tumhara pyaar hamesha mere sath rahe

kuch bhi kar jaau main tumhare liye,
yuhi tumhara mujhpe vishwas rahe,

pata nahi kya hoga aage zindagi me,
chahat to yuhi hai ki tuhi mera humsafar rahe,

bachi huyi yun aakhri palo ko kuch aise jiyun,
bas un aakhri palo me bhi tera sath rahe,

zindagi ki aakhri saans chale meri tab tak,
khuda kare mere sath tumhara pyaar rahe,

likhna chahta hun main ek aisa nagma,
jo marte dam tak tujhe woh yaad rahe,

bas tumhara pyaar hamesha,
mere sath rahe, mere sath rahe...

kahi mere pyaar ko nazar na lag jaaye

dar lagta hai mujhe zamane se, 
kahi mere pyaar ko kabhi nazar na lag jaaye.

bhool nahi paunga phir main kabhi, 
yeh pyaar bhare pal jo uske sang hain bitaaye. 

sath hai aaj woh iss safar mein mere, 
iss safar mein uska sath mujhse chhut na jaaye.

zindagi meri pyaar mein dubi hai uske, 
jaane se uske yeh zindagi khamosh na ho jaaye.

dhadkne chal rahi hain aaj uske naam se, 
kisi din yeh shishe sa dil tut ke bikhar na jaaye.

aye khuda.. rehm kar raaj pe thoda,
sath uska chhutne se pehle hi yeh sanse tham jaaye. 

nazar na lag jaye pyaar ko zamane ki

kya karu main is berehm lamho ka,
har bar intezar main uska kar leta hun,

kya kahu main ab usse kuch yaaron,
uski sb baate main dil se sun leta hun,

karti hai woh pyaari baate sada mujhse,
main uski dil ki baatein samajh leta hun,

aadat si ho gayi hai ab uski mujhe,
ruthe woh to main sada mana leta hun,

hassi ke sath guzarte hain sath me pal,
raaton ki neend uski main chura leta hun,

nazar na lag jaye pyaar ko zamane ki,
chahat ko uski dil me chhupa leta hun,

har pal woh deti hai mujhe khusiyan,
aur ek main hun ki use yuhi rula deta hun.

All Time's Favourite Posts