agar ho sake to mujko sammbalo

seene se mere dil ko nikalo,
khata isne ki hai isse maar dalo,

nahi yaad aayi woh kitne dino se,
zakhmon pe mere jara namak dalo,

piladi kisi ne kasam uski de kar,
agar ho sake to mujko sammbalo,

dil ko mere ab aur dard do na,
bas bhi karo mere khawbo khayalo,

roye karoge tum yaad mujhe kar ke,
raj ko uska deewana kehne walo.

chale gaye jo uth ke teri mehfil se hum

nazar nazar se chura kar kahan jaoge,
jahan bhi jaoge humko wahi paoge,

ilzam mere dil pe jo lagaya tune,
yahi jab tumko rulayea, to kahan jaoge,

nahi hai gum koi tumko juda ho ke,
yakeen ye kaise dil ko apne dilaoge,

daga diya hai mujko jo gayiron ke liye,
daga jab ye tumko deinge to kahan jaoge,

chale gaye jo uth ke teri mehfil se hum,
phir dastan apni tum kisko sunaoge.


tumhare bina din guzara kiye hum

sau naam lekar pukara kiye hum,
tumhare bina din guzara kiye hum,
behthi hawa pe likha naam humne,
khilte gulon se liya jaam humne..


na dekha hai tumne na jana hai tumne,
lehron ke labon pe likha naam humne,
aise hi khud ko sawara kiye hum,
tumhare bina din guzara kiye hum..

jahaan tum ho roshan, wahi hum andhera,
jahaan shaam ho tum, wahi hum sawera,
jahaan zindagi ne tumko pukara,
wahi humne dala apna basera,
dalte dino ka sahara liye hum,
tumhare bina din guzara kiye hum..

barosa na ho gar wafa pe hamari,
dekho hamari duniya mein aakar,
tumhare liye hi bagiya khili hai,
tumhare liye hai ujala yahan per,
ilzaam phirbi utaaye sabhi hum,
tumhare bina din guzara kiye hum..

sapne tumhare palkon main bandhe,
aashu kaha se nikale bata do,
anshoon mein baste ho tum hi hamari,
saasein bichaye kaise bata do,
veeraniyon main basera kiye hum,
tumhare bina din guzara kiye hum..

tere naam pe mar jaye

zindagi iss tarah beet jayegi kabhi soch na tha,
tu iss tarah se judaa hogi kabhi socha na tha,
dil ki tamana ab kuch bhi baki na rahi,
kya mangu ki kuch bhi ab aas na rahi,

dua hai ki bas jo bhi zindagi mile
woh pyaar se guzaar jaye,
tere naam se jeete hai,
tere naam pe mar jaye.

holle se mushkarayi thi

jab woh paas mere aayi thi,
holle se mushkarayi thi,

ek baar dekh meri taraf,

phir nazrein jhukayi thi,

haay kya khub usne dil mein,

chhurdiyan khannkayi thi,

woh chaand sa chehara, 

woh neeli aankhein,
saari duniya ki kaynaat,

uss mein sammayi thi,

socha na tha maine,

kabhi aisa bhi hoga,
zalim ek hi pal mein,

dil mera churayi thi,

jab woh paas mere aayi thi,
holle se haay,

kya khoob mushkarayi thi,

gujarish hai khuda se,

woh yun hi mushkuraate rahe,
roz roz sapno me hi sahi,
aake dil mera churaati rahe.

meri jaan kabhi meri hua karti thi

mere jazbat, mere dil ko jo chua karti thi,
meri sathi, koi meri humdum hua karti thi,

kahi door chali gayi hai woh,
meri jo humkadam kabhi hua karti thi,

ab to raste mein milne par bhi raasta badal deti hai,
woh meri dilbar, meri jaan kabhi meri hua karti thi,

jalne lagti hai ab to yeh chandni bhi,
yeh chand kis kadar madham kabhi hua karta thi.

ujrda ujrda hai yeh chaman ab to,
yahaan baharon ka mausam kabhi hua karti thi.

kaash ki kabhi aisa ho jaye

kaash ki kabhi aisa ho jaye,
aankhein band karu saamne tu aa jaaye,

pas aakar chupke se mere,
kanon mein tu kuch keh jaaye,

khil uthoon sunkar teri baatein,
aisa sapna tu mujhe dikhaaye,


bitha ke palkon ke saaye,
tujhe main saari duniya ghumaun,

tan mann ki meri baatein,
tu khud mujhe samjhaaye,


rahu harpal tere hi pehlu mein,
teri baahein mere gale ka haar ho jaaye,


bharu teri maang sitaron se yun,
mujhe tu apna dulha bulaaye,


kaash ki kabhi aisa ho jaaye,
aankhein band karu saamne tu aa jaaye.

tumhari yaadon ke sahare maine apni duniya basayi

phir raat kati nayi subah hai aayi,
dil ko aaj phir tumhari yaad hai aayi,
dil ne yaad kiya tumhari har baat ko,
aaj phir meri yeh aankh bhar aayi,
tum nahi ho mere saath aaj par,
tumhari yaadon ke sahare maine apni duniya basayi.

chup chaap jab karti hai baatein teri yeh ankhiyaan

chup chaap jab karti hain,
baatein teri yeh ankheiyaan,

chup chaap sunte rehte hain,
hum teri yeh khamoshiyaan,

chup chaap armaan mere,
lene lagte hai ab angdayiaan,

chup chaap jab kehti hain,
kuch mujhse yeh tanhaiyaan,

chup chaap ab dhundhte hain,
hum teri hi parchayiaaan,

chup chaap ab bajne lagi hai,
dheemi dheemi shehnaayiaan.

jaanu hum mar jayenge

jaanu kab tak hum yun sochte raheinge,
zindagi ke saare sapne adhure raheinge,

aao thaam lo preet ki dori kuch is tarah,
sukh dukh jeevan ke milkar sahenge,

yeh chand mulakatein aur yeh lambi doori,
ek dujhe ke bin ab zindagi hai adhoori,

jawaani ke din yun judaai mein kho jayenge,
tum na miloge to tumahri kasam 
‘jaanu’ hum mar jayenge..

har guzra lamha ek zakhm naya de jati hai

suna tha waqt marham hai, har zakhm bhoola deti hai,
har guzra lamha hum ko to, ek zakhm naya de jati hai,

raat ki raani hai yaa teri yaado ki khushbu,
kuch to hai jo dil ke aangan mein,  ehsaas tera wo deti hai,

gar tere khayalon mein khoo kar neend aa bhi jaye,
aa ker khawabon mein, tera tasweer humko jaga deti hai,

khush hote hain tasweer mein tumhein kareeb dekh ker,
shayad kabhi mil na paye hum, ye haadsa sehma deti hai,

dil buhut nazuk hai, gum se ubharna aaye na,
pathar pe chott lage to woh bhi saza deta hai,

dushman hai zamaana mohabbat karne walo ko saza dete hai,
in dooriyon, judai ka ehsaas rula deta hai.

ki us bewafa ka yehi faisala tha

yaad aayi, aankhein pathrayi,
ek saaya sa lehara,  
khoon rago mein thehara,
neend oojhal, kadam bojhal,
awaz dabbi dabbi si, 
zindagi khoyi khoyi si,
rahi na aas, par bhujhi na pyas,
aitabar kyun tuta, sath kyun chhuta,
thi mohabbat usko, aur chahat humko,
woh meri pehchan, main uska jahaan,
ishq tha mera saccha par uska irrada kaccha,
yun khawab na sajje, ab bhula do mujhe,
gardaan jhuki aur sansain ruki,
ki us bewafa ka yehi faisala tha.

dil mera tujhe na samajh paya

aaj udaas hoon to zamana mujhe puchne aaya,
magar jis pe tha sadiyon ka bharam woh nahi aaya,

woh to ek khuwaab tha, toot gaya bikhar gaya hai,
aaj udaas lamhon mein phir kyun mujhe woh yaad aaya,

zindagi ki panno ke woh chand din jo guzar chuke hain,
na hi un pe sukkun aya, our na hi unko kabhi bhula paya,

bhoolna chahta hoon har lamha, 
har waqt jo guzar gaya hai,
jitna bhi roka woh waqt utna mere sath chala aya,

guzra hua kal na tha mera, na hai mera aur na hoga kabhi,
yeh mein janta hoon magar phir bhi na dil ko karaar aaya,

woh tere jhute waade, jhute kasmein, sab yaad hain mujhe,
phir bhi kabhi maine na apne dil ko samjha paaya,

aa na paye the tum to khudaar tha main bhi,
yeh rishta hi humare dermiyaan na raas aaya,

teri muskurahat mere liye ek fareb thi,
tha main kitna nadan, dil mera tujhe na samajh paya.

kya main tumse koi ummeed rakhun

kya main tumse ummeed rakhon,
tum meri uljhan suljha sakogi?

pairon mein mere pardi hain zanjeerein,
unhein kaatne mein mera saath dogi?

suraj ne to mujhko maayus rakha,
roshni is taraf ka rukh kar na paya,

ghana andhera hai, main kho gaya hoon,
mujhe dhundne ki pehal kya karogi?

paaon ke neeche kanteeli zamin hai,
iss par chalne mein dushwaari hogi,

kya in raahon par kandha mila kar mere
humsafar ki tarah chal sakogi?

pareshaniyon mein aisa ghir chuka hoon
saaya bhi saath chord gaya hai,
kya tum mere sath rukogi?

ummeedon ke phool bahut naazuk hain,
hawa ke thappede kahi sah na paayein,

meri ummeedon ki salamati ki khatir,
mere saath kya tum bhi sajdaa karogi?

This will be my final poem before I die

A girl I loved once hurt me so bad,
She knew I loved her like a mad,
I am dying slowly she made me so sad.

Take a chopper,
Take my life,
Just do it here,
Please dont cry a single tear.

The one thing I fear the most,
Is leaving you but thats something you did,

I need to sleep, so cut it deep,
Leaving you was the final leep.

When the beating has stopped,
You all know I am dead,
Because of those thoughts,
Ran through my lonely empty head,
Now you see me here laying dead,
Laying in the hospital in a freezing bed,

I am in so much pain,
so I cry,
You say sorry,
Hug me and say goodbye.

Then the depression lets me die,
Here is the light,
The angel says,
Hold my hand tight,
As I take you away.

From the night into,
Some where bright,
I go to into the light,
And here I say goodbye,
This will be my final poem before I die.

din beeta phir andheri raat aayi

din beeta phir andheri raat aayi,
subha ka intezar karti yeh tanhayi,

mileinge shayad woh kal humse,
aisi sard raaton mein yeh umeed jagayi,

hoga kal ka din shayd khushnuma,
dil ne kuch aisi hi aas jagaayi,

kuch kashmein kuch waadein honge,
aisa soch ankhon mein nind samayi,

sapna dekha meine dilruba ka apne,
bahon mein mere simat ker woh sharmayi,

khwaab tha itna khoobsoorat ki,
dhadkte dil ne apni raftaar bardayi,

khwab to khwab hai sachayi nahi,
yeh soch ankhon se neend udaayi,

din beeta phir andheri raat aayi,
subha ka intezar karti yeh tanhayi.

kuch bataao to kahoon tum se kuch apni main bhi

paas aao to kahoon tumse, kuch apni main bhi,
muskuraao to kahoon tum se, kuch apni main bhi,

bina tumhaare, kayi badnasibi, sar se guzare hain,
kuch bataao to kahoon tum se kuch apni main bhi,

tum wahaan, mein yahaan, yeh kya hai, maajraa kya hai?
kuch sunaao to kahoon tum se kuch apni main bhi,

khafa nahi ho jaantaa hoon, dooriyoun ko ab,

kuch ghataaoto kahoon tum se kuch apni main bhi,

yeh parda beech mein hamare hain kyun?
yeh hataao to kahoon tum se kuch apni main bhi,

abhi bhi itne door kyu ho, saamane mere chale aao,
rukh dikhlaao to kahoon tum se kuch apni mein bhi.

holi kaise khelu re.. modi tere sang

UP election ke baad, 
maya boli modi se....

holi kaise khelu re modi tere sang,
buri tarah se haar ho gayi, iss chunaao ki jung,
haathi mera soo gaya tha, peeli thi usne bhang,
holi kaise khelu re.. modi tere sang..!!

modi ne gholi kesariya, maya ne neeli rang,
neela rang chard na saka janta par,
main dekh kar ho gayi bahut dang,
holi kaise khelu re.. modi tere sang..!!

bhar bhar pichkaari tune aisi maari,
meri choli ho gayi thi tang,
geele sare mere kapde ho gaye,
chamak rahe the mere saare aang,
holi kaise khelu re.. modi tere sang..!!

akhilesh babuaa modi se bola,
huyi karari haar meri,  cycle khaa gayi thi jang,
bachi kuchi kasar, raahul ne puri kar de,
jab se mila tha uska sang,
holi kaise khelu re.. modi tere sang..!!

cycle meri puncture ho gayi thi,
baithi thi do saawari bhaari,
itna bojh kaise samhaale,
akkal gayi thi mere maari,

pariwaar bhi sahara na de saka,
unsse bhi ho gayi thi jung,
holi kaise khelu re.. modi tere sang..!!

aur tum kehte ho bhool jaauun main

kis tarah aur paas aaun main,
sirf apnaa tumhein banaaun main,

paas ho kar bhi, door hain itne,
kis tarah se tumhein bulaaun main,

raat-din bekaraar rahta hoon,
kash, lamhein ka chain paaun main,

dhoop hai tej, kahi bhi chhau nahi,
sabra ko ab, kahaan se laauun main,

basro se ek doosre ke hain,
kis tarah khud ko judah bataauun main,

ek lamha bhi bhula nahi paata,
aur tum kehte ho, bhool jaauun main..

kaas unhein bhi kabhi hamari yaad aayi hoti

kaas unhein bhi kabhi hamari yaad aayi hoti,
hamari yaad mein unki bhi aankh bhar aayi hoti,

milna to ab kishmat ki hi baat rahi,
sapno mein aake hi kabhi hamari need churayi hoti,

waade kashme sab bhul gaye woh, kiye the jo kabhi humse,
kaas hamari yaad ne hi un kashmon ki yaad dilayi hoti,

hum to jee rahein hai unki yaadon ke sahare,
unki yaad na hoti to hamari zindagi mein bhi tanhai hoti

tum se juda ho ker

batao kya mila tum ko bhala hum se khafa ho kar,
suna hai tum bhi pareshan ho hum se juda ho kar,

kasoor aakhir tumhara tha yah mera tha khuda jaane,
kabhi yeh baat soochenge phir se ek jagha ho kar,

abhi tak yaad hai hum ko tumhara woh haseen wada,
na tum jee paao ge dunya mein hum se bewafa ho kar,

jo hain boondein in aankhoon mein,
mohabbat ki hain sooghatein
yahi to touffe mile hain hum ko tum se juda ho ker.

hum rahein na rahein

hum rahein na rahein mehfilein sadaa raheingi,
kuch kahein na kahein baatein sada raheingi,

dil ko behlaane ke liye shaayri ek marz hai,
koi samjhe na samjhe shaayri chalti rahegi,

jo ghar kar gaya hai is dil mein,
abh ussi ki khatir meri rooh zinda rahegi,

hum rahein na rahein mehfilein sada raheingi,
kuch kahein na kahein baatein sada raheingi,


tord gaye is dil ko

aaj phir ek aur naya dard mila is dil ko,
hum dub gaye saagar mein, chord gaye saahil ko,

humne socha.. apano ki rahgujar mein koi hamara bhi hoga,
magar gira diya apano ne humein, taras gaye manzil ko,

phir ajnabi logon ko humne banana chaha apana,
magar jab apane na huye apane to 
woh bhala kaya karate
tord gaye is dil ko...

main aur meri tanhaayi

aawaara hain galiyon mein, main aur meri tanhaayi,
jaayein to kahan jaayein, har mord pe hai ruswayi,
main aur meri tanhaayi, main aur meri tanhaayi,

ye phool se chehre hain, hasste huye guldaste,
koi bhi nahi apna, begaane hain sab rashte,
rahe bhi tamashayi, raahein bhi tamashayi,
main aur meri tanhaayi, main aur meri tanhaayi,

armaan sulagate hain, seene mein chitta ho jaise,
kaatil nazar aate hain, duniya ke jail me  jaise,
rota hai mera dil, par bajti kahi hai shehnayi,
main aur meri tanhaayi, main aur meri tanhaayi

har rang mein ye duniya, sau rang dikhaati hai,
ro kar kabhi hassti hai, hasskar kabhi gaati hai,
ye pyaar ki baahein hain ya maut ki angdaayi,
main aur meri tanhaayi, main aur meri tanhaayi.

remember I love you

when I sit alone I feel you,
in a crowded room 
I see you,
in my heart 
I know you are there,
sometimes 
I want to scream,
sometimes 
I want to cry,

but inside 
I will never stop caring,
you held me up when no one else would,
you helped me up when 
I was down,
you let me see what no one else could,
when 
I was lost you found me,
when 
I was scared you held me,
you’re all 
I have to live for,

passion in my soul,
never to be spoken,
but  
I am always thinking of you,
no matter where you go,
remember 
I… 
I love you..

meri zindagi ka raaz woh

meri zindagi ki kitaab woh,
mere haar sawaal ka jawaab woh,

mein usse pardhuga tamam umar
mere khayaalon ka ehsaas woh,

meri haar duaa us ke liye,
meri ebadaaton ka sawaab woh,

mein sara din ussi mein magan,
meri haar raat ka khawaab woh,

likhun aur kya mein us ki yaad me,
mein likhon kya uske jaat per
meri zindagi ka raaz woh

aaj hum ghar nahi makanoon mein rehte hain

aaj log ghar nahi, makanoon mein rehte hain,
chand armaan ujade viranoon mein rehte hain,


khawaab mein hota hai, bus unhi ka deedaar aur,
samajhte hain hum unke khayalon mein rehte hain,

koi to shukr-gujaar hoga iss bhram ka,
ki chalo, hum bhi zinda in jahanon mein rehte hain,

mandir chorda, chord gayi masjid ki woh galiyaan,
kuch insaan to ab-roz maikhano mein rehte hain,

koi tapish unhein na koi jalan hi mehsoos hoti hai,
jo log ubalte huye bulbulon mein rehte hain,

be-matlab jab hua, shaks jo tha kabhi dil ke kareeb,
us roz se hi  hum beganoon mein rehte hain,

aaj hum ghar nahi, makanoon mein rehte hain,
chand armaan ujarde viranoon mein rehte hain.

kaash ki main ek tasweer hota

kaash ki main ek tasweer hota,
rangoon mein wajood bikhra hota,

kisi kalakaar ke haathon bannta aur,
kisi numaish mein kahi laga hota,

boliyaan lagti mujhe paane ki,
kisi amir ke ghar pahuncha hota,

laate mujhe naye mehmaan ki tarah,
aur ek dewaar pe main bhi tanga hota,

karte bayan log meri nakaashi ka,
issi bahane main bhi kabhi khush to hua hota,

kuch saal beetate yun hi dekhte huye,
ek roz purani tasweer banna hota,

ubtta har koi jab dekhte huye mujhe,
kisi kabaad-khane mein phir main parda hota,

waqt ke khanzar chalte har roz,
mera wajood lahoo se yuhhi bhara hota,

poora hota safarr khushiyaan dene ka,
aur raddi ke bhaaw main bhi bikka hota,

kaash ki main ek tasweer hota,
kadmon tale ek roz daba hota.

zindagi aur bata tera kya irada hai

zindagi aur bata tera kya irada hai,
loot liya sab kuch mera, 
aur tere liye lootane ka irada hai,
zindagi aur bata tera kya irada hai..

roya bahut main mera pyar jab cheena tune,
sukh gayi ye aankhein, 
dard koi ab na mehsoos hota hai,
zindagi aur bata tera kya irada hai..

khata ye thi ki pyar kiya maine,
chaha har pal har ghardi usse maine,
iska ye sila diya tune ki ab pyar na hota hai,
zindagi aur bata tera kya irada hai..

dua mein bus auroon ke liye haath uthaye maine,
khushion ke liye uski har sitam uthaya maine,
apne liye to ab kuch na maanga jata hai,
zindagi aur bata tera kya irada hai..

pooja uske pyar ko tha khuda ki tarah maine,
khushion mein uski har khushi dhoondi thi maine,
tune aaj mujhe hassna bhula diya hai,
zindagi aur bata tera kya irada hai..

zindagi aur bata tera kya irada hai,
loot liya sab kuch mera, 
aur tere liye raaj ke lootane ka irada hai,
zindagi aur bata tera kya irada hai..

shaam dhalte hi tanhayion ko wapas bula lete hai

logon sang tajurba apna bhi banta jaata hai,
duniya ki chahal pehal mein din kat hi jaata hai,

ro lete hain kuch, kuch ghut pe lete hain,
shaam dhalte hi tanhayion ko wapas bula lete hai,

raat roz sitaaron ki mehfil mein kat jaati hai,
jalta hai phir chaand, chandni bhi fiki pard jaati hai,

abhi to zindagi narak banni baaki hai,
chord gayi kyun tu, poket me paise to kuch baaki hai,

meri barbadiyon ki goonj kahi se aa rahi hai,
parinde, phool, pattiyaan yahi dhun gunguna rahi hai,

daaman-e-raaj se kuch aas naa lagana yaaron
makhmal nahi,  ye to hai kaanton ka mera bichona yaaron.


chun-chun armaanon ko maar diya

jisne kabhi kaha tha apna, khud se begana bana diya,
kya ab bhi dil-e-nadan usse pyar kiya karta hai,

jiski har mehfil kabhi mere hone se roshan thi,
kya ab bhi tanhayion me mujhe yaad kiya karti hai,

jiska har khayal meri khushboo se mehkata tha,
kyu ab woh mere sukoon ko, bekaraar kiya karti hai,

jo pehroon intezaar ke baad kabhi larda karti thi,
kyu har wo manzar unko yaad kiya karti hai,

kabhi sez sajayi thi armaanon ki maine,
aab chun-chun unhein, kyun dil maar diya karta hai.

mujhe tera intezaar hai

kayi saalo se..
dekha na kabhi, tujhe chhua naa kabhi,
magar mehsoos kiya, tujhe har baar hai,
haan mere yaar, mujhe tera intezaar hai,


kaha naa tune, maine bhi hothon ko siya,
magar dil mein ehsaas to barkaraar hai,
haan mere yaar, mujhe tera intezaar hai,

dooriyan hain, darmiyaan faasle to nahi,
aa jaaun paas tere, par halaat lachaar hai,
haan mere yaar, mujhe tera intezaar hai,

mehsoss kar, pyar ko bahoon mein bhar,
tere bina ye zindagi ek luta bazaar hai,
haan mere yaar, mujhe tera intezaar hai,

tu udhar khamosh, main yahan majboor,
magar halaat se lardna hi to pyar hai,
haan mere yaar, mujhe tera intezaar hai,

ek dafa laga lo seene se mehboob mere,
sukoon-e-dil ko raaj bekaraar hai,
haan mere yaar, mujhe tera intezaar hai.

aaine mein aapni hi pehhchaan ki talash hai

sawallon ne ghera hai,
jawabbon ki talash hai,
aaine mein aapni hi,
pehhchaan ki talash hai,

bhari bheed se kuch,
milne ki aas liye,
wafa ko chhord,
bewafai ki talash hai,

teri wafa ki aag mein,
kuch kami reh gayi shayad,
jo de hawa inn sholon ko,
aise mausam ki talash hai,

dil aab bujhne laga hai,
dard bhi meetha sa lagne laga hai,
zakhm-e-dil jo kar de hara,
phir aisi ek thokar ki talaash hai..

lautane hi sahi meri jaan aao

kyun khafa- khafa se baithe ho,
aao mere dil ke mehmaan aao,
aao ki kuch samaan baaki hai,
lautane hi sahi, meri jaan aao..

woh chand lamhein raaton ke,
jab saari raat main jaagta tha,
mere kaandhe ka sirhana bana,
tumhein baahon mein sulata tha,
wo chand lamhein lautane aao,
aao mere dil ke mehmaan aao..

woh shaakh ke patton ki sarsarahat,
jahan ghanton baith gujaarta tha,
ussi intezaar mein tumhare liye,
ek pura nagama gungunata tha,
woh sarsarahat lautane aao,
aao mere dil ke mehmaan aao..

har sham gali ke nukaad se gujarte huye,
mere piche scooter me baitha kerti thi,
mere haatho mein haath daal ker,
tum mujh mein ek vishwaas jagati thi,
woh shaamien lautnaane aao,
aao mere dil ke mehmaan aao..

iss dil ko tardpana tumhari aadat rahi,
tumhari hassi, humari ibaadat rahi,

naya ek jahaan mil gaya tumhein,
nacheez ko sukun kabhi mila na hamein,
ek naye gam se mujhe tardpaane aao,
aao mere dil ke mehmaan aao,

aao, ki mera kuch samaan baaki hai,
lautane hi sahi meri jaan aao..

All Time's Favourite Posts