main aur meri aavaaragi

phirate hain kab se darbadar.. ab iss nagar ab us nagar,
ek dusare ke hamsafar.. main aur meri aavaaragi,

naa aashana har rahguzar.. naa meharbaan hai ek nazar,
jaayein to ab jaayein kidhar
.. main aur meri aavaaragi, 

hum bhi kabhi aabaad the.. aise kahaan barbaad the,
be-fikr the aazaad the.. mashoor the dilshaad the,

woh chaal aisi chal gaye.. hum bujh gaye dil jal gaya,
nikale jala ke apanaa ghar
.. main aur meri aavaaragi, 

thi jis ki baatein dilnashi.. usse ajab thi guftaguu,
phir yun huaa woh kho gayi aur mujh ko zid si ho gayi,
laayenge us ko dhuund kar
.. main aur meri aavaaragi, 

yeh dil hi tha jo sah gaya.. woh baat aisi keh gaya,
kahane ko phir kya rah gaya.. ashkon ka dariya beh gaya,

jab keh kar woh dilbar gaye, unke liye hum mar gaye,
rote hain us ko raat bhar
.. main aur meri aavaaragi, 

ab ghum uthaayein kis liye.. yeh dil jalaayein kis liye?
aanshu bahaayein kis liye.. yuun jaan gawaayein kis liye?

peshaa na ho jis ka sitam.. dhundenge ab aisa sanam,
hoha kahin to kargar
.. main aur meri aavaaragi, 

aasaar hain sab khot ke.. imkaan hain sab chot ke,
ghar band hain sab kot ke.. ab khatam hai sab totake,

kismat ka sab yeh khel hai.. andher hi andher hai,
aise hue hain beasar
.. main aur meri aavaaragi, 

jab humdam-o-humraaz tha.. tab aur hi andaaz tha,
ab soz hai tab saaz tha.. ab sharm hai tab naaz tha,

ab mujh se ho to ho bhi kya.. ho saath woh to bhi kya?
ek behunar ek besabar
.. main aur meri aavaaragi.

yeh lamhein bhool kar bhi rihayi nahi dete

khamoshi hai itni ki ,
yeh nagmein sunayi nahi dete,
gujar gaya hai waqt itna ki,
yeh zakham ab dikhayi nahi dete,

nazarein dhundhti hai jinhein raat din,
ab woh khawaab mein bhi dikhayi nahi dete,
waqt ki zanzeer mein uljha hua hoon,
yeh lamhein bhool kar bhi rihayi nahi dete. 

ab kya kare?

jab dard nikal naa paaye, sukh jaaye.. to kya kare?
ashk paani ki jagah lahoon barsaaye.. to kya kare?

dhadkan aur zindagi ka kitna hota gehara naata,
dhadkan hi kaanto sa chubhta jaaye.. to kya kare?

rim-jhim barish ka paani pallavit kare har dil ko,
woh jab tufaan ka aagaz kar chaaye.. to kya kare?

andhere se dara mann chikh kar bulaata apane ko,
jo apani chaaya ko bhi dekh na paaye.. to kya kare?

ek apana ek sapana zindagi ke do rukh ban gaye,
sapne ki khushi bhi bichhadane aaye.. to kya kare?

aalam yeh aisa ghir raha, dard ko tannha sahane ka,
dar se maut bhi apane saath na le jaaye.. to kya kare?

aanshuon ko jalaakar, khush hote rahein kai dino se,
ab yeh ashk bhi mera mazaak udaaye.. to kya kare?

apni hi talaash mein ghoomate rahe kaanto mein bhi,
khood ka wajood hi prasshn uthaaye.. to kya kare?

kaun bachayiga ek kagaz ki naou ko

main lahron ke saath behta gaya,
aayegi dhup ek din yeh kahta gaya,

toofan mein jab thoda sambhal gaya,
tez baarish mein mera wajood ghul gaya,

ghul kar maine mitti se marne ki jagah mangi,
par mujhe chord kar woh lahro ke sang bhagi,

dekha maine tab akela uss dubte gaon ko
insaan mar gaye jab,
kaun bachayiga ek kagaz ki naou ko? 

dard bata kar apna hum ne logo ko hale dil sunaya hai

dard bata kar apna hum ne
logo ko hale dil sunaya hai,

kuch huye mere ghum mein shaamil
to koi muskuraya hai,

kisi ne sath diya kuch kadmon ka
to kisi ne pal mein thukraya hai,

kisi ne umr bhar ka rishta banaya
to kisi ne chand lamhon mein hi bhulaya hai,

na jaane kya khata huyi mujhse
jo mujhe maut ka farmaan sunaya hai,

aaj lagta hai khuda meharbaan ho gaya mujhse
ki mera yaar khud mujhse milne aya hai..

wafaein keh ke jafaein karna na kisi ko aaye.. to tum se sikhe

wafaein keh ke jafaein karna
na kisi ko aaye.. to tum se sikhe,
koi dil se apni pehli mohabbat
bhula na paaye.. to tum se sikhe.

saath dene ki kashmein khaa ke
saath chalne ke waade kar ke,
do chaar kadam bas chal ke koi
palatna chaahe.. to tum se sikhe.

main bekhabar tha, na jaan paaya
ki iss bholi lardki mein barra hunar hai,
ishq ke saude mein nafaa nuksaan
koi samajhna chaahe.. to tum se sikhe.

jee chahe jab tak khelo diloon se
tumhare liye to sab dil-lagi hai,
kisi ke khwaboon ko maut de kar
koi hasna chahe.. to tum se sikhe.

falsafa-e-mohabbat se anjaan ban kar
sab jaan kar bhi nadaan ban kar,
koi kisi ki hasti ko barbaad kar ke
khud basnaa chah.. to tum se sikhe.

jaane kya khwaish hai iss dil ki

jaane kya khwaish hai iss dil ki,
woh andhyion mein diya jala raha hai,

chhoti si baat nahin lagti yeh par
woh behte paani mein aag laga raha hai,

koi sunta nahin hai phir bhi
woh apna haal-e-dil suna raha hai,

saahil se lagkar tooti kashti mein baitha
woh mujhko toofanon se dara raha hai,

chord kar saath khushi ka jaate huye,
woh kehta ghum usse bula raha hai,

kaid mein tha ek panchhi abb tak,
woh khamoshi se usko urda raha hai,

zamana kya hai woh mujhko bata raha hai,
woh har ek rang uska mujhko dikha raha hai,

iss kadar bhi kya rukhsat karta hai koi?
woh maazi ko dariya mein baha raha hai. 

aye maut jara dhire se aa ek kam zara sa baki hai

aye maut jara dhire se aa, ek kam zara sa baki hai,
unko khat ek likhna hai, paigam zara sa baki hai,

woh samjhenge tha bewafa, intezaar bhi na kar saka,
marne se pehle ek baar, ikraar bhi na kar saka,

gujarish meri mann ke, thoda sa waqt aur de de khuda,
meri prem kahani ka, anjam zara sa baki hai,

apna dard batane de, ek nagma mujh ko gaane de,
sanam ke dard ka mausam, unko jara sunane de,

janta hoon waqt kareeb hai, ab na koi apna rakeeb hai par
jo har roz pite hai ghum ka, woh jaam zara sa baki hai,

unhein ab tak malum nahi ki apni sanse kuchh hi baki hai,
jo aate hai unhein dekhne ko, woh anshu kuch hi baki hai,

woh ab tak na aaye mehfil mein, ab tak deedar baki hai,
usne ab tak mujhe bewafa na kaha, ilzam zara sa baki hai.

suno suno inn lehron ki aawaaz suno

suno suno inn lehron ki aawaaz suno,
yeh kya kehti hain, aye dil-e-gufaam suno,

yeh aayi hain sumandar ki gehraahiyon se ho kar,
kitna kuch paa kar, kitna kuchh kho kar,

yeh aayi hain paigham dene, himmat na haarna,
chaahe manzil hi thokar maare, dum na haarna,

jo haar di himmat, to phir naa paoge,
umeed hi chord di to mit jaoge,

jo mit gaye to kaun tumhein jaanega,
iss zamaane mein phir kaun pehchaanega?

nazuk sa aaina mere dil ka chand lammho mein tord diya usne

nazuk sa aaina mere dil ka,
chand lammho mein tord diya usne,

jarurat thi jab mujhe uske sath ki,
beech mazdhar mein mujhe chord diya usne,

mere har khushi aati thi uske dil ki rah se,
har khushi ka rasta kisi aur mord diya usne,

nazuk sa aaina mere dil ka
chand lammho mein tord diya usne. 

likh ke phir kagaj pe naam mujhko jalaya ussi ne

banke zindagi meri, mujhko maut se milwaya ussi ne,
ki be-inteha mohabaat jis se, bewafa banya ussi ne.

jo kehte the naam dil pe likha hai mera unke,
likh ke phir kagaj pe naam, mujhko jalaya ussi ne.

pehle dikha ke sapne mujhko sitaron pe le gaye,
phir thord ke dil mera aashman se mujhe giraya ussi ne.

dikhayi mohabaat itni ki main ho gaya deewana unka,
phir jordh ke rishta gair se, yeh baramh mitaya ussi ne.

sochta tha main wafadaar hain woh bhi meri hi tarah,
par de ke dard-e-judaai phir mujhko sataya ussi ne.

chaha karna roshan unki zindagi ko jab maine,
bhujake diya shaam ka matlab bataya ussi ne. 

na jaane kyun barose ka yahi anjaam hota hai

na jaane kyun barose ka yahi anjaam hota hai,
sabko samjhe khudsa hi, dil to nadaan hota hai,

karun kya ab gila kisi se main yaaron,
thordta hai jo dil.. aksaar woh raazdaar hota hai,

mitane se kabhi mit-ta nahi, kyun dil ka rishta?
kyun masum chehre ki asal koi shaitan hota hai,

aksar duniya mein bada hi majbut dikhne mein,
sabse khokhala yaaro wahi to insaan hota hai,

badi mudaat se hai zinda, najar aata hai sabko,
jo dekho jhankar andher, woh bejaan hota hai,

kosish ki thi maine bahut khudko samjhane ki,
karta hai aitbaar pehle phir pareshaan hota hai. 

toot ke toda mujhe rishton ne bura wakt aane ke baad

bhool gaya main jeena, ek tere door jaane ke baad,
ruth gayi khushian bhi, tere door jaane ke baad,

maine mana jise apna, dekha jiske liye har sapna,
badal gaye woh bhi pal bhar mein azmaane ke baad,

dekh kar khushion ko, socha tha meri takdir hai,
par dhal gaya har subha shaam ke aane ke baad,

apno aur gairon mein karte rahe nasamaj farak hum,
yeh farak bhi mit gaya apno se chot khane ke baad,

pardhte the mohabbat ki raatein hoti hai rangeen sada,
dard-e-mohabbat ab jaana hai dil ko lagane ke baad,

rishton ko rakhte rahe sanjo kar zindagi ki mala mein,
toot ke toda mujhe rishton ne bura wakt aane ke baad. 

nigaah bebas rahi aur woh aane se pehle laut gaye

nigaah bebas rahi, aur woh aane se pehle laut gaye,
yeh kya sitam hua, jo ghum jaane se pehle laut gaye,

sholon mein sulagte rahe, dard mein bilakhte rahe,
har baar yeh mausam, aag bujhane se pehle laut gaye,

mauhtaaj nahi khushiyon ke, naa hi parwah hai zindagi ki,
ke ab to humara naseeb khud humein apnaane se pehley laut gaya.

tera to sirf ek nishaan baaki hai dil mein humare,
haan yeh bhi hua hai, ke koi usse mitane se pehle laut gaya.
nigaah bebas rahi, aur woh aane se pehle laut gaye,
yeh kya sitam hua, jo ghum jaane se pehle laut gaye.


ek talaash hai mujhko

talaash hai mujhko ek majhi ki raah mein,
mohabbat ki baah mein, khushiyon ke aah mein,

talaash hai mujhko haste chehro ko jamane mein,
sacchai ke dostane mein, mehfil ke veerane mein,

talaash hai mujhko jo dhardkan ko pahchaan le,
har haal dil ka jaan le, aanshu barsat mein pachaan le,

talaash hai mujhko jo puchun khuda se,
kitno ka aanshu gira hoga yaha jo samunder bhi namkeen ho gaya.

mausmon ke aane jaane mein

mausmon ke aane mein mausmon ke jaane mein,
aur jaam tooteinge iss sharaabkhaane mein,

har dhadakte patthar ko log dil samajhte hain,
umr beet jaati hai dil ko dil banaane mein,

koi jaane-jaana bhi be-matlab nahi milta,
dosti nahi hoti aaj ke zamaane mein,

waqt ki majboori yeh bhi keh nahi sakte,
kaun saanp rakhta hai apne aashiaane mein?

doosri koi ladki zindagi mein aayegi,
kitni der lagti hai usko bhool jaane mein?

log toot jaate hain ek ghar banaane mein,
woh taras bhi nahi khaate bastiyan jalaane mein.

live well and enjoy your day my friend

just a reminder to you my dear friend,
that the extension of love will never end.


we connect here with words at best,
but our thoughts of each other never rest.

always I am giving forth my contribution of love,
drawn from within and high above.

to keep you my friend in its hands,
where dreams come true on your command.

live well and enjoy your day...!!

haan door hoon main unse kabhi pas jinke tha

haan door hoon main unse kabhi pas jinke tha
nazron se meri door hai chahat main jinka tha.


seene mein gham ka aisa samandar nahi tha jab
haan main bhi muskurata tha.. jab saath unke tha.

dil mein the beshumar mohabbat ke khazane
lab pe the tarane mere.. jab saath unke tha.

unki khata na meri khata door hum huye,
kismat ko tha jalan badi.. main saath unke tha.

ab bhi hoon main zinda yeh nahi ki marr gaya,
haa waise nahi jeeta ab jaise saath unke tha.

ha ab main aksar khus rehta hoon

yaad hai jaan
tum ne pichhli baar kaha tha,

mujh ko bhool ke khush rehna,
tum ko to main bhool na paaya lekin,


chupke chupke dukh sehta hoon,
ha ab main aksar khus rehta hoon.

will there ever be true happiness for someone like me

today my heart is heavy,
as I bow my head in shame,
I search for easy answers,
or someone that I can blame.

the salty tear-drops trickle
down my worn and tired face,
symbolic of what my life has been,
a sad and lonely place.

I close my eyes and ponder,
will I ever be free,
will I ever learn to love someone,
will they like the me they see?

how could I not love her,
why was I afraid?
why did I condemn her,
for mistakes that others made?

the tears they seem endless,
my life flashes before my eyes,
how much longer must I carry,
the weight of this disguise.

I close my eyes and ponder,
will I ever be free,
will I ever learn to love someone,
will they like the me they see?

will there ever be true happiness
for someone just like me?

hum aadmi na hote to ghum ki kahaani na hoti

kaash duniya na hoti, zindagani na hoti,
hum aadmi na hote, to ghum ki kahaani na hoti,

woh to thoda sa dard seh gaye,
baki ki saza hum bhogat-te reh gaye,

kash adam ne hawa ki baat maani na hoti,
hum aadmi na hote to gham ki kahaani na hoti,

hum bhi aasmaan pe khel rahe hote,
yun na ghame duniya ke jhel rahe hote,

yeh bachpan, yeh budhapa aur jawani na hoti,
hum aadmi na hote, to gham ki kahaani na hoti.

teri jeet meri haar sahi

teri jeet meri haar sahi..
iss haar par dil sharamsaar sahi,
tu meri duniya mein ab bhi jurdi hai,
mehfil mein teri hum ab gunehgaar sahi.

teri jeet meri haar sahi..
mere paas aur do chaar din ki mohlat hai,
tere paas rishton mein fainslon ki daulat hai,
tere aage dilon ki lambi kataar sahi,

iss kataar mein ek mera dil bhi shumaar sahi,
tu meri duniya mein ab bhi bakki hai, 
mehfil mein teri hum ab gunehgaar sahi. 

teri jeet meri haar sahi..
iss haar pe dil sharam saar sahi,
lamha-e-raat mein khwaabon ki guft-gu,
mere kuch sawaalon par jawabon ki just-ju,
teri khaamoshi mein chupa tera inkaar sahi,

iss inkaar par yeh dil khushi se bezaar sahi,
tu meri duniya mein ab bhi jurdi hai,
mehfil mein teri hum ab gunehgaar sahi. 


teri jeet meri haar sahi..
na jaane yeh dil kis raftaar se chal raha hai,
hum waise ke waise aur zamaana badal raha hai,
tu suraj ke saatven ghode par sawaar sahi,
har ek cheez se jada teri raftaar sahi,
tu meri duniya mein ab bhi jurdi hai,
mehfil mein teri hum ab gunehgaar sahi. 

teri jeet meri haar sahi,
iss haar pe dil sharam saar sahi.

chordh gaye mujhko chordhne waale

rukh hawaaon ke modne waale,
chordh gaye mujh ko chordne waale,

meri rangat ko peela kehte hain,
mere jism se khun nichodne waale,
chordh gaye mujh ko chordhne waale.

aksar woh picche se chott dete hain,
saamne haath jordne waale

taqdeer meri kis kalam se likhi khuda,
mujhe sab mile dil ko tordne waale,
chordh gaye mujhko chordhne waale.

ashk aankhon mein chupaaye rakhte hain,
muskurahat labhon par udhne wale,

hawaaon se fansla banaye rakhte hain,
tinko se ghar ko jordne waale,
chordh gaye mujhko chordhne waale.

woh chale gaye humein chord ke tannha,
ab nahi usske picche daudne waale,
chordh gaye mujhko chordhne waale.

zakhm kaisa bhi ho zamaane se chupa lete hain

hasraton ko hum iss dil mein dabaa lete hain,
zakhm kaisa bhi ho zamaane se chupa lete hain,

tannhai ki aag mein jab jism sulagne lagta hai,
teri yaadon ko hum seene se laga lete hain,
zakhm kaisa bhi ho zamaane se chupa lete hain.

kahi humara lahu paani na bann jaaye,
bas yahi soch kar palkon ko bhiga lete hain,
zakhm kaisa bhi ho zamane se chupa lete hain.

suraj gark hota hai har shaam samander mein,
kuch yun hi khud ko hum tujh mein duba lete hain,
dillagi se husn waalon ki.. humein khuda hi bachaye,
dewaana kerte hain phir daaman ko chuda lete hain,
zakhm kaisa bhi ho zamaane se chupa lete hain.

kis tarah rokein aur iss dil ko bachaayein unnse,
aankho aankhon mein hi woh dil ko urdaa lete hain,
maslaa dilbaron ka bhi kuch ajeeb sa hi hota hai,
khawaab dete hain par neendon ko urdaa lete hain,
zakhm kaisa bhi ho zamaane se chupa lete hain.

humara to kuch bhi ho par ussko to roshini mile,
bas yahi soch kar aashiyana jalaa lete hain,

woh na aaye to intezaar bhi baat fakr ki hai,
bas yahi soch kar usse milne ko bula lete hain.
zakhm kaise bhi ho zamaane se chupa lete hain.

mumkin hi nahi ki woh humko samajh paayein kabhi,
jab mere jikr se woh muh ko fulaa lete hain,
zakhm kaise bhi ho zamaane se chupa lete hain.

humari shayari mein kuch to khaas rehta hai,
apni har naghmein mein unka charcha mila lete hain,
na puchiye ki kya hai haal-e-dil  janaab,
marz ishq hai aur hum shayari ki dawaa lete hain,
zakhm kaise bhi ho zamaane se chupa lete hain.

hum kehte hai berbaad kiya, woh kehte hain ehsaan kiya

pehle nazrana-aye-khuda kaha aur phir badnaam kiya,
lamhon ke taane baane ko kissne zindagi ka naam diya,

ek bojh tamanaon ka aur uss par ek pet ka bojh,
bas umar bhar do waqt ki bhukh ka intzaam kiya,
lamhon ke taane baane ko kissne zindagi ka naam diya.

ek katra zindagi ka aur katre katre mein maut...
hum kehte hai berbaad kiya, woh kehte hain ehsaan kiya,
lamhon ke taane baane ko kissne zindagi ka naam diya.

sheharon se chale insaan to jungle tak bas gaye...
woh kehte hain aabaad kiya, hum kehte hain veeraan kiya,
lamhon ke taane baane ko kissne zindagi ka naam diya.

woh kehte hain jamaane mein akhiri din, kayaamat ka din..
intezaar kayaamat ka humne, har subah kiya har shaam kiya,
lamhon ke taane baane ko kissne zindagi ka naam diya.

hum zindagi ke chehre se mukhatir hue kuch iss kadar,
jab jab tumne zindgi kaha, humne isse maut ka naam diya,
hum kehte hain berbaad kiya, woh kehte hain ehsaan kiya,
lamhon ke taane baane ko kissne zindagi ka naam diya.

jab dharti ki kokh mein soo jaaun tum mujhko jagaane matt aanaa

jab dharti ki kokh mein soo jaaun,
tum mujhko jagaane matt aanaa,
jab jeevan andhkaar mein dooba ho
tum diya jalaane matt aanaa,

mere din the tujh mein doobe huye,
meri raat thi tujh mein khoi huyi,
jab khuda se tujhko maanga tha,
meri kismat bhi thi soyi huyi.

teri raah se ab main guzar gaya,
tu mujh ko bulaane matt aana,
jab dharti ki kokh mein soo jaaun,
tum mujhko jagaane matt aanaa.

mujhe tujhse koi aas nahi,
mujhe tujhse koi gila nahi,
tujhe apna dil de paata main,
woh waqt mujhe kabhi mila nahi,

ab zakhm bane hain yaar mere
tum dawaa lagaane matt aana,
jab dharti ki kokh mein soo jaaun,
tum mujh ko jagaane matt aanaa.

jab jeevan andhkaar mein duba ho
tum diya jalaane matt aanaa.

talaash ab bhi baaki hai

zindaagi ko khushi ki ek aas ab bhi baaki hai,
tannhai ko mefil ki pyaas ab bhi baaki hai.

gehare tufan mein khade jujh rahi jo akeli,
uss kali mein khilane ka ulaas ab bhi baaki hai.

ghanghor baarish se lard raha hai woh diya,
naa bujhe lao.. uska prayaas ab bhi baaki hai.

dhoop se sukhati jaa rahi nadi ki woh dhaara,
par badhte rehane ka ulaas ab bhi baaki hai.

raaste se bhatka, thak gaya hai woh musafir,
manzil ko paane ki talaash ab bhi baaki hai.

hata-hat pankchhi dekhe dard se gagan ko,
urdega woh phir se.. yeh vishwaas ab bhi baaki hai.

vichlit dekhe chaand, ghirta huwa andhera,
nabh rahe prakashit prayaas, ab bhi baaki hai.

kya sochata hai raaj band karke aankhein,
ki abhi zindagi mein kayi saans, ab bhi baaki hai.

phir woh aayenge aur mere dard duhaai denge

phir woh aayenge aur mere dard duhaai denge,
kab ke khaamosh raaz aankhon se sunaai denge,
ek baar chorde to behte hi chale jaayenge,
apne aanshun ko hum kuch aise rihaai denge.

puchenge kaise ho, to usse muskura kar dikhayenge,
aankhein chura kar apne yaar ko safaai denge,

phir woh aayenge aur mere dard duhaai denge,
kab ke khaamosh raaz aankhon se sunaai denge.


phir hum unke haal chaal se mukhaatib honge,
ghum dbaa kar khushiyon ki badhaai denge,

ek baar chorde to behte hi chale jaayenge,
apne aanshun ko hum kuch aise rihaai denge. 


jab unke rishte ko le kar duniya humse sawaal karegi,
buraai le kar bhi, hum ussko bhalaai denge,

phir woh aayenge aur mere dard duhaai denge,
kab ke khaamosh raaz aankhon se sunaai denge,
ek baar chorde to behte hi chale jaayenge,
apne aanshun ko hum kuch aise rihaai denge. 

pyaar jatane ka hunar humein maloom na tha

tu sang-dil hai yeh kaha tha dil ne,
pathhar bhi hai... magar maloom na tha,
wafa ke sadke umar guzaar di maine,
mujhe bewafaai ka hunar maloom na tha.

zakhm milenge raste mein socha hi tha,
jaanleva hoga safar maloom na tha,
kareeb thi manzil aur hausla bhi tha magar
daudne ka hunar maloom na tha.

lamba hoga raasta, dooriyan bhi hongi,
aseem hai rah-e-guzar maloom na tha,
nikal to pada rahe-ishq par raaj,
pyaar jatane ka hunar maloom na tha.

chand ghum the jo chupa raha tha zamane se,
mujhe tanhaiyon ka asar maloom na tha,
main to ashq chipane mein reh gaya,
humdardi paane ka hunar maloom na tha.

kitni hi maiyatein uthali maine,
aag bhi lagana hai magar maloom na tha,
fakat dosti nibhane se kya hoga,
dil jalane ka hunar maloom na tha. 

tannhai ki yuh aadat ho gayi

tannhai ki yuh aadat ho gayi ki,
tannhai mein marna-tannhai mein jeena seekh liya,

tannhai mein khush rehna-hasna-rona seekh liya,
lekin dar lagta hai ki kahin yeh tan,hai humein kha na jaye,

tannhai mein rehkar ek baat ka sukh hai ki hamare,
marne par koi na aanshu bahayega logon ko dikhane ke liye,

hum par aanshu tapkayega issi aasha mein jiye ja rahein hain ki
kabhi to tannhai mein ghum hone ha mauka aayega.

kitne hi dillon pe khanjar chalaya hai

aaj duniya ko mohabbat ki kadar hi kahan,
har taraf nafrat ka saya hai,

bhai bhai ka dil cheer raha hai,
bharat apne hi khoon se nahaya hai.

mazloomon ki kaun kare hifaazat yahan,
rakhwalon ke hi to khauf ne sataya hai,

patharon ki murat mein ab rab basta nahi,
uski fitrat mein bhi zulm samaya hai,

junoon hai jeetne ka yeh daud zindagi ki,
humne maut ki taraf kadam badhaya hai,

har disha mein aandhi hai pyaasi lahoo ki,
insaaniyat ko insaan ne hi to maar khaya hai,

chand siyaron ne bhookh mitane ko apni,
shikaar insaan ka insaan se karwaya hai.

dekhna chahta hai jo apne phool ko khilte huye,
bageechon ko registaan mein badalwaya hai,

agar basti hai aaj bhi mohabbat dillon mein,
to kyon apne hi bachhon se mulk tharraya hai,

dawa karta hai jo shaks ishq ka mashhok se apne,
jaane kitno ko vidhawa usne banaya hai,

jo aashiq hai yahan apne mehboob ka usne,
kitne hi dillon pe khanjar chalaya hai,

deta hai misaal tajmahal ki mohabbat liye,
kitne hi aashiqon ka makbara usne banwaya hai,

rehnuma hai jo watan ka, 
kaum ko apne ussi ne
katle-aam karwaya hai.

saala yeh bhi to kasoor mera hi tha

ussi ko pooja, ussi ko chaha, ussi ki ibadat karta raha,
main apni mehbooba ko, apna khuda samajhta raha,

ke ussi bawafa mehbooba ne mere, seene pe khanjar chala diya,
aur jab jee na bhara lahoo se mere, to uspar namak laga diya,

katra katra mohabbat ke badle woh nafrat karti rahi,
main uspar marta tha aur woh meri maut ko tarasti rahi,

ashq to bahaye na gaye, ulte kambakth ne muskura diya,
ke ussi bawafa mehbooba ne, seene pe khanjar chala diya,

patthar ko pyaar sikhaunga ek din, yeh guroor mera hi tha,
usse itni mohabbat jo ki, saala yeh bhi to kasoor mera hi tha,

par sunn le khuda aur sunn le khudaai, main yeh gunaah karta rahunga,
agar yahi anjaam hai aashiq ka to, har pal main marta rahunga,

aaj samadhi mein bhi mujhe yahi bas ek sukoon hai,
ek nishani jo uske daaman pe hai, woh meri mohabbat ka khoon hai,

main kaante lekar chala gaya par usne bhi gul ko paaya hi nahi,
iss kadar woh bichhdi mujhse, aaj kareeb uske saaya bhi nahi.

aye bewafaa mujhko tujhse pyaar aaj bhi hai

aasaan to nahi lekin tera intezaar aaj bhi hai,
aye bewafaa mujhko tujhse pyaar aaj bhi hai.

mohabbat hai tujhse, labon par iska ikraar aaj bhi hai,

aye bewafaa mujhko tujhse pyaar aaj bhi hai. 

kasam jo tumne khayi thi saath rehne ki,
tu nibhayegi woh vaada aitbaar aaj bhi hai, 

aye bewafaa mujhko tujhse pyaar aaj bhi hai. 

yun to tune mangi thi duayein meri maut ki,
poori ho teri mannat yeh pukaar aaj bhi hai,

aye bewafaa mujhko tujhse pyaar aaj bhi hai. 

yeh to nahi ke bikti nahi ranjishein bazaar mein,
koi dekhe tera aks, tu ashkon ki dukandaar aaj bhi hai, 

aye bewafaa mujhko tujhse pyaar aaj bhi hai. 

woh to main hi tha jo mar mita tha tujhpe,
tere aangan mein mujhse deewano ki kataar aaj bhi hai,

aye bewafaa mujhko tujhse pyaar aaj bhi hai. 

zakhmo se rista yeh lahoo teri meharbani sahi,
tere hoton par kaatil hone se inkaar aaj bhi hai,
par bewafaa mujhko tujhse pyaar aaj bhi hai.

jism ka mit jaana shayad taqdeer thi meri,
do pal tujhe dekhne ko lekin rooh bekaraar aaj bhi hai,

aye bewafaa mujhko tujhse pyaar aaj bhi hai. 

do aanshoo jo mil jayein tumhare to thodi nami aa jaye,
issi arzoo mein khushk meri majaar aaj bhi hai,

samadhi par hi sahi par tera intezaar aaj bhi hai,

aye bewafaa mujhko tujhse pyaar aaj bhi hai. 

tu zinda aakhir kaise hai

maine suna hai har saans se pehle
tu ussi ka naam leta tha,
par labon pe tere jab woh naam hi nahi
to teri saansen kaise hain?

pata hai mujhe har dhardkan teri
usssi ki aarzoo karti thi,
par aaj jab woh aarzoo hi na rahi
to teri dhardkan kaise hai?

teri rooh se teri nahi
uski muskurahaton ki mehak aati thi,
par jab woh mehak hi na rahi
to tera astitva kaise hai?

tu hi to kehta firta tha
teri zindagi bas ussi se hai,
par ab zindagi mein teri jab woh hi nahi
to teri zindagi kaise hai?

jab bhi teri aankhon ko dekha
inmein uski tasveer dikhi,
woh tasveer jab ashkon mein beh hi gayi
to khuli yeh aankhein kaise hain?

dil mein tere khoon to nahi tha
bas ussi ka pyaar behta tha,
par jab woh pyaar hi na raha
to dil tera dhardakta kaise hai?

aye dost tu kabhi jhootha na tha
tujhe ishq ki kasam sach sach bata..
aaj jab woh hi na rahi
to tu zinda aakhir kaise hai?
tu zinda aakhir kaise hai..?

chalo raaj aage ki aur badho..

phir baithe hain akhele 
par mann mein shanti bhi samayi hai,
talash thi jis manzil ki.. a
khir kar wohi humne aaj payi hai,

phir bhi ek bechaini si hai dil ke kisi kone mein,
kya kush hoon main iss manzil se
jo zindagi ne hume dikhayi hai?

kya badla hai akhir... 
kuch bhi to nahi anth mein,
pehle bhi the akhele hum,
mili aaj bhi to humein tanhaai hai.

aankhon mein sapne le kar 
chal pade the apni manzil ki aur,
kya jana tha humne..
sirf khwabon mein hi zindagi basayi hai.

ek manzil hi nahi anth zindagi ke raston ka
ki chup chap baith gaye,
manzil se aage bhi chalna hota hai
yehi zindagi ki karwayi hai.

chalo raaj aage ki aur badho..
apni zindagi ki raha mein bahare to mili nahi,
bas charon aur viraani si chayi hai.

bahot kaali thi woh raat

bahot kaali thi woh raat humein yaad hai aab tak,
guzar chuki woh par aab tak meri zindagi pe chayi hai,

alag ho gaye humare unse raaste uss raat kuch aise,
jaise dono ki manzil hi ek doosre se parayi hai,

ek sunapan sa rehe gaya aab mere dil mein ek dard tehar gaya,
dekho kismat ne meri zindagi pe apni mohar lagayi hai,

ek mamuli si raat thi woh to.. par mera sab kuch lut kar le gayi,
mili uss raat se mujhe umar bhar ki tanhaai hai,

aab tak gabrate hain hum raaton se iss kadar,
ki har raat aab mere aankhon mein ek nami si layi hai. 

All Time's Favourite Posts