aaj pheli baar aapni mohabbat ka izhaar kiya hai

aaj pheli baar aapni mohabbat ka izhaar kiya hai,
haan meri jaan maine pyaar sirf tumhi se kiya hai.

tumhe aapni aankhoon ki tasveer banaya hai,
jinka khayaal karti hai meri nazre har ghadi,

meri saanson par hai tera hi ek naam,
dil ki har dhardhkhan sirf tere liye hai.

hum dono ka saath janmo ka rishta ho jaise,
har pal tera saath yehi ehsaas jatata hai.

hum us khuda se tumhe paane ki dua karte hai,
tum mujhe kabhi nahi chhordogi,
yehi vishwas rakhte hain.

aye monika hum us waqt ka intezaar karte hain,
jab hum tum ho jayenge ek.

hum tumhe kehte rahenge hamesha hamesha,
haan meri jaan maine pyaar sirf tumhi se kiya hai.

teri siwa kisi ko dekhna acha nahi lagta

kisi se baat karna, bolna acha nahi lagta,
tujhe dekha hai jab se, doosra acha nahi lagta.

teri aankhon mein jab se maine apna aks dekha hai,
mere chehare ko koi aaina acha nahi lagta.

tere baare mein din bhar sochta rehta hoon lekin,
tere baare mein sab se puchna acha nahi lagta,

yahan mohabbat karne wale barbaad rehte hain,
yeh darya hai isse kacha gharda acha nahi lagta,

main ab chahat ki us manzil par aan pahucha hoon,
teri siwa kisi ko dekhna acha nahi lagta.

will you be there?

if I try and fail
who will be there… and say:
“you did well”

if I fall and couldn't stand
who will be there… and say:
“hold my hand”

if roads are tough
and light is far,
who will be there… and say:
“I will walk”

even when my nights are long,
and days are blue.
and everything seems,

impossible to be true.
who will still be there… and say,
“I will always love you”
will you be there?

khud ko khone ke baad tujhe paya hai

apni aankhon ke samne har waqt tujhe paya hai,
apne jahan-e-dil mein sirf tujhe hi basaya hai,

hisab-e-mohabbat kabhi puchhna na mujhse,
kyonki khud ko khone ke baad tujhe paya hai,

kabhi mera sath na chodna meri maksad-e-zindagi,
ek arshe ke baad dil aaj muskaraya hai,

hansi de ke in labon ko kabhi rula na dena,
zindagi tumse hi hai meri ye samajh aaya hai,

zindagi ki raahon mein kabhi na ruthna “raaj“ se,
maine apne khawabon ko tumse hi sajaya hai.

humara haath kabhi naa chordna monika

aaj pehli baar humari aankhoon mein tumhara sapna hai,
aaj pehli baar dil ne sahi mayino mein dhardkana shuru kiya hai,

aaj pehli baar pawan hawa ne hume tumhara paigam bheja hai,
aaj pehli baar humne tumhara sparsh mehsoos kiya hai,

aaj pehli baar hume ehsaas hua ki tumhe pana kitna kathin hai,
kyon hum ek doosre ke kareeb nahi ho sakte hain,
kyon hume ek doosre ki judaai mein tardapna pard raha hai?

aaj pehli baar ehsaas hua
chahe tan se ek doosre ke saath naa ho
par mann to humesha tumhare sang rahenge,

ab bas ek hi waada chahte hain tumse
humara haath kabhi naa chordna monika,
hume apne se juda kabhi naa karna …

kya ishq mujhse hi kerti ho?

bay-baat bigardti rehti ho,
bay-ch
ain humesa rehti ho,

yeh sab nishani ishq ki hai,
kiya ishq kisi se kerti ho?

raaton ko jagti rehti ho,
aur taare bhi tum ginti ho,

yeh sub nishani ishq ki hai,
kiya ishq kisi se kerti ho?,

zikar jo mera chirdta hai,
chehare ka rang badalta hai,

bay-chain se tum ho jati ho,
kya ishq mujhse hi kerti ho?

the door to my heart

there is this door that opens to you,
this wide door that never closes,
you can come in and love this door or
even tell it anything you’d like.

I promise you that I will never close it,
no matter what happens,
this door is all yours.

you may share it with others, 
but I bet you will
hog it to yourself and never let go.

this door that you have entered,
is the door to my heart...

woh mere dil mein rehti hai

woh mere dil mein rehti hai
main uske dil mein rehta hoon,
woh nazarein chura kar hunsti hai, 
main aankh churaa kar taktaa hoon.

jaane na jaane koi na jaane
yeh chaand sitaare jaante hain,
woh mujh pe jaan chirdakti hai,
main uske dam se jeeta hoon.

kitni hai dilkash hawayein,
kitne hain pyaare afsaane,
woh mere dil pe likhti hai,
main uske aankh mein pardhta hoon.

meri uski raaz ki baatein
khushboo ki tarah urd jaati hain,
sau pehre laga ke hothon par
jab nazaron se keh deta hoon.

meri is zindagi ki har khusi hai woh

samjhti hai woh mujhe achhi tarh se,
kyuki dil ki bahot hi sachchi hai woh,

samma badal jata hai uske aane se,
meri is duniya ki ranginiyat hai woh,

dil me basi hai sirf wohi har taraf,
dil ki har dhadkn me basi hai woh,

sasse bhi chalti hai uske ishare se,
meri har sasso me chhupi hai woh,

uske liye jitna likhu kam hai utna,
bahut hi achhi aur pyaari hai woh,

ujala lati hai woh zindagi me meri,
main hun jalta diya aur roshni hai woh,

safar hai zindagi bhar ka yeh hamara,
main hun manjhi aur meri kashti hai woh,

dil bahut sochta hai kyu uske liye itna,
bas meri is zindagi ki har khusi hai woh,

khawabo ki duniya sajayi hai usne,
meri khawabo ki duniya ki raani hai woh.

mujh ko ikraar hai haan mujhe pyar hai

maine dil se kaha aye deewane bata,
jabse koi mila.. tu hai khoya hua,
yeh kahani hai kya hai yeh kya sil sila,
aye deewane bata..

dhardkan mein chhupi kaisi aawaz hai,
kaisa yeh geet hai.. kaisa yeh shaaz hai,
kaisi yeh baat hai.. kaisa yeh raaz hai,
aye deewane bata..

mere dil ne kaha..  jabse koi mila,
chand taare.. fiza phool.. bhawre hawa,
yeh hassin wadiyan..  neela yeh aashma,
sab hai jaise naya.. mere dil ne kaha.

maine dil se kaha mujko yeh to bata,
jo hai tujhko mila, uss mein kya baat hai,
kya hai jaadugari, kaun hai woh pari,
aye deewane bata..

mere dil ne kaha..  na woh koi pari na koi mehzabi,
na woh duniya mein sabse hai jaada hassin,
sidhi saadhi si hai, bholi bhali si hai,
lekin uss mein adaa ek nirali si hai,
uske bin mera jeena bhi bekaar hai.

maine dil se kaha.. baat itni si hai, ke tujhe pyar hai,
mere dil ne kaha.. mujko ikraar hai, haan mujhe pyar hai,
haan mujhe pyaar hai, mujh ko ikraar hai haan mujhe pyar hai. 

sochta hoon tumhi ko din raat ab

meri hakikat mujh se churane lage,
kis tarah se mujh mein samane lage,

sochta hoon tumhi ko din raat ab,
mujh mein tum ab muskuraane lage.

sath teri yaandon ka yah asar dikhane laga,
na chahiye koi pass, tanhai mein din-raat katne laga,

baithe akele hi tujh ko har dum gungunaata hoon,
pukare koi bhi, chonk main jaata hoon,

rahta hoon kin khayalo mein, har koi sawal uthane laga,
pakard na le koi chori, dil mera ab ghabraane laga,

door hokar bhi kitna pass tumko main apne paata hoon,
zindagi ka har pal, jaise tere sang hi bitaata hoon. 

mere pehle pyaar ka pehla ehsaas ho

pehle pyaar ka pehla ehsaas ho
mera dil meri jaan ho,

tumhi se hai zindagi meri
mere hoton ki khilti muskaan ho,

naa ho ab hum judaa ek doosre se
yehi khawish yehi dua ka ehsaas ho,

mere saare dukhon ko apna bana leti ho,
mere khushiyon ke saudagar ho,

bas gayi ho dil ke har ek kone mein
mera astitva meri pehchaan ho,

dua rahe rab se ab bas teri khushiyon ki,
muskaan saje mere honthon pe khush agar ho,

nahi sochna hai mujhe ab kucch bhi,
saath saath ban meri zindagi ho,

jalta rahe yeh pyaar dilon mein hardum,
jeene ka mere ban gayi ek armaan ho.

tum mere kaun ho?

jab kabhi main apni palkhein moondun,
bethta hoon khule aasman ke neeche,
to aksar mann mein ek khayal aata hai,
ki tum mere kaun ho?

mere dil mein dhardhkti dharkan ho tum,
mere aankhon ki chamak ho tum,

sham savere dil mein bassa khayal ho tum
meri zindagi meri jaan ho tum,

chalna hai jisko saath woh rah ho tum,
pohuch jana hai jahan woh manzil ho tum,

mere humsafar mere jeevan saathi ho tum,
mere yaadein mera khayaal ho tum,

rehte ho har pal dil aur deemaag mein tum,
sochta hoon tumhe aur kho sa jaata hoon woh ho tum,

mere hoton ki khilti muskan ho tum,
mere bechain dil ka karaar ho tum,

aksar yeh baatein dil se karta hoon,
aur dil… dil mera jorse dharkata hai,
aur yehi kahta hai…
ki tum mere sab kuch ho..!!


chord do yeh sararat.. kareeb aa jaao tum

maine dil ko rakha hai khaali,
iss mein aashiyana apna basao tum,

tujhe na dekhu to roti hain aankhein,
gujarish hai ki mujhse na door jaao tum,

nigahein hain suni tere aks ki khatir,
ban tasvir inn mein ab sammao tum,

apne khesuon ko jara tum bikhero,
inki chaya thale ab mujhe sulaao tum,

main ho gaga hoon jogi tere ishq mein,
mere aagosh mein aaker kho jao tum,

dil mein armaan hazaron machalte hain,
gum-e-judaai pe didaar-e-dava lagao tum,

bahut ho chuki abh dillagi yeh tumhari,
chord do yeh sararat.. kareeb aa jaao tum.

yeh pyaar nahi to aur kya hai

der raat ko tera aana,
aake kuch meethi baatein keh jaana,
phir sath mein khil-khilana,
mere dil ko lubhana,
yeh pyaar nahi to aur kya hai..??

bechain rehati hai baahein teri,
dhudhati hai mujhko nigaahein teri,
yaadon mein har waqt main hi rehta hoon,
tumse shararti baatein kerta hoon,
tu hassti hai mushkuraati hai,
phir mujh mein hi kho jaati hai,
bolo.. yeh pyaar nahi to aur kya hai..??

ek din gar mulakaat na ho,
mujh se tumhari baat na ho,
uljhane bardh jaati hai,
din to gujar nahi paata,
raat tham jaati hai,
bolo.. yeh pyaar nahi to aur kya hai..??

mann ke gulshan mein,
titali bane tum firti ho,
har kali ke paas se gujarti huyi,
tum kitani baatein kerti ho,
kaliya tumhein chhupana chahati hai,
par tum to meri talaash kerti ho,
tumhi bolo yeh pyar nahi to aur kya hai..??

kahin aapke ishq me shaamil humara naam na ho jaye

apne haatho ko mere haatho se door hi rakhna,
kahi haath chord aane ki koshish mein shaam naa ho jaye,

iss kadar naa mere dil ke kareeb aa,
kahi jurd kar mujhse tu badnaam na ho jaye,

humein aadat nahi chup chup kar ishq karne ki,
kahi meri garm-goshi se tu sare-aam na ho jaye,

ab tak to diwaano ki mehfil mein paraye hain hum,
kahin aapke ishq me shaamil humara naam na ho jaye.

mujhse na pucho

mere deewane ki baat na pucho,
kya hai usmein yeh raaz na pucho,
hai ek adda uski muskurahat mein,
deewana kyu bana deti hai na pucho,

hai kya nasha uski deewangi mein,
yeh yaaron bus humse na pucho,
kyu chura leti hai ek nazar uski,
har dil ko yeh baat bus humse na pucho,

hai kitna dilkash yeh deewana,
iss kambakhta ki baat bus na pucho,
dil gawa baithta hai har koi,
isse tum nazrein milane ka anjaam na pucho,

aata hai hunar dil jeetne ka,

uss nadaan ko aati hai kya adaa na pucho,
kyu dil machal jata hai uske chehre ke
noor se yeh baat yaaron na pucho,

uski shaksiyat mein pyar ki seerat hai,
basti kitna mujhe hai iska yakeen na pucho,
khabar ho jayegi sabko aise uske mehfil mein,
uske naam ko yaaron mujhse na pucho,

dil mein basa rakha hai maine jisko,

zamane ko bhula ke kitni hai mohabat yeh baat na pucho,
kya aati jaati saason se dua nikalti hai meri,
uske liye choroo bus uss dua ki baat na humse pucho..

kya tujhe bhi mujhse pyaar hai

dil mein kuch dabbe dabbe se khaamosh armaan hain,
ab tak hum tere ekraar ko sanam bekarar hain,

aa jaao ki ab to bas tera hi humko intezaar hai,
dubb jaye teri chaahat mein khuda ka yahi farmaan hai,

puchho khud se kya tumhein meri khwaish nahi hai,
bujho yeh paheli ki mujhe jawab ka intezaar hai,

kya nahi jaante tum mujhe tumse kitna pyaar hai,
kyu tu meri iss kashmakash se itni anjaan hai?

jab jab tune mujhe yun muskuraakar dekhi hai,
fizaaon mein mujhe bahaaron ka mazaa mila hai,

jabbhi kabhi yuhi tune mujhe murdke dekha tha,
registhan mein samundar ke hone ka ehsaas hua tha,

jab-jab maine apne hatho se tere kaiso ko sawara hai,
tab-tab laga yeh pal humdono par barda mehrbaan hai,

tujhi se hi to sanam mere dil ka har karaar hai,
tere bina har pal lagta hai ki jeena bekaar hai,

jaanta hoon main ki tujhe bhi mujhse pyaar hai,
phir kyun tujhe mujhe tardpaane ka khyaal hai,

samajh nahi paa raha hoon jane kya yeh maajra hai,
aaj bataa hi do kya tujhe bhi mujhse pyaar hai?

tum mere ho tum mere ho

jis din se dekha hai tum ko sanam,
bechain rehtey hain us din se hum,
aisa lagta hai khuda ki kasam,
tum mere ho, tum mere ho...

sawan hai barsaat hoti nahi,
khul k koi baat hoti nahi,
kaise batayun yeh tumko sanam,
tum mere ho, tum mere ho...

shaayer jo hota to tere liye,
kehta ghazal main koi pyaar ka,
hota murtikaar to apnay liye
murat banata tere surat ki,

par kya karein k murtikaarr nahi,
hai badnaseebi k shaayer nahi,
kaisae batayein yeh tum ko sanam,
tum mere ho, tum mere ho...

raaton ko kerwat badalte hain hum,
shamma ki umeed jaltaye hain hum,
tum hi batao ki hum kya karein,
charon taraf dekhte hain tumhein,

iss mein khata kya hamari hai,
har chehare mein soorat tumhari hai,
kaliyon mein tum ho, baharon mein tum,
iss dil mein tum ho, nazaron mein tum ho,

kaise batayein yeh tum ko sanam,
tum mere ho, tum mere ho,
tum mere ho, tum mere ho...

aaoo mera haath thaam lo ki na rahe akele hum

barish ki inn boondo mein,
akele tum akele hum,
bheegte inn armaano mein,
akele tum akele hum.

sard si inn raaton mein,
akele tum akele hum,
kangdi ki yeh aag saikte,
akele tum akele hum.

suraj ki kiran mein tapte,
akele tum akele hum,
shabnam se pyaas bujhate,
akele tum akele hum.

akele akele chalte raaston pe,
kyon manzilo tak akele chalna hai,
aaoo mera haath thaam lo ki,
na rahe akele tum akele hum. 

milte agar hum to kya haal hota

milte agar hum to kya haal hota,
soch soch kar yahi boora hai mera haal hota,

dhardhakti dhadkano ka shor hota,
nachta mann ka morr hota,

lub kahte huye rukte khamoshi ka sath hota,
kahte kahte ruk jaati juban, bechaini ka raag hota,

nazaron se nazaron ka phir takraar hota,
milte gale ya hathon mein hath hota,

lagte jab tere seene se badan, main sirf tera raj hota,
kap-kapate honthon pe tere hontho ke sungam ka saz hota,

thirkate tann se anchal ka hataaw hota,
madhuban mein mehkata har ek khawab hota,

milte agar hum to kya haal hota,
soch soch kar yahi boora hai mera haal hota. 

kabhi yun bhi to ho

kabhi yun bhi to ho..
dariya ka saahil ho,
pure chaand ki raat ho,
aur tum aao..!

kabhi yun bhi to ho..
pariyon ki mehafil ho,
koi tumhaari baat ho,
aur tum aao..! 

kabhi yun bhi to ho..
yeh narm mulaayam thandi havaayein,
jab ghar se tumhaare guzarein,
tumhaari khushbu churaayein,
mere ghar le aayein.

kabhi yun bhi to ho..
suuni har manzil ho,
koi na mere saath ho,
aur tum aao..! 

kabhi yun bhi to ho..
yeh baadal aisa tuut ke barse,
mere dil ki tarah milane ko
tumhaara dil bhi tarase,
aur tum nikalo ghar se..

kabhi yun bhi to ho..
tannhai ho, dil ho,
bundein ho, barasaat ho,
aur tum aao..! 

nind ki aankhon se dushmani si rahi

har mulakat tumse adhoori si rahi,
har khushi mein kuch kami si rahi,

khwaab kya dekhe tumhare humne,
nind ki aankhon se dushmani si rahi,

palkon ke kinare jo humne bhigoye nahi,
woh sochte hain hum roye hi nahi,

aap puchte hain khwaboon mein kise dekhte ho,
aur hum hai jo ek arse se soye hi nahi.

aaj mere in sawalo ka javab kya de paoge

bahot tamanna lekar pyar ka rishta jorda hai aapse,
kya iss rishte ko tavazzo de paoge?

khushiya jo mit gayi hai haaton ki lakeeron se,
kya unhein meri kissmat mein likh paoge?

chhod doon agar sab ko aapke liye,
kya mere liye duniya se lard paoge?

bahot khwahishe hain aapki naam kamane ki,
kya apne naam ke saath mera naam jord paoge?

zamana badnaam kar deta hai chaahane walo ko,
thokar lagi zamane ki to, mujhe apna paoge?

roz ehasaas dilata hoon apni mohabbat ka,
aaj mere in sawalo ka javab kya de paoge?

na koi is dil ki aarzoo hai

mohabbat ab hamari bhi rang layi hai,
har chehare mein teri hi surat tham gayi hai,

jaane kyu log mujhe ajnabi lagte hai,
har mehfil tere bin adhuri hai,

yeh hawa bhi mujhe jane kya keh gayi hai,
ek ehsaas tera de gayi hai,

kyu ab raat itni lambi hai,
tere dum se hi har roshni hai,

ab to duniya mein koi tere siwa,
na koi is dil ki aarzoo hai.

kar aaye haal-e-dil bayaan

dekhte hi unko meri nazron ka thahar jaana
khwaab paane ke unko dil mein tamaam aate hain,

woh adda woh mizaaj woh nazar ki hadd hi bas,
khayal bhi sabhi mere unke naam aate hain,

kar aaye haal-e-dil bayaan be-khauf tabeeyat se,
ab dekhte hain iske kya anjaam aate hain,

har shaks be-sudh mila unke nashe se hi,
par apni kismat mein to khaali jaam aate hain,

le ke abhi armaanon ko saath chalte hain,
bujhte chiraag hain lekin safar mein kaam aate hain,

ho har jagah jiski shksiyat ka charcha,
wafa daari ke us par hi sab ilzaam aate hain,

aaj mahaul hai woh bhi hain, hum bhi fursat mein,
dekhe fiza mein rang kya iss shaam aate hain,

judaai ke lahze ko bhi dekha gaya unmein,
jo milne ke unki aur se paighaam aate hain,

roz kehna aaj unko bhool jaayenge aur
kar ke aankhon ki nami ka khud intzaam aate hain,

guzaara ho kaise log kahte hain iss mehfil sajaayi se,
dekho "raaj" apne sheron ke kya daam aate hain.

aisa iss jahaan mein humsa koi nahi

gila takdeer se hai mujhe aapse nahi,
bebus mujhe dil ne banaya mohabbat ne nahi,

kasoor mujhse hua lehron ka kasoor nahi,
kyu ret pe likha naam humne lehron se bachaya nahi,

aankh hamari ro pardi aapne rulaya nahi,
aapki yaad ka badal hai barasne se rukta nahi,

waada kaun sa aapne kiya tha jo nibhaya nahi,
aapki kaun si baat pe humko aitbaar nahi,

na kehna kabhi aapko chahne wala koi nahi,
aapko itni shiddat se chahe,
aisa iss jahaan mein humsa koi nahi..

All Time's Favourite Posts