikwa karein

dekhte dekhte kai mausam badal gaye,
auron ki kya baat karein, sanam badal gaye.

ruswa mehfil mein is tarah se huye,
apnon ki bheed mein jaise, hum badal gaye.

kagaz pe kuch lakerein, haathon ki tarah,
mita sakta hai har koi, karam badal gaye.

unki bewafai ka kaise sikwa karein,
chhord de saath raaj, sitam badal gaye.

teri zarra nawazish ka dil se shukriya,
warna aye khuda jahaan mein, reham badal gaye.

wafaa ka mila humein aisa inaam

aapne naam se jurda wo unka naam,
wafaa ka mila humein aisa inaam,
patthar si ho gayi hain dil ki raahien,
ek pal mein kar diya kaam tamaam,

aapse to koi humein gila nahi,
humnein to rakhi thi shartein yahi,
bas hum hi ye pehchaan na sake,
kya galat hai aur kya sahi,

khush ho lenge gar aap khush ho to,
kar gujrenge jo aap chaaho wo,
jee bhi lete aapki dhadkane sunn,
uss khuda ki itni inaayat ho to,

koi kahega humein pagal aur koi deewana.
khud hi kuwan khoda aur khud hi ko maar daala.
doosron ke maut par to sabhi rotein hain.
humnein ko apna hi uthaya hai aarthi....

kis liye rah mohabbat ki dikhayi tumne

zindagi ka safar tanha bhi kat hi jaata,
kis liye rah mohabbat ki dikhayi tumne?

koi ranzish thi agar tumko to mujse kehte,
baat aapas ki thi kyu sabko batayi tumne?

maine dilse tera khayal juda to nahin kiya?
rakkha jo tujhko yaad buraa to nahin kiya?

tu kis liye hai mohabbat pe yun khafa?
maine tere sitam ka gila to nahin kiya?

kisi bewafa se dil lagana nahi

zindagi ko ab gale lagana nahi,
maut hi apni dilruba hai,
isse ab mujhko thukrana nahi..

tumne jo di hai mujhko nafrat,
tere pyar ko ab apnana nahi..

agar gum hi zindagi jeene ka naam hai,
to gumo se abb darr jaana nahi..

nafraton ke samandar mein doob jaana hai mujhko,
iss samandar se bahar ab aana nahi..

zindagi mein gamo se dil laga loon chahe,
par kisi “bewafa” se dil lagana nahi..

saamne hai manzil aur mujhe raasta nahi milta

woh samane hai aur mujhe mohabbat baya karne kaa hausla nahi milta,
kaisa ye sitam hai saamne hai manzil aur mujhe raasta nahi milta,

raasta imaan kaa agar mushkil naa hota,
mumkin hai iss jahaa main koi beimaa nahi milta,

hum chahat ki zameen se urde the saath saath,
wafa ke paron ke zariye kisi parinde ko aasmaa nahi milta,

chahat ke raasto par judaai ke mord na hote to,
aashkon mein dooba hua umeedon ka karwaan nahi milta..

kya yuhi log wafao ka dete hain sila

na roote gaye na hasste gaye,
iss jahaan se log taraste gaye,
hamesa tammnnao ki las par,
inn aankho se ashk bhingote gaye...

inn ashko ki kimat mujhse pucho,
jo jahan ki nazar mein saste gaye,
ab tak kinaro par hi bhatkta raha,
jahan aaye, pyaas se tarste gaye...

zindgi ko talas thi jiski wo na mila,
na koi sikwa hai na koi gila,
phir bhi ek aah hai iss dil mein,
kya yuhi log wafao ka dete hain sila..??

kyun dil ko mera sirf unka intzaar tha

muddat se jiske waaste dil bekarar tha,
woh laut kar na aayi magar uska intezaar tha,

jo humsafar thi chord gayi raah me mujhe,
main phass gaya bhanwar me woh darya ke paar the,

manzil kareeb aayi to tum door ho gaye,
itna to tum batao ki yeh kaisa pyaar tha,

bizlli gira di yeh kisne humare darmiyan,
wo sakoon se baithe rahe, par mujhko na karaar tha,

yeh kaisa haal tha unke rukhsat ke waqt ka,
aankhon me aanshu aur dil bekaraar tha,

yeh baat umar bhar samjh na paaya main,
kyun dil ko mera sirf unka intzaar tha...

bas bharam mein log reh jaate hain

khawab to khawab hote hain,
aankh khuli to sapne toot jaate hain.

gaur se dekho to haseen,
chaand pe daag nazar aate hain.

apne paraye ki kash-ma-kash mein,
gum mein rishty rooth jaate hain.

dhoondhta hoon to milti nahi woh,
haathon se lamhe chhut jaate hain.

kuch to haasil ho zindagi mein,
bas bharam mein log reh jaate hain.

those days have gone

those days have gone days of sadness and
despair shattered hopes and fluttering fortunes

when there was no one to care, but had so much to share
I put my heart on paper soaking in the ocean of tears

I cried.. I cried till all the tears dried out,
even the tears have left me but not my pain.

one moment of love, 

one moment of caress just to know that
some one cares that is all I needed to live for years

together with my heart full of pain

but I never felt like it
hours of darkness filled me with tears.

red were my eyes that fought the dark lonely nights
with your memories on mind, 

tears dropped like rain.

alas! I could never find a rainbow.
I turned the pages of my heart

and searched for the memories that

I could cherish and live on, 

never did I manage to find one.
words of love that flew from my heart are only for you.

even they could feel the pain but you could never understand,
words that broke the shackles of pain

and hurt got along to reach you.

I wish they could reach your heart and sing a song of love,
if only you could think about me for a while I wouldn't be feeling so bad.

for all my efforts and pain if only you could spare a moment of love for me,
I wouldn't have been sitting alone weeping, 


words are hard to come by
feelings have filled my heart and now it can't take any more,


tears have dried up, 

I wont cry any more, 
I want to share some thing

but no one who really care. 

feeling of loneliness is killing me.

those days have gone perhaps
days of sadness and despair,
as my soul also wants to leave me I feel alone.

tujhe bhool jaun yeh mujhse hota nahi, tujhe yaad main aaun yeh tujhse hota nahi

aadatein bhi ajeeb hoti hain,
fitratein 
bhi ajeeb hoti hain,

chaahatein 
bhi  ajeeb hoti hain,
kismatein 
bhi ajeeb hoti hain,

tujhe bhool jaun yeh mujhse hota nahi,
tujhe yaad main aaun yeh tujhse hota nahi,

mere dil ko phir bhi tujhse mohabbat hai,
mohabbatein 
bhi ajeeb hoti hain,

tujhe yaad kerna meri aadat hai,
aadatein 
bhi ajeeb hoti hain

khud ko mita kar tujhe pa rahe hain,
tere liye apna ruh jala rahe hain,

yeh ishq hai ek hangama, ek nayi musibat hai,
musibatein bhi ajeeb hoti hain,

dil lagana to mera fitrat hai,
fitraten bhi ajeeb hoti hain

ek zakhmi-dil tere naam ka haansil hai
tu khusi mein dard mein har baat mein shamil hai,

tu mera haseen ek khwaab, tu meri hakeekat hai
hakeekatein bhi ajeeb hoti hain.

ek benaam si yeh chaahat hai,
chaahatein bhi ajeeb hoti hain.

udaas meri raatein ashkon bhara savera hai

jab se tum door huye ho,
tumhari yaadon ne aa ghera hai,
udaas meri raatein hain,
ashkon bhara savera hai..

har kasm ko woh sare aam jhootlate rahe

har saksh ke saamne woh humein ruswa karte rahe,
lab khamosh to har dard hum sine mein sehte rahe,

har nafrat seh ker bhi hum unhein pyar karte rahe,
dil na dukhayenge kasme woh humein dete rahe,

har kasm ko woh sare aam jhootlate rahe,
apne issi fitrat se woh humme rulate rahe,

har baar hum unke surat se dhoka khate rahe,
apne us bewafa sanam se phir bhi hum dil lagate rahe.

kismat bhi na jaane kaise rang dikhati hai

kismat bhi na jaane kaise rang dikhati hai,
chahte hain jisko usse hi door le jaati hai,

lakh koshish karte hain jisko paane ki,
kismat usse hi kuch pal mein alag ker deti hai,

thordi si khushi paane ki koshish kro to,
kismat us khushi ko bhi gum mein badal deti hai,

taraste rehte hain sirf ek kandhe ke liye tamam umr,
kismat usse bhi hum se door kar deti hai,

aakhri waqt mein mil jaate hain char-char kandhe,
kismat bhi na jaane kaise rang dikhati hai,

ta-umar ram ke naam ke liye time nahi milta hai,
aakhri waqt mein yahi naam sunne ko milta hai,
kismat bhi na jaane kaise rang dikhate hai.

aasan nahin

mohabbat sabhi kar lete hain,
dilbar ke dil mein dhadakna aasan nahin,

waade sabhi kar lete hain,
unhe nibhana aasan nahin,

pyar mein dil sabhi jeet lete hain,
magar dil har ke jeetna aasan nahin,

zindagi mein to sabhi pyar kar lete hain,
pyaar mein isse kurban karna aasan nahin..

jo mera suroor hai

ek pyar hai mera jo mera suroor hai,
nasse me uske yeh shayar aaj choor hai,


kahani na kehna isse dastaan me likhna chahata hoon,
lage hai mele khushion ke toh gum aaj door hai,

ek pyar hai mera jo mera suroor hai....!!

aankhein jiski shabnami dil thoda masoom jaroor hai,
nahi samajhta iss bedard duniya ko,
uske liye toh yahan har koi huzoor hai,


na samajh sahi par pyar hai mera jo mera suroor hai.....!!

chahata hoon usse main kitna yeh khud pata lagana namumkin hai,
chand sa chamakta uska chehara par khawabon me uske dil mera gamheen hai,

tim-timati chandani me thandi hawa se uska lehrata aanchal,
saath hoti thi jab woh mere toh hota mujhe bhi guroor tha,

haan chahana kisi ko koi gunha nahi,
ek pyar hai mera jo mera suroor hai....!!

dekhna dhoondke milayegi harr raah humein,
koi to hamari chahat ki bhi kadar ko sajayega,
kehlayegi yeh dastaan amar,

mera prem bhi amar prem kehlayega....!!

dilo ke faasle kam naa ho sake

hum apne mukadar pe naa ro sake,
aur woh kabhi mere naa ho sake,
ek shikayaat rehti hai humko,
hum apni hi maut pe naa ro sake,

sulade mujhe tere daman mein aisa,
fir koi dusra kabhi naa soo sake,
hum kar gaye sadiyo tak ka intezaar,
par dilo ke faasle humse kam naa ho sake.

kya tum mujhe apnaoge

hum thode nadan hain,
thode se hain natkhat,
kya tum mujhe apnaoge...?

chupke se rote rahete hain,
sabke samane to haste hain,
chillaye to ruth jaayenge,
par pyaar se hum maan jayenge,
kya tum mujhe apnaoge...?

hum to sada aisse raheinge,
humein naa tum badal paoge,
aapko humne apna hi samjha,
dusra na koi dil mein basa,
kya tum mujhe apnaoge….?

gam aapko humse batna hoga,
sari khushi humse jordni hogi,
aapse pehale humein hai jana,
ye wada aapko to karna hoga,
kya muje apnaoge….?

aapko kabhi bhool naa payenge,
ye galti hum roz dauhrayenge,
kya tum mujhe apnaoge...??

tumhe ek din wapas aana hoga

kuch panno ko chord ke ab mujhko likhna hoga,
yakin hai mujko ki tumhe ek din wapas aana hoga.

likhunga main apni baatein panno par hi saari,
aakar tujhko meri baatein issi panno se pardna hoga.

tum bin jeevan jeena, jeena hi nahi hai,
mujhko jeena aur tumko sirf sunna hoga.

saath rahe aaj tak hum, ab door rehkar bhi dekhna hoga,
duriyon se yeh rishta aur bhi gehra hoga,

chutte huye panno ki baatein paas tumhare aayegi,
in panno pe aaj tumhein mera jawab likhna hoga.

 

dil ki lagi kya cheez hai

zindagi jee kar dekho to haseen lagti hai,
mar ke kisi par dekho zindagi kya cheez hai?

yoon to dua maangte the aksar khuda se,
ishq me doob kar dekho bandagi kya cheez hai?

dil seene me uchhal kar deta hai yoon dastak,
yeh haal humara hai kyon..
woh maujoodagi kya cheez hai?

kuch lamho ka nasha hota hai sharaab me,
kisi nazaron me utar kar dekho bekhudi kya cheez hai?

dard ka ehesaas to hai humdardon ko mere,
par door meheboob se ho kar dekho judaai kya cheez hai?

samajhdaaron ko khabar kya mushkile ishq ki,
deewane se kabhi poochkar dekho deewangi kya cheez hai?

mohabbat ek junoon hai, 
jo jaan bhi maang leti hai,
chal ke raah-e-wafa par dekho, dil ki lagi kya cheez hai?

dekh lo aaj bhi tannha muskura raha hoon main

khud hi apni hasti ko ab mita raha hoon main,
shayad ab usko bhula raha 
hoon main,

sab ke naseeb mein nahi hoti hai mohabbat,
ye aaina is pagal dil ko dikha raha 
hoon main,

ye dooriyan pasand thi usse ye kaha tha usne,
aaj usse bahut door kahin ja raha 
hoon main,

wada kiya tha maine usse har khushi dene ka,
wo hi ek wada aaj bhi nibha raha 
hoon main,

kaha tha usne achhe lagte ho hanste huye,
dekh lo aaj bhi tannha muskura raha 
hoon main.

har mord pe jisse dhundti rahi nazar

har mord pe jisse dhundti rahi nazar,
unke bin bojh ban ke reh gayaa safar,

rakh ke tera chehra nigahon mein,
main jhelta gayaa sare tufan aur kehar,

woh samane se gaye aur maut aayi peeche se,
kisse peeth dikhaye kis taraf rakhe nazar,

teri chahat ke khatir maut ko thukrane ke,
ilzaam bhi rahe hai mere sar,

jo tune naa karwayi hoti mulakat raaton se,
andheri raaton ke hatho se hum chin late kuch aur pehar.

tannha jab kabhi chaloge tab yaad aaunga

bahut chotti si baaton per roothna aur maan jana,
phir koi jab tum se roothe ga mein tum ko yaad aaunga..

woh baaton mein bohat sakhti magar dil mom jaisa hai,
kisi ladke ko sochoge to tum ko yaad aaunga..

to yoon kerna...
bareste aasman ko dekhna hi chord dena tum,
ke baadal jab bhi barsega, main tum ko yaad aaunga..

tumhara saath khawish tha, nahin koi thi majboori,
tannha jab kabhi raaste per chaloge tab bhi yaad aaunga..

mein tum mein bas chuka hoon jis tarah mehndi hai haathon per,
khud apni jazbaat ko dhoondoge tab bhi yaad aaunga...

hum hak jatana bhool gaye

tum pyaar ka woh gujra hua zamana bhool gaye,
hasraton ne jhatka.. hum hak jatana bhool gaye,

tha dil ko armaan kahin.. ashiyana ho tera-mera,
tune toda bharm, hum sapne sajana bhool gaye,

pyaar pe apne yun to humko tha naaz bada,
begaani si baatein sunn teri.. hum itrana bhool gaye,

mehboob ki aankhon se utar gaya chehra jab mera,
hum adaaon se apni tab.. tumko rijana bhool gaye,

tujhse jude to chhoda humne har rishta apna,
haath tera chhuta.. zindagi ko nibhana bhool gaye,

tumko sajaya tha iss dil mein armaano sa humne,
dekh ke tere anshun ko.. hum muskana bhool gaye,

kaha tune raaj ko.. bas anchaha andhera hai,
sun ke teri baatein hum.. shama jalana bhool gaye. 

All Time's Favourite Posts