tum meri aur main tumhara ho jaun

chandni raat mein
taaron ki numaish hai,

main tumhe jagaaun,
iss soye jaage chehre par
apni mohar lagaaun.

aao sanam, kareeb aao,
ki tumse lipat jaaun
jo aajtak tumse na kaha,
woh ab tumhe batlaaun.

chum kar tumhe iss kadar,
aise pagal kar jaaun
jo baat alfaaz na keh paye, 
labon se tumhe samjhaun.

saaya bhi tum mein bus jaye,
kuch aise sama jaun,
ek hokar tumse, 
tum hi mein ghum ho jaaun.

ghum jaaun to iss kadar
ki sari duniya bhulaaun,
tumhe bekaraar banaaun,
tumhari neend bhi main churaaun.

tumhari baahon ki garmi mein
kuch aise pighal jaaun,
ek pal mein hosh gawa kar 
phir sambhal na paaun.

aao ki iss haseen raat mein
taron ko gawah banaaun,
tum meri humesha ke liye, 
aur main tumhara ho jaun.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts