I envy the happiness

I envy the happiness, which always flees away from me,
I love my mother who can still wipe away all my tears and end all my fears.

I envy the smile, which has vanished from my world,
I love my sister who can do anything to have an everlasting smile.

I envy the caress, which has discarded me from its reach,
I love my father and would still love to hold his hand all through my life.

I envy the love, which has bound me with the almighty,
I love my almighty though it's him because of whom I am away from all my liking's.

I envy the words, which took the form of my emotions,
I love my poetry which has turned the tears of pain in to the pearls of love.

days will pass

days will pass
and turn into the years,
but I will always
remember you with silent tears.

jee lunga main bhi aapni tannhai mein

di hai saughaat aaj phirse tumne ashkon ki,
na bhoola paunga dastaan teri in zulmo ki,

laggi hai chott.. rounga jee bhar aaj,
par awaaz na hogi meri inn siskyon ki,

mashroof ho jo tum to mashroof hi rehna,
na tumhein hai mera sath ek bhi gawara,

jee lunga main bhi aapni tannhai mein,
raaj ko na jarorrat rahi abb kissi ke sahare ki.

saath na koi humdam na kisi ki duayein hain

pathar ke shehar mein dil bhi pathar ke paye hain,
murda yahan har shaksh hai, saans lete saaye hain,

sadkon ke jaal mein uljha hua har aadmi hai,
dhuyein ke gubaar mein dum tordti hawayein hain,

roti ki chakki mein zindgiyaan pisti dekhi hain,
mehngayi ke shikanje mein bebas tamannayein hain,

behisaab aabadiyon ka har taraf huzum hai,
saath na koi humdam, na kisi ki duayein hain,

door tak bikhre roshniyon ke kaarwan hain,
apne naseeb mein wahi andheri gufayein hain.


shukra-gujar hain partho teri dosti par

ek dost tu hi to hai jisne mujhe jeena sikhaya,
gum bhari iss duniya mein hassna sikhaya,

jo na hota to kahan jaata kehne apne jazbaat ko,
tune sun ke mera hal-e-dil mujhe dard ko chipana sikhaya.

tha mein jab tannha tannha apno ki bheed mein,
tune deke mere haathon mein apna haath mujhe akele chalna sikhaya.

fulon se bhi jab chubne lage the kaante humein,
tune thaam ke kaanto ke saaye humein dard sehna sikhaya,

shukra-gujar hain partho teri dosti par,
teri dosti ne har path par humein girke sambhalna sikhaya.

neend bhi thak kar huyi choor meri aankhon mein

gum nahi andheron ka, umeed-e-noor hai meri aankhon mein,
rukna nahi seekha,  manzil ka suroor hain meri aankhon mein.

har thokhar naye josh kaa aagaz karti hai seene mein,
apne hauslon par damakta guroor hai meri aankhon mein,

ab jo jaaga hoon to sone ka hosh kaha mujhe,
neend bhi thak kar huyi choor hai meri aankhon mein,

gardish se jo darr jaye wo sitare hum nahi doston,
kali raatein saj
i hai ban ke surma huzoor meri aankhon mein.

karte hain jo raaj se gila... karte rahe

zindaagi ke safar ka tay faasla karte rahe,
nigahein dhoondhti rahi manzil, paanw chala karte rahe,

ek gum-shuda hoon mein iss bheed ke shehar mein,
khud ki talaash mein hum sab se mila karte rahe,

yeh mana murjha kar khaakh mein mil jana hai inhein,
phirbhi dil-e-aarzu mein umeed ke gul khila karte rahe,

dekh ker har haseen chehare ko yeh dua deta chal,
julfon ke saaye talle maikhane khula karte rahe,

apne usoolon par hum apne andaaz se chalte hain,
karte hain jo raaj se gila... karte rahe!!!

tu hi bata ki tera aitbaar kaise karein

tu hi bata ki tera aitbaar kaise karein,
bharam hi toot gaya ab pyaar kaise karein,

gumnami mein kho rahi hai yeh zindagi apni,
rasta badal ke isse hum bahar kaise karein,

jab us ki baat per humko yakeen na raha,
ab aur usse khayaal-e-karaar kaise karein,

wafa pyaar to ab woh nahi raha,
ab us bewafa ka intezaar hum kaise karein.

naa jaane woh din kab aayega

naa hote yeh mandir maszid,
naa hota koi hindu muslim,

rehte sabhi mil jul kar,
kaash hum sab ka ek hi emaan hota,

kya mila hai hum sab ko,
ek duje ka khoon bahane par,

sooni huyi meri maa ki godhi bhi,
teri maa ki godhi bhi ujaadi hai,

shok hai mere ghar mein bhi,
tere ghar mein bhi maatam chhaya hai,

kya yeh sab karne k liye hi tu,
iss dharti pe aaya hai,

likha hai kis geeta mein,
kis kuran mein yeh aaya hai,

khoon baha kar apno ka,
kisne sawarg aur zannat ko paaya hai,

naa jaane woh waqt kis din aayega,
naa hoga koi hindu muslim,

har aur khushyaali ka mosam chayega,
dhund rahi hai meri aankhein
naa jaane woh din kab aayega…….

iss andheri nagari mein tu apna saath de maula

meri khwahish ab naa koi, bas ek teri jhalak de maula,
chand ki roshni na sahi, mann ka darpan saaf de maula,

kisko samjhu gair yaha par, kisko samjhu main apna,
yahi samjhne ke liye mujhe ek achi soch de maula,

aab-o-hawa bhi kuch aisi badli hai koi nahi hai apna,
iss andheri muskil nagari mein tu apna saath de maula,

har pal un lamho ko sochkar ghut-ghut kar main rota hoon,
khawab-e-guzishtan ki yaado se mujhe mukt kar de maula,

iss matlab parsat duniya mein bas tu hi hai sirf mera,
apne kadamo mein hi ab tu mujhko jagah de maula,

meri khwahish ab naa koi bas ab teri ek jhalak de maula,

chand ki roshni na sahi mann ka darpan saaf de maula.

kya acha kya bura yeh maine kabhi naa socha

kya acha kya bura yeh maine kabhi naa socha,
pyaar kiya magar iska haal-e-dard naa socha,

tere saath rehte bhi bujh naa payi pyaas meri,
phir bhi aye yaar kisi aur ke baare naa socha,

rukhsat huyi tu mujhse meri wafao ko bhulkar,
gum-e-dard doba raha par tera bura naa socha,

kiya tumne badnaam mujhe aur mere pyaar ko,
magar kabhi tujhe maine ruswa karna naa socha,

samjhaya duniya ne aur mere apno ne mujhko,
tujhe gulaab hi samjha, zakham-e-kaata naa socha,

kya acha kya bura yeh maine kabhi naa socha,
pyaar kiya magar iska 
haal-e-dard naa socha.

har mehfil meri tannha hai

door tak naa koi apna hai,
oas ki tarah dhundhla hua mera sapnna hai,

nazar jaha tak bhi jaati hai meri,
ajnabiyon se bhari yeh duniya hai,

har mehfil meri tannha hai,
meri aur mere gum ki duniya hai,

sard raatein hai aur tim-timate taare hain,
hum bhi khud mein hi simat se jaate hain,

mere khawabo mein saaye ki tarah chale aate hain,
kuch pal thaharte hain aur chale jaate hain,

oas ki dhundhlahat mein phir kahi kho jaate hain,
kuch pal hum bhi bebas ho jaate hain,

kuch aanshoo bahate hain,
aur hum bhi us oos mein kahi gum ho jaate hain….

milna-bichardna waqt ka dastoor hota hai

milna-bichardna to waqt ka dastoor hota hai,
juda hokar bhi koi yaadon se na door hota hai,
koi nahi chahata juda hona apno se,
woh to waqt ko shayad yehi manjoor hota hai.

issi kash-m-kash mein jeeye jaa rahe hain

tu pass nahi hai mere par door bhi kaha hai,
tere saath beete din aaj tak in aankhon mein jawaa hain

bhul kar baithe ho tum humein
par kis tarah hum tumhein bhool jaaye,

phir bhi kabhi jazbaat hamare behak jaate hain,
tujhe bhool jaau yeh mujhe sikhate hain,

faisla hum na kar paa rahe hain,
tujhe hum na bhool paa rahe hain,
issi kash-m-kash mein jeeye jaa rahe hain.


andar se ghaav abhi gehre hain

hamare muskuratein chehare ke
pichhe bhi kayi raaz chhupe hain,

baahar se sukhe huye lagte hain
magar andar se ghaav abhi gehre hain,

naa cherdo inhein
kahi yeh nasoor naa ho jaaye,
bhool chuke hain jise
kahi woh phir se yaad naa aa jaaye.

har lamha badalti hai fitrat unki

barshon ho gaye raakh bane huye,
par dhua uthta baar baar hai,

zamana ho gaya zakhm lage huye,
kyu yeh reesta baar baar hai,

mohabbat dard ban kar reh gaya,
aashkon ka sailaab tutta baar baar hai,

jeetne ki koshish karte hain hamesha,
par mukaddar harata baar baar hai,

koi sahil pe pahuche bhi kaise,
yahan tuffan gujarta baar baar hai,

har lamha badalti hai fitrat jinki,
unse dil darta baar baar hai.


kya woh maut se pehle aa payegi

aisa lagta hai kabhi kabhi jaise koi to aayegi,
zindagi ki is kaal kothri se door kahi le jayegi,

ek haseen duniya hogi hamaari.. jahan honge kewal do jan,
sach-much aisa khayal aata hai aur keh uthta hai mera mann,

koi to hogi jo mujhe sapno ki duniya dikhayegi,
par yeh bhi sochta hoon kya woh maut se pehle aa payegi?

na jee saku, na mar saku, haal kuch aisa hai

dil tord kar puchte hain ki haal kaisa hai?
main bola.. aye dilbar yeh sawaal kaisa hai?

yeh aashu, yeh bebasi, bigade halaat,
yeh dard, yeh chubhan, machalte jazbaat,

yeh tardap, yeh ghum hai tere saugaat,
aur tum puchte ho ki haal kaisa hai?

adhure hain hum, ab jeene ki chah nahi,
gumarah hai kahi, manzil aur rah nahi,

rote hi rahate hain, hassne ki chaah nahi,
aur tum puchte ho ki haal kaisa hai?

tere kadmon mein hum ne bichaya tha dil,
jise tord diya tune, na samjha kaabil,

zinda laash ban kar rah gaye, kahe kise kaatil,
aur tum puchte ho ki haal kaisa hai?

jism the hum, jinhe samjha tha saya,
kal tak the apne, aaj ho gaye paraya,

phir bhi labon pe naam tera hi aaya,
aur tum puchte ho ki haal kaisa hai?

ek din socha kahe tumse haal-e-dil,
sunaye dil ki dastan, hum bhari mehfil,

bata de jaha ko ki tum ho kaatil?
phir tum na puchoge ki haal kaisa hai.

dard de tu humein, hum dua denge tumko,
socha mita de bebasi, khatam kare ghumko,

ki laakh minnaten par aayi na maut humko,
uff yeh maut bhi bewafa tere jaisa hai,

ab kabhi na puchna ki haal kaesa hai?
na jee saku, na mar saku, haal kuch aisa hai!!

bas ek mulakat ka irada hai unse

aur ek mulakat.. bas ek mulakat ka irada hai unse,
aur sochte hain ki, bahut door nikal jaayenge,

aye khuda woh to khun se behne lage hain iss jism mein,
yeh saara khun nikla to hum zinda kahan reh payenge.

kyu zindagi tu tham si gayi hai

kyu zindagi tu tham si gayi hai,
aankhein bhi nam si ho gayi hai.
door se dekha to bahut khubsurat dikhi tu,
kareeb aakar kyu tufaano se bhar si gayi hai.

tujhse teri thordi si zindagi churaani chahi,
phir bhi kyu kam pard si gayi hai.
koshish hazaar ki tujh mein samaa jaane ki,
par kyu gamon ke rait mein tu jamm si gayi hai.

andhera tere aanchal mein faila hai kyu,
koi roshni ki aasha gum si gayi hai.
tujhe jeene ki aarzu to thi mann mein,
par kyu ban ek tu bharam si gayi hai.

aadmi hi ek roz apni laashon ko na ginn payega

aadmi hi ek roz apni laashon ko na ginn payega,
kaisi anteshthi...  kiski kabar...
sab yun hi parda reh jaayega.

mandir bhi honge,
maszidein bhi hongi,
bas insaan hi na reh paayega.

ashtron ka dher lagane wale maanav,
yeh baarud tujhe hi khaa jaayega.

koun pardhega yeh geeta,
yeh kuraan kiske kaam aayega,
tera itihaas sunne sunaane ko,
aye maanav koi na reh paayega.

teri budhimaani ka yeh zaher,
jispar tu itna ittrata hai,
jara soch yeh gurur tujh ko,
kis pragati ki aur le jaayega.

maangna meri bhi fitrat nahi hai

kitna samjhaaun tujhko aye dil,
har baat mere bhi bas mein nahi hai,
bas uski chaahat ki zidd naa kar,
woh pyaala kisi or ke haathon mein hai,
or maangna meri bhi fitrat nahi hai.

mare nahi hain tujhse bichard kar

mare nahi hain tujhse bichard kar,
bas itna hi hai ki ab humse jiya nahi jaata,

nafrat bhi nahi karte tujhse,
par pyar bhi ab humse kiya nahi jaata,

bhule bhi nahi tujhko,
par yaad bhi ab humse kiya nahi jaata,

kaise kahein kitna toot gaye hain hum,
ki pyar dene waalon se pyar bhi ab liya nahi jaata,

mare nahi hain tujhse bichad kar,
bas itna hi hai ki ab humse jiya nahi jaata.


nahi hai tu magar intezaar aaj bhi hai

kahi jigar mein tera bikhra pyar aaj bhi hai,
nahi hai tu to magar intezaar aaj bhi hai,

yeh mante hain ki dil mein bas gaye hai log hazar,
kisi kone mein magar andhkar aaj bhi hai.

woh royegi tardpegi ek din meri mohabbat ko

har nazar hairaan hai
aur arzoo roone ko hai,
gum mein kho gayi zindagi
aur aasmaan ronne ko hai.

charon taraf hai roshni ki bahar
magar mera aashian simata hua,
aag mein jal chuka aks mera aur
dhuan rafta rafta khone ko hai.

na bardao hath dosti ka
ki kismat meri hai kharab,
jisko chaha usse paya nahi
har sathi raaj khone ko hai.

jo kar sako to itna karam kardo
dil mein jo dard hai dawa ban jaye,
jazbaton ka tofan ab na rukega
shubha se raat ab hone ko hai.

ruksat karo mujhe iss jahan se
ke ab aur seh saku himmat nahi,
gir kar tutega yeh zehar ka paiyala
nasha isska ab mujhe hone ko hai.

woh royegi meri yaad mein,
tardpegi ek din meri mohabbat ko,
buund buund pighalega pathar dil uska,
intezar kijiye yeh haddsa bhi hone ko hai.

mit kar bhi hum mit na paayein hain

mujhe gam dene waale sunn,
mere muskurane pe na jaa.

meri aadat si ban gayi hai ab hassna,
yuh chehare k chalawe par na jaa.

koshish to bohut ki thi tune mitane ki magar,
mit kar bhi hum mit na paayein hain.

shayd afsos hoga tujhe mujhe dekhkar,
ki kyu hum tere sehar mein wapas aayein hain.

to mat kar tu khauff  ki tujhe badnaam na kareinge,
tujhe kabhi pyaar kiya tha aur pyaar hi karenge.

meri to rahegi yahi tamanna ki,
duniya ki har khushi tujhe mile,
mujhe zakhm dene wale tujhe har khushi mile.

shukriya mere haatho se apna haath churdane ka

shukriya tere chord jaane ka,
mere haatho se apna haath churdane ka,

jab tak tu thi saath to tha main tannha,
shukriya apni yaadein mujhe de jaane ka,

wo bhool jo ki thi humnne wafa nibhane ki,
shukriya bewafaai ka ilzaam humein de jaane ka,

tu rahe khush hamesha tujhe chain-o-sukun mile,
shukriya mere dil ko tardapne ke liye chord jaane ka,

tu bhula de humein.. chahe de ilzaam berukhi ka,
shukriya humpar kuch to hak jataane ka,

“raaj” karta hai intezaar aaj bhi ussi raaste par,
shukriya umra bhar ke liye beech rah me chord jaane ka.

pahucha kar humein sagar ke kinare tak,
shukriya phir humein gam ke tufano ke hawale kiye jaane ka.

I ask myself when will death come upon me

I cut myself wanting to die
no more do I want to cry,

every night I lie awake
want to change not to be fake,

it feels like no one cares about me
just want to die don’t want to be alive,

sadness is always in my heart
just want to end and die just want to start over,

I want to be accepted for who I am
I wish someone out there could understand,

I ask myself when will death come upon me
I just want to jump,
jump off dramatically..!!


kis kis tarah se roop badalte hain kuch log

ek jhalak dikha kar deewana banaate hain kuch log,
bujhe na jo kabhi aisi aag lagaate hain kuch log.

kabhi koi ajnabi apna sa lagta hai aur kabhi,
pass ho kar bhi bahut door hote hain kuch log.

jab bhoolna hi mukaddar thehra to,
yaad kyon baar baar aate hain kuch log?

ek pal mein sadiyan saath jee ker,
ek pal mein hi bhula dete hain kuch log.

kal the dost..  jo aaj hain woh dushman,
kis kis tarah se roop badalte hain kuch log.

ek lamhein ki khushi ke liye
umar bhar tardpate hain kuch log.

kabhi kisi ko toot kar chaha ho to jano tum,
ishq mein doob kar kaise ubharte hain kuch log.

kahi zindagi ka bhar-pur maza lete hain,
kahi mar ker bhi zinda rehte hain kuch log.

puri hui zindagi, khatam hua intezaar-e-umar,
laash kandhe par uthaye chale jaate hain kuch log.

kya dil nahi tha mere paas?

kya dil nahi tha mere paas,
jo diya dard mujhe aise behisaab.

hoti judai kisi ki to khud ko samjha lete,
par yahan to kisi ne bhi na thamma hamara haath.

lagta hai aise ki kisi ke karam par jee rahe hain,
jo mill raha lahu ya kaho usse ashk,
bas jaam bana ke pee rahe hain.

ab to hogi tassalli jab hum bhi kuch kar jayenge,
arthi niklega mera aur ussi mein shaamil hogi meri baraat.

bata aaye khuda...
kya dil nahi tha mere paas?
kaash tune di hoti humein bhi jeene ki sirf ek aaaas.


tu apne kasme waade se mukar gayi lekin

pyar mein jeena pyar me marna,
yahi humne dost shikha hai,
tere liya naye shal ka tohpha bheja hai,


tere pyar mein humne sara jag thukaraya hai,
phir bhi maine kadam -kadam par tujhse dhokha khaya hai,

tu apne kasme waade se mukar gayi lekin,
humne to veerane mein yeh naya saal manaya hai,

duniya kya aab mera inshaap karegi,
meri maut hi mujhse wafa karegi,


bahut bardi -bardi kashmein khayi thi tune,
ab to meri tannhai hi hamesa mere pas rahegi.

pyaar karna aasaan hai pyaar pana nahi

pyaar karna aasaan hai pyaar pana nahi,
naadan mere dil tune yeh jana nahi,

duniya hi banati hai sab rashme riwazo ko,
tune abhi duniya ki nazron ko pehchana nahi,

yuh to sab mil jaata hai bin maange hi,
jo dil ki ho aarzu, waisa deewana nahi,

pal mein bichardne pardta hai,
jaise pal mein mile the,
pyaar to pyaar hai, bhul jaaye kaise,
yeh dil mera itna bhi beymaan nahi.

pyaar karna asan hai shayad par isse pana nahi,
naadan dil mera itna yeh aaj tak jaana nahi.


ek thi kashti ek tha kinara

ek thi kashti ek tha kinara,
dono the akele, the dono hi besahara.

rutt badli par kinara na peeche hata,
kashti bhi aati rahi dene usse har dard ki dawa,

ek din puchi kashti ki tujhe dard kya hai?
diya jawab kinare ne ki har din hi mera ek saalgiraah hai.

baat yeh kashti ke samajh na aayi,
dard hai kya usse yeh sunn woh dheeme se muskurayi.

phir chal padi hawa or kashti bhi uske rukhh mein beh gayi,
manzil thi uski purab aur woh paschim mein safar tay ker gayi,

sochta raha kinara ki iska safar bhi dhua bhar ka hai,
jaise badli hawa waise hi naavik usse badalta hai.

soch lo zindagi, mita lo aise hi gum,
kya hai safar aur kyu hai tum sabki aankhein namm.

rahe manzil to raston ki na karo fikar,
milti hai manzil usse jo bhatka hai kashti ki tarah dar-badar.

ab tu hai kashti aur main hoon kinaara,
chalna hamesha sang.. na chordna kabhi saath hamara.

hum ruthe to woh manate the

hum ruthe to woh manate the,
phir door jaake dil dukhate the,

bichard jayenge ek din aisa kehkar,
humein kitna woh rulate the.

kya kar sakte ho tum mere liye iss jahan mein,
aisa kehkar pal pal humein aazmaate the.

sapne inn aankhon mein dekar,
khud chain ke neend aur humein jagaate the.

haan aisa bhi ek shaks tha is duniya mein,
jo humein dukh ke saath saath,
pyaar ki duniya ke rang bhi dhikhate the.

hum kisi ko nahi, sab humein chord dete hain

be-mausam aane wale panchi,
jaane kab apna rukh mord lete hain,
chehak dikha ker, dil dhardka ker,
sapne jaga dete hain.

par kaha yeh rukte hain,
aaj yaha aur kal waha!
udaan dusre ke dil mein kar,
naa jaane kyu yeh dil tord jate hain.

jo honth keh nahi paate,
aanshu keh dete hain,
be-reham sanam dhire dhire,
hamari jaan lete hain.

chaahat hoti hai bewafa jab bhi,
bas nazron ke dhoke,
dil tord dete hain.

hum kisi ko nahi,
sab humein chord dete hain,
waqt aane par dil se,
apna muh mord lete hain.

yuh to rishta dil ka hota hai dil se,
armaan bhare dil ko pal mein tord dete hain,

be-mausam jo apna rukh mord lete hain,
humein bhari mehfil mein tannha chord dete hain.

maza to hai naa milne aane wale intezaar mein,
unhein andaaza nahi,
naa puri hone wali tassalli deke,
humara dil tord dete hain.

the person is like a stranger to me

the person I wanted to be friends forever
is now like a stranger to me today.

she was so close to my heart
but today being near she is no where.

it hurts me more then anything today
that may be we wont be like we were before.

since I lost everything I had
and there is no more to loose now.

I don't know why I feel that
she is a part of me,
I don't wanna loose.

life is a big puzzle and there are all the peices
she is a big piece but may be she don't understands.

sometimes because of one piece
the whole story makes no sense,

wish God makes all things alright
I don't wanna loose anyone anymore.

seekh liya hai maine unke bin jeena

seekh liya maine tumhare bina jeena,
band hua ab hamara un aashkon ko peena.

badal gaya mein ab kehte hain log,
yaad karta nahi unhein,
lagata nahi apne dil ko rog.

par main badala ya waqt badlaa ye kaun jaane,
be-wajaah ab hum nahi bante har kisi ke deewane.

dekha hain tutta hua dil ka aaina,
bahut khayi hai chotte seene mein,
aaj pata chala hai hamein barso ke baad,
kya mazza aata hai sakht dil leke jeene mein.

ab berukhe hi sahi hum,
chhot kisi se bardaash karte nahi,
dillagi karne walon par yaaron,
ab hum marte nahi.

haan !! shayad sach mein,
seekh liya hai maine unke bin jeena.
bahut nadaani kar li humne,
chord diya hai aaskhon ko peena.

kehne ka aaya hai waqt alvida kuch ajeejo se

yuh to sabke liye kar liya humne bahut,
par duniya ke liye tha woh sab kam bahut,

barde hi pyar se kar rahi thi,
mera armaano ka katal woh shaks,
rok nahi paaya usse,
tha usse jo pyaar bahut

kiya tha kabhi khud se waada,
ab kareeb na hoga koi,
wada tordkar paya maine saja,
kyu main hua khud se mehroom bahut.

milna hai iss duniya mein,
ek humraaz ka mushkil,
ghirta rehta hoon hamesha main,
bherd hai yaha bahut.

apne-pan ki talash chalo ho gayi aaj khatam,
uljha rehta tha duniya ki baaton mein bahut.

kehne ka aaya hai waqt alvida kuch ajeejo se,
jinke begair zindaagi rahegi adhuri,
hai mushkil ab saans lena bahut.

All Time's Favourite Posts