mohabbat bhi hoti hai sharton mein

nahi jante the hum ke,
mohabbat bhi hoti hai sharton mein,
shayad duniya dari hai yeh
hum na parde kabhi in baaton mein,

tune bhi dikha diya sachayi ka aina humein,
iss zakhm ko aab zindagi bhar pardega sehna humein,

jaan gaye aaj ke tum bhi karte ho yaha pyar ka vyapar,
mere bhi dil ko bana diya tune jazbaato ka bazaar,

tune hi kabhi jagaya tha jeene ka arman dil mein,
aaj tu hi basa rahi hai marne ka saman dil mein,

socha tha meri kushi mein jeene wala mil gaya mujhe woh saathi,
galti humari hi hai.. hum hi kyu bane itne jazbaati,

par shukar guzar hai tera, 

nikala jo humein jhoote sapno se,

talab nahi jeene ki aab,

tang aa gaye hain zindagi ke aise jatko se.

vasant ki subha na dekhi, patjhard mein jeevan beet gaya

patjhard mein jeevan beet gaya, koi humsafer na mila,
hum ko tannha rahe aur safer beet gaya,

vasant ki subha na dekhi, patjhard mein jeevan beet gaya,
kabhi apna na bana sake unko hum jinke devane the,

woh dil mein baste the humare par hum se anjane the,
dil mein tasveer hai unki ab bhi par bahut door manmet gaya,

vasant ki subha na dekhi, patjhard mein jeevan beet gaya,
kabhi to pigalenge gum ke badal, khushiya barseyengi jeevan mein,

hariyali chayegi sukhi bagiyan mein, yeh aas lagi thi mere mann mein,
ab to pathra gayi hai aankhe bhi,  akelapan hum se jeet gaya,
vasant ki subha na dekhi, patjhard mein jeevan beet gaya.

apne dil ko samjha ke dekhenge

apne dil ko samjha ke dekhenge,
aaj tujhko bhulake dekhenge.

dekhna hai dil pe kya guzarti hai,
tera ek khat jala ke dekhenge.

dariya -e- dil mein koi mauj nahi,
aaj aanshu bahake dekhenge.

chhord kar tujhko door jayenge,
gum -e- judaai uthake dekhenge.

umra ne kis kadrr diye dhoke,
aaine ko bataa ke dekhenge.

hum aaj raat roshni ke liye,
chiraag-e- dil jala ke dekhenge.

jinka kehna.. tum jiyo ya maro,
unki baaton mein aa ke dekhenge.

sath guzre haseen lamhon ki,
yaadon ko hum bhulake dekhenge.

mujh ko aapni dil mein sada zinda rakhna

jab bhi bichrdu, phir milne ki dua karna,
muskura ke milna, jab bhi kisi se mila karna.

kho diya hai zindagi mein hi zindagi ko kahi,
khabhi khud se bhi milne ki koshish karna.

beete din hai bas yaad bankar pass reh jaate,
roo du, youn naa khabhi humko yaad karna.

raahe zindagi mein aise bhi mukaam aayegi bahoot,
reh jaaun jab tanha to khud hi aapna saathi banna.

hai naakaam to kya magar hai to mohabbat hi,
isko dil se khabhi aapne naa juda karna.

mujhe gham to hai ki zindagi mein tum na mile mujh ko,
ek guzaarish hai ki mujh ko aapni dil mein sada zinda rakhna.

mere dil ko tere didaar ki aas hai

chehra udaas hai, aankhon mein yeh kiski pyaas hai,
kheta hai mera dil, mujhe teri talash hai,

teri surat na dekho to koi dikhta hi nahi,
khamosh hum hain, kya kare koi acha lagta hi nahi,

kahte hain log magroor hain, jo anjaan hum se aaj hain,
unko yeh na patta ke yeh zinda lash hai,

jism mera hai yaha to ruh tere saath hai,
dil ki halat dil hi jane, logo ko kya khabar,
mere dil ko tere didaar ki aas hai.

hum bhi akele aur tum bhi akele

tanahi door karne ka koi bahanna banna lo,
iss akele pann ko appna saathi banna lo,

hum bhi akele aur tum bhi akele,
iss mann ko jaisse chaho waisse manna lo.

tum aab der lagao na

kab se hai intezaar tera,
tum bhi kabhi apni jalak dikhao na.

rulaya hai zamane ne mujhe,
aab tum to mujhe rulao na.

logo se suna hai.. milte ho har ek ko tum,
humare pas aane mein,
tum yuh der aab lagao na.

duniya ne thukraya hai,
aab koi tikana nahi mera,
tera hi aasra hai aab,
khuda ke liye tum to mujhe apnao na.

mera hona ya na hona ek barabar hai,
chahat hai zindagi se door,
tum mujhe apne sang lejao na.

duaayein aur anshu,
tumara rashta rokhenge zaroor,
wasta hai khuda ka aye maut,
mujhe le jane ke irade mein,
tum aab der lagao na

kal sunenge phir wohi awaaaz aisa socha tha

aur kal karenge tumse kuch haseen baat socha tha,
aur kal sunenge phir wohi awaaaz aisa socha tha,
woh tumhara intezaar humko paane ka,
ki woh kashish woh aitbaar tumko chahne ka,
karenge phir se woh hi baat aisa socha tha,
aur kal karenge, aur kal sunenge,

ke waqt le gaya hai phir tumhari baaton mein,
khamos pal guzar rahi tumhari yaadon mein,
jaha tardap hai tere dil mein pyas meri hai,
jaha sukoon nahi dil ko yaad teri hai,
kahenge tumse yehi baat aisa socha tha,
aur kal karenge, aur kal sunenge,

tumhari aur humhari baat aaj na hogi,
yeh dooriyan rahengi, door paas na hogi,
karenge dooriyon ko paas aisa socha tha,
kahenge tumse yehi baat aisa soch tha,
aur kal karenge, aur kal sunenge...

ab na manzil na rasta hai koi

ek lamhe ki bas khata hai koi,
ab na manzil na rasta hai koi,

kaise dhundoon, kahan se laon usse,
pass aa kar bichar gaya hai koi.

saans lena hi, zindagi to nahi,
roz mar mar ke jee raha hai koi,

main tere pass aa to jaoon magar,
mujh ko roo roo ke rokta hai koi,

mujh ko is raat ki subah to mile,
main bhi samjhoon mera khuda hai koi,

ek lamhe ki bas khata hai koi,
abb na manzil na rasta hai koi.

milne aaoge na mujhse khayaalon mein

khel kar yun ungaliyon se baalon mein,
aur uljhaao naa sawaalon mein.

pardhne waale to pardh hi lete hain,
dil ki sab daastan rumaalon mein.

gar haqikat mein naa huye haasil,
milne aaoge na khayaalon mein ?

milne ki arzoo mein tarasta hun aaj bhi

kisi bhi dard ko hadd se guzarne nahi deta,
tumhara pyaar mujhe ab bikharne nahi deta,

tumhare baad yeh dil ziddi hogaya hai bohat,
kisi bhi shakhs ko khud mein utarne nahi deta,

yaadein tere undino ki dasti hai aaj bhi,
milne ki arzoo mein tarasta hun aaj bhi,

aankhein hazaar rokane ki koshish ke bawajood
ruk ruk ke baar baar barasti hain aaj bhi..

kya samajh nahi aata hai tumhein

meri aankhon mein dekh,
kya kuch nahi nazar aata hai tumhein?

hai tumse humein kitna pyar
kya samajh nahi aata hai tumhein?

yeh zindagi na kat payegi tum bin
kya taras nahi aata hai tumhein?

saanse tau chalti hai, 
par zinda laash hoon main,
kya asar kuch nahi hota hai tumhein 

raaj ka dil kahi dafnaya jaye

zamane ka chalan apnaya jaye,
humare ishq ko thukraya jaye,

gunaah-e-ishq ki himmat kare jo,
usse taa-umra tak tardpaya jaye,

suna hai sab mohabbat kar rahe hain,
hamare kisse ko farmaya jaye,

bahut kambkht dil ke raste hain,
janha se laut ke aaya na jaye,

na jane kyun sakun milne laga hai,
mere majhi ko phir dohraaya jaye,

jinhein guman hai ulfat pe apni,
nasamjh hain unhein samjhaya jaye,

dard mashoor phir se ho raha hai,
“raaj” ka dil kahi dafnaya jaye.

kyon khud jalte ho aur mujhe bhi jalate ho

kyun khafa hokar khud bhi rote ho,
aur mujhe bhi rulate ho,

khud to hote ho tannha,
mujhe bhi raton ko jagate ho,

mein manta hoon shikwe tumhe hain,
par shikayat mujhe bhi hain,

kyon khud jalte ho,
aur mujhe bhi jalate ho. 

dukha kar dil ko puchhte hain haal kaisa hai

zinda bhi to hum apne hi katil ke sahare hain,
bure hain to kya humein woh phir bhi pyare hain.

ke jin khawabon se ankhon mein chubhan hoti hai,
haan wahi khawab to meri nigahon ke ujjale hain.

dukha kar dil ko puchhte hain haal kaisa hai,
kaise keh dein ke hum aapke hi gum ke maare hain.

yeh kaise aaj-maish hai dariya mein humari,
hum doobne wale hain woh phir kinare hain.

yeh to nahi kehta main ki mujhe tum yaad karo,
kya woh pal bhi bhula doge jo sang-sang guzare hain.

shayri ke bahane thordi si aapbeti kar li

chand umeedon ke hawale, jab humne zindgai kar li,
dafnaya un umeedon ko, samjhe khudkhushi kar li,

andhere bhi rahe hain kuch talabgar mere
dilon ko jala kar jab humne roshni kar li,

muh hum bhi pher chuke the ab duaon se,
dooriyaan unhone jab nekki se kar li.

hain ishq takaza bandgi ka suna tha ‘raj’
humne bhi socha kuch der bandgi kar li

majburiya zahir karna apni fitrat na thi,
shayri ke bahane thordi si aapbeti kar li.

wada jo kiya hai tujhse marte dum tak hum nibhayenge

wada jo kiya hai tujhse,
marte dum tak hum nibhayenge,
yaad aayi jo kabhi teri to,
sukhe drakht pe sirr rakh ke so jayenge.

mauka mila kabhi to apni mahobbat ki,
hum khuda se sifarish kar aayenge,
nafrat ke parde utha ke iss duniya se,
tujhe ek din chura ke le jayenge.

tumse hi hai jaan meri,
tumse hai meri zindagi,
ohhh jaane jaana hum bhi..
zindagi ke har mord par,
tumhara saath nibhayenge.

rafta rafta

subah jayegi rafta-rafta, sham ayegi rafta rafta,
aise hi zindagi yeh beet jayegi rafta rafta,

abhi din ki yaadon ko ruksat main kar doon,
jara chand ko apni baanhon mein bhar loon,
tere khawabon se palkein jab hongi bhaari,
to neend aayegi rafta rafta.

abhi to khuda ka ishara hua hai,
woh khul ke bulayein meri yeh dua hai,
baaton hi baaton mein phir baat dil ki,
khul hi jayegi rafta rafta.

jara si baat samajhne mein bhi lagte hain zamane,
nayi bastiyon mein thokerein khate hain sayane,
girte sambhalte chalte rehne se manzil
hath aayegi rafta rafta.

uthi hai abhi to mohabbat ki mehfil,
abhi unki yaadon mein khoya hai yeh dil,
abhi bichhde hain, woh abhi to gaye hain,
yaad jayegi rafta rafta.

sath guzre haseen lamhon ki,
yaadon ko hum bhula ke dekhenge
rafta rafta...!!

bas ek yahi khwahish hai

waqt ruk jaaye uss pal jab sanam mere saath ho,
door tak ho chanda ki chandni,
aur haathon mein unke mera haath ho,
bas ek yahi khwahish hai...

jee bhar sanjaun ankhiyon mein sapne,
sanam jab kuch ho kareeb apne,
hawaon ka jhonka kuch khaas ho,
bas ek yahi khwahish hai...

na kuch kahein woh, na lab mere kuch bayan karein,
ho kabhi hum ho juda, aisa kabhi khuda na kare,
dil mein unke bhi mere jaise kuch jazbaat ho,
bas ek yahi khwahish hai...

raaj jee bhar kar unhein pyaar karega,
sab kuch unpar nisaar karega,
bas wahi mere har gham har khushi ka raazdaar ho,
bas ek yahi khwahish hai...! 

aaj mita do woh saari duriyan

haathon mein pehn ke rang-birangi churdiyan,
aaj milne aayi hai mujhse kuch pariyan.

itne dino mein jo ban gaya tha beech mein humare 
aaj mita do woh saari duriyan.

naa jane kyun jab bhi hum paas aaye,
naa jane aayi beech kitni hi majbooriyan.

intezaar mein aapke to humare hi kya,
samay ki bhi nakal aayi hain jhurriyan.

aapko dekh aaj raaj se,
 jalne lagi hain phoolon ki pankhuriyan.

yeh kaisi hawa hai jo mujhe choo kar gayi hai

yeh kaisi hawa hai jo mujhe choo kar gayi hai,
tumhare wajood ko mujhse mila kar gayi hai,
beete lamhon ka ehsaas dila kar gayi hai,
ek aisi na khatam hone wali pyaas jaga kar gayi hai.

dil mein soye armaan jaga kar gayi hai,
saath beetaye huye lamhon ka hissab dilha kar gayi hai,
mohabbat ke woh nagame suna kar gayi hai,
yeh kaisi hawa hai jo mujhe choo kar gayi hai.

pyaar mein doob jaayen aise armaan jaga kar jayi hai,
sagar ki laharon ki jhankar suna kar gayi hai,
bansuri ki surily awaaz madhosh kar gayi hai,
yeh kaisi haawa hai jo aaj, mujhe choo kar gayi hai.

yeh hawa to tumhe choo kar aayi hai,
tumhari khushbu layi hai.
milne ki aarzoo issi ne jagayi hai,
pyaar ka sandesha layi hai.

hawa ka jhonka jab choota hai,
har ahsaas anootha hai,
mere sath huya hai yeh
ya kabhi na kabhi sab ke sath hota hai?

yeh kaisi hawa hai jo mujhe choo kar gayi hai,
tumhare wajood ko mujhse milakar jayi hai,
beete lamhon ka ehsaas dila kar gayi hai,
ek aisi na khatam hone wali pyaas jaga kar gayi hai.

should I give love a second chance

I wanted to love you
but I was just too scared,
haunted by the past
that always seemed to re-appear.

I tried my best to run and hide
but I just couldn’t get you off my mind.
should I give love a second chance
or am I just wasting my time?

you promised you were different
but so did the rest,
then you looked into my eyes
and I knew you had passed the test.

so I took a chance
and fell deeply in love,
maybe this is what I have been looking for
that special kind of love from above.

God, how can this be true
everything is happening so fast,
but something keeps telling me
I have found true love at last.

All Time's Favourite Posts