kisi ke intezaar mein zindagi guzaaar diya hai

kisi ke intezaar mein zindagi ko guzaaar diya hai,
acha bhala jee rahe the, kisi ne aa ke maar diya hai,

jaan de denge magar tera saath naa chordenge,
yeh dhoka usne hum ko har baaar diya hai,

kuch maloom nahi pardta iss samundar mein kis taraf hai manzil,
naa jaane inn lehroon ne mujh ko kis kone par utaar diya hai,

kab ke sookh chuke the yeh darya magar aaj naa jaane kyun,
uski yaad ne inko phir se mere chehare par sanwaar diya hai,

kis kadr ulfat wa mohabbat se iss parwane ko aag mein dehaka diya,
naa jaane inn husn walon ko bhi kudrat ne kaisa hatyar diya hai.

hamaein yeh ranj nahin

hamaein ranj nahin ki tere ishq mein ruswa na huye,
the tannha magar phir bhi kabhi tannha na huye,

kehte the hum se karte hain nafrat woh bahut,
naa jaane kyun yeh sun kar hum khafa na huye,

rakhte hain jo hisab iss pyar ke rishte mein,
phir to tere kayi karz wafa ke adda na huye.

galiyoon se tere sehar ke guzrenge kisi din

khud apne liye baith ke sochenge kisi din,
yun hai ki tujhe bhool ke dekhenge kisi din,

bhatke huye phirte hain kayi lafz jo dil mein,
duniya ne diya waqt to likhenge kisi din,

aapas ki kisi baat ka milta hi nahi waqt
har bar yeh kehte hain ki baithenge kisi din,

aye jaan teri yaad ke benaam parinde,
shakhoon pe mere dard ke utrenge kisi din??

jati hai kisi jheel ki gehrayi kahan tak,
aankhoon mein teri doob ke dekhenge kisi din,

khushboo se bhari sham mein jugno ke kalam se,
ek nagma tere naam likhenge kisi din,

khushboo ki tarha , khawab numa se
galiyoon se tere sehar ke guzrenge kisi din .

iss tannha sagar mein

main lamha dar lamha dard pita raha,
dard na jane kab mujhe pi gaya,

tardap tardap ke aahein nikalti rahi,
na jaane kitni maut aayi,
main yun hi marta gaya,

sard raato sa andhera har dam chaya raha,
har gam kehar ban kar mujhko lootta gaya,

main tinko ke sahare me zindagi dhoondta raha,
na jaane meri aas ka deepak kab bujh gaya,

kuda ke dar pe maine kitne sazde kiye,
kitni umeedo se mannate maanga kiya,

aaj khuda ki thokaro se hi behaal hoon,
ghor andhero ke shaayo mein kho gaya,

aaj simmat chuka hoon gam ke dhair mein,
inn lakiro aur badnasibi ke kheil mein,

anntim saanse bachi hain bas,
iss tannha sagar mein.



leti hai meri har saans naam tera

pyaar ka hai ehsaas naam tera,
rehta hai dil ke paas naam tera,

muskuraate hai tere zikar se hi,
hai in honthon ki aas naam tera,

basti hai khushiyaan tumse,
meri zindagi ki mithaas naam tera,

kuch nahi meri ghazal tere bina,
jazbaat ka hai libaas naam tera,

aa paas kabhi ban kar mohabbat,
iss pyaar ki hai pyaas naam tera,

jeeya nahi jaata hai ab aur tannha,
leti hai meri har saans naam tera.

dil se dil ki baat ka sama dekho na

jawaan hai raat ka sama dekho na,
barsati is barsaat ka sama dekho na,

aao pighal jaaye hum mausam mein,
jalte huye jazbaat ka sama dekho na,

sard hawaien, garam saansein hain,
machalte khayalaat ka sama dekho na,

ruk gaya waqt tumhari baahon mein,
in thehre lamhon ka sama dekho na,

mehsoos kar lo dhadkanon ki kasak,
haathon mein haath ka sama dekho na,

kar lene do aaj gustakhi mohabbat ko,
dil se dil ki baat ka sama dekho na.

khokla sa mera yeh mann hai

naa dil hai, naa dhadkan hai,
bas khokla sa, mera yeh mann hai,

naa khushi ki koi jhalak,
naa woh sharmayi hui si palak,
naa woh pyaar bhari aankhon ki bhanak,
naa teri woh dheemi dheemi si mehak,

gayi ho jab se tum,
mere iss jeevan se baahar,
suna suna lag raha hai,
mera yeh dil kaa aangan,

veeranapan chhaya hai har jagah,
mere dil aur jigar mein,
lagta hain aise ki main,
aa gaya hoon ek anjaan shahar mein,

jaanta nahin kya karoon,
maanta nahin mera dil kahin,
adhoori si yeh zindagi meri tumhare bina,

lagta hain jaise aaj shuru hui,
aur anth bhi aaj hi hui.

hum to alag hoke bhi tumhare hoke reh jayenge

jaante hain tumhe naya chand mil jayega,
par is dil ko kraar kahan aayega,

jin aankhon pe hum marte hain,
unmein chehra koi aur nazar aayega, 

jin bahoon ko thama tha kabhi,
usme jism koi aur lehrayega, 

jin labon pe naam hamara hota tha,
woh naam kisi ka gungunayenge, 

jin kadmon ke nishaan reh gaye hain,
unke saath humsafar koi aur keh layega, 

mana phool tumhare kisi ke ho jayenge,
par kaanton pe to daman hamara hi tar tar ho jayega, 

do kisi ko bhi apne pyar ka pyala,
par zeher to tumhara hum has ke pee jayenge,

de saath koi bhi tumhara jeevan mein,
par kayamat tak saath hamara hi paoge,

jab kabhi aankhon mein nami hogi,
tab yaad hamari hi dil ko sehlayegi, 

kya chahega koi tumhein humse jyada,
hum to alag hoke bhi tumhare hoke reh jayenge. 

sun lo aaj ek nagma pyaar ka

na puchho haal mujhse dhadkano ki raftaar ka,
asar aaj bhi hai aankhon mein mere dildaar ka,

likh diya hai apna afsana lafzon mein tujh ko,
sun lo meri aawaz mein, ek nagma pyaar ka,

karta hai bayaan ye geet ek kissa intezaar ka,
rehta hai jis mein manzar ab dil-aye-bekaraar ka,

tannha jee nahi paate, kaise samjhaye tujh ko,
sun lo meri aawaz mein, ek nagma pyaar ka,

ye dil ho gaya deewana bas tere deedaar ka,
aa kar pooch le haal kabhi tere is bimaar ka,

apni aankhon mein kaid kar lenge hum tujh ko,
sun lo aaj meri aawaz mein, ek nagma pyaar ka.

aaj tere deedar ko phir dil machal gaya

teri yaad mein aaj likh ek aur ghazal gaya,
aaj tere deedar ko phir dil machal gaya.

raat-din uski yaad mein guzara tha par,
aaj kyun mehboob mera badal gaya,

mujhe jala dena par dil chord dena,
usme aap base ho,
mar jaunga agar woh jal gaya.

teri bewafai mein hum is kadar loot gaye,
ki aaj to armaano ka suraj bhi dhal gaya.

aapko kam se kam humari yaad to aayi,
so aapki bewafai se bhi dil behal gaya.

aapko pukarte reh gaya, aapne naa suni,
par aapki aawaz pe main bana mahal gaya.

ab to apne naseeb ko hum koste hain,
ki aapki addaon ka jadu kyun chal gaya.

apni halat dekh kar to na jane kyun iss,
raaj ka dil khud hi aaj dahal gaya.

kahaan dhoondhu main usko

aayi phir wohi pyaasi shaam hai,
phir wohi intezaar ka mukaam hai,

lut gaye yeh neend aur karaar ab,
aarzu mein tere dil hua nilaam hai,

karte hain sawaal yeh lab mujhse,
muskaan kis cheez ka naam hai,

kahaan dhoondhu main us shakhs ko,
lapata woh, shehar gumnaam hai,

aa ja ke saansein hain pareshaan,
tere bagair lage zindagi ilzaam hai,

sab paa kar bhi kuch nahi hai pass,
bas yeh jazba-aye-ishq nakaam hai.

ek bewafa se wafa hum nibhaate gaye

har raah par woh saath aate gaye,
dheere-dheere apna banaate gaye,

dost ban ke aaye zindagi mein mere,
aur pehchaan khud se karaate gaye,

dekhte hain duniya unki nazron se,
roshni aankhon mein sajaate gaye,

gunjta hai dil mein dhadkan ban ke,
aaisa nagma pyaar ka sunaate gaye,

unse mil kar samjhe dil ki lagi ko,
hume aashiqui woh sikhaate gaye,

kya misaal doon main us shakhs ki,
ek bewafa se wafa hum nibhaate gaye.

kyun tumse maine pyar kiya

tum kyun mujhe tannha chord ke chale gaye,
gum kya pehle kam the jo aur bada ke chale gaye?

socha tha sang tumhare zindagi basayenge apni,
meri duniya kyun ujaad ke chale gaye?

kya galti thi meri, ki maine tumse pyaar kiya?
ya phir yeh ki maine tum par khud se jada vishwas kiya?

kaha tha tumne ki sath nibhaoge mera har pal,
ab kya hua itni jaldi tum sab kuch bhool gaye?

nahi dena tha sath mera to kyun tum vaade karte the?
kyun apne wafadar hone ki kasmein khaya karte the?

waise galti tumhari nahi hamari hi thi,
humne ek ajnabi par vishwas kyun kiya?

jab socha tha nahi denge kisi ko dil apna,
to kyun tumse maine pyar kiya?

dil ke tukde pehle hi hue the,
badi mushkil se joda tha humne isse,

jane kya man mein aayi tumhare,
aur tum isse chaknachur kar ke chale gaye.

apne hi dhokha de jaate hain

apne to apne hain
phir bhi dhokha de jaate hain,

jinse khushi ki thi umeedein
wo humko bahut rulte hain,

jo apne na hote huye
phir bhi apne ho jaate hain,

jinke khawabo se hum
is duniya se kho jaate hain,

jism alag ho jaata hai
jab ashq lahu ke aate hain,

kya umeed hum unse kerte
woh isko pyaar batlate hain. 

in aankhon ki hai talaash anant

jeevan ek pyaas, pyaar hai saagar,
samandar gehra, pyaas anant.

pal bhar ka hai jeena mera,
jeene ki hai aas anant.

saaye mein jiske panapti zindagi,
meri dharti ka aakash anant.

nazar chitizz tak dekh rahi hai,
in aankhon ki hai talaash anant.

honge fanaa uski aagosh mein,
wo roz kayaamat ho kash anant.

naye zakham mile to puraane chuth jaate hain

marham bhi bechain dil ko raas nahi aate hain,
dard bardhta hai jab pyaar kisi ka paate hain,
dil ke zakhmon ki aadat hi kuch aise huyi,
naye zakham mile to puraane chuth jaate hain..

jisko pyar karo woh hi dhokha deta hai

jaruri nahi par aisa hua karta hai,
jisko bhi pyaar karo woh hi dhokha deta hai,
kasme khate hain wo pyar nibahne ki,
or kisi mord par rashta badal liya karte hain.

All Time's Favourite Posts