log pyaar kyun karte hain kisi se jab wo nibha nahi sakte

jab bhi koi rishta kabhi tutata hai,
pyar se thamaa koi hath jab chutata hai,

dil mera tujhe karke yaad hota hai udaas,
aur mujhse phir woh ek sawal puchhata hai,

ki log pyaar kyun karte hain kisi ko,
jab woh us pyaar ko nibha nahi sakte,

kyun thaamte hain wo hath apne haatho mein,
jin haatho ko saari umr woh thaam nahi sakte,

kyun nahi samjhate woh us dil ka dard,
jo dil unke haatho yun barbaad hota hai,

kisi ke sapno ka jaal taar-taar hota hai,
kisi ka saara pyaar jab yun bekar hota hai,

woh saare pal jo saath bitaye the kabhi,
jeene nahi deta hai, har pal woh yaad aate hain,

tere hone ka ehsaas mujhe har pal dekhe jaata hai,
sukh chain leke aankho mein ashk de jaata hai,

ye rishta tutane ka dard, har pal bardta jata hai,
marte dam tak woh pyaar har pal yaad aata hai,

ki kash!  phir koi rishta iss tarah naa tute,
ye rishton ka tutana na hamse saha jata hai..

yeh hai mere ehsaas ki duniya

bahut dil na laga is duniya me tu,
yeh hai sirf gunaho ki duniya,
zindagi ke har jawab dhundhke rakh,
yeh hai sirf sawalo ki duniya.

na baat maan yaha tu kisiki dil se,
yeh hai sirf affwaho ki duniya,
mat kar tu kisipe yakeen jaldi se,
yeh hai joothe nakabo ki duniya.

yeh safar yuhi chalta rahe aye sanam,
yeh hai meri khwaishon ki duniya,
rakhta hun tujhe dil me basakar,
yeh hai meri pyaar ki duniya.

payengi na tannha akele khud ko,
yeh hai mere vishwas ki duniya,
khus rahengi tu sada dil me mere,
yeh hai mere ehsaas ki duniya.

aasman bhi kabhi raat ko sota hai

ehsas ke bina pyaar bayan kare jo,
ye ek tarha ka kya samjhota hai?


chand taron se sajta hai asmaan,
aasman bhi kabhi raat ko sota hai?

jisse basaya ho iss dil me humne,
kya wo dil se kabhi apna hota hai?

ek kinare par koi pahunch jaye,
aakar waha kabhi koi kisi ko khota hai?

dil toot jata hai jab pyar nahi milta,
kya khuda kabhi pyar ke liye rota hai?

aaj ek message na unse likha gaya mere liye

aaj raat hogayi unki dua aane ke intezaar mein,
jinko hamare janamdin ka mahine pahle se intezaar hota tha,

aaj befikar hokar so rahe honge kisi ki baaho mein,
jinka dil kabhi iss din hamein milne ko bahut rota tha,

aaj bhi dost aate hain mubarak baad dene ko,
magar unki mubarkbaad ka maza hi kuch aur hota tha,

milo door jate the unse milne ke liye iss din,
wo bhi ghar se na jane kya kya bahane banate the,

aaj ek message na unse likha gaya mere liye,
jo kabhi lakh musibate utha kar mera janamdin mnane aate the,

maze ki baat hai ki iss din bhi sabse chip ke roye hain,
unke sath bitaye palo ka ehsaas kuch aur hi hua kerta tha.

janam din mubarak ho

aaj mera janam din tha,
main intezaar karta raha,
din se raat ho gayi,
aur main chalta raha,


barish mere badan ko bhigoti rahi,
aur tann andar hi andar jalta raha,
magar mein chalta raha,
intizar karta raha,

ki shayed…
kahin se koi jaani pehchani si awaz,
mujhe pyar se bulaa kar kahe,
janam din mubarak ho…!!

magar aaj to har taraf balaa ka sanaata tha,
pure mohalle ne mere janam ke shouk mein,
apne apne gharon mein roshni bhi nahi kiya,
har taraf khofnaak andhera tha,

iss andhere mein, 

barish ka shor,
patton ki khar kharahat,
hawaa ki siskiyaan,
aur bijli ki chamak ne,
mahol ajeeb daraawna sa bana diya tha,

mera dil ghabra gaya,
subah ka bhoola tha iss liye,
shaam ko ghar aagaya,

kya dekhta hoon ke ghar ki dehleez par hamesha ki tarah,
mere intezaar me meri tannhai thi,

us ne aa kar mujhe sahara diya,
phir apne naazuk bajuon mein samet kar,
mujhe mere bistar tak le gayi,

mera sar apni gaud mein rakh kar,
mere baalon mein ungliyan pher kar mujhe sulaney lagi,

phir dheere dheere mere kaan mein gungunane lagi,
janam din mubarak ho,
janam din mubarak ho,

duniya walon se kitni achi thi,
meri tannhai,
meri udaasi,
meri veerani,
meri mehbooba…!!

aaj khud ko hassaunga shayad

mera janamdin main tannha hi manaunga shayad,
logo ke bich na sahi per andhero mein banaunga shayad,
hume pata hai na to koi apna ayega na koi paraya,
isliye kosis karunga sab kuch bhulne ki or khud ko hassaunga shayad.

woh lamhein yahan bikhar jaate hain

itne baadlon mein kuch baadal sapne kehlate hain,
itne anjaano mein kuch ajnabi apne kehlate hain,

naa bhulenge kabhi woh lamhein, nazar kehte the jo kal tak,
issi kasmakash me woh lamhein yahan bikhar jaate hain,

sachhe hain ehsaas itne, sazde karte har shakhs jahan,
najuk hai ye khawaab itne, jinhein ashkon se sehlate hain,

hain mom ki tarah yaadein humari, jal ker bhi jo jamti rahin,
hai hamari bhi kuch khawaishein jo reh-reh kar pighla jate hain,

hum hain uss nashe mein ab tak, jab yaaron ka sath tha,
ulajh jate hain utna inme, jitna inhein hum suljhate hain,

sochta hoon jab beete pal, kho jata hoon bas wahi,
hothon se muskaye to kya, dil se hum karhaate hain,

guzar gaya waqt haseen to kya, ehsas dil mein hain,
milenge phir kahi jald, yahi soch ker dil behlate hain

jab koi sathi aapka chhutta hai

achha nahi lagta hamein us waqt,
jab khud ka hi pyaar aapse ruthta hai,

kuch sujhta nahi hamein us waqt,
jab koi sathi aapka chhutta hai.

bechain sa lagta hai har lamha,
jab wo pal kanto ki tarha chubhta hai,

aankhein bhi dhoka kha jaye kisi waqt,
shayad hamein hi sab bura dikhta hai.

sacchai hoti hai jo do dilon ke bich,
un logo ka pyaar hi hamesha jeetata hai,

sath agar chhut jaye ek bar pyar me,
umr bhar woh pyaar ke liye tarasta hai.

har pal sath deta hun shayad issi liye,
kyuki ye dil uski sab baat ko samajhta hai,

jab tutta hai kisi din bharosha apna,
to sach me bahut hi dil dukhta hai,

bharosa nahi hota agar apne pyaar pe,
pyar ka mahal bahut jald hi bikharta hai.

mere pyar mein aisa mord aaya kyun

mere pyaar mein aisa mord aaya kyun,
woh atoot bandhan sanam tord aaya 
kyun,

jalata tha khud ko unke andheron mein,
pata tha unko hi apne saveron mein,

ho gayi rakh har subah iss zindagi ki yaara,
apna suraj wahan chord aaya 
kyun,

meri pyar mein aisa mord aaya 
kyun,
kat gayi umr sawalon ka jawab dhundhte,
apni in aankhon mein khwaab dhundhte,

jab khatam kar aaya zism aur saccha pyar,
naa jane ye dil apna wahin chord aaya 
kyun,

mere pyar mein aisa mord aaya 
kyun,
apni zindagi ka annt main kar aaya kyun...


dum bhar hi khushi thi ab bas tanhai hai

aaj phir waqt se kisi ne maar khayi hai,
tabahi ke phool se mehfil ye sajayi hai,

ranj-o-gham ke daur kabhi gujre hi nahi,
dum bhar hi khushi thi, ab bas tanhai hai,

gunahgar tha main sila ye iss baat ka nahi,
jazbat mere toofan the, iski saza payi hai,

rah dikhe na koi zameen kabhi mila nahi,
mujhe yaad bhi woh kaise kahe, woh to harjayi hai,

meri julfen na hatana chehare se mere tum,
ashk bhari nazarein inhi se to chupayi hai,

hai shikayat khudse pachtawa karke bhi,
apne hi hathon se kabra apni khudwai hai,

na pucho humse haale dil sacche pyar ka,
hum toot chuke ab itni huyi jag-hassayi hai.


log pyar ko kyu chhupate hain?

pyaar karna koi jurm nahi phir bhi log isse kyu chhupate hain?
pyaar to wo ehsas hai jisme do dil ek ho jaate hain.

pyaar karna koi jurm nahi 
phir bhi log isse kyu chhupate hain?
pyaar wo hai jisme do alag log milke ek sapna sajate hain.

pyaar karna koi jurm nahi 
phir bhi log isse kyu chhupate hain?
pyaar wo hai jisme hum ek durse ke dil ko samajh pate hain.

pyaar karna koi jurm nahi 
phir bhi log isse kyu chhupate hain?
pyaar to wo chiz hai jisme hum apne sathi ka dukh bardast nahi kar pate hain.

pyaar karna koi jurm nahi 
phir bhi log isse kyu chhupate hain?
pyaar wo hai jisme hum kisi ek ke sath ek alag duniya basate hain.

pyaar karna koi jurm nahi 
phir bhi log isse kyu chhupate hain?
pyaar wo hai jisme hum hamesha ke liye kisi ek ke ho jate hain.

pyaar karna koi jurm nahi 
phir bhi log isse kyu chhupate hain?
pyar wo hai jisse hum zindagi me sirf ek baar hi kisi se kar pate hain.

pyaar karna koi jurm nahi 
phir bhi log isse kyu chhupate hain?
kuch log pyaar ko samajh nahi paate aur uske khilaf ho jate hain.

pyaar karna koi jurm nahi 
phir bhi log isse kyu chhupate hain?
un kuch logo ki wajah se do dil milte milte bichard jate hain.

mujhe aadat hai fisal jane ki

tayari hai aaj kahin jane ki,
doston se milne milane ki,
chalta hun jara waqt se pehle,
mujhe aadat hai fisal jane ki..

hun raftaar ka rahi main,
koshish hawa ko harane ki,
naa hai koi mujhse aage yahan,
par mujhe aadat hai fisal jane ki..

pahunch gaya hun sabse pehle,
pardi jaroorat phone ghumane ki,
ki arre yaar tum jaldi aa jao na,
ki mujhe aadat hai fisal jane ki..

aa pahunche jald hi mehman sare,
na khabar mili kisi haseena ke aane ki,
tha bechain ye dil ki koi to milega,
ki mujhe aadat hai fisal jane ki..

beeti ghadiyan tham gaye nazaare,
waqt tha sabse rukhsat keh jane ki,
tha dil murjhaya ki koi na mila,
par mujhe aadat hai fisal jane ki,

tha udas un tannha rahon pe main,
roka kisi ne, dikha wardi thane ki,
bahut urd rahe ho bina helmet ke,
chalo baari hai chalaan katwane ki..

chal parda phir sune dil ko liye,
bhari thi udas dil ke machal jane ki,
rah pe dekhi ladkiyan darjan bhar,
ki mujhe aadat hai fisal jane ki..

hai ek wada tujhse bhi aye monika the cheater

mera hokar bhi khudh ko gair ka batane wale,
door kaise jaoge mujhse, yun hath churane wale,

koi humdam naa milega tumhein humsa yahaan,
hum to mitte shauk se, ab milenge tumhein mitane wale,

kin baaton ka gunahgaar bana diya iss raaj ko,
nafrat yun mili humein, juda huye manane wale,

humein nahi gum, na koi shikayat hai is saza se,
khuda jane inme kitne hain, hum din bitane wale,

par hai ek wada tujhse bhi aye monika the cheater,
ashk girenge tumhare bhi, bhale ho dikhane wale,

khush kaise rahegi tu gar tha tera saccha pyar,
tera dil bhi katega, mujh pe khanjar chalane wale.

ab waqt bacha kahan hai

na aa sake laut ke koi, aisa mera jahaan hai,
mere jane mein ab waqt bacha kaha hai,

do ghunt aur gum ke zindagi pee lun jaraa,
tut kar bikhar jaye jo, woh armaan kahan hai,

lafzon ka dher woh meri dastan-e-zindagi hogi,
baad mere puchenge, inka ashiyana kaha hai,

kis marz ka maara hun, ye paheli hai yaaron,
pata karo uss dard se, ki tera thikana kaha hai,

kash kisi ke seene pe chain pata saccha pyaar ka,
chingari wo cheekh rahi, isse jalaana kaha hai,

hosh ki baat kya, behoshi ka pehlu kismat mera,
nazrein band kar khamosh chale jana kaha hai,

na aaunga kabhi laut ke, aisa mera jahaan hai,
main jaa chuka hun, ab waqt bacha kahan hai..

iss tannha sagar mein

main lamha dar lamha dard pita raha,
dard na jaane kab mujhe pi gaya,

tardap tardap ke aahein nikalti rahin,
na jaane kitni maut aayi, main yun hi marta gaya,

shaya raato sa andhera har dam chhaya raha,
har gam kehar ban kar mujkho lootata gaya,

main tinko ke sahare me zindgi dhoondta raha,
na jaane meri aas ka deepak kab bujh gaya,

kuda ke dar pe maine kitne sazde kiye,
kitni umeedo se mannate maanga kiya,

aaj khuda ki thokro se hi behaal hoon,
ghor andhero ke shaayo mein yun kho gaya,

aaj simmat sa chuka hoon gam ke dheir mein,
in lakiro aur badnasibi ke khel mein,

antim saanse bachi hai bas iss tannha sagar mein,
chunande maut ke nakhre dekhna abhi baaki hai.

zara sa thehar jaao...

ye rahein bahut kathin hain, zara sa thehar jaao,
mushkilon mein jaan ardi hai, 
zara sa thehar jaao,

sehmi sehmi si hai raat, bujhne ko hain taarein,
maut khofnaak banke khadi hai, 
zara sa thehar jaao,

abhi naa jaao ki dhardkano ka dil bhi dhardkne laga,
ye raat humpe bhaari hai, 
zara sa thehar jaao,

naa jaane apni mulaakat phir kabhi ho ki naa ho,
ye faishley ki ghadi hai,  
zara sa thehar jaao,

chale janaa zara iss pal ko to gujar jaane do,
naa jane jaldi kyon pardi hai, 
zara sa thehar jaao,

tumhein dekh ke fariston se bulaawa aa hi gaya,
hamare jaane ki ghadi hai, zara sa thehar jaao..

iss kambakht dil ko samjhaye to kis tarah

aankho se teri tasveer ko mitaaye to kis tarah,
inn dukhte zakhmon ko jaan se chupaaye to kis tarah,

faishla mukkadar ka sunna diya inn mathe ki lakiron ne,
ishq ke likhe sabut ko hum mitaye to kis tarah,

teri deewaangi ne apno se begaana kar diya,
zamaane ki uthti nighaho se khud ko bachaaye to kis tarah,


sar-shrahat sunn patton ki tere kadmoh ka ehsaas hone lagha,
tum nahi ho woh.. iss kambakht dil ko samjhaye to kis tarah.

mera dil pukare tujhko aaja

aye dilbar mera dil pukare tujhko aaja,
dil dene na sahi bus dil tordne aaja,

taras jati hai ye ankhein dekhne ke liye tujhko,
dil milane na sahi bus nazare milane aaja,

nadan dilko samjhata hoon ki na roye teri yaad me,
aanshu ponchne na sahi bus rulane hi aaja.

na jaane woh mujhe aawaz kyu nahi dete

unhein maalum hai woh bulayenge to mein jarrur aaunga,
na jaane phir bhi woh mujh ko aawaz kyu nahi dete,
chahate to woh bhi hain ki milan ho hammara,
aisha hai toh phir raashte ki har deewaar kyu gira nahi dete,

main na lardunga.. na lard-khadaunga, ye waada hai tumse,
tum ek jaam mujh ko bhi nighahon se peela kyu nahi dete,
daawe toh bahut karte hain log mohabbat mein yahan,
phir badale mein wafaa ki wafa kyu nahi dete,

tum kehate ho ki main mujarim hoon tumse mohabbat ka,
main gar junah-gaar hoon to mujhe sazaa kyu nahi dete,

kab tak chuppaye rakhunga, 
kab tak sambhaale rakhunga,
log puchte hain ki inn aaskoh ko aankho se bahaa kyu nahi dete,
jab yeh sach hain ki woh tumhein chhord gayi hai,
to phir yeh baat duniya ko batta kyu nahi dete...


monika ji tum nahi aaye

hum baithe rahe aas lagaye, monika ji tum nahi aaye,
hum kaag bhi na baneroyon urdaaye, monika ji tum nahi aaye.

ban badal tum baraste rahe auro ke sehar,
hum reh gaye pyasse-tarsaaye, monika ji tum nahi aaye.

aa gayi hai basant bhi, hain takate tera rashta palakein bichaye.
ab to hum baithe 
baithe murjhaaye, monika ji tum nahi aaye.

kab karoge aapni baahon me kaid mujhe,
hum baith baith hain pathraaye,  
monika ji tum nahi aaye.

woh aa gayi, woh ab to aane hi wali hai,
dil baar baar ye sapane dikhaaye, 
monika ji tum nahi aaye.

mudaton baad kal sone ki kari thi koshish,
par tere khayalon ne baar baar jagaaye, monika ji tum nahi aaye.

aisa howe ki tujhe bhi aaj raat nind na aaye,
pyar mera tujhe bhi ek din to rulaaye, monika ji tum nahi aaye.

dua karu ek ho jaye hum tum

kyu itni kasak hai seene mein,
jo dil ruk-ruk jaata hai,

kyu dard bhara hai iss dil mein,
jo tardap 
tardap ye jaata hai,

kaise urd kar aa jaau main
chirdiya ke pankh laga lu main,

dekhu tumko jee bhar ke tujhe,
saare dukh apni jholi me bhar lu,

tum jaldi se pas mere aa jaao na,
baaho me meri sama jaao na,

meri neend urd gayi hai dekho to,
ab pyar se dil ko samjhao na,

na ye dard bharega phir reh-reh kar,
na machla karega tab reh-reh kar,

aa jaao na ab mujh tak tum,
dua karu ek ho jaye hum tum.

still have a burning heart

I have never loved before
the way I could love you,
My heart is burning with desire
for the things I would 
like to do,

I would like to hold you in my arms
as my heart burns with yours,
I would like to kiss your tender lips,
taste your bodies fire,
but still that wouldn't fulfill
this thirst of my burning heart desire.

I would like to hold your tender hand in mine, 

as we walk along the sand,
I would like to touch your bodies flesh,
and feel you touching mine,
To grasp the rage of love and lust
as we start to combine
I would like to take you far beyond
the pleasures yet unknown.

Fill your soul with sweet delight
while you feel my heart with your love,
I would like for us to be in love
has never been known to soul.

Still have a burning heart,
will only just begun..

kaho kaise jiye tum bin

judaai dil ko din mein tardpati hai,
veerha badan ko raat mein jalaati hai,

har hal mein tann-mann sulagta hai,
har pal dil ke armaan swaah hote hain,

kaho kaise jiye tum bin,
udas hum tum bin rehte hain,

aankhoon ko ek talaash rehti hai,
dhardkane tham-tham ke tumhara naam leti hai,

kandho pe khud ki laash liye hum chalte rehte hain,
bebas mohobbat mein dekho hum aahein bharte hain,

bekhudi mein dekho monika hum jalte rehte hain,
bekhauf gam-e-lashkar mein roz doobte rehte hain,

yun hi maut aa jayegi ek din ye vishwas karte hain,
aur naa jee sakenge tum bin ye aitbaar rakhte hain.

main khud ko khud se kaise juda karoon

teri mohabbat meri zindagi mein basi hai,
main dhadkano ko dil se kaise juda karoon,

teri surat meri aakhon mein pal-pal basi hai,
main ashkon ko palkon se kaise juda karoon,

teri yaadein meri nas-nas mein basi hai,
main pyaar ko wafa se kaise juda karoon,

teri khusboo meri saanson mein basi hain,
main ehsaas ko jism se kaise juda karoon,

teri hasti mein hi to meri kayanat basi hai,
main khud ko khud se kaise juda karoon,

batao monika the cheater... kaise juda karoon ??

talashti hai har taraf bus aapko hi yeh nazar

jaadu yeh kaisa kar diya apne hum per,
talashti hai har taraf bus aapko hi yeh nazar,

aap ek pal bhi khayalon se juda hoti nahi,
aapki baaton ne kar diya hai yeh kaisa asar,

jeena barda mushkil hua jaata hai ab,
na hosh hai subah ka.. na sham ki khabar,

samne betho zara nazro me nazre dal kar,
dekh lo ek baar hai bekarariyan kis kadar,

ek hi hai arzoo jab aap hon bahon me meri,
ruk jaye woh lamha wahi thehar jaye woh pehar,

jaadu yeh kaisa kar diya apne hum par,
talashti hai har taraf bus aapko hi yeh nazar.

ankhoon se aaj itni bersaat karo

mujhe itna chaho ki meri har raat ko chaandni raat karo,
mehfil mein bhi badal badal ker meri hi baat karo,

do din ka hai ye saath isse hass ker guzaar loo,
na karo bichardne ki baatein, tum milne ki baat karo,

mere hi to tum chaand ho,
kuyn her ghar mein uterte ho,
kabhi mere ghar bhi sitara ban ker hi koi raat karo,

main iss jeewan raah mein bahut tannha udaas hoon,
aise mein tum koi pyaar ki meethi baat karo,

main ne to apna jeewn haar diya ek tumhi par,
isse pehle ki zamana pooche tum bhi koi shurooat karo,

khud toot jaoo ya aaj usse tord do "raaj"
ankhoon se aaj itni bersaat karo..


A red rose from me to you

A single red rose from me to you,
A single red rose to show my love is true,
A single red rose beautiful and bright,
A single red rose I give you when I say goodnight.

A single red rose to express my love is true,
A single red rose that lets you know my heart belongs to you,
A single red rose to show that I care,
A single red rose to show you I will always be there.

A single red rose for no one to see, 
But you and me for all eternity,
A single red rose I share with you,
A single red rose from me to you,
A single red rose to show my love is true.

pyar tera aaj bhi mujhko rulaata hai

tu simmti hai meri yaadon mein har pal,
tera khawaab raaton ko mujhko aata hai,

ek to yun hi hoon bechain mein itna,
tera aks din bhar mujhe satata hai,

kuch soch paata nahi mein na jaane kyu,
husn tera is kadar mujhpe chaa jaata hai,

kehne ko to bhula chuka hoon mein har yaad teri,
par pyar tera aaj bhi mujhko rulaata hai,

kabhi tha koi shaksh jaan-e-jaan dil se,
aaj wahi shaksh khud se ajnabhi hua jaata hai.


kuch hi pal lage the tumhe khone mein

aur kitna waqt lagega zindagi khatam hone mein,
aur kitna waqt lagega aakhari neend sone mein,

kyu nahi guzarta waqt pehle ki tarah,
jab kuch hi pal lage the tumhe khone mein.

zinda hai jism magar andar se mar gaye hain

aaj zindagi ki jang hum har gaye hain,
zinda hai jism magar andar se mar gaye hain,

iss mehfil mein hum unka haat khoyen hain,
dhund dhund ke hum ab pagal ho gaye hain,

unki badan ki khushbho ke leye taraste hain,
humen ghum-e-duinya mein akela chord gaye hain,

apna rasta humare raste se mord gaye hain,
aankh mein anshoo, hum akele ho agye hain,

aaj zindagi ki jang hum har gaye hain,
zinda hai jism magar andar se mar gaye hain

khuda mujhe maaf kare

maine jinko pyaar kiya ussi ne mujhe dhokha diya hai,
aaj mein manta hoon ke aankhein band ker unpe bharosa kiya hai,

maaf kar deta tha main har galti ko barde pyaar se,
chupa leta tha apne aanshoo pata nahi kis andaaz se,

mohabbat ka har rishta maine nibhaya bahut khoob tha,
unka jeevan bhi bhar diya tha khushiyon ki bahar se,

kismat mein na tha shayad unka saath mujhe naseeb,
jo unhone kar liye khud ko apne se bahut door,

dil kehta hai ab koi na mujhe yahan yaad kare,
bas ho sake to ab khuda mujhe maaf kare,
khuda mujhe maaf kare...!!

maut par bhi aanshoo dikha jaate hain log

ek hi dil mein hazaron ko basa lete hain,
par jagah ek ko bhi nahi de paate log,

kiraye ka makkan bana ke rakhte hain dil ko apne,
aur apna hi aashiyana bhool jaate hain log,

khair yeh baat to koi nayi nahi jisse koi yaad rakhe,
jo kare the waade kasam kha ke jab unko bhool jaate hain log,

pyar ke geeton pe jo jhoomte hain deewane hokar,
kyun ussi ke dushman ban jaate hain log,

pardte hain shlok-aur-kalma pyar ka din raat,
aur ussi ko sooli pe latka jaate hain log,

kayi hain fasane yahan sacche pyar ke,
jinko suna nahi paate hain kisi ko log,

jeete jee khushi dekhne nahi dete kisi ko,
maut par bhi aanshoo dikha jaate hain log.


aankhon mein chubhan si lagti hai

lafz khamosh rehte hain,
aankhon mein chubhan si lagti hai,
tum bin har lamha rushwai si lagti hai,
waqt ka khanjar dooriyon ka zakham deta hai,
ab to har wafa dil ko bewafai si lagti hai….

kabhi fursat mile to aa kar tum dekh jana

pucho na kaise kate yeh lamhein intezaar mein,
hum rahe na hum sanam tere pyaar mein,

tujhe yaad na meri aayi ek lammha bhi,
tarasti rahi meri nazarein teri didaar mein,

bhujhti rahi yeh shama aarzoo-e-mohabbat ki,
rok leta raat ko, jo hot tu mere ikhtiyaar mein,

toot ke dil ke tukde-tukde ho gaye seene mein,
yun na bikhare the hum kabhi tere aitbaar mein,

kabhi fursat mile to aa kar tum dekh jana,
kaise luta hai mera dil iss dard ke darbaar mein.

aa jaao ki jaan par ab ban aayi hai

tujhse dil ki yeh kaisi judaai hai,
jo tu na ho to sirf tanhaai hai,

na guzarte din, na katti raatein,
har lamhein mein betaabi chayi hai,

tum bin kho gayi saari manzilein,
mujh se har khushi sharmaai hai,

kahaan dhoondu, kaise pukaarun,
aa jaao ke jaan par ab ban aayi hai,

yaad hai mujhe bas tera hi naam,
bhula di maine saari khudaai hai,

karti hai yaad meri udaas duniya,
tere saath hi zindagi muskuraai hai,

door reh kar yun na sazaa do,
teri baahon mein hi meri rihaayi hai,

mil jaayenge hum ek naa ek din,
mohabbat ne kasam khaayi hai.

zindagi ban chuki hai maut si

ye dard hai kaun sa, ye chubhan hai kaun si,
ye ishq hai kiska, ye mohabbat hai kaun si,

main to isse pyaar hi samjhta raha har baar,
ab to halaat ye hai ki zindagi ban gayi maut si,

unki yaadein hi kaafi thi jeene ke liye,
to aankhon mein tasveer hai dhundli kaun si,

woh jo mere ho ker bhi ho na sake unse gila kiya,
ab to bas jiye ja raha hoon ek bejaan si zindagi,
farak bas itna hai ki zindagi ban chuki hai maut si.


All Time's Favourite Posts