I live for my death cause she’s waiting for me

my story is a tragedy
be prepared to cry,
they say time heals all
but that is a lie.

I searched my whole life
and I finally found,
the one meant for me
love and joy did abound.

how quickly that changed
one ill-fated day,
death claimed my love
death stole her away.

maddened by grief
consumed by my sorrow,
she was my future
now I have no tomorrow.

I stare at her picture
I long for her touch,
I can still smell her
I miss her so much.

I pick up my gun
and contemplate death,
what use in living
when I feel so bereft.

but life is a gift
and I haven’t the right,
so I put down my gun
and weep through each night.

I mourn for her daily
there is no relief,
my soul is tormented
my heart filled by grief.

my life without meaning
no feelings but pain,
death claimed my lady
I can’t love again.

my bedmate is rage
my friend, misery,
I live for my death
cause she’s waiting for me.

ninde meri de do

agar khawabon mein aana hai,
to ninde bhi meri dedo,

agar iss dil se jana hai,
to dhadkan bhi meri lelo,

mera sukh chain lekar aaj,
kehte ho.. bhool jaa tum,

meri tum zindagi ban kar,
kehte ho.. laut jao tum,

main kise bhool jaun ye bata,
tum jaan ban baithi ho,

main jaun to kahan jaun,
meri tu rooh ban baithi ho,

agar khawabon mein aana hai,
to ninde bhi meri dedo.

aur kitna jeeyega ghayal raaj

dil tuta mera kisi ke saath chalte huye,
achhe the hum tanhaiyon mein palte huye.

har baar parda zindagi ka tamacha,
humein zindaagi se yun sambhalte huye.

do din mein hi chaale pard gaye humein,
khud ke ishq ki shamma mein yun jalte huye.

kuch nahi kar sakta dekh kar bhi main,
apni zindagi ka suraj yun dhalte huye.

dard naa hua tujhe aye mere humdam,
mere dil ko pawon tale yun kuchalte huye.

aakhir kyun aaj bhi dil tardap raha hai,
aapko pane ki chahat mein yun machalte huye.

mera dil dardon kaa thikaana ban gaya,
jo aarsa ho gaya dil mein dard palte huye.

meri zindaagi hi poori jam kar reh gayi,
aapke is patthar dil ke yun pighalte huye.

ab bas aur kitna jeeyega ghayal raaj,
apni hi chita mein yun jalte huye.

main shikayat kisse karun

main shikayat kisse karun,
yeh toh kismat'on ki baat hai,
aapke soch main bhi ab hum nahi ,
mere har saaso me aap hi yaad hai..

aakhir kaun hoon main

aakhir kaun hoon main......??

ek khyaal.. jo irradey me na dhal paya,
ek khawaab.. jo hakikkat me na badal paya,

ek sawal.. jiska jawaab mushkil hai,
ek raahi.. jo saffar ke na-kabil hai,

ek nadaan.. sathi humsafar kho gaya jiska,
ek uthati girti lahar... sahil kho gaya jiska,

ek arzoo.. jo dum tord gayi hai,
ek badan.. sath jiska rooh chord gayi hai..

aakhir kaun hoon main ...........
koi bhi to nahi....

kya unhein bas ek bahana chaheye tha

hua jo kuch wo bhulana chaheye tha,
unhein ab to laut ker aana chaheye tha,

ye saare bojh mere sir par kyu hai,
unhein bhi to aaker uthaana chaheye tha..

itni khaamoshi se mujhse naate tord liye,
unhein kaaran to batana chaheye tha,

uski yaad ki khusbu hai iss dil me,
mujhe jiss ko kabka bhool jana chaheye tha,

jara si baat pe chord gaye mujhe,
kya unhein bas ek bahana chaheye tha,

mujhe paaker unhein kya chain nahi milta,
unhein to sara zamana chaheye tha...

wo door itni thi ki meri pukaar sunn naa payi

mumkin hain usse meri tabiyat ka pata nahi,
nahi to meri mehboob itna bhi zalim nahi,

usne to mere ghawon pe marhum hi lagaya tha,
par marhum ke jagah koi namak le aaya tha,

usne to uthaya tha khanjar hume bachane ko,
par humne hi keh diya usse peeche aane ko,

usne to humesha hi tha humse dil lagaya,
par wo kya kare agar uske dil mein koi aur aa gaya,

usne humesha kosish ki, ki mitaye meri har tannhai,
par wo door itni thi ki meri pukaar sunn naa payi.

wo mousam ki tarah roz badalte hain

mohabbat ne bhi kis mukam pe lakar khada kar diya,

wo mousam ki tarah roz badalte hain,
aur main fasale ki tarah bardta ja raha...!!

tere har waade se tujhe aazad karta hoon

chal aaj tujhe main maaf karta hoon,
tere har waade se tujhe aazad karta hoon,

koshish to bahot ki tujhe paane ki lekin,
apne pyar ki haar ko aaj tujhpe waar karta hoon,
chal aaj tujhe main aazad karta hoon.

be-inteha mohabbat ki thi tujhse maine,
lekin aaj ussi mohabbat ko khatam karne ki baat karta hoon,
tere har waade se tujhe aazad karta hoon.

jis haseen waqt mein mujhe tu mili thi,
ussi waqt ki kasam, tujhe aaj bhulne ki faryaad karta hoon,
ki chal aaj tujhe main maaf karta hoon,
aur tere har waade se tujhe aazad karta hoon.

teri jhooti ishq ka jo dariya bana rakha hai iss dil mein,
aaj uski saari sarhadein paar karta hoon,
chal aaj tujhe main maaf karta hoon,
tere har waade se tujhe aazad karta hoon.

ab na laut kar aaunga main teri zindagi mein,
teri-meri iss kahani ko be-misaal karta hoon,
tere naam ko apne naam se alag karne ka ailan karta hoon,
chal aaj tujhe main aazad karta hoon.

ishq to itna hai tujhse ki yeh dil aaj bhi tujhi ko chahata hai,
lekin iski har khawaish ka aaj kataal-e-aam karta hoon,
chal aaj tujhe main maaf karta hoon.

takleef to bahot ho rahi hai yeh baat likhne mein lekin
phir bhi aaj tujhse door hone ki baat karta hoon,
chal tujhe aaj tere har waade se aazad karta hoon,
aaj tujhe main maaf karta hoon,
aaj tujhe main maaf karta hoon...!

khud ko kho kar bhi kisi k ho nahi pate

humara dil tab nahi rota,
jab hum kisi ko kho dete hain,

dil to tab rota hai...
jab hum khud ko kho kar bhi,
kisi k ho nahi pate....

jee raha hoon shayri ke bahaane se

dafan hai dil mein armaan,
yuhin kai zamaane se,
kafan phir bhi uthta nahin,
beete pal dohraane se.

maut bhi ab to har roz,
mil jati hai is deewane se,
ki zindagi jee raha hai raaj,
shayri ke bahaane se.

kaash main wahan hota

subah jab neend se uth kar tum aankhe kholti,
to tumhare aashiyane ki roshni ban kar kaash main wahan hota.

jab uth kar tum apna chehra bhigoti,
to ban kar paani kaash main wahan hota.

fir jab tum thandi hawa ke liye barande me aati,
to sukoon dene waali hawa ban kar kaash main wahan hota.

aur jab tum apne haatho se koi phool todti,
to tumhari saanso me ban kar khushbu kaash main wahan hota.

fir sanwar kar jab tum ghar se chal deti,
to ban kar tumhari raah kaash main wahan hota.

tum apne dosto se milti, aur zindagi jee bhar ke jeeti,
aur tumhe khush dekhne ko kaash main wahan hota.

fir jaane kyun naraz ho kar tum waha se chal di,
tab tumhe samjhane ke liye kaash main wahan hota.

tum aati ghar pe aur ruth kar baith jati,
tab tumhe manane ke liye kaash main wahan hota.

fir tanhaai me jab chup-chup tum rone lag jaati,
to aanshu ki tarah tumhari aankho se behne ko kaash main wahan hota.

ek ehsaas hu main, jo majboor hai kismat ke haatho,
un palon me tumhe thamne ko kaash main wahan hota.

fir tum rote-rote kahin khayalon me kho jaati,
tab tumhare yaadon me yaad ban kar kaash main wahan hota.

na jaane kab tumhari aankh lag jaati,
khwabon me tumse milne ki khushi liye kaash main wahan hota.

hakikat nahi to kya ek sapana ban kar hi sahi,
khwabon me tumse milne ka naseeb liye kaash main wahan hota.

tumhe hi nahi tumhari yaadon se bhi bepanah pyar karta hoon,
ek pal ko sahi, tumhara pyar paane ko kaash main wahan hota.

mera naam bhi zuban pe na laana tumhari majboori hai,
bhari mehfil me tumhein apna kehne ka haq liye kaash main wahan hota.

tumhe khone ke dar se kuch bhi bayan na kar paata hoon,
apne pyar ka izhaar karne ko kaash main wahan hota.

main to ek ehsaas hu jo tumhari yaadon me bhatakta hai,
tumhara pyar ban kar tumhare dil me rehne ko kaash main wahan hota…

na koi meri manzil, na koi mera kinara

na koi meri manzil, na koi mera kinara,
tannhai meri mehfil aur yaadein mera sahara,
unse bichard kar kuch yu waqt guzar raha....
kabhi zindagi ko tarse, to kabhi maut ko pukara...

kis baat ki di hai saja tumne

aye khuda bata tu mujhe itna,
kya ki hai aaj tak khata humne,
yeh jo mile hain itne gham humko,
kis baat ki di hai saja tumne…

ye duniya bhi bahut ajeeb hai

ye duniya bhi bahut ajeeb hai,
koi tanha hokar bhi muskurata hai,
koi muskurate hue bhi aansu bahata hai,
koi apne gamo ki numaish karta hai,
to koi apni khushiyo ke khatir dikhawa karta hai...

aye zindagi chord kyun nahi deti tu mera saath

aye zindagi chord kyun nahi deti tu mera saath,
ab tootne ko is dil me konsa armaan baki hai.

kabhi-kabhi sochta hoon ki khud hi chal du apni maut se milne,
par mujh pe ab bhi apno ke kiye huye kuch ehsaan baki hai.

kehte hain log ki bhool jaau purani yaadon ko main,
par aisi hi kuch yaadon ke sahare to is jism me ek jaan baki hai.

saath waqt ke log badle, mausam badle aur khayal bhi badal gaye,
ab bhi dil ke kisi kone me, siskiyan bharta ek dard bezubaan baki hai.

ek teri khatir har rishte ko bhoola diya maine aye humsafar,
kaash saath diya hota toone, 
warna mujhe tadpaane ko to saara jahaan baki hai.

jaane kya tha kasoor mera ki har khushi khafa ho gayi mujhse,
khuda kehta hai ki tere hisse me ab sirf shamshaan jana baki hai.

beraham si hai zindgi, aur ye waqt sab sehna to sikha deta hai,
par khamosh aankhein bharke, dil par ab bhi zakhmo ke kuch nishaan baki hai…

kal ki yaadein kal ki kisse

kal ki yaadein kal ki kisse,
tumko aaj sunaaye kya,
tumne hi jo zakham hi diye hain, 
tumko hi dikhalaaye kya

uske gum humse saare dard ke nnate tord liye,
aankho me aashu hi nahi to yaaro hum muskuraaye kya

rishta aashkon se ab aur nahi main nibhana waala

rishta aashkon se ab aur nahi main nibhana waala,
na ab koi khushi hai mujhe na koi dard rulaane waala,

muskura bhi nahi paata hoon ab apno ke beech main,
ab koi bhi nahi duniya me mujhe hasaane waala.

parda hoon raahon me ek pathar ki tarah,
ab koi nahi hakk mujh pe apna jataane waala,

saath kis ke dekhta main khwab mahobbat ke yaaron,
kahin khud he kho gaya woh aashiyana saath basaane waala.

andhero me khud se he batiyane laga hoon main,
koi bhi nahi ab mujhe apna haal-e-dil sunaane waala.

nayi suruwaat karu bhi kaise,
nayi manzil ki aur aye zindagi,
toone gam diya bhi to kabhi na bhulaane waala.

itna waqt beeta par koi marham kaam he na aaya,
kya karu koi shauk he nahi mujhe zamaane waala.

jaane woh kaun thi jiski yaadon me roya karta tha,
ab to baki na raha ek bhi aansu bahaane waala.

gar rooth bhi jaau toh kis ka raah dekhu,
koi bhi nahi ab mujhe manaane waala.

banaya tha khuda ne ek sakhas mere liye bhi,
bina mile he kahin kho gaya, woh dil me samaane waala.

kis chehre me pehchanu usey, meri aankhein poochti hai,
jaane kis raah se ho kar gaya hoga mujhe bhulane waala.

sirrat dekhe bina he jisne zindagi tere naam kar di,
kya mil gaya tumhe koi aur bhi palkon pe uthaane waala.

ho gayi hai pathar si ye aankhe barso ke intezaar me,
teri ek aahat ke liye ruka hai koi duniya se jaane waala.

zara dekh lo uss darwaaze ki aur mujhe jalaane se pehle,
shayad kahin raah bhool gaya hoga woh aane waala…

humari manzil ka pata kisko hai

pyar me humein mile kitne gehre zakhm yeh pata kisko hai,
num aankhon ke peche chhepi meri bekaraari ka pata kisko hai,
koi bataye mohabbat ke ye kaun se mukaam pe khade hain hum,
peeche dhoka...  
aage bewafayee hai, 
humari manzil ka pata kisko hai?

main tujhse door bahut door chala jayunga

yun hi ek roz kahin door chala jaunga,
waqt ki tarah yun hathon se fisal jaunga,

apni yaadon ke nisha chhord ke jata hoon main,
dhund lena mujhe yaadon me main mil jaunga,

teri basti ki taraf se jo gali jati hai,
unhi galiyon se main chupchap gujar jaunga,

main hawa ban ke tere pass se gujrunga kabhi,
tere daaman ko jo chhu lunga to tham jaunga,

mar gaya to bhi main fana na ho paunga,
pyar bankar main fizaon me bikhar jaunga,

ho sake tujhse to kar lena naya sawera,
tere aashkon ko jo chhu lunga sanwar jaunga,

yaad bankar kabhi aaunga main dil me tere,
aashk bankar teri aankho se chhalak jaunga,

ab to har shaks ki nazron se ‘raj’ utar sa gaya hai,
teri yaadon se bhi ek roz utar jaunga..
main tujhse door, bahut door chala jayunga...........

iss dil ko duniya ne bahot rulaya hai

mat karo affsos mere behate aanshuo ka,
iss dil ko duniya ne bahot rulaya hai,
mat dhundo mere dil ki kitab me khushi k panne,
har panna mere apno ne hi jalaya hai...

main chala jaonga

wada hai teri zindagi se main chala jaonga,
ek baar dekhloon main tujhe to main chala jaonga.

iss tarha berukhi kyun karte ho tum achanak,
mujhe wajah bata de to khud hi main chala jaonga.

phir kabhi palat ke na dekhunga main tujhe,
jee bhar ke tujhe ek baar dekh loon to main chala jaonga.

main laut ke na kabhi aaonga ab ye wada raha,
murdh ke to mujhe dekh le ek baar main chala jaonga.

mera naam lena bhi ab tumhein gawara nahi,
dil se mujhe pukar le to main chala jaonga.

mujhse jyada tujhe aur kaun chahega iss jahan me ,
rok le jara mujhe aaj warna main chala jaonga.

tere aankhon ki nami, hoton ki khamoshi sab keh gayi,
jee bhar ke pyaar karle mujhe main chala jaonga.

bin tere jee sakun yeh soch nahi sakta,
zindagi se ruthke , maut ke saath main chala jaonga....

bahot ajib hoti hai ye yaadein bhi mohhbbat ki

bahot ajib hoti hai, 
ye yaadein bhi mohhbbat ki,
jinn pallo me hum roye the, 
unhein yaad kar ke humein hassi aati hai,
or jin palo me hasse the, 
unhein yaad karke rona aata hai...

aap jo sath nahi

aasmaan mein chand to hai magar raat chandani nahi,
aap jo sath nahi....

chehre par muskaan to hai dil mein magar khushi nahi,
aap jo sath nahi....

labon par baat to hai magar baaton mein jazbaat nahi,
aap jo sath nahi....

mehfil mein to sab hain magar phir bhi tanhai sath hai,
aap jo sath nahi....

kagaz hai kalm bhi hai likhne ka man bhi hai lekin koi khayaal nahi,
aap jo sath nahi....

wahi sham-e-gham ka aalam

wahi sham-e-gham ka aalam,
wahi aanshu bhari nigahein,
main kab se tak raha hoon,
teri wapsi ki rahain.....

mat kar gila mujhse

mat kar gila mujhse, meri khata kuch nahi,
jo tu sath nahi mere, to mein kuch nahi,

manga hai khuda se, har pal sath tera,
jo mil jaye tu, to mangu mein or kuch nahi....!

khayal me aata hai jab us ka chehara

khayal me aata hai jab us ka chehara,
to labon pe aksar faryaad aati hai,
hum bhool jate hai us k sare sitam,
jab us ki thori si mohabbat yaad aati hai.

kabhi usse bhulana chaha

kabhi usse bhulana chaha,
kabhi usse manana chaha,
maine jab bhi chaha usse chaha,
na jane kya baat thi mere ashkoon me,
jo ussne mujhe sirf rulana chaha...

hain jhoote sab yaha, jhooti sab batein teri

wo jhooti kashme, wo jhoote waade,
wo ek baar milne k, tere jhoote iraade,

wo dharkan, wo payal, wo muskaa teri,
hai jhoote sab yaha, jhooti sab baatein teri,

wo tera hassna, wo mujhko manana,
wo rooth kar fir khud hi maan jana,

ye zindagi, ye yaadein, ye saanse meri,
hain jhoote, sab yaha, jhooti sab batein teri,

tu jhooti, jag jhoota,
teri wajah se mera dil toota……

wo ishq, wo mohabbat, wo pyaar ki baatein teri,
hai jhooti, hai jhooti, hai baatein teri,
hai kasam aab kabhi na main fir milunga tujhe,
ab to jhoota lagne laga hai ye mera dil bhi mujhe..

chaale jaayenge tumhaari zindagi se bahut door

naaraj kyu hote ho,
chaale jaayenge tumhaari zindagi se bahut door,
jara tute huye dil ke tukado ko to utta lene do...

maine mohabbat kaisi ki hogi

pata nahi log meri shaayari sun ker wah wah kyu kerte hain..
lekin jara socho…
main mere dard ko itni khubshurati se bayan kerta hun to maine mohabbat kaisi ki hogi..

kabhi yaad karo mujhe

mujhe maalum hai ki aisa kabhi mumkin hi nahi,
phirbhi hassrat rahti hai ki aap bhi kabhi yaad karo mujhe..

saare khaawab mar rahe hain mere ek ek ker ke

soch raha hoon ki iss dil me,
ek kabarishtaan hi bana loon,
saare khaawab mar rahe hain mere ek ek ker ke..

ungliyan chalti hai to dil ki awaaz likhta hoon

ungliyan chalti hai to dil ki awaaz likhta hoon,
gham aur judaai ke andaz-e-bayaan likhta hoon,
rukte nahi hain meri aankhon se aanshu,
main jab bhi aapke yaad me alfaz likhta hoon…

hamari baaton ka jawab nahi dete ho na

aaj hamari baaton ka jawab nahi dete ho to na do,
kabhi aaoge hamari sammadhi par,

to hum bhi aisa hi karenge..

kabhi hum tute toh kabhi khwaab tutte

kabhi hum tute toh kabhi khwaab tutte,
na jaane kitne tukadon me mere armaan tutte,
har tukada ek aaiyna hai mere zindagi ka,
har aaiyne ke sath laakho jazbaat tutte....!!

tere bin aaram kaha

dawa karegi kaam kaha,
tere bin aaram kaha,
tujhse mohabbat kerne ka, 
socha tha anjaam kaha,

bina khayaalon ke tere,
meri subah kahan aur sham kaha,
tujhse mil ker hi jaana,
krishna kaha aur raam kaha,

mere iss dil ke siwa bata, 
likhu aur tera naam kaha,
tujhse bardker iss duniya me, 
mere liye aur pyar kaha...

meri tanhaaiyaan ker rahin hain sawal mujhse

meri tanhaaiyaan ker rahin hain sawal mujhse,
kahan hai wo shakksh.. 

jiske har lammhon ki jarurat tum hua kerte the?

kabhi laut ke na aaunga

jab nigaho se teri door chala jaunga,
mujhse muh pherne wale,
tujhe yaad bahoot aunga...

khud se ker lunga tera zikar tassali ke liye,
apne dil me teri har baat ko dohraungaa,
tune khud se to mujhe door kiya hai lekin,
dard ban kar tere pehlu me samma jaunga..

khud se khud hi tu kregi meri baatein ek din,
shabd ban ban ke zubaan pe teri aa jaunga,
jab bhatak jayegi tu raahe mohabbat me kahi,
raah-gujar banke teri raaho me aa jaunga...

kuch hi dino me main tujhse door chala jaunga,
itna door ki... kabhi laut ke na aaunga....

tujhko yaad bahot aaunga

mitti se bana tha, mitti hi ban jaunga,
iss ke aage na kuch kar paya, na kuch kar paunga,

rote hua aaya tha, rulate huye jaunga,
pairon ki dhool hoon, hawaon me bikhar jaunga,

jab duniya aapki chord kar, yaha se dur chala jaunga,
dekh lena.... main jaisa bhi hoon,
par tujhko yaad bahot aaunga..!!

yuhi hum aapse dil laga baithe

dil se roye magar hontho se muskura baithe,
yuhi hum aapse dil laga baithe,
woh hume ek lamha na de paaye,
jinke liye hum apna sara sukun gawa baithe…

pal pal tanhai me tadapta raha

pal pal tanhai me tadapta raha,
teri yaadon ke tufano se ladta raha,
koi puchta to kehta theek hu main,
kaun jaane kaise mar-mar kar jeeta raha

aakhir kyun aisa hota hai

jise mila hai apna pyar,
woh usse paa kar bhi ek din khota hai,
aur jo na pa saka dil ka meet,
woh tanhaai me aksar rota hai.

aakhir kyun aisa hota hai…!!

jis pyar ko pane ke liye dil har pal tadapta hai,
duniya walon ke liye wo bus ek dhoka hai,
jahan me insaano ki kami nahi,
fir unhein pyar se kisne roka hai.

aakhir kyun aisa hota hai…!!

jinke ek deedar ko ye dil tarasta hai,
jaane ye nazar unhi pe kyu theharta hai,
jo ek pal ka bhi saath na de sake,
dil ko unhi ke aane ki ummid kyun rehti hai.

aakhir kyun aisa hota hai…!!

jise kabhi dekha hi na ho zindgi ke safar me,
kabhi-kabhi sakhs wahi humsafar hota hai,
par kaise samjhaye is bazaar ka dastoor unko,
bik gaya jo ek baar woh kharid daar kaha hota hai.

aakhir kyun aisa hota hai…!!

bhulna chaahe jisse dil pal bhar ke liye,
har ghadi yaad ussi ka kyun aata hai,
humare dil me rehne wali ye dhadkan bhi,
unhi ka saath kyun nibhati hai.

aakhir kyun aisa hota hai…!!

dil ke sabse kareeb hai jo,
ye waqt unhi se kyun doori bardhata hai,
jinhe dil se apna maan chuke hai hum,
kyun koi un par apna hakk jatata hai.

aakhir kyun aisa hota hai…!!

bus gaye jo woh hamare khayalon me,
fir kyun doosra koi nazar aata nahi,
ab to intehan ho gayi intazaar ki,
kyun khawab me koi aur aata nahi.

aakhir kyun aisa hota hai…!!

jab baithe apni tanhaaiyo me hum,
toh ye aansu bhi saath nibhate nahi.
marzi toh hogi shayad uss khuda ki yahi,
ki unhein toh pal bhar bhi hum yaad aate nahi.

aakhir kyun aisa hota hai…!!

ab jeene ki khawaish hi nahi,
fir kyun koi kafan laata nahi,
in saanso me ab woh baat kaha,
fir kyun mujhe koi jalata nahi.

aakhir kyun aisa hota hai…!!

jinhe pane ki lakiren na ho haatho me,
ye pyar unhi se kyun hota hai,
aakhir kyun aisa hota hai…!!

kisi benaam ki hasti mitaa di tumne

kisi gharib ki basti jala di tumne,
kisi benaam ki hasti mitaa di tumne,

mahel na sahi, magar uska to wo aashiyaan tha,
ek luulhe langde ko aukaat dikha di tumne,

sabar na raha, magar phir bhi wo be zabaan tha,
kisi shayar ko khamoshi sikha di tumne,

umr to thi baki, magar zinda bhi wo kahan tha,
kisi bujhi huyi chingaari ko hawa di tumne,

dard bhari zindagi mein khushi ka wo lamha tha,
kisi ki hakeekat ko kahani bana di tumne,

rahi jo unkahi, wo zindagi ka ek armaan tha,
ek be-kashoor ko bad-naseebi suna di tumne,

kisi gharib ki basti jalaa di tumne,
kisi benaam ki hasti mitaa di tumne.

aapke kis kaam ka hoon

‎pyar me fanah hoon, aapke kis kaam ka hoon?
ek bujhta sa diya hoon, aapke kis kaam ka hoon?

aap pyar kerne ke liye ab kisi aur ko chun lena,
main to khud besahara hoon, aapke kis kaam ka hoon?

aapko jarurat hai wo jo aapko desh duniya ghumaye,
main to ab wheelchair me hoon, aapke kis kaam ka hoon?

roz aapka rasta takte takte,
shaakh pe sukh gaya hoon, aapke kis kaam ka hoon?

aap bhi auron ki tarah mujhse kinara ker lena,
sari dunya se bura hoon, aapke kis kam ka hoon??

laut k main na aaunga

ek roz main juda ho jaunga,
na jane kahan kho jaunga,
tum lakh pukaroge mujh ko,
par laut k main na aaunga....

jab ghar se bahar galiyon ke,
konon pe tannha baithoge,
tab aate jaate cheharon mein,
tum chehara mera na paoge...

thak har ke din ke kamo se,
jab raat ko sone jaoge,
dekhoge jab apne naye phone ko to,
message mera na paoge....

tab yaad tumhein main aaunga,
par lot ke main na aaunga,

ek roz ye rishta chutega,
dil itna jayda tutega,
phir koi na hum se roothega,

main na aankhein phir kholunga,
tum se kabi na bolunga,
us din jitna bhi roowoge,
par hum ko hamesa ke liye khodoge...!!!

kabhi aana dard se saje mere gharonde me

kabhi aana dard se saje mere gharonde me,
har pal tardpaati iss zindagi ki daastaan sunaunga main,

ye mehfil hai aanshuo ki, muskura na sakoge tum,
dard ke hi jaam honge, saari mehfil ko rulaunga main,

abhi mere marne ki dua na karna mere humsafar,
abhi toh in saansho ko aur bhi kuch din tardpaunga main,

dil ke adhoore armano ko kar doonga hawaale aag ke,
aur uss armaano ki aag me khud hi ko jalaunga main,

ab kahan yaad aata hoon tumhein main apno ki tarah,
bhooli huyi si ek yaad ban kar in fizaaon me kho jaaunga main,

nafrat ke saaye me ab kahan char kandhe naseeb honge mujhe,
maut ke intezaar me zinda hi khud ko jalaunga main,

na pyar ki aadat hai mujhe, na kisi ke saath ki ummid baaki koi,
shamshaan me bhi kisi tanha kone me apni chita khud jalaunga main,

baad marne ke bhi aanshuo se geeli hi rahegi mitti meri samadhi ki,
jeete jee jise bhula na saka, usse marne ke baad bhi kaise bhula paunga main,

baki na rahi khwaish koi, tu jee bhar ke tardpa le mujhe,
iss maut ke baad phir laut kar tere dar par kabhi na aaunga main…

All Time's Favourite Posts