tum bin mera jeena bhi kya jeena hai

tum bin kya mera dil dhardak sakta hai,
saase to tumne chura li hai,
ab yeh kar bhi kya sakta hai.

tum bin kya meri zindagi hai,
jaise sagar mein dubti huyi kasti hai,

tum bin mera jahaan suna-suna hai,
tum bin mera jeena bhi kya jeena hai.

tum bin bahut akeli hai meri har shaam,
sharab ka ho jaise khali jam,
tum bin ish tarah kat-ti hai meri raatein.

tannhaiyon mein khud se hi karte hain baatein,
tum bin ab ek pal bhi yeh dil naa dhardak sakta hai,
agar tum naa aayi to sayad yeh dum bhi tord sakta hai. 

thodi door sath chalo

khaatin hai rah-guzr, thodi door sath chalo,
bohut krra hai safar thodi door sath chalo, 

tamaam umr kahaan koi sath deta hai,
yeh janta hoon magar thodi door sath chalo, 

nashe mein chur hoon main bhi, tumhein bhi hosh nahin,
bada maza ho agar thodi door sath chalo. 

yeh ek din ki mulakaat bhi ganimat hai,
kise hai kal ki khabr, thodi door sath chalo. 

abhi to jaag rahe hain chirag rahoon ke,
abhi hai door sehar, thori door sath chalo. 

tawaf-e-manzil-janah hamein bhi karna hai,
faraz tum bhi agar thori door sath chalo. 

humein woh dil se pukaare to koi baat bane

koi hamara haal sawaare.. to koi baat bane,
humein woh dil se pukaare.. to koi baat bane,

shaam to bahut haseen hai aaj ki magar,
isse tumhare saath guzaare.. to koi baat bane,

lardkhada rahe hain tannha wafa ke raste mein,
agar tu apni baahon mein sambhaale.. to koi baat bane,

nazar milane par apna chehra ghumane se nahi,
agar woh aankhon-aankhon mein muskuraye.. to koi baat bane,

raah mein uski palkein bichayi hai “raaj“ jane kab se,
woh agar meri taraf aaye.. to koi baat bane.

kitna karu aur intezaar likh do

ek baar kar ke aitbaar likh do,
kitna hai mujhse pyaar likh do,

kat-ti nahi yeh zindagi ab tere bin,
kitna karu aur intezaar likh do,

taraste rahe hai badi muddat se,
iss baar apni mohabbat ka izhaar likh do,

jada nahi likh sakte to mat likho tum,
mohabbat bhare lafaz.. do chaar likh do,

ek baar likho mohabbat hai mujhe tumse,
phir yahi jumla baar baar likh do.

All Time's Favourite Posts