mujhse na pucho

mere deewane ki baat na pucho,
kya hai usmein yeh raaz na pucho,
hai ek adda uski muskurahat mein,
deewana kyu bana deti hai na pucho,

hai kya nasha uski deewangi mein,
yeh yaaron bus humse na pucho,
kyu chura leti hai ek nazar uski,
har dil ko yeh baat bus humse na pucho,

hai kitna dilkash yeh deewana,
iss kambakhta ki baat bus na pucho,
dil gawa baithta hai har koi,
isse tum nazrein milane ka anjaam na pucho,

aata hai hunar dil jeetne ka,

uss nadaan ko aati hai kya adaa na pucho,
kyu dil machal jata hai uske chehre ke
noor se yeh baat yaaron na pucho,

uski shaksiyat mein pyar ki seerat hai,
basti kitna mujhe hai iska yakeen na pucho,
khabar ho jayegi sabko aise uske mehfil mein,
uske naam ko yaaron mujhse na pucho,

dil mein basa rakha hai maine jisko,

zamane ko bhula ke kitni hai mohabat yeh baat na pucho,
kya aati jaati saason se dua nikalti hai meri,
uske liye choroo bus uss dua ki baat na humse pucho..

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts