uski wajah se aaj kuch yaha likhna sikh gaye

aayein the woh ek din anjaan banke yaha,
par aaj woh dil ke sab se kareeb aa gaye,

aakar meri is zindagi mein woh bas gaye,
mere in hothon pe woh muskaan la gaye.

meri yeh mohabbat ko usne dil se samjha,
meri mohabbat ko apni zindagi bana gaye.

apne pyaar bhare is andaz ke zariye aaj,
mere dil pe woh hamesha ke liye chha gaye.

dhadkane kardi meri apne naam usne,
aur woh is dil mein phir chupke se sama gaye.

banke meri har raaton ka khawaab woh,
mere har lamhe ko woh yun churaa gaye.

khusiyaan bhardi usne meri zindagi mein,
sare dard ko zindagi mein se woh mita gaye.

chal raha tha bin mazil ke anjan raste pe,
aakar zindagi mein woh sahi rasta dikha gaye.

ruthna bahot achha lagta hai bar bar mujhe,
har baar apne pyaar se mujhe mana gaye.

bitaye hain jo pyaar bhare lamhe sath-sath,
woh sare lamhe mere is dil mein sama gaye.

intezar se hi waqt guzarta hai ab to mera,
unko paane ki woh dil mein chahat jaga gaye.

aasman ka sitara banne ki khwais he usko,
wo to kab ke mere is dil ka sitara ban gaye

toot raha tha kisi waqt main is zindagi mein, 
dekar apna sath wo mera sahara ban gaye.

behek raha tha jo zindagi ke samandar mein, 
aakar woh is samandar ka kinara dikha gaye.

zindagi berang thi pehle meri uske bagair, 
pyaar bhare rishte se zindgi meri saja gaye.

ruk gaya tha jo safar mein bich bich mein kahi, 
woh bhi mere sang sath dene ko thehar gaye.

pata nahi tha pyaar ka matlab kya hota hai, 
ehsaas ke zariye pyaar ka matlab samjha gaye.

pyaar ki jaise zindagi mein barish huyi mujhpe, 
uske pyaar mein ab hamesha ke liye ab bhig gaye.

hesiyat nahi thi meri yaha kuch likh pane ki, 
uski wajah se aaj kuch yaha likhna sikh gaye.

pyar ko mere samjhna achhi tarha aata hai usko, 
peshkas ke zariye pyaar ko sab ko samjha gaye.

pyaar bhara yeh ehsaas dekhkar kal uksa yaha, 
meri in aankhon mein khusi ke mare aanshu aa gaye.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts