mohabbat chord di hum ne

mohabbat chord di hum ne....

ye tum se kah diya kis ne,
ki tum bin rah nahi sakte,
ye dukh hum sah nahi sakte,

chalo hum maan lete hain,
ki tum bin.......


hum bahut roye,
ki raaton ko nahi soye,
magar afsoos hai jana,
ki ab ki tum jo lautoge,
humein badla hua paooge,
bahut mayoos hoge tum,

agar tum puchna chaho ki,
aisa kyo kiya hum ne,
to sun lo gaur se jaana,
purani ek aadat tang aa kar,
tord di hum ne.....

mohabbat chord di hum ne....!!
mohabbat chord di hum ne....!!

tum ko bhi paane ka raasta nahi milta

mil mil ke bichardna mujhe accha nahi lagta,
per tum ko bhi paane ka raasta nahi milta,
tere mohabbat pe aitbaar hai itna,
siwa tere koi rishta sacha nahi lagta,

tu mera pyaar meri zindagi mera sab kuch,
bina tere yeh jeewan to mujhe accha nahi lagta,

bahut mushkil se milte hain kisi ko chahne wale,
main jis ko chahata hoon woh mujhe hi nahi milta,
dil to kya jaan bhi main usko dedeta,
woh ek baar apne seene se to lagate.

ishq me tum bahut kamzor ho

ek paal bhi teri yaad dil se jaati nahi,
tere saath ke bina zindagi bhi ras aati nahi,
hardam har pal yahi eshas hota,
ki agar tu hoti to har pal kaisa hota..

shyaad waqt tham jata mere liye,
sari kushiya mil jati us ke pal mein,
dadhkane jurd jaati uss ke pal mein,
hum pass aa jate jis pal mein..

kash main zindagi mein tere saath ho pata,
tere bina mujhe raasthe milte nahi,

tu jab tak hai...
kushiyo se ristha hai mera,
tujhe hakk hai mujhse door jane ka,
kyoiki dil mil ke bhi haath milte nahi,
lekin aaj kareeb hoke bhi hum door hain,
shyaad yahi zindagi ko manjur hai,

pana chaha tha maine bhi tere saath har pal,
per kya karu yeh ho nahi sakta,
kyoki tu mere pass hoke bhi bahut door ho,
shyaad ishq me tum bahut kamzor ho...!!

faasla unse mitaya na jaa saka

palkon pe aansoon ko sajaya na jaa saka,
us ko bhi dil ka haal bataya na jaa saka,
zakhmon se choor choor tha yeh dil mera,
ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka,

jab teri yaad aayi to koshish ke ba wajood,
aankhon main aanshoon ko chupaya na jaa saka,
kuch log zindagi main aise bhi aaye hain,
jin ko kisi bhi lamhein bhulaya na jaa saka,

bas iss khayaal se kahin uss ko dukh na ho,
hum se to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka,
woh muskuraye the magar,
chehare ka rang us se chupaya na jaa saka,
tanhaiyon ki aag mein hum jal gaye,
magar faasla unse mitaya na jaa saka.

baithe baithe yunhi achanak

baithe baithe yun hi achanak kahin,
main khone lagta hoon,
khud hi se khafa khafa sa main hone lagta hoon,
sochta hoon jab bhi uske dard ka aalam,
ho ke bekaraar palkein main bhigone lagta hoon..


ek unki naam, unki yaad, unhi ka khayal rehta hai aas paas,
jab bhi aankhein kholta hoon subha,
raat jab bhi main sone lagta hoon,

ek baar unhone kaha to tha...
unhe bhi shayed mujhse pyar hai,
aaj bhi us shabd ko karke mehsoos,
bechain sa main hone lagta hoon...

duaon pe apni mujhe bharosa bouhat tha sadiyon se,
ek yehi bharm dil mein liye,
khwaab uske main sanjhone lagta hoon..

ek sheeshe ka ghar sang uske maine bana to liya hai..
dekh kar duniya ke haath mein pathar,
khauf sa main hone lagta hoon..

dard chupate hain jab woh,
dil se nahin labon se muskurate hain jab wo,
jaane kaun se ehsaas se main tardap jaata hoon,
bebasi me phir main rone lagta hoon..

baithe baithe yunhi achanak kahin,
main khone lagta hoon,
khud hi se khafa khafa sa main hone lagta hoon..

ye dil jo naa lagaayaa hota

dil tardhapta tha, tardhapta hai, yun hi tere liye,
kaash tujh ko bhi yun pyaar sataya hota,

bhool jate tujhe, jo bas mein hamaare hota,
kaash ye dil mera tujh pe naa ayaa hota,

zindagi guzri hai bas teri hi, teri chahaat mein sanaam,
bhool ker duniyaa ko kabhi tumne bhi yun chaha hota,

kya mila pyaar mein aashuon ke siwaa humko sanam,
isse acchcha tha ye dil jo naa lagaayaa hota.

tum chup gaye ho kahin

lagta hai mano kahin nahi gaye ho tum,
paas mere baithe ho yahin kahin,

bas satane ke liye mujh ko,
tum chup gaye ho kahin,

na imtihan lo yun mera,
ki chand saanse hi bachi hain meri,

kahin aisa na ho ki tum chupe raho,
aur zindagi khatam ho jaye meri abhi,

bahut r0woge, pachtaoge,
jab sang mujhe na paoge,

sochoge yeh kya kiya tumne,
par dhoond mujhe na paoge,

sach kaha hai kisi ne yeh kabhi,
koi ho pas tumhare to uski kadar tumhe hoti nahi,

kahin chala jaye woh tumse door to,
usko pane ki chahat kabhi kam hoti nahi.

ek baar bhi murd ke na dekha

reth ki tarah phisal raha hai har lamha,
ek baar bhi murd ke na dekha iss dost ko,

har mushkil mein yaad aaye dosti humari,
ek baar bhi yaad na kiya iss dost ko,

har sukh dukh mein nibhaya saath humne,
ek baar bhi haal na poocha iss dost ka,

uchayi paa li hai tumne tumhari duniya mein,
ek baar iss dost ke kandho ka khayal na aaya,

yaad kiya aaj tumne humein ajnabiyo ki tarah,
ek baar toh batate iss dost ki galti ko aaj,

kya yahi dastoor hai aab duniya ka yaaro,
ek baar aapne aatma ko tatol ke batao aaj..

aaj phir se hamein iss mausam mein

aaj phir se hamein iss mausam mein kho jane ko dil karta hai,
teri in naram se aagosh mein simat jane ko dil karta hai,

khusnuma si fizayen hain,
ek madhoshi ka aalam hai,
inn barasti boondon mein,
bheeng jane ko dil karta hai,

ye kaisa ek nasha sa hai mere iss dil par aaj,
teri inn nasheeli aakhon mein,
doob jane ko dil karta hai,

thama sa lagta har lamha,
hawayein bhi kuch madhyam hai,
aaj phir se mujhe tera,
aanchal lehrane ko dil karta hai,

ek muddat se gulistan mein phool khil hi nahi paye,
aaj phir teri hothon ki hansi churane ko dil karta hai,

mera mehboob tu iss sare jahan se bhi nirali hai,
tere har ek nazar pe mar mit jane ko dil karta hai,

aaj phir se hamein iss mausam mein kho jane ko dil karta hai,
teri inn naram se aagosh mein simat jane ko dil karta hai

tum lout ke wapas aa jaao

saath tumhara dena hai,
aur saath tumhara paana hai,
patthron ke is shehar me,
ek kaanch ka ghar banana hai..

aasmanon pe jo rishta bana,
ussey duniya me nibhana hai,
ek naam tumhara likh diya hai,
ek naam humein ban jaana hai,

kuch baatein tum se karni hain,
kuch dil ka haal sunana hai..

chupke se jo mangi hai,
un duaaon me tum ko paana hai,
tum rooth ke mujh se mat jaao,
mujhe saath tumhara paana hai..
tum lout ke wapas aa jaao,
mujhe zindagi tumhe banana hai...

ek pyaar ka dariya tha

chalta ja raha tha,
umr ki sunsaan andheri sadak per,
thak chuke the paun,
sukh raha tha kanth,
paseene mein lath path,
door kahi dikhayi diya jal.

bataya kisi ne….
pyaar ka dariya hai yeh,

pagal sa ho gaya main,
dubbna chaha usme,
chaha sheetalta uski,
pyaas thi bujhani man ki,
per keh utha main…

ek baar soch lo raj,
inn uunchi neechi leheron mein,
kab tak tair paoge?
kahin thak naa jana tum.

khud se kaha maine…
shayad raah mein kashti mil jaye,
ya koi ban jaaye sahara mera.

per phirse keh utha main..
agar naa mila koi,
ya tumhein sahara dene wala,
khud duub gaya to?
kya keroge tum?

fass gaya bhawar mein,
ya baard baha le gaya to..
kya keroge tum?

jal ke thande thapedde,
kaise sahoge akele,
takara ker kisi chataan se,
tuut gaye to kya keroge tum?

darr gaya ye sun ker main..
chal parda tay kerne baki kaa safar,
akela…
buss akela,
maan li man ki baat,
magar pyaasa hi laut aaya,
ek bhi ghunt naa piya,
uss pyaar ke dariya se.

kal agar mil jaaye tumhein koi pyaar ka dariya,
to meri tarah pyaase mat laut aana,
ek ghunt naa bhi pi paaye to,
apna anchal to bhigo aana..

aur mera tardapna kuch bhi nahi

tere waade.. waade hain,
mere waade kuch bhi nahi,
tere sapne.. sapne hain,
mera apna kuch bhi nahi??

sapno ki ret per,
talash kare hum boondon ki,
teri khawaish.. khawaaish hai,
meri tamanna kuch bhi nahi??

ess murda jism mein,
kuch jaan abhi tak hai baki,
teri saanse.. saanse hain,
aur mera dhardkna kuch bhi nahi??

tannhaiyon ki mehfil mein,
shor utha jasbaaton ka,
teri duniya.. duniya hai,
aur mera ujardna kuch bhi nahi??

band deewaron mein,
chillane ki taakat nahi hai ab mujh me,
teri cheekhein.. cheekhein hain,
aur mera sisakkna kuch bhi nahi??

mat do hawa inn shollon ko,
ki sara chaman hi jal jaaye,
teri aahein.. aahein hain,
aur mera tardapna kuch bhi nahi?

chand sitare denge gawahi meri jaagti raaton ki,
teri neendein neendein hain,
mera jaagna kuch bhi nahi

dhundla sa tera chehra nazar aata hai

andheri raaton ki andheri yaadon mein,
dhundla sa tera chehra nazar aata hai,

wo teri baatein,
wo teri narmi,
barish ki tip tip har lamhein ki,
phir se yaad dilata hai,

door hai tu dil ki dhardkano se,
aye mere mehboob kitni nadaan ho,

 itna bhi nahi janti,
ishq ke bina ashiq,
iss jahan se guzar jata hai..

usse to ruth hi jana tha

zindagi to thi bewafa,
usse to ruth hi jana tha,
magar maut ka wada tha,
usse to saath nibhana tha.

mana zindagi ne umr bhar sirf sitam kiye,
magar maut ne bhi to nahi mujhe marham diye.

zindagi ki thi fitrat,
mujhe zinda laash bana diya,
magar maut ne kyun mujhse,
apna saath churda liya.

meri baahon me tanhai ke siwa kuch bhi nahi

dil mein yun dard na hota to jara so leta,
raat bhar teri ye tanhai sataati to nahi,

kaun kehta hai ke aankhon me neend basti hain,
meri aankhon me to yaadon ke siwa kuch bhi nahi,

jo dekha aayina kal subah to maine ye paya,
meri baahon me tanhai ke siwa kuch bhi nahi,

log kehte hain mere paas aaj sab kuch hai,
par mere paas mohabbat ke siwa kuch bhi nahi,

mujh ko andhere me jo roshni sa dikhta hai,
bas teri shokh nigaahon ke siwa kuch bhi nahi,

koi puchhe tere baare me mujhe kya hai yaad,
dil ye kehta hai ke rukhsat ke siwa kuch bhi nahi,

poori hone ki dua karta hoon dil ki hasrat,
bas teri ek izaazat ke siwa kuch bhi nahi...

mujhe ussi se pyar rahega

khuda ne mujhse kaha,
tu chahe lakh sajjde kar,
na wo tera thi,
na hai,
or na hi kabhi hogi..

humne bhi dil se kaha..
aye khuda...

wo meri ho,
chahe na ho,
mujhe to ussi se pyar tha,
ussi se pyar hai,
aur ussi se pyar rahega....

kaash meri jazbaat wo samajh paati

meri andar ki awaz unko sunai na di,
main andar ro raha hoon yeh unko dikai na di,


main tanha hoon, akela hoon...

meri aahat na ab wo pechanti hai ,
na meri parchayi ko janati hai,
mere rahon me chalne wali wo meri sathi nahi,

main tanha hoon, main akela hoon...

na kisi ko khush kar paya,
na mere dukh kisi se baat paya,
na koi mujhe apna mil paya,

main tanha hoon, main akela hoon...

na koi khwahish mann me,
na koi aasha tann me,
na koi samjh pata hai mujhe,

main tanha hoon, main akela hoon...

jeene ki aas mar chuki hai,
jeene ki waja kho chuki hai,
akela iss duniya me aaya tha akela hi jaunga...

bas ek shikayat rah gayi unse,
kaash meri jazbaat wo samajh paati,
kaash main akela na hota......

iss dil se haar jate hain

har baar hosla karte hain,
phir khud hi tutt jate hain,

iss dil ko khud hi samjha kar ,
iss dil se haar jate hain,

phir se ret ko muthi me pakard kar,
phisalta pate hain,

ankhoon me samandar ko samette samette ,
chalakta pate hain,

har baar kuch chaah kar ,
woh khud hi kar jaate hain,

intezar karvate karvate ,
khud hi intezar karta pate hain,

naa jane kyun is dil ko ,
samjha hi nahi pate hain,

apne aap khud ko mana hi nahin pate hain,
woh kya samjhenge jasbaat jinhein ‘ehsaas’ hi nahi,
naa jane kyun har baar kuch aise hi dost bana jate hain..

woh itni bewafaa thi

hum jis se karte the mohabbat ,
woh kisi aur ke liye mujhe chord gayi ,

khoon ussi bewafaa ne kiya tha mere armaano ka,
sapno me woh aksar mere aakar ,

shabaab woh apnaa kisi aur ko lutaati thi ,
kise bataayein apnaa darde gam ,
woh itni bewafaa thi..

kyon tune pyar main dhoka diya

kyon tune pyar main dhoka diya,
kyon na sachha pyar tha mujhse kiya,

khamiyaan kaun si mujhme thi,
kyon meri wafaaon ka aisa sila hai diya,

humne to tujhe toot kar chaha tha,
duniya ko bhi tere liye tha chhord diya,

dil se khoob khel kiya tune,
kyon na mujh par tune ki daya,

aaj main khood se naaraz hoon,
duniya ki naa maan kar, 

kyon sirf tera bharosa kiya,

loot kar meri duniya ko,
tune mujhe jaise bin maut hi maar diya..

koi arman dil me machalta hi nahi

kyu rakhu main ab apni kalam mein syahi,
jab koi arman dil me machalta hi nahi,

na jane kyu sabhi shak karte hai mujh par,
jab koi sukha phool meri kitab mein milta hi nahi,

kashish to bahut thi mere pyar me magar,
kya karu koi pathar dil pighalta hi nahi,

agar khuda mile to us se apna pyar mangunga,
agar na de saka to apne liye maut mangunga,

kaho pura karogi tum

sadiyo se ek sapna hai,
kaho pura karogi tum..?

bhool jao mere siwa sab kuch,
kaho aisa karogi tum..?

nahi kuch or tamana iske siwa ab,
ke bas mere ho jao tum,

kabhi na chord ke jaoge ab,
kaho aisa karogi tum..?

ek baar tere lafz sunane ko,
kayi barson se tarsa hu main,

mujhe apna bana lo jaan,
kaho aisa karogi tum..?
kaho na.. aisa karogi tum....

aisa kyun hota hai nahi

manzil to hoti hai magar raashta nahi,
raashta hota hai magar hamsafar nahi,
hamsafar hota hai magar zindagi nahi,


aisa kyun hota hai nahi,

ki khwahish to hoti hai magar justajoo nahi,
justajoo hoti hai magar aas nahi,
aas hoti hai magar zindagi nahi,

aisa kyun hota hai nahi,

ki neend hoti hai magar raat nahi,
raat hoti hai magar sakoon nahi,
sakoon hoti hai magar zindagi nahi,

aisa kyun hota hai nahi,

ki log milte hain magar shanaasa nahi,
shanaasa milte hain magar dost nahi,
dost milte hain magar kadar nahi,
aur jab kadar hoti hai to zindagi nahi,

shaayad yehi karobaar-e-kudrat hai,
lekin aisa har kisi ke saath hota nahi..

jaan tu kaha hai

raat ka mausam hai, 
jaane tu kaha hai,
tere liye dil mera,
dhadakata hi jaa raha hai,

chaand tare dekho aasmaan me,
kitane chamakate hain pyaare pyaare,
yaha zameen par ek hum hain,
tardapte hain tere yaad me,
raat ka shama hai, 
jaane tu kaha hai...

tere liye dil mera,
dhadakata hi jaa raha hai,
dil ne socha tujhko chaahe,
tujhko pujje, tujhko paayein,
aaja tum kaha hai,
zaalim ye jaahaan hai,
raat ka shama hai,
jaan tu kaha hai...

tere liye dil mere,
dhadakata hi jaa raha,
jaan tu kaha hai..

hum muskurate kyu nahi

sabhi puchte hai ki hum muskurate kyu nahi,
humare zakhamo ko koi janata hi nahi,
hum tannha hai kitne ye hum hi janate hai,
humein gam honge itne koi manta hi nahi..!!

sapno se dil ko behlaya nahi karte

woh kehte hain, 
dil pe bharosa itna nahi karte,
hum kehte hain ki,
mohabbat me socha nahi karte,

woh kehte hai,
nazro se door par dil ke paas hoon,
humne kaha ki,
sapno se dil ko behlaya nahi karte,
sapno se dil ko behlaya nahi karte....

paani me bhi aag laga ke aaya hoon

bewafai uski mita ke aaya hoon,
khat uske paani me baha ke aaya hoon,

koi pardh na le us bewafa ke waado ko,
isliye paani me bhi aag laga ke aaya hoon...

yun hi hum khud se khafa hote hain

yun hi hum khud se khafa hote hain,
kisi aur ke kiye ki khud ko saaza dete hain,
nazare dundti hai usko jinka intezaar uhnein hai,
talashti usko ki dil bekaar unke liye hai,
aanshu behate hai ki loat aao tum,
ek baar aur murd kar dekh lete,
ki hamein bhool na jaao tum.

yun hi hum khud se khafa hote hain,
kisi aur ke kiye ki khud ko saaza dete hain,
naam uska labbo pe aata hai,
woh jo hamein bewafa naam de gayi,
hamein chirti nazaro se pathar hone ka ilzaam de gayi,
wo jo yu gujar gayi kareeb se tham kisi aur ka haath,
jaise hum ajnabi phele kabhi na mile ho,

yun hi hum khud se khafa hote hain,
kisi aur ke kiye ki khud ko saaza dete hain,
aye chand sikhyat hai tujhse ki aaj ki raat tu roshni laya hai,
mera dil tuta hai dard se bhara hai aankh mein pani,
aur tu hai ki muskurahat ki chandani laya hai.

dard hi mere dil ka thikaana rahe

dard hi mere dil ka thikaana rahe,
aur khushioon mein aana jana rahe,

uss gum mein bhi ek mazaa sa mile,
gar tu mere gum ka bahana rahe,

guzar zindagi yon hi hooti rahe,
naa poochna, naa kuch batana rahe,

sukoon se jeeyaa wo aakhri din bhi,
jiski maut ka usko patana rahe,

dard hi mere dil ka thikaana rahe,
aur khushioon mein aana jana rahe

kabhi mitana payenge dilse unhein

rehati thi unki aankho me saachai hamesha,
rehati thi unki zubaa khamosh hamesha,

dil ka faasana karti thi aankhein bayan hamesha,
ki karte hai woh pyar hamein hamesha,

magar juthala diya unhone aankho ke fasaane ko humse,
aur kar diya zubba se unhone bayan ki hai woh bewaafa humse,

kaise maan le hum unko bewaafa,
kaise juthla de hum unki aankho ki waafa,

kaise bhula de woh aankho se chhalakta pyar,
kaise nakar de woh chupke se karte the deedar,

maante hai ki hogi unki majburi koi,
par woh majburi baata na sake hamein,

aur yeh baat woh samjana sake hamein,
intazaar karte hai aaj bhi unka hum,

takte rehte hai aaj bhi unki raah par hum,
aaj bhi karte hai bepanah pyaar unse hum,
aur kabhi mitana payenge dilse unhein hum

dil ke rishtey ajeeb hote hain

dil ke rishtey ajeeb hote hain,
jism se meelo door hote hain,
ruh ke kitne kareeb hote hain,
dil ke rishtey ajeeb hote hain,

jissko chaahein wo mil jaaye unhein to,
wo log kitne khushnaseeb hote hain,

dil ke rishtey ajeeb hote hain,
pyar ko paison se tola karte hain,
log kitne gareeb hote hain,

dil ke rishtey ajeeb hote hain,
hum to duniya mein dhundha kerte hain,
aksar ghar mein dusman chippe hote hain,
dil ke rishtey ajeeb hote hain..!!

juthe pyar ka nakab dikhana chord de

aye zindagi tu ab khwab dikhana chord de
maut tu bhi thahar jaa, 

yun ruwab dikhana chord de…

kya khoya, kya paya daur-e-muhobbat mein,
dil tu bhi sambhal jaa, 
hisab dikhana chord de…

laharon ko hum dil mein liye ghumte hai,
samandar ko bata do, 
sailab dikhana chord de…

hamne dil dekh ke dil diya hai,
koi samjhaon unhein, 
ye sabab dikhana chord de…

jaan gaya tumhare mohabbat ke chahare ko monika the cheater,
aab juthe pyaar ka nakab dikhana chord de

pehale jo hassta hai baad me utna roota hai

sach hamesa kadawa hota hai,
chain to iss dil ka khota hai,


meethe sapno ki zameen par,
perd kyu neem ka bota hai,

pehale jo hassta hai jitna,
wahi baad me utna roota hai.

main khud hi khud ko thaag raha hoon

jalte bujhte diye sa lag raha hoon,
main ander hi ander sulagh raha hoon,

kisi aur ki jarurat hi kya mujhe ab,
main theharra khudgarz,
khud hi khud ko thaag raha hoon,

ye kaisi aag hai jo jalti nahi,
bujh ker bhi aashkon ke saaye me sulag raha hoon,

shaksh tha jo mujh me jaane kaha chala gaya,
asal me bhi ab to nakal sa lag raha hoon.

tumhein ab bhool hi jaye to acha hai

tumhein ab bhool hi jaye to acha hai,
ye faasle aur bhi bardh jaye to acha hai,
tumhari chahate hum ko nahi hasil,
to ab gair hi ban jaye to acha hai.

na khushi kharid paata hoon

na khushi kharid paata hoon,
na gham bech paata hoon,
phirbhi na jaane kyu,
main har roz kamaane jaata hoon..

zindagi ek safar tannha

zindagi kya hai...
ek safar tannha,
dost lakhon hain, 
magar hum tannha…

khushi ki subah me to,
bhird bahut thi lekin,
udaas sham jo huyi, 
to rah gaya main tannha..

jiski har saakh thi,
aashiyaan parindon ka,
dhalli bahar to,
rah gaya wo saakh tannha,

dard barashta raha,
aankho se saawan ban kar,
bhingata raha main bhi,
raat bhar tannha..!!

kabhi khud se bhi keh dete to kuch aur baat hoti

main zindagi hoon tumhara, ye janata hoon lekin,
kabhi khud se jo keh dete... 
to kuch aur baat hoti.

khaamosiyan ki zubaa bhi samajh leta hoon lekin,
jo aalfaaz isme hote.... 
to kuch aur baat hoti.

jo mohabbat lahu si bassi ho raggo mein,
jo mohataaz ishaare ki to nahi hai,
kabhi dub ker meri inn aankhon me lekin,
izzhar jo ker dete... to kuch aur baat hoti.

ishq ek chanchal nadi hai jo rukana nahi jaane,
ye zamane ka koi challan bhi na mane,
tord ker chand rashm-o-riwaazon ke bandhan,
pyar mujhse khul ker jo ker lete... to kuch aur baat hoti.

phir se kabhi tere nazar se mere nazar ulajhte,
kabhi tannhaiyoon me mujhse mulakaat hoti,
ajeeb ye mohabbat hai, ye main manata hoon lekin,
kabhi baahon me bhar lete.. to kuch aur baat hoti.

main zindagi hoon teri, ye janata hoon lekin,
kabhi khud se bhi keh dete... to kuch aur baat hoti.

jaate jaate kyu usne mujhe pukara nahi

jaate jaate kyu usne mujhe pukara nahi,
ab safar me koi bhi mera sahara nahi,

issleye gham zamane ke saare apna liye,
ki teri aankho me aanshu mujhe gawara nahi,

zindagi jaane kaise bhawar me fassi hai,
mere dil ki kashti ka koi kinara nahi,

wo mere khawaab me aati jaati rahti hai,
naksha uska jo abhi tak dil se uttara nahi,

yaad ban ker hi dil me mere basne aa jaao,
bin tumhare to mera koi gujaara nahi,

sath me jugnuwon, aao mere sath chalo,
mere kishmat me koi shitaara nahi,

bebas benisaah bas challe jaa raha hoon main,
dhardkano ka bhi ab to sahara nahi...

main hoon aur mere saath sirf meri tanhai hai

main hoon aur mere sath,
sirf meri tanhaayi hai,

ek saaya to tha sath mere, 
aaj kal wo bhi harjaayi hai..

aaj phir aansuon ki baarish hai,
aaj phir yaad unki aayi hai,

jaanta hun kahin nahi hai woh,
kyu dil ko shak hai.. yaheen kahin hai woh??

kaash yeh mera dil sambhal jaaye...

kaash yeh mera dil sambhal jaaye,
yeh haseen wahem bhi nikal jaaye,

ek dilkash haseen chehara tha,
aask aankhon me uske gehra tha,

roz milte the,
baatein hoti thi,

roz milte the, baatein hoti thi,
har jagah mere saath wo hoti thi,

haatho me haath apne hote the,
chaand taare bhi saath hote the,

kya shamaa khoob woh bhi hota tha,
dil hamara kahin jo khota tha,

apni duniya ajeeb hoti thi,
maano jannat kareeb hoti thi,

ek dooje ki aankhon me aankhen,
aankhon aankhon me pyar ki baatein,

zulfo se khelti, machalti thi woh,
mere bahke kadamo ko sambhalti woh,

aaj har us haseen lamho ki..
har kali phir se muskurai hai,

aaj har us haseen lamho ki,
har kali phir se muskurai hai...

main hoon aur mere saath....

sirf meri tanhai hai,
sirf meri tanhai hai…

kaise kahun ke apna bana lo mujhe

kaise kahun ke apna bana lo mujhe,
baahon me apni samma lo mujhe,

bin tumhare ek pal bhi katata nahi,
tum aa kar mujhi se churda lo mujhe,

zindagi to wo hai sang tumhare jo guzri,
duniya ke gamon se ab churda lo mujhe,

meri sabse gehri khwahish ho puri,
tum agar paas apne bula lo mujhe,

ye kaisa nasha hai jo behka raha hai,
tumhara hoon main to sambhalo mujhe,

na jaane phir kaise guzregi zindagani,
agar apne dilse kabhi tum nikalo mujhe..

kabhi aana dard se saje mere gharondein me

kabhi aana dard se saje mere gharondein me,
har pal tardpaati iss zindagi ki daastaan sunaunga main,

ye mehfil hai aanshuo ki, muskura na sakoge tum,
dard ke hi jaam honge, saari mehfil ko rulaunga main,

abhi mere marne ki dua na karna mere humsafar,
abhi toh in saanso ko aur bhi kuch din tardpaunga main,

dil ke adhoore armano ko kar doonga hawaale aag ke,
aur uss armaano ki aag me khud hi ko jalaunga main,

ab kahan yaad aata hoon tumhein main apno ki tarah,
bhooli huyi si ek yaad ban kar in fizaaon me kho jaaunga main,

nafrat ke saaye me ab kahan char kandhe naseeb honge mujhe,
maut ke intezaar me zinda hi khud ko jalaunga main,

na pyar ki aadat hai mujhe, na kisi ke saath ki ummid baaki koi,
shamshaan me bhi kisi tanha kone me apni chita khud jalaunga main,

baad marne ke bhi aanshuo se geeli hi rahegi mitti meri samadhi ki,
jeete jee jise bhula na saka, 

usse marne ke baad bhi kaise bhula paunga main,

baki na rahi khwaish koi, tu jee bhar ke tardpa le mujhe,
iss maut ke baad phir laut kar tere dar par kabhi na aaunga main…

keh dena ek paagal sa ladka tha

mujhse alag hone ke baad,
koi tumse mera naam jo le,
to keh dena.. raaj ek paagal sa ladka tha,
iss jhooti duniya mein mujhse, 
jo sachi mohabbat kerta tha.

mere ruthne par woh roo deta tha,
mere daat pe bhi woh khus ho leta,
jab saare saath churda lete,
to woh chupke se saath mere ho leta,

himmat wala tha yun to woh par,
mujh ko khone se bahut darrta tha,
mujhse milne ke khaatir woh,
baarish mein bhing kar bhi aata tha.

jis roz main na khaana khaayun,
us din upawas woh rakhta tha,
koi aur nahi tha uska bas,
mujh se hi jeeta-marrta tha.

galti meri bhi hone par,
maafi ki gujaarish kerta tha,
har haal mein main hassti jaaun,
har pal yehi socha kerta tha.

mere laakh mana kerne par bhi woh,
naam mera hi leta tha,
meri ek hassi ki khaatir,
gaane bhi woh gaa deta tha.

mera haath pakkard duniya se woh,
lardne ki baatein kerta tha.


mujhse milne se pehele woh,
duniya mein bahut aakela tha,

jab pehali baar usse dekha,
chahare par dard ka mella tha,

woh hardum hi hassta rahta tha.

jab nind mujhe aa jati thi,
woh pyar se mujhe uttatha tha,
apni baaton se aksar woh, 
mujhe rulaya kerta tha.

uska jeewan bikhara tha par, 
mera khaayal woh bahut rakhta tha,

kuch majboori ke chalte jab, 
maine usse haath churdaya tha,
ussne na koi shikaayat ki, 
bas dhire se muskaaya tha.

meri yaadon mein roya kerta tha,
woh pagala ladka tannha hi, 
meri yaadon se lardta tha,

mere bin zinda rahne ki, 
naakam kosish woh kerta tha.

woh aaj bhi mujh par marrta hai, 
woh kal bhi mujh par hi marrta tha,

koi tumse mera naam jo le,
keh dena.. raaj ek paagal sa ladka tha...

wo sham kabhi aaya nahi

subah ka intezaar tha,
phir sham tak mujhe rukana parda,
karegi baatein iss sham kabhi,
maine khud ko samjhaya yehi,

subah se le ker sham tak,
ek pal chain paaya nahi,
jiska intezaar tha, 

uska sham kabhi aaya nahi..

All Time's Favourite Posts