uss ne humein apna bana ke loota

kisi ne ghar mein bula ke loota,
kisi ne ghar mein aa kar loota,

jo ban ke dushman na loot sakta tha,
uss ne humein apna bana ke loota.

fareb nagri ke baasiyoon ne
prem sapne dika ke loota,

har ek loottere ka apna
apna tareeka wardat dekha

kisi ne manzar pe aa ke loota,
kisi ne manzar se hat kar loota,

kya khoob adda in lootaroon ki,
loot se kaun bach saka hai,

kisi pe jalwoon ka jaal phenka,
kisi ko dil mein basa ke loota. 

hum chaaro peher raat ki aaj jaag kar aaye hain

hum chaaro peher raat ke aaj jaag kar aaye hain,
apni wafao ke badle mili teri jafaao ka maatam mana kar aaye hain,

mat poocho hum se dil-e-dard kya hota hai,
saari raat angaaro per karwatein badal badal kar aaye hain,

apne dil ko aaj hum apne hi haatho se noch kar,
dekh dab-dabati aankho mein raat ki kalikh samet kar,

rond diya har armaan jo kal tak seencha tha apne khoon se,
aaj har us jazbaat ko apne pyar ki maiyat par chardha kar aaye hain,

hum chaaro peher raat ki aaj jaag kar aaye hain,
saari raat angaro par karwate badal kar aaye hain. 

jeete ji marr jaau, woh maut mujhe naa do

dua humein aur bardi zindgi ki naa do,
dar lagta hai jisse woh zindagi naa do.

bahot khoya hai maine, mar mar kar jeene ke liye,
jeete ji marr jaau, woh maut mujhe naa do.

ghum mein dub gaye, rah samane jab lambi dekhi,
tum mil jaao jaha wapas, woh rah mujhe na do,

sunaye tumhein, kya hui hai sada meri rote rote,
jis raat ke baad subah ho, woh raat mujhe naa do! 

bahot udaas hoon main

mujhe gale se lagaa lo bahot udaas hoon main,
ghume jahan se churda lo 
bahot udaas hoon main,

yeh intezaar ka dukh ab saha nahi jata,
tardap rahi hai mohabbat ab raha nahi jata,

tum apne paas bula lo 
bahot udaas hoon main,
har ek  saans mein milne ki pyass milti hai,

sulag raha hai badan aur rooh jalti hai,
bacha sako to bacha lo 
bahot udaas hoon main,

bhatak chuka hoon bahot zindagi ki raahon mein,
mujhe ab aake chupa lo tum apni baahon mein,
mera sawaal na tolo 
bahot udaas hoon main.

aankhon ne teri yaad manaai to roo diye

jalne lagi lahoo mein judai to roo diye,
tanhaion ne khaak urdai to roo diye,

chehre mein tera roug chupaya aur hass diye,
aankhon ne teri yaad manaai to roo diye,

khushboo ne koi yaad dilayi, tardap uthe,
phoolon ne dastaan sunaayi to roo diye,

guzra hai hum pe khud yehi aalam iss liye,
hassne lagi kisi pe khudaai to roo diye,

raas aa chuki thi zakhme dil kuch iss qadar,
gar shamma bhi kisi ne jalaai to roo diye. 

kuch iss kadar se humne dil pe chot khayi hai

zindagi tujhse bahut door chala aaya hoon,
khwaab mein bhi mere ek tanaha si tanahai hai,

na koi saya na majhi na hi humraah koi,
bekhudi jaane mujhe aaj kanha laayi hai,

suna diya humein kisi ajnabi ka afsaana,
asal jo baat thi woh baad mein batayi hai,

dard ki saari hadein paar kar chuka hoon main,
khud apne haathon maine har shama bhujhayi hai,

ajeeb baat hai raaj tu usko bhool jaata hai,
jafa bhi jisne teri bawafa nibhayi hai,

purane chehre naye daur mein bhi zinda hai,
na jaane usne kitni keematein chukayi hai,

sukun ki baat pe ab mujhko hassi aati hai,
kuch iss kadar se humne dil pe chot khayi hai,

bahut haseen tha woh waqt saath thi jab tu
ussi ko soch ke aankhon mein nami aayi hai.

door tumse ho to gaye hain tumhare hi kehne par

tumne humse ki hai bewafai 
dil ko yeh batayenge hum,
magar ruthkar tujhse oh jana 
aur kaha ja payenge hum.

door tumse ho to gaye hain 
tumhare hi kehne par,
magar yeh duniya aur kya woh duniya 
kahi chain nahi payenge hum.

maan kar aapne dil ka kaha 
yeh rog lagaya umr bhar ka,
aisa dekh mohabbat ka sila 
ab kabhi dil nahi lagayenge hum.

maana ki jeena hai mushkil 
bin tumhare mere oh sanam,
magar yeh bhi hai ki bin tere 
marr to nahi jayenge hum.

tujh mein naa thi koi kami 
kami to mujh mein thi shayad,
humne hi ki hogi koi khata 
yuh dil ko samjhaenge hum.

kaise honge woh log yahan 
jo sharab se gham ko bhulate hain,
zeher bhi pee le chahe sanam 
tujhko na bhula paayenge hum.

dil ne socha tha yeh kabhi 
sang tere manzil hum paayenge,
tumne to raah mein chord diya 
ab hasratein kaise mitayenge hum.

ab baad tere mere charo taraf 
andhere hi andhere hai saathi,
karne na roshni koi aayega to 
dil aapna hi jalaenge hum.

tumne thukraya humko kyon 
kyon humse naata tord liya,
yeh afsaana poochega koi jo 
suna kisi ko na paayenge hum.

tere saath beetaye the jo pal 
bas unhi mein hum to jee liye,
ab bin tere yuh marr-marr ke 
yeh zindagi bitayenge hum.

raaj ko nahi hain yeh pasand 
khele koi uske dil se ab yahan,
teri bewafai ke baad isko 
kaise duniya mein rok paayenge hum.

yeh naseeb tha ya mazak tha kyon tumne mujhko bhula diya

teri zindaagi ki kitab se mujhe jaane kisne mita diya,
meri rooh kisne chord di, mere dil ko kisne tord diya,

jise bhoolne mein maine apni aadhi umr guzar di,
ussi ek shaks ki dastaan koi yaad phir se dila gaya,

mere dil ka ek woh aaiyna jisse maine ulat ke tha rakha,
ussi aaiyne ko dikha ker, mere aks ko kyon jala diya,

karun kis khuda se shikayatein, karun kya sawaal main aapse,
yeh naseeb tha ya mazak tha, kyon tumne mujhko bhula diya,

kisi raste ke pathar sa mujhe raste se huta diya,
mere doston ne wafaaon ka kuch is kadar se sila diya,

aye raaj tumne yeh daastan in khandharon mein sunayi kyon,
mujhe gum hai mere fasaane ne inn patharon ko rula diya !

raaj the shayer ko pagal na kaho doston

ek shayer ko pagal na kaho doston,
uski halat pe na tum hasso doston,

jab gum mein tum bhi tarbadar ho jaoge,
jab apni hi zindagi se tum ghabraoge,

apne paraye tumko jab denge daga,
jab apni mohabbat banegi bewafa,

jab aankho se aashu behne lagenge,
log tumko bhi pagal kehne lagenge,

uss din meri baatein tujhko yaad aayengi,
har aah teri shayri nazar aayegi.

jo khawaab tha aankhon mein woh kyun simat raha hai

dil se naa jaane kyun ek naam mit raha hai,
jo khawaab tha aankhon mein woh kyun simat raha hai,

tumse wafa nibhakar hasil yahi hua hai,
aankhon ke pass se kuch tannha gujar raha hai,

humpar karam kiya hai yeh dard jo diya hai,
aankho se ashk bankar ehassa utar raha hai,

fitarat yeh dil bhi jaane tujhse kya sikh aaya,
mera hi hoke mujhko badnaam kar raha hai,

duba hua sa kuch to humko bula raha hai,
dil to nahi hai mera fariyaad kar raha hai,

jane kaha pe tumko yeh waqt chhord aaya,
safr-e-zindagi ab to tannha hi kat raha hai,

dil ek baar phirse yun tord ke phir jurde naa,
aye bewafa mere dil ka har zakhm bhar raha hai.

jeevan ka ek sach aaj meri samajh mein aaya

kyon main aaj soch mein hoon,
kyon aaj dil mein dard hai,

kyon shole dehak rahe hain mere seene mein,
bahar to hawa aaj bhi sard hai,

jisme maine apne pyaar ko paaya
jisme maine apni aatma ko basaya,

jise maine apne dil ki raani banaya,
jise paane ki khwaish mein apno ko rulaya,

aaj ussi ne mere pyaar ka mol lagaya,
mere sacche pyaar ko woh samajh na paya,

jeevan ka ek sach aaj meri samajh mein aaya,
dil ke badle dil lena aur
dil ke badle dil dena kya yeh pyaar hai?

len-den to sauda hai,
matlab yeh pyaar nahi,
dilo ka wayapaar hai,

pyaar ka baazar hai,
pyaar ke is baazar mein,
har chiz ki boli lagti hai,
aanshuon ke diye jalte hain,
aur khoon ki holi manti hai. 

mere ateet ki parchayi mere aaj mein jhalakti hai

mere ateet ki parchayi aaj bhi
mere aaj mein jhalakti hai,
yaad kar un ujadi yaadon ko
aaj bhi aankhiyan sulagti hai.

aag hi aag bachi aankhon mein
aanshu bhi sare lapata hai,
mere gujre waqt ki ek khata
ban gayi umra bhar ki saza hai,

sochta hoon mera ateet
mera aaj se kyon jeeta hai,
poochta hoon bar bar
mann ateet mein kyon jeeta hai,

koyi bhi jawab nahi mera iss sawal mein,
sawalon mein hi sara jeewan beeta hai,
ghut raha hoon aaj sawaalo ke janjaal mein
ho gaya khud se laapata hai. 

they say I can't walk properly

they say we can’t be friends
no matter how new the trends,
from darkness till dawn
we will keep fighting on and on.

the sun may turn blue
a broken heart may glue,
but our chances in friendship
are none in few.

we will curse each other
we will fight, not pretend.
me libran you scorpio
man it doesn’t seem to end.

we will tie different knots
of thinkings and thoughts,
but still they will tease us together
which we will hate forever.

but it's time to hold on
its time to be cool,
the one who agrees all above
is a very big fool.

yes we do fight
situation when comes,
we call each other by words
like dodos and bums.

we hurt each other
and made each other cry
then why do we bother
and why do try?

things may have gone bad
things may again go bad,
but still having you with me
will really make me feel glad.

plz don’t feel bad
when they tease us together
I will keep on telling them
you deserve much better.

they say I can't walk properly
so can’t do anything special for you,
but maybe they don't know
I once painted the sky purple for you.

I have tried hard
I will try much harder
to make you feel good
to make you feel much better.

I promise to you
I will never say bye
coz when that day comes
I think I am gonna die.

well it’s time to end it now
it's time to write a new one
so untill next time
keep smiling and have fun.

jack of all trades but master of none

in such little an age
such things I have seen,
that people of my age
just can’t imagine.

I always wanted to be
that elite groups member,
whom after the death also
people will always remember.

so I started doing everything
that I could under the sun,
and thus became jack of all trades
but master of none.

everywhere I go people expect
me always to make fun.
but my friend's
this you should accept
that I am not the sun.

sun can give light without disruption non-stop,
but alas! dear due to sorrows I am bound to stop.

I am not as bad as I do pretend
but I am much more sad than that what I send.

many people in my life
I had trusted,
but afterwards I was very sorry
since they were all rusted.

at last I would only say
that I just don’t lie,
when I say they go in life very high
who come out of the words me and I.

aakhir kyun... aksar

kyun jeene ka humein dena pardta hai kar... aksar!
kyun papitton ki tarah kat-te hain logon ke sar... aksar!

kyun insaano mein insaniyat jati hai marr... aksar!
kyun jala diye jate hain garibon ke ghar... aksar!

kyun zulm dekh samay jata hain thehar... aksar!
kyun pariyon ke katar diye jate hain par... aksar!

kyun tabah ho jate hain sahar ke sahar... aksar!
kyun kanth tak aake ruk jate hain swar... aksar!

kyun jeevan mein peena pardta hai zehar... aksar!
kyun iss jahan mein jeena ho jata hai dubhar... aksar!

kyun bacchon ke badan ho jate hain budhon se jarjar... aksar
kyun aatank ban jata hai shanti ka sauhar... aksar!

kyun dil mein basa rehta hai koi darr... aksar!
kyun aashiqon ke hi tuta karte hain jigar... aksar!

kyun acche logon ko milta hai ghayal hone ka war... aksar!
sab dekh ke bhi khuda tu kyun naa barpaye kehar... aksar!

yeh kaisa jadu tona hai

har rishta ek khilona hai,
tum ko bhi gumh hona hai,

tum oonche chand se aage ho,
mera pyar to bauna hai,

ehsaan kiya jo khawaab diye,
har sapna khoob salona hai,

tera daman bhi tab chord diya,
kya pata tha itana rona hai,

jab door huye tum pas mile,
yeh kaisa jadu tona hai,

yeh aankhon se anshoon jab aaye,
tab bhool gaye mann bhi dhona hai. 

dekh kar apni khudaye woh bhi zor se roya hoga.

aaj mujhko huwa yaakeen, 
ke khuda bhi kahi soya hoga.
dekh kar apne khudaye,
woh bhi zor se rooya hoga.

socha na hoga usne ke,
zameen par kal aisa bhi hoga.
bhai-bhai ko marr ke,
khoon ke chadar pe soya hoga,
dekh kar apni khudaye,
woh bhi zor se roya hoga.

jaha dilon mein kal basti thi mohabbat,
waha aaj nafrat ka saaya hoga.
dekh kar apni khudaye, woh bhi zor se roya hoga.

jaha kal mar mit-te the log ek dujhe par,
wahi aaj har maut par ek jhoota wada hoga.
dekh kar apni khudaye, woh bhi zor se roya hoga.

jaha kal sar jhuka karte the sirf ebadat mein,
kya pata tha usko ke kal kaha uska nisha hoga,

dekh kar apni khudaye, woh bhi zor se roya hoga. 

jaha chorde the kal usne aasma se lakho taare,
kya patta usse ki kal unka bhi imaan marra hoga

dekh kar apni khudaye, woh bhi zor se roya hoga. 

jis mitti ko socha tha usne ke uske waha mandir hogi,
kya pata tha usse ke kal ussi mitti par shamshan hoga,

dekh kar apni khudaye, woh bhi zor se roya hoga. 

zakhmon ko hanste-hanste seh jana padta hai

majboori mein sun ke chup rah jana padta hai,
aankhon se hi sara kuch keh jana padta hai,

wafa ki raah mein aksar chattanon ko bhi,
jazbaton mein besahara beh jana padta hai,

bade-bade honsle wale padte hain kamjor isme,
mohabbat ki aajmaish mein unhe bhi bikharna padta hai,

ashkon ko ghum ke paimane mein pi-pi kar,
zakhmon ko hanste-hanste seh jana padta hai,

hoti hai jab sachhi chahat dil mein unke,
duniya ki sari deewaron ko dheh jana padta hai.

tujhe yaad karna chord diya

tera zikar bhi karna chord diya,
ab hum ne rona chord diya,

jab rona nahi to hasna kya,
ab hasna hasana chord diya,

har shakhs ne hum ko zakham diye,
ab dil ko lagaana chord diya,

tum rootha karte the hum se,
ab hum ne manaana chord diya,

teri yaad bahut aati thi humein,
tujhe yaad bhi karna chord diya.

ek saathi humein bhi mil gaya hai

dard se yun humari mulakat huyi hai,
ki dosti ab dil ke saath huyi hai,
ab humara akelapan door ho gaya,
ki ek saathi humein bhi mil gaya hai.

khud ko ab is dard se abaad kiya hai,
jhuka kar ser salam kiya hai,
jo kamra veerani ne bhar rakha tha,
usse dard ke naam kiya hai.

bikhra parda tha yeh galiyon mein,
humne isse samet liya hai,
ab yeh humse door nahi jata,
itna pyaar isse kiya hai. 

apno se begana hoon main

apno se begana hoon main,
khud se bhi anjana hoon main,

khud sunta hoon khud rota hoon,
apne daman aanshuon se bhigota hoon,
aisa ek tarana hoon main,

sunne wala bhi nahi mila koi,
sapne bunne wala bhi nahi koi,
niras ek afsana hoon main,

apni aag main jalne wala,
kaatein par hi chalne wala,
be-par ek parwana hoon main,

apno se begana hoon main…!! 

har kadam har mord par pareshaniyan kyun hain

kuch to bata aye zindagi yeh hairaniyan kyun hain,
har kadam har mord par pareshaniyan kyun hain,

aanshuon ke dhare aur mayoosi ka andhera hai,
har pal zindagi mein ghumon ki meharbaniyan kyun hain,

har taraf tannhaiyan, har taraf mayoosiyan mili,
iss bhari duniya mein mere liye veeraniyan kyun hain,

maine to abhi aaghaz kiya hai zindagi ka,
phir khatm-si hoti huyi yeh kahaniyan kyun hain.

kuch iss tarah se bikhre hum

kuch iss tarah se bikhre
aashuon mein ghum iss tarah,

jaise muskilon ko mil gaye
tannhai mein hum iss tarah

hum bhi lard lenge
har ghum se yeh samajh kar,

ki zindgi mein mere dost
hai bahot hi kam is tarh.

ek sapna dekha maine

so raha tha main,
ek sapna dekha tha maine,

par jise sapne mein dekha,
usse samane paya na maine.

khubsurat thi javaan thi, par afsos,
mere liye woh bilkul anjaan thi,
baatein to ki par patta na puchha maine,


so raha tha,
sapna chala gaya,
bas yaadein chhord gaya,
kaash woh dubaara aa jaaye,
jise sapne mein dekha tha maine.

arre nahi kaash wahi aa jaaye,
jise sapne mein dekha tha maine.

zindagi ne jo kaha main wahi geet gata gaya

zindagi ne jo kaha main wahi geet gata gaya,
main rota gaya aur zamana mujhe rulata gaya,

na mujhe fursat mili wafaye nibhane se yahan,
har koi mujhse bewafai ki raas mein nibhata gaya,

main chalta gaya khushi ki talash mein umr bhar,
aur yeh ghumon ka saaya mere saath aata gaya,

na jane kiske liye jee raha hoon aaj bhi,
waqt ka ek lamha mujhe umeed bandhata gaya.

happy birthday to you

I may have many friends,
but one above the rest,
that one is you,

you are simply the best.

it's a friend like you,
in good times and bad
who asks for nothing,
yet offers a hand.

wherever I go in life,
there's only one thing to do,
I must have a big heart,
and be a friend like you.

today is your birthday,
today is all about you.

may you always find joy,
north, south, east and west,

wishing you all the very best !

happy, happy, happy..

very happy birthday to you !!

har shaayar ki yahi to pahechaan hai

zakhmi hai dil mera, zakhmi jaan hai,
phir bhi tute dil mein tera armaan hai,

puccho na mere zakhmo ki shidat koi,
har ek ashk ki apni koi daastaan hai,

hai mohabbat ki hi ye sab nishaniyaan,
paaon mein chhaale, lab pe muskaan hai,

hai dohraate tere zulm ki kahaaniyaan,
ashkon ke gaalon par jo nishaan hai,

khushiyaan aangan se hi laut jaati hai,
gham ghar mein jo mere mehmaan hai,

chum kar chahere ko tere jo gujre hain,
aaiyne ab tak woh sabhi pareshaan hain,

ab bhi umeedon pe kaayam hai duniya,
ujarde sehar mein bhi to aasmaan hai,

laakh chupaaye bhi na chhupegi kabhi,
har shaayar ki yahi to pahechaan hai. 

khamoshi ke siwa ab labo par koi baat nahi hai

dil mein teri mohabbat ke wo khayalat nahi hai,
ashko mein sab beh gaye, koi jazbaat nahi hai,

rishto ki bheed mein khud se ajnabi hoon is kadar,
dosto ko pahchan saku woh nazar saath nahi hai,

ghum ne meri pith par khanjar aise hain chubhein,
murd kar bhi aah bhar saku woh halat nahi hai,

zikr bhi ho tera kahi to nam ho jaati hain nigah,
khamoshi ke siwa ab labo par koi baat nahi hai,

rona bhi agar chahu to ro bhi na paun main,
ghum mein bhari ashko ki ab woh barsat nahi hai.

jaise jaise waqt beeta zakhm humein poorane mile

bherd mein charon taraf chehare anjaane mile,
mere apne aaj mujhse banke begaane mile,

tha bharosa doston par itna ki mujhse na pooch,
jinke hathon mein the patthar log pehchane mile,

banke marham waqt hi bharta hai har ek zakhm ko,
jaise jaise waqt beeta zakhm poorane mile,

kiske aage rote aur sunate apni dastaan,
basti thi ujrdi huyi sunsaan thikane mile,

ab na maangenge khud se zindagi ki bheek hum,
ishq mein shama ki yeh kehte huye parwane mile,

dil diya tha naaz se jis jis ne apni jaan ko,
chand toote dil ke tukre unko nazrane mile,

sathi ki yaad mein sab doobe huye the is kadar,
jaan tere shehar ke sab log deewane mile.

kuch lamhe zindagi ke reh gaye unke paas udhaar

kuch lamhe zindagi ke
reh gaye unke paas udhaar, 

jaane kya waqt tha woh
har jagah nazar aata tha unka pyaar,

ab us udhaar par chardh raha hai
yaadon ka byaaj,

ab bhi duniya chhord dein hum,
agar mil jaaye humein woh aaj.

mohabbat ek din to shayad dum tord hi deti hai

yeh mana ke zindagi mein woh humdum nahi hai,
ab is se bardhkar zindagi mein koi gham nahi hai,

be waqt mere jazbaato ka phir arthi utha hai,
afsos hai shayad magar maatam nahi hai,

chiraago ki jagah mandir par armaa jalenge,
gumnamiyo ke andhero se kaayal hum nahi hai

na dua, na dawaa dard-e-dil mein kaam aati hai,
waqt ne diye zakhmon ka koi marham nahi hai,

phool khilte hi nahi fizaa mein bhi is dil ki zamin par
ashq to hai teri yaadon ka woh mausam nahi hai,

mohabbat ek din to shayad dum tord hi deti hai,
bharose par wafaa par agar kaayam nahi hai,

na jaane kitne hi mausam meri nigaho se gujre,
tera wajood hi hai in mein jo aankhein nam nahi hai. 

kuch gairon ne saatya tha kuch apno ne loota hai

kuch gairon ne saatya tha,
kuch apno ne sata kar dikhaya hai.

sikwa kare to kisse kare aye dost,
har saksh mein bewafaii ko paya hai.

kuch gairon ne loota tha,
kuch apnno ne lootkar dikhaya hai.

apni kisti ko lekar kaha jayein hum,
har shahil pe toofaan nazar aaya hai.

kuch gairon ne neki kiya tha,
kuch apno ne neki karke dikaya hai.

bhool jata hoon

bhool jata hoon kisi pe maine kiya tha upkar,
bhool jata hoon kisi ne mujh pe kiya tha aatyachar.

magar yaaron kaise bhool jaoon,
kisi se maine kiya tha pyar.

dekar mujh ko ek gehra zakhm,
kisi gair ko hi banaya tha usne apna yaar.

ab bahot hua

jakar usse iss dil se zamana bahot hua,
apna sa koi ab begaana bahot hua,

roz behne lagta hai aankhon se samandar,
aye dil-e-dard tera aana bahot hua,

ab kyon na zindagi pe mohabbat ko vaar de,
is aashqi mein jaan se jana bahot hua,

puchte hain log jab kahani iss dil ki,
kya kahe kisise yeh kissa purana bahot hua,

lo phir mere labon pe ussi bewafa ka zikar hai,
tujh se kaha tha na ..... ke ab bahot hua. 

nahi hai iss tannhai ka koi dawa-khaana

tannha hoon aaj main
phir tannha hai saara zamana,
o duniya waalo...
nahi hai iss tannhai ka koi dawa-khaana.

zehar bhi nahi milta jo mangta hoon usse,
nakamiyon ka hoon manzer
hoon ghum ka ek fasaana.

labo se aaj mere phir nikalti hai thandi aahein,
chehre pe udaasi...
ashko ka sawan phir se umard aaya.

gairo ke dard ko bhi hum to apna bana lete hain,
magar yeh kya hua sathi,
tune hi humein khanzer maara,

tannha hoon aaj main
phir tannha hai saara zamana,
o duniya waalo...
nahi hai is tannhai ka koi dawa-khana.

rota hoon magar phir bhi sakoon nahi milta,
ghum-e-lashkar dekh in zalimon ki
duniya mein zeher bhi nahi milta.

main insaan hoon

kabhi iss dharti par
mera hi raajya hua karta tha,
har shakhs sukhi tha jahan,
aisa ek samraajya hua karta tha.

naa koi jaat-paat tha,
naa hi koi dharm-mazhab tha,
uss sundar-si duniya ka
to har drishya hi gazab tha.

naa rajniti thi,
naa bhrastachar hi tha.
sab swakch sochte the,
kahi koi ku-wichar naa tha.

naa dikhte the kahi par,
saje-dhaje nange,
aur naa hi hote the,
kahi koi dange.

par ab dharti se,
mera wilop ho chuka hai,
sare manavi mulyon ka,
ab khatma ho chuka hai.

main koi aur nahi,
balki insaan hoon,
par ab main main naa raha,
ban chuka main haiwan hoon.

nobody knows it but me

I pretend that I am glad you went away
these four walls closing more every day

and I am dyeing inside and nobody knows it but me.

like a clown I put on a show,
painted real, even though nobody knows

and I am crying inside
and nobody knows it but me.

you could ask my heart but like a jigsaw
puzzle it’s been torn all apart.

a million words couldn’t say just how I feel
a million years from now

you know I will be loving you still
and nobody knows it but me. 

bahut jaag liya ab sona chaahta hoon

bahut jaag liya hoon, ab sona chaahta hoon,
bahut hans liya hoon, ab rona chaahta hoon,

aa mere mehboob aaker aanshu mere ponch,
zindagi mein tera aanchal bhigona chaahta hoon,

apna jism tere jism se milaana chaahta hoon,
apni ruh teri ruh mein dubuna chaata hoon,

dil ke rishton mein akser muh ki khaayi hai,
jism ke naam par ab khilona chaahta hoon,

ya main tujhko apna banana chaahta hoon,
ya phir main kuch tera hona chaahta hoon,

jahaan ghadi do ghadi jee bhar ker ro le raaj,
apne ghar mein ek aisa kona chaahta hoon,

bahut jaag liya hoon, ab sona chaahta hoon,
bahut hans liya hoon ,ab rona chaahta hoon.

All Time's Favourite Posts