meri yaadon mein tum, mere khayalon mein tum

tab bhi tum mere khayalon mein kayam thi,
jab tum meri zindagi mein aayi na thi,
mujhe rehta tha har pal ek ajab sa suroor,
jab teri aankh dab dabai na thi,

main besudh sa chala ja raha tha teri talash main,
tere chhah ne mujhe koi naye rah dikhai na thi,
woh tera kehna ki main ek saya hoon,
mujhe na dekh paoge tum kabhi bhi,

lekin main to tumhe har pal har ghadi main dekhta hoon,
in nazaron mein tum ho, phoolon mein tum ho,
ghumti gaati hawaon main tum ho,
bhanbhre ki mitthi gun gun mein tum ho,

suraj ki sunehri kirno mein hai akas tumhara,
chand ki chandni mein chhipi ho tum,
meri hassi mein muskurati ho tum,
mere aanshuon mein behti ho tum,

meri yaadon mein ho tum, mere khayalon mein bhi tum,
meri ankhon ke sagar mein pari seep ka moti ho tum,
meri zindagi ke deepak mein jal rahi joti ho tum,
baarish ki har ek boond mein bhig rahi ho tum,

inder dhanush ke har rang mein rangi ho tum,
dhuup mein hai garmi, tumhare badan ki,
iss reshmi raat ke ehsaas mein bassi ho tum,
tum ho kudrat ke har ek nazare mein,

main har cheez mein tumko dekh raha hoon,
mere liye roshan hai yeh jaha tere wajood se,
agar khuda na banata tum ko to adhoori rehti uski khudai,
har cheez tere ehsaas se lagti hai apni,

warna ajnabi hai humse hamari hi parchaai,
tujhe in aankhon se dekhna to koi bari baat nahi,
tujhe dekhta hoon main har paal mann ki aankho se,
yeh mera ehsaas lagta hai bahot pyara mujhe,

teri aankhon mein ho raha hai tera nazara mujhe,
tera nazara mujhe.. tera nazara mujhe.

yug badle duniya badli maa ka rup nahi badla

aaurat ka hi hai dusra naam yahan balidan kyo?
har yug mein hota hai, seeta ka hi apmaan kyo?

aapne phul ki khatir jo kanton par bhi chalti hai,
deti hai phir dukh usko, uski hi santaan kyo?

beti, bahu kabhi maa banke, zulm sabhi ke sehti hai,
a-auraat.. yeh bata mujhko, itni hai tu mahan kyo?

badla teri mamta ka, koi bhi jab nahi deta,
phir bhi pyaar lutati hai, banti hai tu nadaan kyo?

yug badle, duniya badli, maa ka rup nahi badla,
bhagwaan bhi sajdha karta jise, dhhata zulm jahan hai kyo?

a-aaurat jo na hoti tu, hota kuch na duniya mein,
tu hi jag ki janni hai, iss baat se hai log aanjaan kyo?

laaunga kahan se judaai ka haunsla

laaunga kahan se judaai ka haunsla,
kyon iss kadar kareeb aa rahe ho tum?

apni hi dhadkanein begaani si lagne lagi,
kyon iss kadar kareeb aa rahe ho tum?

apni hi zindagi se door ja raha hoon pal pal,
kyon meri zindagi mein aise chale aa rahe ho tum?

naa kareeb hi aa paaun naa door hi jaa paaun,
kyon meri hi soch mein mujh ko uljha rahe ho tum?

na din mein karaar, na raaton ko chain,
kyon mujhko itna tardpa rahe ho tum?

hawa bhi guzre paas se to tumhara ehsaas lage,
bataao to jara kyon itna yaad aa rahe ho tum?

laaunga kahan se judaai ka haunsla,
kyon iss kadar yaad aa rahe ho tum???

bure waqt mein kya tum mera sath nibha paogi?

main dil mein basalunga tumhe yuhi, 
par kya tum mera ehsas ban paogi?

tut ke bikhar gaya main kabhi to, 
kya tum mujhe sambhal paogi?

ruth jaau main tumse kabhi kisi din, 
to kya tum mujhe mana paogi?

khwahisein meri bhi bahot hai tumse,
meri har khwahisein tum puri kar paogi?

zindagi mein sab din achhe nahi hote,
bure waqt mein kya tum mera sath nibha paogi? 

in the deep end of my heart, I think of only you

I gave my heart to you,
I set my standards high,
I laid my eyes on you,
I laughed and cried with you.

I told you my hopes and dreams.
my love and fears.
my tears I shed all over your shoulder 
in the end.

I came to see that you were
the only girl I could ever trust,
when I see you..
my face lights up with aspiration and happiness.

when we talk I can feel the load unload
with soothing words from you.
I have the feeling of love in my heart,
in my mind I say you don’t mean a thing.

in my words I say you are just a friend
but in the deep end of my heart,
I think of only you,
when I tell you my expectations of a girl.

you tell me never to fall short of what I want
but only one thing stands in the way...

you are a friend

tujhe khud mein shamil kar sakta nahi

tumhari need udai hai, par sota main bhi nahi,
meri nigahon mein bas gayi ho, tumhein khota main bhi nahi,

sach kehta hoon, mere khwaboon mein roj tum aati nahi ho,
aapne pyar ka kya hoga, sach mein tum batlati nahi ho.

tere dil mein rehta hoon par mere dil mein tum reh
 sakti nahi,
rota hoon zar-zar, tum aapna mujhe keh sakti nahi.

soocha hoon jab aapne bare mein, to na jaagta na sota hoon,
sach bolu to tere hi liye bechain bahut hota hoon.

pyaar kerne ki kismat thi, hasil tumhein kar sakta nahi,
na reh paunga tere bina aur tujhe khud mein shamil bhi kar sakta nahi. 

All Time's Favourite Posts