aa khud mein aaj chupa loon tujhko

bahon mein bhar kar sula doon tujhko,
aa khud mein aaj chupa loon tujhko,

bhari duniya mein mujh sa na milega koi,
aa aisa ek ahsaas, dila doon tujhko,

nind bhari ankhon se jab bhi dekho,
sirf dekhna chaho mujhko,
aa itna pyar karna sikha doon tujhko.

mujh pear subah, mujh pear hi teri sham ho,
aa itna apna deewana bana doon tujhko,

bahon mein bhar kar sula doon tujhko,
aa khud mein aaj chupa loon tujhko. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts